Friday, November 4, 2011

KAAFIR KE HUQOOQ

Bismillahirrahmanirraheem



KAAFIR KE HUQOOQ(RIGHTS)



jo log kaafir ka matlab nahi jaante we kaafir lafz ko ek gaali samjhte hain, iski sacchai ko janne ke liye zaroori hai ki ham iske matlab ko jaane


kafir lafz kufr se bana hai, jiska maana hai: chhipaana, inkaar karna, kyonki kafir ya murtad apni aksariyat ko chhipaata hai aur uska inkaar karta hai isliye use kaafir kaha hai, hindi me isko naastik bhi kaha jaata hai


hadith me aaya hai:

" har shakhs apni aksariyat(naturallity) par paida kiya jaata hai, phir uske maa, baap usko isaayi bana lete hain ya yahudi bana lete hain ya majoosi(mushrik) bana lete hain"

(bukhari 1359, muslim 2658)


yahan aksariyat se muraad tawheed (allah ko ek jaanna) hai jiski taraf islam bulaata hai, balki islam hi wah cheez hai jispar baccha paida hota hai, phir uske maa, baap mukhtalif dharm(religion ) par hote hain waisa hi baccha ban jaata hai,


Kaafir ya to Musalmano ke mulk me hoga, ya musalman us mulk me honge jahan zyadatar log gair muslim hone, dono haalaaton me kaafir ki jaan uske maal aur uski maal ki hifazat karna musalmanon par zaroori hai

ek sahih hadith me aata hai:-" jisne kisi zimmi (gair muslim jo muslim mulk me rah raha ho) ko qatl kiya jannat uske liye haraam hai"

balki quran me bhi bata diya gaya hai


"allah tumko isse nahi rokta ki tum un logon ke saath accha sulook karo, aur unke saath haq baat karo jinhone tumse deen ke maamle me jung nahi kiya, aur na tumhe tumhare apne gharon se nikaala, beshak allah haq ka faisla karnewaalon ko pasand karta hai"

(surah mumtahina 8)


isliye ki musalman na to gair muslim ke dushman hain aur na saare gair muslim musalmano ke dushman hai, musalmano ka farz hai ki we jis mulk me rahen uske tarakki(developement) ki taraf poora dhyan den aur badh-chadhkar hissa len aur sabse badi baat yah hai ki musalman Allah ke deen islam ke pairokaar hai, isliye unko chahiye ki apne bartaao se aur apni zabaan se we islam ka sahih ilm pesh karen

quran me hai

" tum ek bahtar ummat ho, tumko logon ke saamne laaya gaya hai, tum bhalai ka huqm dete ho, aur buraayi se rokte ho, aur allah par imaan laate ho"

(aale e imran 110)