Sunday, June 1, 2014

MASJID KE AHKAAM





MASJID KE AHKAAM


 ✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Masajid Ke Ehkaam
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

" Allah ko Masjidein bahut ziyada Mehbub hain aur Bazaar intehayi Napasand hain".


(Muslim Hadees 671)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu Hurariah Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

" Jo koyi Din ke Awwal hisse mein ya Din ke akhri hisse mein Masjid ki taraf jaye Allah uske liye Bahisht mein Mehmani tayyar karta hai ".

(Bukhari 662 , Muslim 669)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu Qatada Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

" Jab tum Masjid mein Daqil ho to Baithne se pahle do Rakaat (Nafil Tehtul Masjid ke tawr per) padha karo".


(Bukhari 444, 1163, Sahi Muslim 714)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Piyaz aur Lehsan se mana kiya hai aur farmaya,

Jo koyi in dono ko khaye to Masjid ke qarib na aye aur farmaya agr tum ne inhein khana hi hai to inko paka ker inki Boo maar lo

Kiu k isey Farishton ko bhi Aeza pahunchti hai .

(Abu Dawood 382, Muslim 564)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

Mujhper meri Ummat ke acche aur burey amaal pesh kiye gaye Maine dekha ke neik amaal mein raste se taklif dechiz ko dur kerna bhi hy aur bure amaal mein Masjid mein Thukna bhi hy jisper mitti na daligayi ho

(Muslim 553)

(Aaj kal Masajid se thuk ko pani ya kapde waghyra se saf kiya jayega)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu Hurariah Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

Jab tum kisi shaks ko Masjid mein kuch bechta ya qareedta dekho to kaho Allah teri saudagari mein nafa Na de

Aur jis waqt tum kisi shaks ko Masjid mein gumshuda chiz ka elaan kete huwe dekho to kaho Allah tujhe wo chiz Na laotaye.

Pas beshak Masjid is maqsad ke liye to nahi banayi gayi .

(Tirmidhi 1324 ,Hakim sahih )

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu imama Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,

Jo shaks apne ghar se Ba wazoo ho kar Farz ada kerne k liye Masjid ke liye nikalta hai pas isko Haj ka ihram bandhne wale ki manind Sawab milta hai

(Abu Dawood 558 Hasan )

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu Saeed Qazri Radi Allahu Anhu rivayiat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ,

Jab tum kisi shaks ko Masjid ki Qabrgiri karte huwe dekho to iske Imaan ki Gawahi Do

(Tirmidhi 2622, Ibn e Majah 802. Ibn e Habban 310 Sahih )