✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***
Taimum ka Bayan
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Paani na milne ki surat mein Taharat se paak Mitti ka Qasad ker ke Hathon aur Moo par malna Taimum kehlata hai
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.
'Imran bin Husain Al-Khuza'I Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne ek Aadmi ko dekha ki Alag khada hua hai aur Logon ke saath Namaz mein sharik nahi ho raha AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Eh falah tumhey logon ke saath Namaz parhney se kis cheez ne rok diya
Usney Arz kiya ya RASOOLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam main Junubi hu (Yani mujhe Ghusal ki jarurat hai) aur pani nahi hai AAP Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
" Phir tumko paak Mitti se tayyamum karna jaruri tha , wo Tumharey liye kaafi ho jata".
Sahih Bukhari, Vol1, 318
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.
RASOOLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ,
"Paak Mitti Musalmano ka Wudu hai agar che Dus baras paani na paye ".
(Abu Dawod 332 333. Nisayi 171, Tirmidhi 124 )
(Tashreeh :Dus Baras se Kasarat Mudaat murad hai )
Taimum ka Tariqa
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Hazrath Ammar Radi Allahu Anhu bayan karte hain ke Safer ki halat mein Janabi hogaye aur Pani na milne ki wajase Qaaak per laote aur Namaz padhli
Phir safer se aker ye haal RASOOLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam ke samne bayan kiya to aap ne Farmaya,
◄Tumhare liye yehi kafi tha aur phir RASOOLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam ne dono hath Zamin per Marey aur in per Phunk mari
◄Phir inke sath apne Moonh aur dono Hathon per Massa kiya yani Ulte Hath se Sidhe Hath par aur Sidhe Hath se Ulte hath par Massa kiya
◄ Phir dono Hathon se Cehra ki Massa kiya".
(Bukhari 338 ,Muslim 368, Abu Dawood 321)