Friday, June 6, 2014

WAZU KA TAREEQA


 
 
 
 
✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Wazu ka Tarika:
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

1. Bismillah kehna (sirf Bismillah hi kehna Ar-Rahman Nir-Raheem nahi kuy ki Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne itna hi ka hukum diya hai,

2. Nabi "Sallallahu Aalaihi Wasallam" juta pehanne, kangi karne, taharat karne aur garz tamaam kamo mein Dayi (Right) tarf se shuru karna pasand farmate,

3. Phir Dono hath pohcho tak (kalayi tak) 3 baar dhoye,

4. Hataou ko dhote waqat Hataou ki ungliyo ki darmiyaan qalal kare,

5. Phir ek chullu (pani) ley kar aadhe se kulli kare aur aadha naak mein daley aur Nak ko baye (left) hath se jhade, ye Aamal 3 baar kare,

6. Phir 3 baar Mou (face) dhoye,

7. Phir (Mard Hazrat) ek Chullu (pani) ley kar is se Thoddi ke niche daqil kar ke Dadi ka qalal kare,

8. Phir daya (right) hath kohni tak 3 baar dhoye, phir baya (left) hath khoni tak 3 baar dhoye,

9. Phir sar ka masa kare, dono hath sar ke agley hisse se shuru kar ke thuddi tak pichey ley jaye, phir pichey se aage is jagha ley aaye jahan se masa shuru kiya tha,

10. Sar ka masa ek baar karna

11. Phir kano ka masa is tarha kare ke Shahadad ki ungliya dono kano ke suraqo se guzar kar kano ki pusht (back) par Unghotou se masa kare,

12. Phir daya (right) Paou (leg) taqno tak 3 baar dhoye, aur baya (left) Paou bhi taqno tak 3 baar bhoye,

13. Jab wazu kare tou hatou aur paou ki Ungliyo ka qalal kare, Nabi (Sallallahu Aalaihi Wasallam) aapne Paou ki Ungliyo ka qalal hath ki Chungli (choti ungli) se kartey thaye

Wazu ke daleel:
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Nasayi Hadees 78
Bukhari Hadees 167
Bukhari Hadees 159
Abu Dawwd Hadees 142
Bukhari Hadees 191
Bukhari Hadees 185, 186, 192
Tirmizi Hadees 31
Bukhari Hadees 1934
Saheeh Bukhari Hadees 185
Ibne Maja Hadees 439
Bukhari Hadees 1934
Tirmizi Hadees 39
Abu dawood Hadees 148

Wazau ke baad ye Dua padhe:
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

"Ashhadu Alla'ilaha illallah wahdahu La'sharika Lahu, Wa Ashhadu Anna Muhammadan Aabduhu wa Rasooluh."

[ Saheeh Muslim Hadees 234]