Sunday, June 15, 2014

BIDATI RISHTEDARO KE SATH TALLUQAT

SAWAL▪ Mai Apne Khandan Me Akela Ahle Hadees Hoon, Baki Sab Shirk Wa Bidaat Me Mubtala Hai To Mai Unke Sath Apne Mamlaat Kaise Rakhu? Unki Rasoomaat Teeja, Satwa, Daswa Aur Chaliswa, Wagairah Aur Unki Shadi Byah Me Shirkat Ka Kya Huqm Hai ?
.
JAWAB ▪ 

Aap Apne Aziz Wa Aqarib Se Husne Salook Se Pesh Aaye, Nabi Karim Sallallahu Alahi Wasallam Se Ne Sahaba Kiram r.a Ko Unke Mushrikeen Rishtedaro Se Silah Rahami Ka Huqm Dia Tha Jaisa Ki Asma Binte Abi Bakar r.a Kahti Hai-


Meri Maa Mushrika Thi, Us Waqt Aai Jab Mene Nabi Karim s.a.w Ne Kuraish Makkah Ke Sath Mu'aahida Kiya Hua Tha Mene Nabi e Karim s.a.w Se Sawal Kiya Ki Meri Maa Tashrif Layi Hai Aur Wo Raghbat Rakhne Wali Hai , Kya Me Is Se Silah Rahmi Karu ? To Apne Kaha Haan ! Apni Maa Ke Sath Silah Rahmi Karo


[Sahi Bukhari, Musnad Ahmad]

Aur Quran Hakeem Me Bhi Irshad Hai
Apne Waldain Ke Sath Duniya Me Ache Tarike Se Pesh Aaao

[Surah Luqman Ayat 15]

Lihaza Aap Apne Waldain Aur Azizo Aqarib Se Silah Rahmi Kare, Ache Tarike Se Pesh Aaye, Unke Sath Jyda Se Jyda Husne Suluk Kare Aur Unhe Hiqmat Ke Sath Aqida-e-Tauheed Aur Kitabo Sunnat Ki Dawat Dete Rahe ,Agar Wo Koi Sakht Kalimat Bhi Kah De To Brdashat Kare, Isme Allah T'ala Ke Fazalo Karm Re Khair Hai-

Albatta Unki Rasumat Aur Khilafe Sharah Umoor Me Shirkat Se Parhez Kare, Khushi Wa Ghami Ke Mauqe Par Zarur Jaye Lekin Aise Mauqe Par Dhol, Gaana Bajana, Bepardgi Aur Shadi Ke Gair Sharai Rasumaat Ho To In Umoor Se Unse Alag Rahe Allah T'ala Amal Ki Taufique Bakhse 
! AMEEN


Via--AYAN KHAN SALAFI