Friday, November 4, 2011

BARELWI TALEEM(EDUCATION) (ALLAMA EHSAN ILAHI ZAHEER RH)




Bismillahirrahmanirraheem



BARELWI TAALIMAAT(EDUCATION)




Jis tarah barelwi hazraat ke quran ke khilaaf khaas aqeede hain usi tarah unki kuch khaas taalimat bhi hain jo khaane peene aur kamaane ke gird ghoomti hain,

barelwi mazhab me zyadatar masle sirf isliye gade gaye hain ki uske zariye seedhe saadhe logon ko apne jaal me phaanskar khaane peene ka silsila jaari rakha jaaye,

barelwi mullaon ne naye naye masle gadh kar deen ko aisi faayede waali tijaarat bana liya hai jisme paisa lagaane ki bhi zaroorat nahi.

Barelwi hazraat ne majaaron ko banaane ka huqm diya aur khud unke darbaan aur mujawar ban gaye. Nazar wa niyaaj ke naam par jaahil logon ne daulat ka dher laga diye, unhone is sametna shuru kiya aur unka shumaar bade bade jageerdaaron, maaldaaron me hone laga,

ghareebon ka khoon choos chooskar buzurgon ke naam par nazar o niyaaz par palne waale log deen ke tijarati(businessmen) aur duniya Ke pujaari hain, koi bhi samaaj us waqt tak islaami ne kahla sakta jab tak we tawheed bari taala ki azmat se sahmat na hon,

hind wa paak me jab tak shirk wa bidat ke ye centre aur inko chalaane waale gairat wa izzat se mahroom mujawar maujood hain us waqt tak sahi islaami shariah ko laagu(nafez) karne ka sapna poora nahi ho sakta


mureedon ke zebon(pockets) par nazar rakhne waale ye duniya ke bhooke(hungary) peer jab tak insan ko insaan ki ghulami ka sabak padhaate rahenge us waqt tak hamara samaj tawheed ki shaan o shaukat se sadawaar nahi ho sakta aur jab tak kisi samaaj me tawheed ki taaleem par amal na kiye jaayen us waqt tak kufr wa be-deeni ka muqaabla nahi ho sakta


la-deeniyat ke sailaab ko rokne ke liye ki ghulaami ki zanzeeron ko tukde karna hoga aur samaaj ke logon ko tawheed ka sabaq dena hoga,

" allah hu " ki dhun par sar hilaana, qawwali ke naam par dhol taashon ki thaap par naachna, Nachte hue aur jahilaana harqaten karte karte daaman failakar maangte hue aur sabz chaadar ke kone pakadkar haath failaana, mazaaron par chadhaawe ke liye jaana, be huda kisse kahaniyon ko karamaton ka naam dena, khaane peene ke liye roz nayi rasmo ka nikaalna.

Nayi peedhi (modern society) sochta hai ki agar isi ka naam mazhab hai to wah la deeniyat wa naastikta(jo allah ko na maane) wa secularism ke khoobsurat jaal ka shikaar ban jaata hai,

bura ho in mullaon aur peeron ka jo deen ka naam lekar duniya ke dhandon me magan rahte aur allah ke buniyadi huqooq ki nafarmani karte hain,

yah qabarparasti ki laanat, yah saalaana urs aur mele yah 11wi, kul aur 40we, inka islam se koi talluq nahi,saari duniya ki daulat ko jama karne ke tareeqe hain magar kaun samjhaaye in peeron wa mashaikheene tariqat ko,

ye logon ki aankhon par patti baandhkar duniya me bhi apna muh kaala kar rahe hain aur apni aakhirat Ko bhi barbaad kar rahe hain


jo log isko rokne aur in harqaton se maana karte hain unko wahabi,aur awliya e kiram ka gustakh kahkar badnaam kiya jaata hai, inki kitaabon ko dekhna aur unke saath uthna baithna jurm qaraar de diya jaata hai

(fatawa rizwiya 6-54,5-89)


aisa na ho ki log unke waaz wa nasihat se mutmayyin hokar seedhe raaste par aa jaayen aur unki dukaandaari khatre me padh jaaye


BY: ALLAMA AHSAN ILAHI ZAHEER SHAHEED (RH)