Sunday, November 13, 2011

RADD-E-TAQLEED

Bismillahir rahmanir raheem


1-Taqleed k lugwi mainay kya hai?


Ans: lugat ki aik mashoor kitab moajim ul waseet main likha hwa hai


“aur falah ki taqleed bagair hujjat aur daleel k uske qol ya fail ki itibah ki..”

Misbah ul lugat main likha hwa hai

“usne uski falah baat main bagair gor o fikar k pervi ki”

(page no 701)

Esaio ki  almunjid main hai..

“kisi mamlay main bila gor o fikar kisi ki pervi karna"

(almunjid,  arbi urdu page no 831 dar ul ishaat Karachi)

Jamah ul lugat urdu main hai

“Taqleed pervi karna , qadam ba qadam chalna, bagair tehkeek k kisi ki pervi  karna”.

Page no 166 darul ishaat Karachi


2-taqleed k istilahi mainay kia hai?


Ans:  hanfio ki motubar kitaab muslim al suboot main likha hai k

“taqleed nabi k ilawa gair yani ummati k qol per bagair hujjat( daleel) k amal ka naam hai… jaise aami(jahil) apne jaise aami aur mujtahid dusre mujtahid ka qol layle.. pas nabi s.a.w.w aur ijmah ki taraf rujooh karna is taqleed main se nae hai aur isi tarah aami ka mufti ki taraf rujooh karna aur qazi ka gawahon ki taraf rujooh karna taqleed main se nahi hai”


(muslim al suboot page no 289 , jahah ul haq vol 1 page no 16)


“ibne hamam hanfi ne likha hai taqleed us shaks k qol per bagair daleel k amal ko kehte hai jis ka qol (4) dalail main se nae hai.. pas nabi akram s.a.w.w. aur ijmah ki taraf rujooh karna taqleed main se nae hai”..


( tehreer ibne hamam hanfi fi ilm ulusool vol 3 page no 453)


ghulam rasool saeedi barelvi ne likha hai

“Taqleed k mainay hai dalail se qatah nazar karke kisi imam k qol per amal karna aur itibah se ye muraad hai k kisi imam k qol ko kitab o sunnat k muwafiq paker aur dalail e shariah se sabit jan ker is qol ko ikhtyar karna”…


(sharah sahi muslim jild 5 page no 63)


saeedi sahib mazeed likhte hai :

“imam gazali ne likha hai k taqleed kisi qol ko bila daleel qabool karna hai”..

(sharah sahi muslim vol 3 page no 330)

3…taqleed e shaksi kab ijaad hoe?


Ans:  imam ibne qayim rehmatullah elieh  kehte hai

“ ye taqleed ki biddat chothi(4) sadi main jari hoe.. ye wo zamana hai k jiski muzamat rasool ALLAH s. a.w.w se sabit ho chuki hai..


shah wali ALLAH kehte hai

“Maloom karna chayie k chothi(4) sadi se pehle log kisi khalis aik mazhab moen per mutafiq na thay”

(hujjat ul balagah jild 1 page no 152)  


4…… Kia kisi moen imam ki taqleed karna wajib hai?


Ans:  kisi moen imam(yani khaas) ki taqleed karna quran aur ahadees se sabit nae hai..

balke hum jo rasool ALLAH s.a.w.w ki ataat karte hai wo bhi ALLAH k hukm se karte hai..

ALLAH ne farmaya:

AL-QURAN:

1. Humne rasool ko sirf isi liye bheja k ALLAH tala k hukm se iski farma bardari ki jaye..

(surah nisa 64)


2. Aey emaan walo ALLAH ki ataat karo aur rasool ka kaha mano aur apne amaal ko garat(zayah) na karo..

(surah Muhammad 33)


jo log ye kehte hai k kisi moen imam ki taqleed karna wajib hai ye saraser biddat hai




5…… Kia alim se koe  masla pochna taqleed hai?


Ans: alim se masla pochna taqleed nae hai..

deobandi aur barelvi awam apne ulma se maslay pochte hai..

Example:  rashed ahmed deobandi (aik aam anparh shaks) apne alim molvi mujeeb ur rehman se masla pochta hai .. kia deobaNDI ulma ye kahenge k rasheed ahmed ab mujeeb ur rehman ka muqalid banker “mujeebi”  ban gaya hai???

Jab hanfi shaks apne molvi se masla poch ker hanfi hi rehta hai to iska matlab waziah hai k pochna taqleed nae hai…


6……. ahle hadees taqleed q nae karte?


Ans:  ahle hadees taqleed nae karte balke ALLAH aur uske rasool s.a.w.w ki itibah karte hai jaisa k ALLAH ne itibah karne ka hukm dia hai…


7………kia charo imamo ne apni taqleed ka hukm dia?


Ans:  charo imamo ne apni taqleed ka hukm nae dia balke quran aur sunnat per amal karne ka hukm dia…

1 .Imam abu hanifa: jab sahi hadees mil jaye pas wahi mera mazhab hai

(dar e mukhtar, shami  jild 1 page no 50)




1 . Imam malik


"main bhi admi hun kabhi meri raye sahi aur kabhi galat hoti hai.. ab tum meri raye ko dekhlo jo quran o sunnat k muwafiq ho usko laylo aur jo mukhalif ho usko chordo… "


(ailam ul moqieen : fasal kalam ut tabaeen fi al rai vol 1 page  no 81)


2 .Imam shafai


"meri baat jo nabi s.a.w.w ki sahi hadees k khilaf ho chordo pas nabi s.a.w.w. ki hadees sabse behtar hai aur meri taqleed na karo..


(adab ul shafaai wa munaqaba li ibne abi hatim page no 51)


3 .Imam ahmed


"meri taqleed na karna aur na malik ki aur na ozai ki aur na ibraheem naqai ki aur na kisi aur ki taqleed karna aur ahkam wo waahan se lo jahan se inho ne liye hai .. yani kitaab o sunnat se..


(masail abi daood page no 277 , hujjat ul balagah vol 1 page 157 , meezan al shuraani vol 1 page no 76)


8- Kia taqleed e shakhsi per ijmah hwa hai?


Ans:  taqleed e shaksi per ijmah nae hwa hai balke itibah e rasool per tamam sahaba karam r.a ka ijmah hai


9-In charo imam se pehle log kis ki taqleed krte thay?


In charo imamo se pehle log kitab o sunnat per amal karte thay kisi kisam ki taqleed nae krte thay


10-Is ayat ka mafhoom o tarjuma kia hai surah nehl ayat no 43 , surah al ambia ayat n0 7 ???


yaani ulmaa 2  لَا تَعْلَمُوْنَ   

yaani awaam   Awaam per lazim hai k ulmaa se 2 sharto per masail poche..

1.  Wo quran aur hadees per amal karne wala alim ho , ahle taqleed main se na ho..

2.  isay ye poicha jaye k mijhe quran o hadees se masla bataye ya rasool ALLAH s.a.w.w. ka hukm bataye.. kyunk agli ayat main wazahat hai k  بِالْبَيِّنٰتِ وَالزُّبُرِ


tarjuma: “daleelo aur kitabo k sath” masla pocha jaye… aami ka alim ki taraf rujooh karna taqleed nahin hai.. jaisa k upar wazahat ho chuki hai…

11-taqleed e shaksi main shirk kab hota hai?


Ans: taqleed main shirk tab hota hai jab ALLAH aur uske rasool s.a. w.w k ilawa kisi aur ki baat ko ahmiat di jaye

jaisa k yahood o nisara ne kia.

“In logo ne ALLAH ko chor ker apne alimo aur darwesho ko rab bana lia hai”

surah toba 31

“hz adi bin hatim kehte hai k maine nabi sws se ye ayat sun ker arz kia k yahod o nisara ne to apne ulma ki kabhi ibadat nae ki phr ye q kaha gaya k unho ne inko rab bana lia? Ap s.a.w.w ne farmaya ye theek hai k inho ne inki ibadat nae ki. lekin ye baat to hai k inke ulma ne jisko halal qarar dia usko inho ne halal aur jisko haram qarar dia usko haram samjha. yehi inki ibadat hai”

jamah tirmizi kitab ul tafseer surah toba hadees no 1018


12- Ayat  ۡ وَّاتَّبِعْ سَبِيْلَ مَنْ اَنَابَ اِلَيَّ    surah luqman ayat no 15 ka tarjuma aur mafhoom kia hai?


Ans:    tarjuma:  “aur itibah ker uske raste ki jisne meri taraf rujooh kia”…

mafhoom: itibah ki 2 types hai

1. Itibah ba daleel

2.Itibah bay daleel





Yahan itibah ba daleel se muraad hai jo k taqleed nahin hai

ye dawa karna k luqman a.s ne apne bête ko gair nabi ki, bay daleel ankhein band karke andha dhundh taqleed ka hukm dia hai.

intihai batil aur jhooti baat hai…

imam ibne kaseer is ayat ki tashreeh main likhte hai yaani al momineen yani tamam momineen k raste ki itibah ker

(tafser ibne kaser 106/5)


13. يٰٓاَيُّھَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اَطِيْعُوا اللّٰهَ وَاَطِيْعُوا الرَّسُوْلَ وَاُولِي الْاَمْرِ مِنْكُمْ ۚ فَاِنْ تَنَازَعْتُمْ فِيْ شَيْءٍ فَرُدُّوْهُ اِلَى اللّٰهِ وَالرَّسُوْلِ اِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ  وَالْيَوْمِ الْاٰخِرِ ۭ ذٰلِكَ خَيْرٌ وَّاَحْسَنُ تَاْوِيْلًا  59 ؀ۧ    surah nisa ayat no 59 ka tarjuma aur mafhoom kia hai?


ANs:

Tarjuma:“aey emaan walo ALLAH ki ataat karo aur rasool ki ataat karo aur ulul amar ki ataat karo pas agar kisi chez main tumhara tanaziah hojaye to isay ALLAH aur iske rasool sws ki taraf lay jao agar tum ALLAH aur akhirat per emaan rakhte ho, ye behtar aur acha tarika hai”



Mafhoom: is ayat main ulul amar se muraad 2 groh hai..

1 .umara( tamam umraa)

2. ulmaa( tamam ulmaa)

Tamam ulma ki ba daleel ataat ka matlab ijmah per amal hai..

lihaza isay taqleed sabit nae hoe, ayat k dusre hisay main saaf zahir hai k taqleed haram hai…

kyunk tamam ikhtilafat aur tanaziat main kisi alim ya fikha ki taraf rujooh karne ka hukm nae balke sirf ALLAH aur uske rasool s.a.w.w ki taraf rujooh karne ka hi hukm hai


14... ……. يَوْمَ نَدْعُوْا كُلَّ اُنَاسٍۢ بِاِمَامِهِمْ ۚ فَمَنْ اُوْتِيَ كِتٰبَهٗ بِيَمِيْنِهٖ فَاُولٰۗىِٕكَ يَقْرَءُوْنَ    كِتٰبَهُمْ وَلَا يُظْلَمُوْنَ فَتِيْلًا    71 ؀    surah bani israel ayat no 71 ka tarjuma aur mafhoom kia hai???


Ans:

Tarjuma:  “jis din hum her jamaat ko is ke peshwa samaet bulaenge.. phir phir jinka bhi amaal nama daye hath main day dia gaya wo to shoq se apna amaal nama parhne lagay gay… aur dhagay k baraber bhi zulm na kiye jaenge”….


Mafhoom: is ayat main lafz  بِاِمَامِهِمْ afz hai isay muraad nama e amaal hai.. iski wazahat surah yaseen ayat no 12 main hai…

agar isay muraad imam hi hai to ismein ahle hadeeso ki hi fazilat hai qk tafseer ibne kaseer main imam kaseer farmatay hai:

Baaz salf ka qol hai k ismein ahle hadees ki bht bari buzurgi hai isliye qk inke imam “imam ul ambia Muhammad s.a.w.w” hai..

Sayedna Abdullah bin masood r.a ne farmaya: “tum apne deen main logo ki taqleed na karo”

(alsunan alkubra lil behki 10/2)



مروی ہے کہ ہم نے رسول اللہ
ابوسعید عبداللہ بنسعید، ابوخالد احمر، مجالد، شعبی حضرت جابر بن عبداللہ سے صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے پاس تھے کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے ایک لکیر کھینچی دو لکیریں اس لکیر کی دائیں جانب اور کھینچی دو لکیریں اس لکیر کی بائیں جانب پھر رکھنا اپنا ہاتھ درمیان والی لکیر پر اور فرمایا یہ اللہ کا راستہ ہے پھر آپ نے یہ آیت پڑھی، میرے راستہ سیدھا پاس اتباع کرو اس کی اور نہ پیروی کرو ایسے راستوں کی جو جدا کر دیں تمہیں اس کے راستے سے


(Sunan ibne majah vol 1)






11 .. baab sunnat ki pervi ka bayan. .  


Is hadees se saaf zahir hojata hai k ap s.a.w.w ne 4 imamo ki taqleed ko mana farmaya hai aur sirf apne seedhe raste per chalne ka hukm dia hai..


ALLAH tala ne 10 hijri ko hujjat ul widah k moqay per apna deen mukamal kardia ..

takmeel e deen k 70 saal baad imam abu hanifa, 83 saal k baaad imam malik, 140 saal k baad imam shafaai aur i54 saal k baad imam ahmed bin hambal rehmatullah elieh paeda hway…

agar aj hum kisi imam , maslak ya firqay se wabistigi k bagair musalaman nahin ban sakte to chothi sadi hijri se pehle k musalmano ko kia kahenge??


Hamein chayie k kisi bhi alim ya mufti ya imam ki taqleed k bajaye ALLAH aur uske rasool s.a.w.w ki ataat aur itibah karay jaisa k quran kareem main hukm hai.

aur taqleed jaise biddat aur shirk jaise amal ko chor ker sirf quran aur sahi ahadees ko hi apna emaan banaye.

qk yehi hukm quran ka hai yehi farman rasool ALLAH s.a. w.w ka hai aur yehi tarika nabi k pyaray sahaba r.a ka hai.




ALLAH hum sabko hidayat de aur seedhe raste per chalne ki taufeeq aur himmat de…  

JAZAKALLAH