Saturday, June 7, 2014

JANABAT KI HAALAT ME WAZU KARKE SONA CHAHIYE


 
 
 
*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Janabat ki Halat mein Wudhu karkey Sona chahiye
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Abdullah bin umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha gaya ki kya hum logon mein se koi Janabat ki halat mein so sakta hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya (HAAN) jis waqt waqt wo wudhu kar le

Sunan Nasaii , Vol 1, 262 ( Sahih)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Abdullah bin umar Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Umar Radi-Allahu-Anhu ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se pucha ki mujhko Raat je janabat ho jati hai , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tum Wudhu kar lo aur sharmgaah ko dho lo phir uskey baad so saktey ho

Sunan Nasaii , Vol 1, 263 ( Sahih)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

(Baab: Paki ka bayan : Agar Janubi shaksh wudhu na karey )
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Ali Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya us ghar mein (rahmat ke) farishtey dakhil nahi hotey jis ghar mein Kutta , tasweer ya Junubi shaksh ho

Sunan Nasaii , Vol 1, 264 ( Hasan)