Wednesday, June 4, 2014

GHUSL-E-JANABAT






✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Halat-e-Janabat:
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Wajub Gusul ki halat ko Halat-e-Janabat kehtey hai, 4 halatou mein Musalmaan marad aur Aurt par Gusul karna farz hai.

1. Jhosh ke sath mani qarij hone ke baad, (is mein Ahtelaam bhi daqil hai),

2. Suhbat ke baad,

3. Hais ke baad aur

4. Nafaas ke baad (wo khoon jo pachche ki paidaish par jari hota hai).

Gusl-e-Janabat ka tarika:
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Aayesha Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam jab ghusal e janabat farmatey to

◄Pahley Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam dono haath dhothey

◄Phir namaz ki tarah wudhu kartey,

◄Phir sir ke baalon ka ungliyon se khilal farmatey yahan tak ki sir ke saaf honey ka yaqeen aur itnimamn ho jata

◄Phir Dono chullu bhar kar teen martaba sir par pani daaltey

◄Iskey baad sarey jism par paani daaltey

Sunan Nasaii, Vol 1,425 ( Sahih)

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Aayesha Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ghusal karney ke baad wudhu nahi farmatey they (kyunki ghusal karna kafi ho jata hai.)

Sunan Nasaii, Vol 1, 432 ( Hasan)

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Hazrat Aayesha radi allahu anah se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam jab janabat ka guhusal farmatey to

◄Pahley dono haath dhotey

◄Phir usi tarah wudhu kartey jaisa namaz ke liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam wudhu kiya karte they

◄Phir paani mein apni ungliyan dakhil farmatey aur unse baalon ki jadon (root of hair) ka khilal kartey

◄Phir apney haathon se 3 chullu sir par daltey

◄ Phir tamam badan par paani baha detey.

Sahih Bukhari, wudhu ka Bayan (248)

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

( Ghusal karte waqt ) Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Ghusal e janabat ke baarey mein daryaft kiya to Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki,

Mard ke liye to ye jaruri hai ki wo Apna sir khol kar ( yani baal khol kar) baalon ko dhoye yahan tak ki paani Baalon ki jado tak pahunch jaye magar Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi hai bulki isko chahiye ki wo Dono Haath se 3 martaba paani sir par Daal le".

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 255

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

(Madhi nikalney) par sirf Wudhu karna kaafi hai (Ghusal farz nahi)
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Sahl ibn Hunayf Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Main Madhi (mazi) ke baar baar nikalne se takleef mein mubtala rahta tha kyunki main aksar iski wajah se Ghusal kiya karta tha mainey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam se is barey mein arz kiya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,

(Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai mainey arz kiya Ya Rasoollallah allallhu Alaihi Wasallam agar madhi kapdo par lag jaye to kya karu ? Aapney farmaya Ek chullu paani lekar us Muqam par chidak do jahan tumhey mehsus ho madhi lagi hai

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 210

.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Ghusal ki jarurat ho aur paani na ho to Tayyamum karkey Namz parho
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

'Imran bin Husain Al-Khuza'I Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne ek Aadmi ko dekha ki Alag khada hua hai aur Logon ke saath Namaz mein sharik nahi ho raha AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki," Eh falah tumhey logon ke saath Namaz parhney se kis cheez ne rok diya "?

Usney Arz kiya ,"Ya RASOOLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam ! Main Junubi hu (Yani mujhe Ghusal ki jarurat hai) aur pani nahi hai ".

AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya," Phir tumko paak Mitti se tayyamum karna jaruri tha , wo tumhareyliye kaafi ho jata".

Sahih Bukhari, Vol1, 318