Sunday, June 22, 2014

KYA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI??



KYA NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI??
 
Yeh Janne se pahle ke Aima ka raajeh mauqif kya hai in baaon par ghaur farmalein:
 
1) KYA NABI KAREEM SAW NE ME'RAAJ WAALI RAAT ALLAH RABBUL IZZAT KO DEKHA?
 
2) KYA NABI KAREEM SAW NE HAAL-E-KHAWAAB ME ALLAH TA'AL KO DEKHA?
 
3) KYA DUNIYA ME ALLAH TA'ALA KO DEKHA JAA SAKTA HAI?
 
1) ME'RAAJ WAALI RAAT DEEDAAR-E-ILAAHI:
 
 Me'raaj waali raat nabi kareem saw ne duniya ki zaahiri aankh se deedar-e-ilaahi nahi kiya,
jaisa ke
 
a) Sayyadna Abu Zar Giffari rz bayan karte hain:
 
"main ne Rasul Allah sallallahu alaihi wasallam se sawal kiya:
 
Kya aapne ne apne Rabb ko dekha?
 
farmaya: wo to Noor hai, main ise kaise dekh sakta hun.
 
(Sahih Muslim: 1/99, H: 178)
 
sahih Muslim ki is riwayat me RAAYAT NOORA ke alfaaz bhi hain jinka matlab bayan karte he
IMAM IBN HIBBAN ra. farmate hain:
 
iska matlab hai Aap saw ne Apne Rabb ko nahi dekha balke makhlookh (farishto) ke nooron me se ek buland noor dekha tha.
 
(sahih IBn Hibban, tahet-e-hadees: 5)
 
b) Sayyada Aaisha rz farmatin hain:
 
JO AAPKO YE BAYAN KARE KE MOHAMMED SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE APNE RABB KO DEKHA THA WO JHOOT BOLTA HAI:
 
(sahihh Bukhari: 2/720, H. 4855, Sahih Muslim: 1/98, H: 177)
 
sayadna IBN Abbas Rz ka qaul hai:
 
"yaqeenan Allah ta'ala ko nabi kareem sallallahu alaihi wasallam ne dekha hai:
 
(sunan tirmizi: 3280, wa qala hasan, sunnat ibn abi asim: 1/19, tafsire tabri 27/52, kitabut tawheed ibn khuzaima: 1/490 wa sanad hasan)
 
IS QAUL KE BAARE ME Shaikhul islam ibn taimiya raz farmate hain:
 
darasal ye ta'arruz nahi hai kyunki Sayadna ibn Abbas rz ne ye nahi farmaya ke nabi kareem saw ne Allah ko apne Sar waali do aankho se dekha hai"
 
(aijtema jiyoshul islamiya ibn qayyim: page 48)
 
aur farmate hain:
 
koi daleel aisi nahi jiska ye taqaza ho ke Aap saw ne Allah ta'ala ko Apni Aankho se dekha hai: na ye sahaba kiram me se kisi se saabit hai na kitab wa sunnat me koi aisi daleel hai. iske bar-aks sahihh nusus iski nafi me ziyadah waaze hai.
 
(majmual fatawa ibn taimiya: 6/509,510)
 
HAAFIZ IBN KASIR RA FARMATE HIAN;
 
Nabi kareem saw ke Allah ko dekhne ke baare me jo kuch manqool hai wo na nabi kareem saw se saabi hai na sahaba kiram rz se:
 
(al fusul fi sirat rasul: p. 268)
 
nez farmate hain:
 
Sayadna IBn Abbas rz se ek riwaya hai ke unhone Nabi Kareem saw ke Allah ko dekhne ke lafz istemaal farmaye hain: unki ye baad dil ke saath dekhne se muqayyid ki jaayegi.
jis ne aankho ke saath dekhne wali riwayat bayan ki hai us ne munkir baat ki hai kyunki is baare me sahaba kiram se kuch saabit nahi:
 
(tafsir ibn kaseer: 6/23-24)
 
IMAM IBN ABI IZZA HANFI RA. is baare me farmate hian:
 
sahih baat ye hai ke nabi kareem saw ne Allah ta'ala ko Apne dil ke saath dekha tha, sar ki aankh se nahi dekha:
 
farmane-e-baare ta'ala "MA KAZABA ALFUADU MA RAA'YA (NAJM 53:11) DIL NE JO DEKHA THA USE JHUTLAYA NAHI,
WALAQAD RAAHU NAZLATAN UKHRA
 
(NAJM 53: 13)
 
(YAQINAN AAP SAW NE USE DUSRI DAFA DEKH THA) KE baare me nabi saw se sahih saabit hai ke yahan jis cheez ko dekhne ka zikr hai wo Jibrail as. hain: Aap saw ne JIbrail as ko 2 dafa unki soorat me dekha hai jis me wo paida kiye gaiye the:
 
(sharah aqeeda tahawiya ibn abil izz hanfi: 1/275)
 
aur likhte hain:
 
lekin nabi kareem saw ke Allah ta'ala ko Apne sar ki Aankh k saath dekhne ke bare me ki dalil nahi milti, Albatta Aap saw ke Allah ta'ala ko na dekhne ke baare me dalaail milte hain"
 
((sharah aqeeda tahawiya ibn abil izz hanfi: 1/222)
 
IBN HAJAR RA. LIKHTE HIAN:
 
sayadna ibn Abbas rz se kuch riwayat mutlaq aai hain aur kuch muqayyid.
zaruri hai ke mutlaq riwayat ko muqayyid riwayat par mahmul kiya jayee...
 
yun sayadna ibn abbas rz ke asbaat aur sayada aaisha rz ki nafi me is tarah tatbeeq mumkin hai ke sayada aaisha rz ki nafi aankhon ki ru'yat par mahmul kiya jaye aur sayadna ibn abbas rz ke asbaat ko dil ki ru'yat apr mahmul kiya jaaye.
 
Phir dil ke dekhne se dekhna hi muraat hai na ke sirf janna, kyunkii nabi kareem saw hamesha Allah ko jaante the. jinhone nabi akram saw ke liye dil ke saath Allah ko dekhne ka asbaat kiya hai unki muraat ye hai ke jis tarah Aam logo ki Aankh me ru'yat paida ki jaati hai aise hi ap saw ke dil mu ru'yat paida ki gai.
 
aqli taur par ru'yat ke liye koi khaas shart nahi agarcha aadat ye hai ke ye aankh me hi paida hoti hai.
 
(fatahul baari ibn hajar: 8/484)
 
======
FAAIDA:
======
 
farmane baari
surah najm53: 10)
 
pas wo (nabi kareem saw) do kamaano ke darmiyani fasle par tha ya is se bhi qareeb. phir usne uske bande ki taraf wo wahi ki jo usne wahi ki thi(
se muraat jibrail as hain.
 
jaise ke hafiz ibn kaseer ra likhte hain:
 
yani jab jibrail as MOhammmed saw par zameen ki taraf utre to itne qareeb hue ke JIbrail as aur Mohammed saw ke darmiyan do kamano ke darmiyan faasle jitna fasla bhi na raha.
 
(tafseer ibn kaseer 6/22, ba tahqiq abdur razaq mahdi)
 
aur likhte hain:
 
isi tarah ye ayat (53:9) (yani yahan jibrail as muraad hai)
 
aur hum ne jo kaha ke Mohammed saw ke bahot ziyadah qareeb hone waale jibrail as hi the to ye Ummul mominin Sayada aaisha rz , Sayadna Abdullah ibn Masood rz, sayadna Abu zar rz aur Sayadna Abu hurairah rz ka farman hai"
 
(tafseer ibn kaseer: 6/32)
 
farman baari ta'ala hai:
 
(surah najm53: ayat 9-10) ki tafsir me sayadna Abdullah ibn masood raz farmate hain:
 
"Is se muraad JIbrail as hain"
 
(sahih Bukhari: 2/720: H: 4856, Sahih Muslim: 1/97: H: 174)
 
HAASIL KALAAM YE HAI KE sayda Aisha rz ne jis ru'yat ki nafi ki hai, iska talluk duniya ki zahiri aankh se hai, yani unke mutabiq wo shaks jhoota hai jo ye da'awa karta hai ke rasul saw ne Allah ko apni zahiri aankho se dekha hai:
 
sayadna ibn abbas rz jis dekhne ko saabit karte hain wo dil se dekhna hai,
is tarah don aqwaal me tatbeeq ho jati hai. jo log zahiri aankh se rasul saw ka Allah ko dekhna saabit karte hain unka qaul marjoo hai.
 
======
FAIDA:
======
 
farmane baari ta'ala (surah najm 53 ayat 10) ke baare me
 
Hafiz ibn kaseer ra farmate hain:
 
iska maani ye hai ke jibrail as ne Allah ke bande Mohammed saw ki taraf jo wahi karna thi kardi ya Allah ne Apne bande Mohammed saw ki
taraf jo wahi karna thi, jibrail ke waaste se kardi, ye dono maani durust hain:
 
(tafseer ibn kaseer: 6/23)
 
========
AL-HAASIL:
========
 
NABI AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE ME'RAJ WALI RAAT ALLAH KO NAHI DEKHA. ISKE KHILAF KUCH SAABIT NAHI.
2)
 
=======================================
NABI KAREEM SAW KA HAALAT-E-NEEND ME DEEDAR-E-ILAAHI:
========================================
 
aima ahle sunnat is baat ke qail hain nabi akram saw ne haalat-e-neend me Allah ta'ala ko dekha hai.
 
sayadna mu'aaz bin Jabal rz se riwayat hai ke ek din Namaz-e-subh ke baad rasul saw ne apne khawaab bayan karte hue farmaya:
 
"Achanak Maine Apne Rabb ko haseen tareen soorat me dekha'
 
(masnad imam ahmed 5/243 sanad sahih)
 
shaikhul islam ibn taimiya rh is bare me farmate hain:
 
ye dekhna me'raj wale waqiye me nahi balke madina munawwarah me tha jab aap saw subah ki namaz me aane se late ho gaye the.
 
phir aap saw ne sahaba kiram rz ko is raat Allah ko neend me dekhne ke baare me bataya.
isi bina par imam ahmed rh ne farmaya ke Rasul saw ne Zarur Allah ko dekha hai kyunki ambiya-e-kiram ke khawaab yaqinan wahih hote hian:
 
(zaadul maad ibn qayyim 3/37)
 
aur farmate hain:
 
malum hua ke ye waqiya madina munawarah me neend ke dauran ka hai, meraj ki raat bedaari ka nahi.
 
(majmual fatawa 3/387, 388)
3)
 
================================
KISI NE DUNIYA ME ALLAH TA'ALA KO NAHI DEKHA:
================================
 
kisi ne Duniya me Allah ta'ala ko nahi dekha:
ye ahle sunnat wal jamat ka ittefaaqi wa ijmaai aqeeda hai.
jaisa ke IMAM USMAN BIN SAYEED DARMI RA. farmate hain:
 
"tamam aima kiram yahi kahte hain ke Allah ko duniya me na dekha gaya na duniya me ise dekha ja sake ga.
 
(al radd alal jahmiya lil darmi: 124)
 
shaikhul islam ibn taimiya r. farmate hain:
 
Musalmano ka is baat par ittefaaq hai ke nabi akram saw ne zameen me apni aankho se Allah ko nahi dekha:
 
(majmual fatawa ibn taimiya: 3/388)
 
Imam ibn Abil Izz hanfi ra likhte hain:
Ummate muslima is baat par ittefaaq ki.....

MOLWI MUHAMMAD HUSSAIN BATALWI (RH) KA MALLIKA VICTORIA (QUEEN OF BRITAIN) SE AHLE HADITH NAAM ALLOT KARWAANE KI WAJAH





 Bismillahirrahmanirraheen



WAHABI TAHREEK KOI DEENI TAHREEK  NAHI  THI, YE EK JIHADI TAHREEK THI JISME HANAFI, BARELWI, MUNKIREEN E HADITH KE BAAZ AFRAAD SHAMIL THEY AUR BAAZ NAHIN


HINDI WAHABI:

Janab Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Hanafi Ul Maslak They Aur Inke Kai Ek Ke Baad Ek Khulefa Hone Waale Unke Kai Jaanasheen Bhi HANAFI maslak They,

Yani Ye Sab Hanafi Wahabi They....

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Jamat Mujaahideen Me Janab Shah Ismael shaheed (Rh) Ki Wajah Se Kuch Log Aamil Bil'hadith Bhi They, Lekin Unka Tanaasab Ahnaaf Se Bahut Kam Tha,

Iska Ek Saboot Janab Malwi Sayyed Nasiruddeen (Rh) Damaad Shah Ishaaq Dehlawi (Rh) Ki Imaarat Ke Zamaane Me Saamne Aata Hai,

Iski Tafseel Yun Hai Ke 1834 Me Sayyed Naseerudeen (Rh) Ne Delhi Aur Uske Girdo Nawah Me Tableegh Ka Kaam Karke Mujaahideen Ki Ek Jamaat Faraaham Kar Li Toh Delhi Me Unko Jamaat Ka Ameer Muqarrar Kar Diya Gaya,

Iske Baad Janab Naseeruddeen (Rh) Ne Androon Hind Kai Jagah Apne Nayab Muqarrar Kar Diye, Aur Kai Jagah Puraane Kaarkuno Se Kaam Liya Aur Josh Dilaa Kar Unhe Dobara Jihaad Ki Sar'garmion Me Mashgool Kar Diya,

Phir Mujaahideen E Hind Ki Ek Jamaat LEKAR zil Hijjah 1250 Hijri (1835 CE) Ke Maheene Me Markaz Mujaahideen Sarhad Ki Taraf Rawaana Hue Aur Shikaar'pur Hote Hue 1840 CE Ke Shuru Me Sthaana Pahunch Gaye,

Jahan Ahle E Sthaana Ne Bhi Aapko Apna Ameer Muntakhab Kar Liya,

Chand Maheene Baad Kisi Ne Dhoka Se Unhe Zehar Dekar Shaheed Kar Diya..

(Note: IsKe Baad Sayyed Abdul Raheem, Ameer Muqarrar Hue Jo June 1841 Tak Rahe, Bila'aakhir Azaama'badi Khaandaam Ke Janab Wilaayat Ali (Rh) Ne Tahreek Ki Zamaam'kaar Sambhaali)

Sayyed Naseeruddeen (Rh) Ne Jamat Mujaahideen Ki Tanzeem Nau Ke Dauraan Saare Hindustan Me Ulema Wa Akaabireen Ko Tableeghi Wa Dawaati Khatoot Likhe; Jinhe Aa'aalam Naame Kaha JaaTa Hai,
In Elaam Naamon Ke Mad'owin Ki Tadaad 100 Se Zyada Hai Aur Inke Naam Janab Ghulam Rasool Mehar (Rh) Ne (ghulam ali and sons lahore page 164-166 )Sar'ghujistah Mujaahieen Me Darj Kar Diye Hain, Jo Zel Me Naqal Kiye Jaate Hai


1-Molwi Muhammad Siraajuddeem

Aur Dusre Mukhlis Deen'daar Wa Saakinaan Ajmer


Molwi Khaleelurrahman, Inke Farzand Aur Bhai, Molwi Bahadur Ali, Sayyed Hameeduddeen, Sayyed Muhammad Yaqoob, Sayyed Zainul Aabideen, Sayyed Abul Qasim,


Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Tonk,


Shah Ishaaq, Shah Yaqoob, Molwi Karaamat Ali, Molwi Mahboob Ali, Molwi Naseeruddeen, Molwi Muzaffar Hussain, Molwi Sheikh Muhammad, Hazi Muhammad, Haji Muzammail, mOlwi Hafiz Muhammad Hussain, Mowi Karamullah, Molwi Ilaahi Bakhs, Molwi Jamaludeen,


Hafiz Abdul Rahman, Molwi Muhammad Wazeer Ali ; Mushi Ezd Bakhs, Ameeruddeen, Ameenuddeen, Hafiz Abdul Razzaq, Mowi Abdullah, Molwi Ali Muhammad, Molwi Khurram Ali Bahawal Puri, Molwi Mahmood Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Sayyed Aulaad Hasan, Molwi Bahauddeen, Molwi Abdul Khaliq, Molwi Imam Ali, Hafiz Kiraamuddeen, Molwi Shah Ali, Molwi Abdullah Khan Alwi, Basharat Khan,

Molwi Abdul Majeed, Qari Ahmad Zaman, Hafiz Chhajju Beig, Hafiz Ahmad Khan, Azeem Ullah Khan , Mirza Ayyub Beig, Miyan Ahmad, Miyan Nijabat Ali,

Qazi Abdul Rahman Arab Saraaye Wale, Miyan Ghulaam Mohiudeen, Hafiz Wali Muhammad, Miyan Ruknuddeen, Miyan Ilaahi Bakh Aainah Shaaz, Maolwi Imdad Ali, Molwi Nazeer Hussain muhaddis dehlawi

Nez Dusre Ulema Wa Taaliba Wa Saaleha Saakinaan Dehli..


Molwi Buzurg Ali, Molwi Inaayat Ahmad, Molwi Muhammad Muttaqi, Darogha Raaham..


Saakinaan Meerut

Molwi Wahidudeen, Molwi Khuda Bakhs, Molwi Tahwar Ali, Molwi Khairuddeen, Molwi Muneeruddeen

Molwi Ramzan Ali, Molwi Imaanat Ali, molwi Kareem ullah, Sheikh Rahman Bakhs, Soofi Sahab, Shah Ghulaam Ali, Meer Hadi,

Aur Dusre Saakinaan Amroha

Hafiz Abdul Raheem, Miyan Usman, Miyan Ji Khaleefa

Saakinaan Moradabad

Haaji Sibghat Ullah, Sheikh Muhammad Hussain,

Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Garhmukhteshwar,

Molwi Haidar Ali, Molwi Noorul Islam , Akhwan GUFRAN, Akbar Ali Khan , Shah Dil Khan, Hafiz Ahmad Ali, Murtaza Khan, Akhwand Imamudeen, Qari Sahab

Aur Dusre Saakinaan Rampur

Mirza Hasan Ali, Molwi Mahmood Ali, Molwi Makarim Khan, Molwi Sakhawat Ali (Jaunpuri), Molwi Karamat Ali (Jaunpuri)

Saakinaan Kanpur, Farrukhabad, Banda, Bareilly ; Kannauj, Jaunpur...

Molwi Ahmad Ullah, Molwi Rahmatullah, Hafiz Siddeeq,

Aur Dusre Ulema Saaleha Banaras

Sheikh Farzand Ali, Molwi Muhammad Faseeh,

Aur Dusre Ulema Saakinaan Ghazipur, Sahasram Pur, Aarah

Shah Muhammad Hussain, Molwi Wilaayat Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Aur Dusre Khulefa Sayyed Sahab Saakinaan Azeema'bad, Muzaffar'pur, Chhapra,

Molwi Muhammad Ali, Molwi Imamudeen, Molwi Muraad, Qazi Abdul Baari, Soofi Noor Muhammad, Munshi Ghulaam Rahman, Molwi Hiraasatullah, Molwi Abdullah, Mistri Rajjab Ali

Is Fehrist Par Ek Sarsari Nazar Daal Lene Se Hi Maalum Ho Jaata Hai Ke Inme Aksariyat Ahnaaf Ki Hai,

(NOTE: 1838 Me Jab Ye Elaam Naame Jaari Hue Us Waqt Sayyed Nazeer Hussain Bhi Hanafi They)

Is Fehrist Ko Naqal Karne Se Hamara Maqsood Ye Hai Ke Logon Par Ye Waazeh Ho Jaaye Ke Hanafi Wahabi Kitne They Aur Ahle Hadith Ka Wahabion Me Kitna Tanaasab Tha ???

Nez Ye Baat Bhi Waazeh Ho Jaaye Ke Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Zindagi Me Aur Unke Baad Ke Ashre Me Hanafi Bhi Wahabion Me Shamil They Aur Ahle Hadith Bhi...

Ahnaaf Aur Ahle Hadith Ke Elaawa Peer Naturi Bhi Shamil They,

Sir Sayyed Ahmad Khan Jo Peer Naturi Kahlaate They,

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Aur Shah Ismael (Rh) Ke Motqad They Aur Apne Aapko Aali Ul Elaan Wahabi Kahte They

Jaisa Ke Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Ne Likha Hai

"Suna Hai Ke Jin Dino Bengal Me Wahabiyon Ki Tahqeeqaat Aur Talaash Ho Rahi Thi Ek European Mo'azziz Afsar Se, Jo Isi Kaam Par Mamoor Tha, Rail Me Sir Sayyed Se Muth Bhedh Ho Gayi, Dono Agra Jaate They Aur Sir Sayyed Ko Kisi Zariye Se Malum Ho Gaya Tha Ke Ye Afsar Wahabion Ki Talaash Par Mamoor Hai, Us Afsar Ne Aapse Poocha Aapka Kya Mazhab Hai ??

Unhone Kaha : Wahabi Musalman Hoon,

Fir Usne Sir Sayyed Ka Saara Pata (Adderess) Daryaaft Kiya, Unhone Sahih Sahih Bayan Kar Diya "

Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Isi Kitab Me Ek Dusri Jagah Likhte Hain

" Dr Hunter Ki Kitaab Ka Review Jo Unhone 1871 Me Likha Tha........ Sir Sayed Ki Un Jaleel Ul Qadr Khidmaat Me Se Hai Jiske Shukr Se Hindustan Ke Tamam Musalman Amuman Aur Wahabi Musalman Khususan Kabhi Ohda Bar'a Nahin Ho Sakte,

Chunke Is Review Me Sir Sayyed Ne Apne Wahabi Hone Ka Iqraar Kiya Tha, Isliye Angrezon Ki Bad'ghumaani Wahabion Se Bilkul Jaati Rahi Thi"

Munshi Ghulam Nabi Marhoom Kahte Hain Ke

"Ghaliban 1871 Me Jab Mr Griffin Diputy Commissioner Lahore Ne Munshi Qader Bakhs Khan Tahsildar Ko District Police Ki Report Par Ba'mujrin Wahabiyat Zer Mu'aakhza Karke Sahab Commissioner Ke Paas Bheja Aur Colonel David Jo Us Waqt Commissioner They , Ye Malum Hua Ke Qader Bakhs Ka Wahi Mazhab Hai Jo Sir Sayed Ahmad Khan Ka Hai Toh Unhone Financial Commissioner Se Shifaarish Karke Unki Tabdeeli Kasoor Me Karwa Di "

Yahan Us Haqeeqat Ki Taraf Ishaarah Kar Dena Bhi Na'munaasib Nahin Hai Ke Na Toh Hindustan Ke Saare Hanafi, Jamat Mujaahideen Yani Syed Ahmad Ki Tahreeq Ke Shamil They, Aur Na Saare Ahle Hadith Isme Shamil They.. Aur Na hi Saare Naturi ; Wahabion Me Shamil They...

Arz Hindustan Ki Kisi Bhi Mazhabi Jamat Ke Na Toh Sab Log Wahabion Me Shamil They Aur Na Sab Unke Mukhaalif,

Ahnaaf Ka Bhi Ek Hi Tabqa Is Me Shamil Hua Aur Dusra Usse Baaher Raha...

Ahle Hadith Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Hua, Aur Dusra Isse Alag Raha,

Naturion Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Raha Aur Dusra Alag Raha...

Jab 1860 Ke Ashre Me Hukumat Ne Wahabion Ki Pakad Dhakad Shuru Kiya Toh Ahnaaf Ka Wah Tabqa Bhi Is Jamaat Se Alag Ho Gaya, Jo Pahle Isme Shamil Tha, Aur Tahreek Ka Taqreeban Saara Bojh UN logon Par Aa Raha Jo Aamil Bil Hadith They,

Janab Fazal Rasool Badayuni Ne Hind Me Jab Wahabion Ka Lafz Muta'arif Karaaya Tha Toh Sayed Ahmad Shaheed Ke Hanafi, Ahle Hadith, Aur Naturi Mota'qadeen Ke Liye Yaksa Istemal Kiya Jaata Tha,

Jab Ahnaaf Ne Tahreek Mujaahideen Se Alahedegi Akhtiyaar Kar Li Toh Unhone Wahabion Ka Label Bhi Aamileen Bil Hadith K Liye Makhsoos Kar Diya

Jab Sawaal Paida Hua Ke Agar Tum Wahabi Nahin Ho Toh Ham Wahabion Ko Kahan Talaash Karen ??

Toh Saadgi Se Kah Diya Ke

"Wahabion Ki Talaash Kaun Sa Mushkil Kaam Hai, Wah Saamne Masjid Me Chale Jaao, Jis Namazi Ko Rafulyadain Aur Aameen Bil Jaher Par Aamil Dekho Pakad Lo"

Yun Aamen Bil Jaher Aur Rafulyadain Ke Har Aamil Ko Qata'nazar Is Baat Ke Ke Wah Sayyed Ahmad Shaheed Ki Jamaat Me Shamil Tha Ya Nahin, Wahabi Mashoor Kar Diya Gaya......

(Tarikh Ahle Hadith, Sheikh Bahauddin London)


HIND KE AHLE HADITHON KA TAQABULI JAYEZA


Barre Sagheer Me Ahle Hadith Ek Mazhabi Jamaat Ka Naam RaHa Hai, Jisme Siyaasi Taur Par Mukhtaliful Aaara Log Shamil Rahen Hain, Aur Aaj Ke Daur Me Bhi Unki Ye Rosh Bar'qarar Hai,

Taqseem Hind Ke Baad, Muslim League, National Awaami Party, Awaami League, Tahreeq Istaqlaal, Pakistan Jamhoori Party, Me Ahle Hadith Jamat Ke Afraad ne Shamil Hokar Kaam Kiya Hai,

Jamat Islami Me Jaakar Bhi bahut Se Ahle Hadith Gum Hue Hain,

Isi Tarah Hindustan Me Ahle Hadith Ne Congress Me Bhi Shirqat Ki Aur Dusri Siyaasi Jamaton Me Bhi,

Taqseem Hind Ke Ma'qabl Zamaane Ne Ahle Hadith Ke Arkaan Ne Congress, Muslim League, Ahrar, Jamiat Ul Ulema, Tahreeq Khilaafat Wagerah Jamaton Me Shirqat Ki,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Wahabion Me Shamil Rahe Aur Baaz Arkaan Wahabion Ke Mukhalif Bhi Rahe ,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Me Sir Sayyed Ahmad Khan Ki Talimi Tahreek Ki Himaayat Ki Jin Me Sayyed Mehar Ali, Aur Janab Muhammad Ismael Aligarhi Shamil Hain,

Aur Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sir Sayyed Ki Tahreek Taaleem Ki Mukhaalifat Bhi Ki Jin Me Deputy Imdad Ali Qaabil E Zikr Hai,

Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sarkaari Mulaazimatein Bhi Ki Jabke Dusre Iski Mukhaalifat Karte Rahe..

Nadwa Ki Tahreek Siyaasi Na Thi, Balke Usme Bhi Ahle Hadith Na Sirf Shamil Rahe Balke Uske Baaniyon (Founders) Me Shamil Hain,

Jinme Muhammad Ibraaheem Aarwi (Rh) Aur Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Hain,

Aur Ye Baat Shayad Qaayedeen Ki Dil'chaspi Ka Ba'as Ho Ke Nadwa Ki Sar'garmion Me Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ki Shirkat Wa Shamooliyat Sayyed Nazeer Hussain Muhaddis (Rh) Ki Baraah E Raast Hidaayaat Ki Tahat Thi,

Jaisa Ke Sheikh Muhammad Hussain (Rh) Ne "Isha A Tus Sunnah Jild 16 Page 6 Ke Aakhir Me Likha Hai"

"Khaankisaar Ko Kanpur Ke Madarsha Darul Uloom Ke Dastaar Bandi Me ShamIl Hone Ka Nau'eed (invitation) Pahuncha, Aur Uske Saath Hz Sheikh Ul Qul Maulana Sayyed Muhammad Nazeer Hussain Sahab Ka Is No'eed Par Taameel Karne Ka Huqm Pahunch Gaya, Lihaaza Khaakisaar Ne Azam KanpuR Kiya, Is Taqreeb Se Ummeed Hai Allahabad, Aara, Raheemabad , Zila Darbhanga Wagerah Bhi Jaana Hoga, Jo Sahab Railway Line Par Maskan Rakhte Hon Aur Wah Milna chaahen Toh Wah Allahabad Mu'aarofat Dr Karamatullah Mulaazim Paltan No 5, Aur Aarah Mu'aarifat Molwi Abu Muhammad Ibraaheem Se Milen "

Iske Elaawa Iske Numaaya Qaayedeen Me Muhammad Younus Rais Datawali, Janab Sana Ullah Amritsari, Wagerah Nadwa Ke Baniyon Me Se Hain,

Qazi Suleman Mansoorpuri (Rh) Ek Arsha Tak Iske Ruqn Aur Mu'aawin Rahe,

Is Idaare Ke Kai Sheikh Ul Hadith Ahle Hadith Maslak Ke Haamil They,

Aur Janab Sayyed Suleman Nadwi (Rh) Bhi Janab Ashraf Ali Thanwi (Rh) Ke Zer E Asar Aane Se Pahle Ahle Hadith Hi Samjhe Jate They Jiska Shikwa Karte Hue Janab Shibli Nomani Ne ek Martaba Kaha Tha Ke

"Ajeeb Baat Hai Ke Main Hanafi Hoon Lekin Mujhse Padhne Waale Ahle Hadith Ho Jaate Hain"

Dar Ul Uloom Deoband Me Na Toh Ahle Hadith Ustaazah Ko Ba'gharz Taaleem Wa Tadrees Mulaazim Rakha Jaata Tha Aur Na Wahan Kisi Ahle Hadith Taalib E Ilm Ko Daakhila Diya Jaata Tha

NOTE: Janab Sanaullah Amritsari Jaise Chand Afraad Isse Mustasna Hain,

Lekin Iske Ba'wajood Darul Uloom Deoband Ki Ta'meer Wa Taraqqi Me Ahle Hadith Hissa Lete Rahen Hain

Algharz' Jamat e Ahle Hadith Me Siyaasi Taur Par Kai Qism Ke Log Shamil They Kyonki Jamat E Ahle Hadith Koi Ek Siyaasi Jamat Na Thi Ke Sab Ka Mauqaf Ek Hi Ho,

Ye Ek Mazhabi Jamat Thi Jiska Maqsad Kitab Wa Sunnat Ki Tarweej Tha,

1906 Me Qaayem Hone Wali "All India Ahle Hadith Conference" Bhi Koi Siyaasi Jamat Na Thi Aur Na Hi Isme Saare Ahle Hadith Shamil They,

Sheikh Muhamamd Hussain Batalwi (Rh) Aur Janab Abdul Jabbar Ghaznawi (Rh) Wagerah Isme Shamil Nahin Hue,

Nez Jo Log "All India Ahle Hadith Conference" Me Shamil Hue They Unka Siyaasi Mauqaf Bhi Ek Na Tha,

Maslan Janab Abdul Qasim Saif (Rh) Mutahhida Hinduatan Ke Haami They, Aur Siyaasi Sargarmiyon Ke Liye Unhone "Ahle Hadith League" Bana Rakhi Thi,

Nez "All India Ahle Hadith Conference" Ke Elaawah Bhi Mutahhida Hindustan Me Ahle Hadith Ki Tanzeemein Maujood Rahin JiNme Gurba Ahle Hadith, Motmar Ahle Hadith, Anjuman Ahle Hadith Punjab Shamil Hain,

Taqseem Hind Ke Baad Pakistan Me Sayyed Muhammad Dawood Ghaznawi (Rh) Ki Qiyaadat Me Markazi Jamiat E Ahle Hadith Qayam Hui, Toh Iske Saath Markazi Jamiat E Ahle Hadith Bhi Ban Gayi, Jiske Sar'parast Janab Hafiz Muhammad Abdullah Ropdi (Rh) They,

Hafiz Allama Ehsaan Ilaahi Zaheer (Rh) Ne Bhi Ek Daagh Bel Daali Thi, Jiske Sadar Janab Abdullah Sheikhul Hadith Gujranwala
Rahe, Jamiat Ghurba Ahle Hadith Bhi Shuru Hi Se Sar'garm Rahi Hai,

In Sab Tanzeemon ; Idaaron Ki Chhatri, Ahle Hadith Ka Laqab Tha..

.Hamari Is Baat Ki Wazaahat Yun Ho Sakti Hai Ke Firangi Mahli Bhi Hanafi Hain, Deobandi Bhi Hanafi Hain, Badayuni Bhi Hanafi Hain, Khairabaadi Bhi Hanafi Hain, maharawi Bhi Hanafi Hain , Barelwi Bhi Hanafi Hain,

Aur In sab Ki Chhatri Hanafi Hona Hai,,

Deobandion Me Madani Group Bhi Hanafi Hain, Thanwi Group Bhi Hanafi Hai, Sindhi Group Bhi Hanafi Hai, Tableeghi Jamat Waale Bhi Hanafi Hain, Qari Muhammad Tayyab Bhi Deobandi Hanafi They, Aur Unhe Deoband Se Be'dakahal Karaane Waale Bhi Hanafi They..

Aur In Sab Ki Chhatri, Deobandi Hanafi Hona Hai,

Yahi Baat Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Hukumat Ke Naam apni Darkhwaast Me Kahi Thi Ke

"Main Wahabi Nahin Hoon, Aamil Bil'hadith Hoon Aur Jinki Main Numaindagi Karta Hoon Unhe Wahabi Na Kaha Jaaye, Jo Wahabi Hain Unhe Wahabi Kaho, Khwaah Wah Ahle Hadith Me Se Hon, Khwaah Ahnaaf Me Se, Aur Jo Wahabi Nahin Hai Unko Aisa Mat Kaho "......


JANAB MUHAMMAD HUSSAIN BATALWI (RH) KI (BRITISH) HUKUMAT SE DARKH'KHWAAST KA JAYEZA

Taareekh Ke Mukhtalif Daur Me Aamileen Bil Hadith Ko Mukhtalif Naam Diye Jaate Rahe Hain,

Jinmese Kuch Unke Aqeedah Wa Amal Ke Lihaaz Se Durust Aur Kuch Na'durust Hain,

Maslan Ashab Ul Hadith, Ashabul Asr, Ahlul Asr, Ahle Hadith, Muhammadi, Muwahhid, Salafi, Wagerah Unke Hasab HaQ Naam Hain,

Jabke Zaahiri, Shafai, La'mazhab, Aur Wahabi Kaise Naam Zabar'dasti Unpar Chaspa Kiye Jaate Hain,

Chunke Zaahiri, Aur Shafai, Hone Ka Matlab Baaqi Fiqhi Mazhahib Ki Tarah Kam Se Kam Chauthi Sadi Hijri Ke Girdo Pesh Unka Wajood Saabit Karke Use Ek Naya Firqa Hone Ke Ilzaam Se Bari Kar Deta Hai,

Isliye Unke Zaahiri Ya Shafai Hone Ki Tardeed Ka Kaam Maukhir Karke Yahan Wahabi Ka Naam Unke Liye Ajnabi Hone Ki Wazaahat Karte Hain Kyonki Wahabiyat Nisbatan Naya Firqa Hai,

Kaha Jaata Hai Ke Pakistan, Hindustan, Bangladesh, Mayanmar, Nepal Aur Afghanistan Ke Wah Log Jo Ahle Hadith Hone Ka Daawa Karte Hain, Dar'asal Wahabi Hain Jo Najd Ke Shaikh Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Ke Maanne Waale Hain Aur Jo 13wi Sadi Hijri Me Hindustan Me Namudaar Hue Aur 14wi Sadi Hijri Ki Shuru'aat Me Hindustan Ki Bartaanwi (British) Hukumat Ko Darkhwaast Dekar Apne Liye Ahle Hadith Ka Naam Alot Karwa Kar Ahle Hadith Ban Baithe Hain,

Chunke Ek Musannif Ne Likha Hai

" Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Arkaan Ahle Hadith Ki Ek DaStakhti Darkhwaast Par Lieufinent Governor Punjab Ke Zariye Viceroy Hind Ki Khidmat Me Rawaana Kar Di, Us Darkhwaast Me Sar'fehrist Shams Ul Ulema, Miyan Nazeer Hussain Ke Dastakhat They,

Governor Punjab Ne Wah Darkhwaast (Request) Apni Taeedi Tahrir Ke Saath Government Of India Ko Bhej Di, Wahan Se Hasab Zaabta Manzoori Aa Gayi Ke Aaindah Wahaabi Ke Bajaaye Ahle Hadith Ka Lafz Istemaal Kiya Jaaye "

(Jung Azaadi 1857 Az Muhammad Ayyub Qadri)

" Isi Tarah Se CP Government Ki Tarah Se 14 July 1888 Ba'zariye Khat (Letter) Number 407,

UP Ki Taraf Se 20 July 1888 Ba'zariye Khat Number 386,

Mumbai Ki Taraf Se 14 August 1888 Khat Number 732,

Madraas Ki Taraf Se 15 August 1888, Ba'zariye Khat Number 127,

Bengal Ki Taraf Se 4 March 1890, Ba'zariye Khat Number 156, Batalwi Sahab Ko Manzoori Ki Ittela Di Gayi "

(Jung Azaadi 1857 az Muhammad Ayyub Qadiri )

Janab Muhammad Hussain Ki Darkhwaast Ki Wajah

Isha-a-Tus- Sunnah Jild 8 (1886 CE) Me Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Lafz Wahabi Ke Istemaal Na Karne Aur Apne Aur Apne Ham'khyaalon Ke Liye Puraane Laqab Ahle Hadith Ke Istemaal Kar Bahes Ki Hai,

Aur Bataya Hai Ke Sarhadi Baghawaton Me Baaz Ahle Hadithon Ki Shirqat Ya Mu'aawinat Tasleem Kar Lene Se Aam Giroh Ahle Hadith Par Ilzaam Baghaawat Qayem Na Ho Sakne Ki Wajah Ye Hai Ke Baaz Afraad Ya Chand Ash'khaas Ka Fa'al Tamam Qaum Ka Fa'al Harghiz Nahin Ho Sakta Aur Na Is Fa'al Se Jumla Ash'khaas Qaum Ya Uske Mazhab Par Ilzaam Aaid Ho Sakta Hai,

Ye Ho Toh Duniya Me Koi Qaum Mazhab Ya Ghair Mazhab Muslim Ya Ghair Muslim Baghawat Se Bari Nahin Ho Sakti,

Kyonke Har Ek Qaum Aur Har Ek Mulk Me Baaz Afraad Se Khud Hi Sultanat Ki Baghaawat Wa Bad'khwaahi Waqu Me Aa Chuki Hai, Jiske Nazaare Europe Wa Asia Me Ek Nahin Sainkdon Maujood Hain,

Aza'aan Jumla Do Chaar Nazeerein (Example) Is Muqaam Me Zikr Ki Jaati Hain

1- Mazhab Mulkon Aur Sultanaton Me Apni Hi Qaum Ke Baaz Afraad Me Dynamate Ka Silsila Jaari Hai,

2- Bahut Salaateen Europe Wa Asia Ko Unhi Ke Ham Qaum Wa Ham'mazhab Ke Ash'khaas Ne Halaaq Kiya,

4- Hamari Malika Caesar Hind Par Uske Ham'qaum Wa Ham'mazhab Logon Ne Kai Dafa Hamla Kiya,

4- Is Waqt Jo Europe Me Khaas'kar London, Ireland Wagerah Me Irish Wagerah Se Fasaad Ka Bazaar Garm Hai, Wah Apne Hi Ham Qaum Wa Ham'mazhab Ash'khaas Ke Haathon Ho Raha Hai,

In Manaazir Aur Afraadi Mukhaalifaton Ke Sabab Se In Tamaam Aqwaam Isaayi Ko Koi Shakhs Baaghi Qaumein Qaraar Nahin Deta, Balke Aaj Kal Ke Mufsideen Irish Ke Liye Tahreek Ho Rahi Hai Ke Inko Madad Ma'aash Mile Taake Wah Be'rozgaari Ke Sabab Fir Fasaad Na Karen,

Pas Ahle Hadith Ke Baaz Afraad Ki Zaati Aur Shakhsi Baghaawat Ke Sabab Poore Giroh Ahle Hadith Ko Baaghi Wa Bad'khwaah Sultanate Kyon Qaraar Diya Ja Sakta Hai ??.................. Ummeed Hai Government Hamari Dar'khwaast Ki Taraf Tawajjoh Karne Ke Waqt In Baaton Ko Pesh E Chasm Rakhegi......... Aur Apne Mulaazimon Aur Ohde'daaron Ke Naam Ba'zariye Circular Aam Aur Qata'i Huqm Nafez Karegi Ki Wah Sarkaari Tahreeraat Wa Ahkaam Me Is Giroh Ko Lafz (Wahabi) Se Mukhaatib Na Kiya Karen, Unke Puraane Laqab Ahle Hadith Se Unko Mukhaatib Kiya Karen,

Government Ne Hamari Is Dar'khwaast Ki Taraf Tawajjoh Na Di Toh Logon Me Tanaza Aur Ikhtelaaf Failega, "

(Mukhtasar Ibaarat Isha Atus Sunnah)


Toh Ye Thi Wah Haqeeqat Jiski Wajah Se Janab Muhammad Hussian Batalwi (Rh) Ne Mallika Victoriya Se DarkhWaast Ki Ke Unko Wahabi Na Samjha Jaaye Balke Puraane Naam Se Pukaara  Jaaye, Warna Us Daur Me Hanafi They Lekin Unmese Kisi Se Ye Fatawa Jaari Nahin Kiya Ke Ahle Hadith Angrez Ki Aulaad Hain Ya Naya Firqa Hai,


 Khud Hanafi Kahte Hain Ke Molana Sayyad Monazir Husain Gilani Ke Shagird Molana Qazi Mohammad Abdur Rahman M.a Usmani Likhte Hain Ke

"Ahle Hadith Ki Tahrik Bhale Hi Kuchh Thi, Kaisi Thi, Mujhe Isse Bahas Nahi Hai. Taaham Ye Manna Padega Ke ,Musalmano Me Jo Al Kitab Sunnah Padhne Aur Padhane Ka Riwaj Aaj Hai..Usme Bahut Hadd Tak isi Tahrik Ka Hath Hai.."

(Kitab Tadween E Fiqah Safa No..59 ,Ulema E Ahle Hadith Ki Khidmat Az Irshad ul haque Ashri safa no..41 )

Ek Aur Hanfi Aalim Moulvi Khalid Mehmud Sahab Deobandi Likhte Hain Ke

" Jamaat e Ahle Hadith Se Hame Tahqiqat E Hadith Me Bhale Hi Ikhtelaf Ho Lekin Is Se Koi Inkar Nahi Kiya Ja Sakta Ke ,19 vi Sadi Me Hadith Ke Jhande Unhin Logon Ne GaaDe Hain, Yahi Log Gaon Gaon Shahar Shahar Ghoom
Ghoom Ke Logon Tak Hadith E Rasool Pahunchai, Us Waqt Na Koi Beroni Imdad Hasil Thi, Ke Jiske Sahare Bari Bari Imaarten Bani Ho, Tanzime Bani Hon...Bas Ek Jazba Tha Ahle Hadith Noujawano Me Ke Hadith Ke Tarjume Liye Phirte The,
Main Sach Kahta Hoon Ke Barre Saghir (Hind Wa Paak) Me Agar
Tark e Taqleed Ki Hawa Na Chalti To Ulema E Deoband Bhi Shayad Aurangzeb Se Aage Nahi Badhte."

(fatwa alamgiri)
(Kitab .Ashare Ahle Hadith Az Moulvi Khalid Mehmud Jild No 2 Safa No.23)

Ye The Hanfiyon Ki Zubani Taarif Jo Na Chahte Bhi Hanafi Ke Munh Se Nikal Hi Jaate Hain, Lekin Mera Maqsad Ye Batana Nahi Hai

Jab Hanafi Ne Khud Aiteraf Kiya Hai Ke Hadith Ki Kitabon Ko Padhane Me Ahle Hadith Ki Den
Hai, To Phir Ye Log Ahle Hadith Se Chhidhte Kiyon Hain ?

Aakhir Kiyon Ye Ahle HadiTh Ko Badnam Karte Hain ?



Saturday, June 21, 2014

SALAT E WITR KA BAYAN -(PART-3)







Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..




part-3

**Qunut e Nazla k bayan**


Musibat wa Azmaes k waqt ki jane wale Dua ko Qunut e Nazla kahte hai , eske Masruheyat me Ulma ne Ekhtelaf keya hai,


*Imam Ahmed bin Humbal r.al or Imam Abu hanifa r.al : Witr k sewa kisi Namaz me b Qunut Masnun Nahi hai (Albatta Imam Ahmed bin Humbal r.al k Nazdek kisi Achanak aa jane wale Musibat ki wajah se Namaz Fazar me Imam Qunut kar sakta hai.)


*Imam Tirmizi r.al : Akser Ahle- Elm ese per hai (yaani ese Qoul per hai)


*Imam Malik r.al or Imam Safaii r.al : Daime Tour per Qunut karna Serf Namaz Fazar me Masnun hai.

[Al mugni (2/585), Al Mazmua (3/474) , Al Darmi (2/150) , Durr e Mukhtar (2/448) , Al mabsut (1/165) , Al Hidaya (1/52) , Al Ikhteyar (5531) , Tirmizi ( baad hadees /402) ]

*Imam Nudwi r.al : Humare Mazhab me serf Namaz Subah me Qunut jaiz hai.

[Al Mazbua (3/474) ]

*Imam ibn Qadama : kisi pess Amda Musibat k elawa kisi Namaz me v (Sewae Witr k ) Qunut Mashroo Nahi.

[Al Mugni (2/585) ]

*Ibn Qayyum r.al : Alam wa Mansaf Saks jis Insaaf ki baat k sath Mutmaeen ho sakta hai wo ye hai k Aap (s.a.w) ne Qunut ki hai Aur Tark (Chouri) v hai.(yaani Qunut karna or Chourna 2no me Ekhteyar hai)

[Raddul Mukhtar (1/272) ]

Note : Musibat wa Azmaes k Waqt Bagair kisi Namaz ki Takhses k (Tamam Namazo me) Qunut e Nazla masrooh hai.


*Imam Sukani r.al : ese k Qayal hai.

[Nel al Awta'ar (2/193) ]

*Abdul Rahman Mubarak puri r.al : ese ko Tarzeh dete hai.

[Toufa al Hauzi (2/450) ]

Es Moukuf k Dalail hasab jel hai :


1-Hazrat Anas r.a se Rewayat hai k jab Mushreken ne 70 Sahaba karam ko Qatal kar deya tou ''Nabi (s.a.w) ne Ek Ma'ah (30 day) Qunut Farmaye jisme Aap (s.a.w) un (k Qatal Musreko) per Bad-dua karte Rahe''.

[Bukhari , kitab al witr , baab al Qunut kab al ruku wa ba'ad , hadees no-1002]

2-Hazrat Anas r.a se rewayat hai k Beshaq Nabi(s.a.w) Qunut Nahi farmate the Illah k ''Jab kisi Qoum k leye Dua karte ya kisi Qoum per Baddua farmate''.

[Ibn Khuzaima (1/314)'(620) ]

3-Hazrat Anas r.a se rewayat hai k ''Namaz Nagrib Aur Namaz Fazar me Qunut ki jate the.''

[Bukhari,kitab al Azan ,baab Fajal Allah humma rabbana lakal h'md ,hadees no-798]

4-Hazrat Bara bin Azb r.a se v ese Maeene me Hadees Marwi hai.

[Ahmed (4/

285).Muslim(305),Abu daood(1441,Tirmizi(401),Nishai(2/202) ]

5-Hazrat Abu huraira r.a se rewayat hai k ''Allah ki Qasam may tumhare kareb wo Namaz Ada karuga jo Rasul Allah (s.a.w) ki Namaz hai ''Harzrat Abu Huraira r.a Zohar' Isha Aur Fazar ki Namaz me Qunut karte the' (jis me) Momino k leye Dua karte Aur Kafiro per Lanat karte the.''

[Bukhari ,kitab al Azan , hadees-797 , Ahmed (2/337) , Muslim (676) , Abu daood (1440) , Nishai (2/202) , Bahqi (2/198) ]

6-Hazrat Ibn Abbas r.a se rewayat hai k Rasul Allah(s.a.w) Mota'atir (lagatar) ek Mah (30 day) Zohar,Asr,Magri
b,Isha, or Fazar ki her Namaz me jab (Akhere Rekat me) ''Sami Allah hu lamin hamd '' kahte tou Qunut karte Aur Banu Saleem k Chand Kabilo or logo (yaani jinho ne 70 sahaba ki Qatal ki the) per Bad'Dua karte Aur Piche Muqtadi Ameen kahte''.

[Sahi Abu Daood ,kitab al Salat ,baab Al Qunut fi al salwat hadees no-1280 , Abu daood (1443) ; Ahmed (1/301) ]


En Ahadees se Malum hua hua k Hala'at k Mutabik ek Namaz me '2 Namazo me ' ya 5cho Namazo me Qunut Nazla ki ja sakte hai.


**Qunut Nazla Ruku k baad ki jate hai**


Jaisa k Hazrat Ibn Abbas r.a se rewayat hai :


''Rasul Allah (s.a.w) ne Musalsal ek Mah ruku k baad Qunut Farmaye''


[Bukhari , kitab Al magzi , baab gazwa al zeha... , hadees no-4096]


**Qunut Nazla me Muqtadi Ameen kah sakte hai**


Jaisa k ek rewayat me hai k ''(Aap (s.a.w) Qunut farmate tou) Muqtadi Ameen kahte''


[Sahi Abu daood (1280) , Abu daood (1443), HASAN ]


**Qunut Nazla me Hanth utana Sabit hai**


Hazrat Anas r.a se rewayat hai k Maine Rasul Allah (s.a.w) ko Subah ki Namaz me dekha ''Aap (s.a.w) ne apne 2no Hanth uthe Aur un (Mushrekeeno) per Bad'dua ki''


[Irwa al galil (2/181) , Ahmed (3/137) ]


Akher me ye Dua hai k , Allah paak kahne Sunne se jayada hume Amal karne ki Toufeeq de.. Aameen..
Via- Imran khan salafi 

Friday, June 20, 2014

SALAT E WITR KA BAYAN -(PART-2)






Bismillahirrahmanirraheem



SALAT E WITR KA BAYAN -(PART-2)

 


**Witr me Dua e Qunut Kab al Ruku (yaani Ruku se pahle padna Dua e Qunut) **

1-Qunut Witr ' Rasul Allah (s.a.w) se Serf Ruku se pahle Sabit hai, Jaisa k Hazrat Abi bin Kaib r.a se Rewayat hai :


''Beshaq Rasul Allah (s.a.w) Witr padte tou Ruku se pahle Qunut karte''.


[Sahi Ibn Maza hadees no-970,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-84 kitab Iqamat al salat hadees no-1182, Shaikh Albani ne sahi kaha hai]


2-Hazrat Asim bin Sabit r.a se Rewayat hai ' Farmate hai k Maine Hazrat Anas bin Malik r.a se Daryaft keya Dua e Qunut k bare me k 'Kabl al ruku padhe ya baad al ruku' tou Hazrat Anas bin Malik r.a ne Jawab me Farmaya ''Qabla'' yaani Ruku se pahle''.


[Bukhari jild-1 safa-136,kitab al witr hadees no-1002, Musnad Ahmed hadees no-12244,Sunan Al darmi kitab al salat hadees no-1548]


Es hadees se ye Baat wajeh ho gaye k us ''Qunut e Ratba'' ko Ruku se pahle padna he Hasan or Afzal hai , Dua e Qunut ruku k baad v padna Sahi hadees se sabit hai leken ye ''Qunut e Ratba'' Nahi hai , bakle wo ''Qunu e Na'azla'' hai.


**Kya? Qunut Witr Ruku k baad padhe ja sakte hai ? **


Ha Ruku k baad Qunut ki ja sakte hai (Mager Afzal Nahi hai) Jaisa k Kulfa e Arba wagaira k Amal se ye baat Sabit hai.


[Nil Al Awta'ar lil Sukani jild-2,safa-258

]

**Kya Qunut Witr ke leye Hanth Uthana Chayye ? **


kisi v Sahi hadees me Rasul Allah (s.a.w) se Qunut witr ke leye Hanth uthana Sabit Nahi hai . (Qunut e Ratba me ) Chunche Sunan Nishai me Hazrat Anas bin Malik r.a se Marwi hai Farmate hai :


''Rasul Allah (s.a.w) serf Namaz e Estiskha me Hanth Utha ker Dua karte the.''


[Sahi Nishai hadees no-1649,Sunan Nishai jild-1 safa-171 kitab al Estiskha baab kaifa ya rafu hadees no-1516 , Shaikh Albani r.al es hadees ko sahi kaha hai]


Note :


*Qunut e Ratba usko kahte hai jo hum Rojana Namaz Witr k Akher me Ruku se pahle pada karte hai.


*Qunut e Nazla usko kahte hai jab koi Hadsa pess Aa jaye tou Farz Namaz me Ruku k baad padha jata hai.


Qunut e Ratba Aur Qunut e Nazla Me 4 chizo me Fark hai :


1-Qunut e Ratba me Hanth Na uthane k Jekar hai


Aur Qunut e Na'azla me Hanth Uthane k jekar hai


2-Qunut e Ratba me Maksus Dua k Jekar hai.


Aur Qunut e Na'azla me Gair-Maksus Dua k jekar hai.


3-Qunut e Ratba me Ruku se pahle Dua e Qunut padne k jekar hai.


Aur Qunut e Na'azla me Ruku k baad k jekar hai.


4-Qunut Ratba 'Namaz Witr me khaas ,


Aur Qunut e Na'azla Farz Namazo me khaas.


Aap ager Sunan Abu Daood jild-1 safa-202 kitab Al witr ,baab Al Qunut fi al Witr hadees no-1426 me Gour farmaye ge tou kam-az-kam 3 jagah per ye Jarur melega k Qunut Witr Ruku se pahle hai Na k Ruku k baad.


**kya Dua e Qunut Ramzan k baad padna chayye?? **


Jo bhai es baat k Qayal hai k Ramzan al Mubaraq me Dua e Qunut Naserf Ramzan k baad pada jaye 'Aur Dalil me Abu daood ki 2 hadees (1428-1429) pess karte hai, jisme Naserf Ramzan k baad Qunut k jekar hai, Mager Afsos hai k wo 2no hadees Zaif hai , kuki Pahle hadees me Hazrat Abi bin kaib r.a se rewayat karne wale Baaz al sahab Mazul hai , aur Dusre hadees me ''Hasan Basri r.al Aur Hazrat Umar bin khattab r.a k Darmiyan Sanad me Inqita hai , Es leye 2no hadeeso se Estedaal Durust Nahi hai.


**Qunut e Witr ki Dua **


Hazrat hasan bin Ali r.a se Rewayat hai Farmate hai :


''Yaani mujhe Rsaul Allah (s.a.w) ne chand kalimat sekhaye jinhe may Witr me padha karta hu wo kalimat ye hai :


“Allaahumma ihdini feemanhadayta wa ‘aafini feeman‘aafayta wa tawallani feemantawallayt
a wa baarik li feemaa’tayta, wa qini sharra maqadayta , fa innaka taqdi wa layuqda ‘alayk, wa innahu laayadhillu man waalayta wa laaya’izzu man ‘aadayta,tabaarakta Rabbana wata’aalayta .''

''Wa Sallal lahu alan Nabi''


''Wa Sallal lahu alan Nabi'' padne k Sawab (Sahi ibn khuzaima 110) me Hazrat Abi bin Kaab r.a se Sabit hai, k wo Hazrat Umar bin kattab r.a k Dour me Mahe-Ramzan me Qayam al lail karte Aur Qunut me Rasul Allah (s.a.w) per Darood padte the, yaani ''Wa Sallal lahu alan Nabi'' kahte the.


''wa innahu laayadhillu man waalayta'' k Baad '' wa laaya’izzu man ‘aadayta'' k Alfaz Sunan Bahqi ki rewayat me hai.


[Sunan lil Bahqi jild-2 safa-209]


[Ref : Narrated by Abu Dawood,1213; al-Nasaa’i, 1725; classedas saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].


**Witr k Salam k baad ki Dua**


Hazrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki RasoolAllah (s.a.w) witr se salaam fer kar teen baar ye padhte- “Subhan-al Malikil Quddus” yaani paak hai Badsha 'Nehayat Paak.


[Sunan Abu Daud jild-1 safa-202, kitab al witr hadees no-1218,1430 , Ibn Hibban hadees no-677, Shaikh Albani r.al se ese sahi kaha hai]


Namaz e witr bayan..


http://m.youtube.com/watch?feature=related&v=erMIljDN2zw&rl=yes&hl=en-GB&client=mv-google&gl=IN&guid


http://m.youtube.com/watch?feature=related&rl=yes&v=iiZj1tFOyOk&client=mv-google&gl=IN&hl=en-GB&guid
Via- Imran khan salafi 

Thursday, June 19, 2014

SALAT E WITR KA BAYAN- (PART-1)






Bismillahirrahmanirraheem

 


****Salat e Witr k bayan**** Part-1
 


 **3 Rekat Namaz Witr 2 salam me**

1-Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai,Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya : ''3 Rekat witr us tarah Na Padho k Namaz Magrib ki Musabihat ho jaye''


(yaani Magrib ki Namaz ki tarah Nahi padna chaye)


[Dare-Kutni jild-2,safa-24,

Sareh Maene al asa'ar jild-1,safa-292, Sunan lil Bahki jild-3,safa-31,Hakim jild-1,safa-304, Imam Hakim r.al ne Es Hadees ko Saiken ki Sart per Sahi kaha hai Aur Imam Durekutni r.al ne es rewayat ko Seka karar deya hai.]

2-Hazrat Abdullah bin Umar r.a se Rewayat hai Farmate hai : ''Rasul Allah (s.a.w) Namaz witr ki 2 rekat me Salam se Fasla karte''


[ Ibn Hibban hadees no-678, Tahawi jild-1,hadees no-278,279, Ibn Adi jild-7,safa-255
1,Tal­­­kisk hadees no-117, Hafiz Ibn Hazar r.al ne : fatul al ba'ari jild-2,safa-386 me ese Sahi kaha hai ]

Mazkura hadees k Mahfoom ye hai k Rasul Allah (s.a.w) 3 witr es tarah padte k 2 rekat padker Salam ferte , Aur fer uth ker 3sri Rekat Alag se Ada Farmate .


**3 Rekat Witr ek Salam me jaiz hai**


Eske khilaf ek Salam me 3 rekat Namaz witr padne k v Sawab melta hai :


Chunache Hazrat Abi bin Kaib r.a se rewayat hai ,Farmate hai :


''Rasul Allah (s.a.w) Witr ki pahle Rekat me ''Sabbihis-m RabbikalAala'' dusri me ''Kul ya ayyuhulKaafiroo
n'' aur teesri me ''QulHuwallahu ahad'' ki Telawat Farmate the' Aur Akher me (ek he martaba) Salam ferte the''

[Sunan Nisai jild-1 safa-191 kitab Kayam al lail hadees no-1683, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]


Note : Esse Malum hua k Namaz e Witr ek Salam me v jaiz hai 'Mager Afzal 2 Salam me hai, baharhaal hum me se Aksar loog puri Zendagu Serf ek he Rekat Namaz witr padte Chale aa rahe hai ye Tareka Durust Nahi hai , kuki Ahadees me 5,7, aur 9 Rekat k v Sabut Melta hai , es leye humko chayye k kam se kam kavi kavi 3 or 5 Rekat v padha kare.


** 1, 3, 5, Rekay Witr ki Dallil **


Rasul Allah (s.a.w) ne Mukhtalif Ahwa'al o Waqt me Namaz Witr 1, 3, 5, 7 or 9 Rekat v padhe hai Chunache :


Hazrat Abu Ayub r.a se Rewayat hai Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya :


''Namaz witr he Musalman per Hak hai, jo 5 rekat padna chahe ' wo 5 rekat padhe ' Aur jo 3 Rekat padna chahe wo 3 Rekat padhe Aur jo 1 rekat padna chahe wo 1 Rekat padle''


[Sunan ibn Daood jild-1 safa-201 kitab al witr hadees no-1212,1422, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-84 kitab Iqamat Al salat hadees no-1180,1190, Sunan Nishai kitab Qayam al Lail hadees no-1691,1692,16
93,1694,1711, Musnad Ahmed jild-5 safa-418 hadees no-22443, Sunan al Darmi kitab Al salat hadees no-1536,1626, Shaikh Albani r.al se Sahi kaha hai]

** 7 aur 9 Rekat Namaz e Witr **


Hazrat Aisha Siddiq r.a se rewayat hai Farmate hai :


''Rasul Allah (s.a.w) 9 rekat Namaz witr padte '' 7 rekat me Attaheyat me Nahi baith te balke'' 8wi Rekat k baad ''Attaheyat me '' Baithte'' Aur Attaheyat padte fer khara ho jate Aur 9wi Rekat padte Aur ''Akhre Kaida me'' baith jate fer Attaheyat wagaira dua pad ker Salam ferte, Amirul mominnen Hazrat Aisha siddiq r.a Farmate hai : jab Rasul Allah (s.a.w) bare Umr ko pahuche ' Aur Gost varne ki wajah se jism bojal ho gaya to 7 rekat Witr padte the'' Aur Namaz witr yaani 9 rekat k Salam k baad Rasul Allah (s.a.w) baith ker 2 rekat Namaz padte the ' es tarah kul 13 Rekat hue.''


[Muslim jild-1 safa-256 kitab Al musafiren hadees no-1233 , Sunan Ibn Daood kitab al Salat hadees no-1060,1144,11
45,1147, Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no-1583,1690,1699,1700,1701,1703,1703,1705, Musnad Ahmed hadees no-23134 , Sunan Al Adrmi kitab Al salat hadees no-1439]

** 1 Tashud se 5 Rekat Witro me **


Hazrat Aisha Siddiq r.a se Rewayat hai Farmate hai :


''Rasul Allah (s.a.w) Raat me kul 13 Rekat padte ' Aur unme 5 rekat Namaz Witr padte the ' Aur un 5 rekat Witro me ' kisi v Rekat me ''Tashahud k leye'' Na baithte Mager Akher me.''


[Muslim jild-1,Safa-254
kitab Al Musafirin hadees no-737,1217, jamai Tirmizi kitab al Salat hadees no-421, Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no 1698,Sunan ibn Daood kitab Al salat hadees no-1140,1152,Sunan Al darmi kitab al salat hadees no-1535]

** 1 Raat me 1 he Witr **


1-Hazrat Talq bin Ali r.a se Rewayat hai ' Rasul Allah (s.a.w) ne Farmay :


''Yaani 1 Raat me Dobara Witr Nahi hai''


[Suana Ibn Daood jild-1 safa-203 abwab al witr hadees no-1227,1439,Ja
mai tirmizi kitab al salat hadees no-227,432,Sunan Nishai kitab al Qayam al lail hadees no-1661,1681,Musnad Ahmed jild-4safa-23, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]

2-Hazrat Abdulla bin Umr r.a se rewayat hai Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya :


''Raat me apne Akhre Namaz Witr ko banao''


[Bukhari jild-1 safa-136,kitab al jamat hadees no-943,998,Musl
im jild-1 safa-257 kitab al musafirin hadees no-751,752,Sunan Abi Daood hadees no-1438,Sunan Abu daood jild-2 hadees no-333,Musnad Ahmed jild-2 hadees no-143, sunan al Bahki jild-3,safa-34]

es leye Ager koi Saks Namaz padker soo jaye fer Raat ko pichle pahar uth ker Nawafil Ada kare wo Akher me Dobara Witr Nahi padega kuki Hazrat Talq bin Ali r.a se Rewayat hai ' Rasul Allah (s.a.w) ne Farmay :


''Yaani 1 Raat me Dobara Witr Nahi hai''


[Suana Ibn Daood jild-1 safa-203 abwab al witr hadees no-1227,1439,Ja
mai tirmizi kitab al salat hadees no-227,432,Sunan Nishai kitab al Qayam al lail hadees no-1661,1681,Musnad Ahmed jild-4safa-23, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]

**Namaz Witr k waqt **


Witr k waqt 'Namaz e Isha k baad se Tulu Fazar tak hai,Es k Dallil ye hai :


1-Hazrat Karza bin Huzaifa r.a se Marwi hai Rasul Allah (s.a.w) ne Irshad Farmaya :


''Yaani Namaz Witr k Waqt Namaz e Isha k Baad se Tulu Fazar tak hai''


[Sunan Abi Daood jild-1 safa-200 kitab al salat hadees no-1418,jamai Tirmizi jild-1 safa-60 kitab al salat hadees no -452, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-83 kitab Iqamat al salat hadees no-1168]


2-Hazrat Abu Saeed khudri r.a se Rewayat hai Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya :


''Subah se pahle Namaz e Witr Ada keya karo''


[Muslim jild-1 safa-253 kitab al musafirin hadees no-754,1253, jamai Tirmizi kitab al salat hadees no 430,467,Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no-1666,1665, Sunan Ibn Maza kitab iqamat al salat hadees no-1179,1189, Musnad Ahmed hadees no-10675,10986,
10896]

jise Andesa ho k wo Raat k akher Waqt me beda'ar nahi ho sake ga tou use chaye k wo Namaz Witr padker sooe, leken Ager wo andesa na ho tou Raat k Akher hisse me he Namaz Witr k padna Afzal hai, jaisa k hazrat Jabir bin Abdullah r.a se Rewayat hai' Rasul Allah (s.a.w) ne Irshad Farmaya :


''tum me se jise Andesa(Sak) ho k wo Raat k Akhe hissa me jaag Nahi sakega tou ' wo Awwal Sab he Namaz witr padle fer soo jaye''.


[Muslim jild-1 safa-253 kitab al musafirin hadees no-755,1255,125
2,Jamai Tirmizi kitab al salat hadees no-418,455,Sunan Ibn Maza kitab Iqamat al salat hadees no-1177,1187]
 
 
Via- Imran khan salafi

TARAAWEEH AUR TAHAJJUD ME FARQ--(PART-4)






Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahm anirraheem ..


Part-4

''Tarawi or Tahajjud me koi fark Nahi '' Aur Ahnaaf  ki Dalillo k radd unhe k Scan se...


1-Scan
https://m.facebook.com/photo.php?fbid=717929068308492&id=1000027­42173691&set=a.679747185460014.1073741836.100002742173691

1-Hazrat Anas Rdh. Farmaate Hai Ke Rasoolullah SAW (Ek Raat) Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz E (Taraveh) Padhrahe The , Mai Aaya Aur Aapke Pahelu Me Khada Hogaya , Ek Dusre Sahabi Rdh. Tashreef Laaye Wo Bhi Isi Tarah Khade Hogaye Yaha Tak Ke Hamari Ek Jamaat Ban Gayi.Nabi E Karim SAW Ne Jab Yeh Mehsoos Farmaaya Ke Hum Aap SAW Ke Peeche Khade Hogaye Yaha Tak Aap SAW Ne Namaz Ko Muqtasar Karke Khatam Kardiya Aur Apne Hujre Me Tashreef Legaaye Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi. (Saheeh Muslim : Jild 1 : 352 )

Radd:

ab ye padho khud Ahnaaf ki de hue Scan page me he kya Tarzuma keya hua hai

Hazrat Anas Rdh. Farmaate Hai Ke Rasoolullah SAW Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz padte tou me Aya Aur Aap (s.a.w) k Bazu per khara ho gaya , ek Aur Saks Aya wo v khare ho gaya, yaha tak k humari ek jamat ho gaye , jab Nabi Akram (s.a.w) ne Mahsoos keya k hum Apke piche hai tou Aap ne Namaz halki karna Suru kar de , fer Aap apne Ghar tasreef le gaye Aur ayse Namaz padhe k Humare sath Nahi padhe.''

[Sahi Muslim jild-2 , hadees no-76]

Mazeed dekhiye

1- baraket me lekha Tarawi
2- baraket me lekha Tahajjud
3- dalill galat deya  [ (Saheeh Muslim : Jild 1 : 352 ) jabke Scan me Saaf lekha hai [Sahi Muslim jild-2 , hadees no-76] ]
4- ''Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz E (Taraveh) Padhrahe The '' kya lekha hai hanfio ne Padhrahe the ager serf ''a'' laga deya jaye tou ''Padharahe the'' 
 kitne chalake or kitne makkari kar rahe hai hanfi saaf saaf es tarah nahi lekh sakte the ''pad rahe the'' leken kya lekha ''padhrahe the'' yaani Namaz e Tarawi padharahe the .... Jab k scan me saaf lekha hai ''Akele pad rahe the'' yaani Tahajjud.
 
5-''Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi'' 
es Alfaaz me v Tabdele kar deya Muqallido ne kya baat hai.. 
Jab k Unhe k Scan me Saaf lekha hai, ''fer Aap apne Ghar tasreef le gaye Aur ayse Namaz padhe k Humare sath Nahi padhe.'' yaani Apne Adhuri Naamaz Ghar per ja ker puri ki kuki eske tasdeek ese hadees me lekha hai.
 
6- ''jab Nabi Akram (s.a.w) ne Mahsoos keya k hum Apke piche hai tou Aap ne Namaz halki karna Suru kar de'' 
yaani Aap (s.a.w) ko ye khatra mahsus hua ki kahi Tahajjud ki Namaz mere es Ummat per Farz na ho jaye .. Eske tasdeek dusre Hadees Dalailat karte hai yaani gawahi dete hai es baat ki.
 
7- Saari baat Aina k tarah Saaf hai.

A) Aap (s.a.w) Namaz e Tahajjud pad Rahe the.
B) Sahaba r.a apke piche Aa khare hue.
C) Aap(s.a.w) ko eska Elm hua tou Apne Namaz Halki (Qirat mukhtasar) kar k Waha se Chale gaye.
D) fer Apne Wahi Adhuri Namaz apne Ghar per padhe..

Point to b Notet : esse yahi sabit hua k Tarawi he Tahajjud hai aur 2no ek he Namaz k 2 Naam hai. Aur es hadees se Yahi Sabit hota hai k ye hadees v hum Ahle-hadeeso k he hak me aate hai k Tarawi or Tahajjud me koi ferk Nahi. SubahanAllah.

2 Scan ...          
 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=717929874975078&id=1000027­42173691&set=a.679747185460014.1073741836.100002742173691

2. Sahabi E Rasool Hazrat Talq Bin Ali Rdh. Ka Taraveh Ke Baad Tahajjud Padhna :

Hazrat Talq Bin Ali Rdh. Ke Saaheb Saade Hazrat Qais Bin Talq Apne Waalid Ka Qissa Bayaan Karte Hai : Hazrat Qais Bin Talq Rdh. Farmaate Hai Ke (Hamare Waalid) Hazrat Talq Rdh. Bin Ali Ramzaan Ul Mubarak Me Ek Din Hamaare Paas Mulaaqaat Ke Liye Tashreef Laaye Aur Sham Tak Hamare Hi Paas Rahe Aur Yahi Rooza Iftaar Kiya.Phir Aap Rdh. Usi Raat Hume Namaz(E Taraveh ) Padhaayi Aur Witr Bhi Padhaayi , Phir Apni Masjid Ki Taraf Gaaye Aur Apne Saathiyo Ko Namaz (E Tahajjud) Padhaayi Yaha Tak Ke Witr Baaqi Reh Gaye Toh Aapne Ek Saathi Ko Aage Kardiya Aur Farmaaya : Tum Apne Saathiyo Ko Witr Padhaao Kyunke Maine Rasoolullah SAW Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Tha Ke Ek Raat Me 2 Witr Padhna Jayez Nahi.(Sunan E Abi Dawud : Jild 1 Safa 310 )

ab ye padho  ,khud Ahnaaf ki de hue Scan page me he kya Tarzuma keya hua hai
 
Hazrat Qais Bin Talq r.a se Rewayat Hai K Ramzan ul Mubarak me ek Roz hz Talq bin Ali r.a Humare pass Tasreef laye Saam tak Rahe Aur Roza Iftaar keya , fer Raat humare Sath Qayam keya Aur Namaz Witr padhe , fer wo Apne Masjid ki Taraf Chale gaye Aur Apne Sathio ko Namaz padhaaye , yaha tak k Jab Serf Namaz Witr baaki Rah gaya tou ek Aur Admi ko Aage kar k Farmaya k tum Apne sathio ko Namaz witr padhaao kuki me ne Rasulallah (s.a.w) ko Farmate hue Suna k ek raat me 2 Dafa Witr Nahi.''

[Sunan Abu Daood,jild-2,ba
ab-9,Witr k bayan,hadees no-1425,safa-534]

ye dekho kitna garbar gotala keya ahle batil ne..

1- baraket me lekha Tarawi
2- baraket me lekha Tahajjud
3- dalill galat deya 
 [ (Sunan E Abi Dawud : Jild 1 Safa 310) jab k khud Ahanaaf k ghar ki scan hai usme kya hai [Sunan Abu Daood,jild-2,ba ab-9,Witr k bayan,hadees no-1425,safa-534] ]
4-  Muqallido ne lekha hai 
''Usi Raat Hume Namaz(E Taraveh ) Padhaayi Aur Witr Bhi Padhaayi '' jabke de hue Scan me lekha hai ''fer Raat humare Sath Qayam keya Aur Namaz Witr padhe''

ab Sochne Waali baat hai Farz Namaz Nahi padhe Direct Tarawi padhe jaisa k muqallidon ne lekha hai.. 
 , yaha lafz e Tarawi Baraket me lekhna lehaza Hadees e Rasul (s.a.w) or Sahaba r.a se Mazak karna hua.. Lehaza ye lafz E Tarawi Batil hai.
 
5-''Phir Apni Masjid Ki Taraf Gaaye Aur Apne Saathiyo Ko Namaz (E Tahajjud) Padhaayi '' 
lagta hai en hanfio per Wahi Nazil hue the jo Tarawi ki Namaz ki jagah Lafz e Tahajjud lekh deya Baraket me , 
 Muqallido tumhe ye Nahi pata k Salf k Manhaz or Amal kya tha Tarawi padne k Puri Shai Sitta utha k mat padho kisi v Muhaddis ki (Imam bukhari r.al,Imam Tirmizi r.al,Imam Muslim r.al,etc) 
baab ul Tarawi me se Tarawi k waqt k tahkek karo Pata ye chalega k raat 1/3 hissa me Ye waqt Tarawi ki Namaz hai aur es hadees v yahi Sabit hota hai k pahle unhone farz Namaz or Witr padhe fer Apne Masjid ki taraf gaye or waha Namaz e tarawi Ada ki. (ye Masla Alag hai es Mozu se es leye es masle per kavi or baat hoge InshaAllah)
 
6) Sabse Aham baat Imam Abu Daood ne ye Hadees tarawi ki Baab me ku nahi bandha ? witr k bayan k Baab me ye hadees ku jikar keya? Kavi socha Fanfio ya avi v kahu k tum per Wahi Nazil hote hai 
 7-Es hadees se aur eske baab k Naam se saaf pata chalta hai k Na ye Tarawi se Talluq hai or Na he Tahajjud se es hadees k koi talluq hai. Talluq hai tou Serf Witr se talluq hai aur ager es hadees k baab k Naam padhege jo Arbi me lekha hai uska tarzuma hoga ''Ek he raat me 2 Witr Nahi'' baat ek dum Aaina ki tarah saaf hai.

paint to b Notet : esse yahi Sabit hota hai Tarawi or Tahajjid me koi ferk Nahi , Aur Ek Raat me 2 Witr ki Namaz Nahi , Aur Isha ki Farz Namaz k baad he Tarawi (Tahajjud ) ki Namaz padhe jaye,.....

 
3 Scan.. 

https://m.facebook.com/photo.php?fbid=718799374888128&id=1000027­42173691&set=a.679747185460014.1073741836.100002742173691

3. Ameer Ul Momineen Hazrat Umar Rdh. Bhi Taraveh Aur Tahajjud Ko Alag Alag Namaz Samajhte The :

Chunaanche Aap Rdh. Ne Taraveh Ki Jamaat Ko Dekhkar Logo Se Farmaaya : Wo Namaz Jisse Tum Sojaate Ho(Yaani Tahajjud) Wo Us Namaz Se Afzal Hai Jisko Tum Qayaam Kar Rahe Ho(Yaani Taraveh).(Bukha
ri : Jild 1 : Safa 299)

Radd :

ab ye padho  ,khud Ahnaaf ki de hue Scan page me he kya Tarzuma keya hua hai

''Hazrat Umar r.a ne Faramaya , ye Naya Tareka kis Qadar Behtar Aur Munaseeb hai leken (Raat k) wo hissa me ye Soo jate hai , esse behtar Aur Afzal hai jisme ye Namaz padhte hai Aap ki Muraad k Akher hissa (ki Afzaliyat) se the kuki loog Namaz raat k Suru he me pad lete the''.

[Sahi Bukhari , jild-1, baab no-1252,hadees no-1875,Safa no-900]

ye dekho kitna garbar gotala keya ahle batil  ne..

1- baraket me lekha ''Yaani Tarawi''
2- baraket me lekha ''Yaani Tahajjud''
3-Dalill me Safa Number Galat deya jabke Scan me Safa no-900 hai.

3-Ameer Ul Momineen Hazrat Umar r.a Tarawi or Tahajjud me koi fark Nahi Samjhte the Aur tou Aur wo Ese Acchi Biddat k lakab dete hai uper Deye hue Scan me Maine Under-line kar deya hai , jo hanfi  Alim ne Apne Tarzuma me eska koi jekar nahi keya hai.

4-jis hadees k Dalill de kar Ahnaaf  ne ye Sabit karne ki kosis ki hai Hz Umar r.a Tarawi or Tahajjud ki Namaz ko Alag Alag Samjhte the tou ye Batil hai..

''Wo Namaz Jisse Tum Sojaate Ho(Yaani Tahajjud) Wo Us Namaz Se Afzal Hai Jisko Tum Qayaam Kar Rahe Ho(Yaani Taraveh).''

Kuki ese Scan k aage khud Hanfi Alim ne Tarzuma me lekha hai

''Hazrat Umar r.a ne Faramaya , ye Naya Tareka kis Qadar Behtar Aur Munaseeb hai leken (Raat k) wo hissa me ye Soo jate hai , esse behtar Aur Afzal hai jisme ye Namaz padhte hai Aap ki Muraad k Akher hissa (ki Afzaliyat) se the kuki loog Namaz raat k Suru he me pad lete the''.

A)- ''Aap ki Muraad k Akher hissa (ki Afzaliyat) se the kuki loog Namaz raat k Suru he me pad lete the''. (yaha hz umar r.al k baare me kaha ja raha hai)

B)-''loog Namaz raat k Suru he me pad lete the'' (yaaha tou Masla ek Dum Aaine ki tarah saaf ho gaya)

C)-Ager Hz Umar r.a Tarawi or Tahajjud me Fark Samjhte tou aap use Waqt kah dete k Ek jamat Raat k Awwal hissa me padhe Aur ek jamat Raat k Akher hissa me padhe yaani Tarawi aur Tahajjud..

Lehaza ye Dalill v batil hai kuki es Dalill se kahi v ye Sabit nahi hota k Tarawi or Tahajjud 2no Alag Alag Namaz hai..

4 Scan... 


https://m.facebook.com/photo.php?fbid=717930744974991&id=1000027­42173691&set=a.679747185460014.1073741836.100002742173691

4-Imam Bukhari r.al per Aytraz k jawab.

Bare he Tajjub k Sath ye baat kahna par raha hai k  Muqallido ko Gair-Muqallid Alimo ki Tarzume k Sahara lena parta hai apne Mazhab ko Saccha Sabit karne k leye.. Leken wo v kaam Nahi ata behad Afsos ki baat hai..

Maine aysa es leye kaha k Scan k uper me Tarzuma kisi k Aur Niche Scan kisi Aur k

Kahne k Mtb Saaf hai Niche Scan kisi Or k Aur Uper urdu me lekha Dalill kisi aur k ...

ab Aate hai point per jaisa k muqallidon ne kaha k

''Imam Ul Muhaddiseen Hazrat Imam Bukhari Rh. Bhi Taraveh Ke Baad Tahajjud Padhte The:

Jab Maah E Ramzaan Ki Pehli Raat Hoti Toh Imam Bukhari Rh. Ke Paas Unke Dost Wa Ahbaab Jaama Hojaate So Woh Unko Namaz E Taraveh Padhaate Aur Har Rakaat Me 20 Aayat Tilawat Karte .Isi Tarah Puraa Quraan Khatam Karte ,Phir Sehri Ke Waqt Namaz E Tahajjud Me Nisf Se Saalis Quraan Tak Padhte Aur Har Teesri Raat Sehar Ke Waqt Khatam Karte. 
(Hadi Us Saari Muqaddama Fath Ul Baari : Safa 666)''

Radd :

1-Urdu Ibarat or Arbi Ibarat ki Tahkek

A)-Urdu Ibarat me Dalill lekha hai ''Taiseer Al Baari Sareh Al Bukharu jild-1,Safa-49'
' jo k Batil hai , yaani jhooti hai ager ye Ibarat Sahi hote tou Ahnaaf  Muqallid ese k Scan dete.

B)- Arbi Ibarat jo khud Ahnaaf k ghar ki kitab k scan page hai uske Dalill ''Hadi Us Saari Muqaddama Fath Ul Baari : Safa-505 '' 
 Muqallido ne Safa Number 666 deya hai jo k galat hai

2- Arbi Ebarat ki Tahkek Aur uska Radd.Arbi Ibarat me lekha hai..

''Wa Yak Ra-uo fi kulli Rakatin Ishreena Ayatan''

'Aur Imam Bukhari r.al her Rekat me 20 Ayate Telawat karte the'

yaani k wo 20 rekat Tarawi ki Namaz nahi balke 20 Ayat telawat keya karte the.

''Wa kazalika ila Ay-yakh ta-mal Quraana wa kana yak ra-uo fe Sehre Ma baina Nisfe ilas Sulisi menal Quraan ''

'Aur Ese tarah karte yaha tak Quraan ko khatam kar dete or jab Sehar (Sehri) k Waqt hota tou Nisf Quraan (1/2 Quraan k baad, yaani 1/3 hissa tak padte) se lekar Suluse Quraan (1/3 hissa) padte''

point :

1- 20 Rekat Namaz nahi balke 20 Ayat
2-Tarawi or Tahajjud ki Namaz ek he hai.
3-Ager esme Tarawi or Tahajjud me fark hota tou Ibarat me

''Wa kana '' ki jagah ''Summa kanayak ra-uo'' hota tab ja ker Sabit hota k Aap Tarawi ki Namaz padne k baad fer jaker Tahajjud ki Namaz padte the..

4- Es leye es Ibarat se ye Sabit hua k Tahajjud or Tarawi me koi fark Nahi.

5- kuki jab Tarawi ki Namaz Imam Bukhari r.al padte tou Sehar k Waqt ho jata tha Aur Yahi Chez Hadees e Rasul (s.a.w) se Sabit hai..

6-Allah k Nabi(s.a.w) Tarawi ki Namaz Nifs Raat k baad padaye (1/2 raat k baad).

Note- ''Wa kana yak-ra uo fi Sehri''

'aur jab Sehar k Waqt hota tha tou Nifs quraan se lekar'

(yaani Adhe Quraan k baad) Suluse Quraan tak padte (1/3 hissa)

''Summa yak-ra uo fi Sehri''

''Fer jab sehar k Waqt hota tha tou Nif Quraan se lekar''

yaani lafz ''Fer'' se pura Maina cheng kar k Dev Muqallido ne tajjud or Tarawi me ferk sabit karne ki Nakam kosis ki jo k batil hai.. Imam bukhari r.al k aysa koi Amal nahi tha aur Na he unhone aysa koi jekar keya k ''Tarawi or Tahajjud me fark hai'' ager hota tou unke kitabo me hume mel jaati...

5 Scan... 


https://m.facebook.com/photo.php?fbid=717930894974976&id=1000027­42173691&st=14&_rdr

5- Kitab ''Muqne ''Ye Scan v Hanfio ki ghar ki hai jisse ye Sabit karna chate hai Ahnaaf  ki Tarawi or Tahajjud me ferk hai.

1-20 rekat Tarawi ki Esme koi Dalill Nahi hai.

2-Tarawi k Baad Tahajjud padne k eske v koi Dalill Nahi (kisi v Hadees de) , Balke Musannif ne apne Qoul pess ki hai Aur Ibarat me Kisi k Qoul Nahi Chalta balke Nabi(s.a.w) k Qoul ya Fell hona chaye.

3-Jaisa k Sahi hadees se hz Aisha r.a se Aap(s.a.w) k Amal ya fell Mankul hai k Aap (s.a.w) Ramzan or Gair-Ramzan me 11 Rekat Namaz padha karte the lehaza esse ye Sabit hua k Tarawi ki Namaz or Tahajjud ki Namaz ek he hai or 11 rekat he hai..

6 Scan...  


https://m.facebook.com/photo.php?fbid=718782511556481&id=1000027­42173691&set=a.679747185460014.1073741836.100002742173691

6- Muqallidon  ne tou had he kar de jab hum logo ne kaha k Imam Abu Hanifa r.al se 20 Rekat Tarawi ki Namaz Sabit karo tou wo chinni chor ek Scan aur ek lamba chora Bayan kar k bolte hai lo bhai Sabit ho gaya Abu Hanifa r.al se 20 rekat Tarawi ....

Ab jara Scan ki Tahkek aur hum Ahle-hadeeso k jawab v ese Scan me hai..

Arbi Ibarat

211- ''An - Abi he An Abi Hanfifa-ta An-hammadin An Ibrahima An-annan nasa kanu yu Salluna khamsa Tarwihatin fi Tamzana''

1-Es Ebarat se pahle Asal Ebarat Sakit (Hazaf,Gayab) hai jaisa k Khud Ese k hasiya No-2 me Sabse Niche lekha hua hai. Wah Dev Muqallido Dhamal ho gaya..

2-Esse 20 rekat Tarawi Sabit Nahi hote hai.

3-Kuki es Lafz Tarwihat se ye v Ehtema'al hai k 2-rekat k baad v ho Sakta hai Ager ye Muraad le tou esse 11 rekat Tarawi Sabit hote hai .

5 Tarwihat me 10 rekat Aur 1 rekat Witr

4-lehaza usul ye hai k jis Chiz me 2 chizo k Ektema'al ho usse kisi ek Chiz ko Sabit karna k leye Dalill Nahi pakre ja Sakti hai.

5-Es Ebarat se pahle Asal Ebarat he Sakit (hazaf,Gayab) hai tou ye kaha Sabit hua k Imam Abu Hanifa r.al Se 20 Rekat Tarawi Sabit hai..

Akher me ye Dua hai k , Allah paak kahne Sunne se jayada hume Amal karne ki Toufeeq de.. Aameen..
Via- Imran khan salafi