Saturday, June 14, 2014

NAKHUN BADHANE KE BARE ME KYA HUQM HAI

Nakhun Badhane Ke Bare Me Kya Huqm Hai ?Kuch Log Apni Sabse Chhoti Anguli Ka Nakhun Bhi Badhate Hai??
.
Nakhun Badhana'Khilaaf Sunnat Hai,
Nabi (S.A.W) Ka Irshad Hai:
"5 Cheezain Fitrat Se Hain: Khatna Karna, Ustra Estemal Karna, Baglo Ke Baal Ukharna, Nakhun Tarashna Aur Munche Katna."
.
Sahi Bukhari'Hadis: 5889'Wa Sahi Muslim'Hadis: 257.
.
Lehaza Hamare Liye Jaiz Nahi Hai Ki Hum Inhain 40 Raton Se Zyada Arse Tak Na Kate Jis Tarh Ki
.
Hazrat Anas R.A Se Sabit Hai:
"Hamare Liye Munche Katne, Nakhun Tarashne, Baglo Ke Baal Ukharne Aur Zair-e- Naaf Baal Mundane Ke Liye Wqt Muqarar Kia Gaya Hai Ki Hum Inhain 40 Din Se Zyada Na Chhore."
Sahi Muslim'Hadis: 258'Wa Sunan Abi Daud'Hadis: 4200.
.
Aur Is Liye Bhi Ki Nakhun Badhana Darindo Aur Kuffar Ke Sath Mushbehat Hai.