Tuesday, June 17, 2014

TAAREEKH AHLE HADITH, SHAJISHON KE SAAYE ME-- (Via- Rizwan Shaikh)

 




 TAAREEKH AHLE HADITH, SHAJISHON KE SAAYE ME-- (Via- Rizwan Shaikh)



Bismillahirrahmanirraheem

Ahle Hadith Aur Hindustan Logon Ke Zehan Me Ek Baat Baitha Di Gai Hai Ke Ahle Hadith Ke Jo Manhaj Hain Wo Salaf o Saalheen Ka Manhaj Par Nahi The .

Sahaba Ke Raaste Par nahin Chalte !

Buzrugon Ki Baaton Ko Thukrate Hain !

Ye Afwaah Udaai Jaati Hai Aur Musalmano Ko Badgumani Me
Mubtila Karte Hain

Aur Ye Kaam Hanafi Hazrat Karte Hain.

Aaiye Dekhte Hain Ke Kiya Sahi Mano Me Hanfion Ki Baat Sahi Hai Ya Ye Hanafi Darog Goi Ka Mozahera Karte Hain.

Hindustan Me Madarse The Lekin Us Me Quraan Aur Ahadith Ki Taalim Nahi Di Jati Thi.

Quraan Ko Sirf Barkat Ke Liye Padhte The Musalman .

Aur Hadith To Padhte Hi Nahi The.
Sufi Ke Qisse Padhaye Jaate The.

Yahan Aksar Ye Bahshen Hoti Thi Ke Koun Wali Kisse Bade Hain

(Kitab Tazkira Al Zafar Murattab Qamar Ahmad Ushamin Kamaliya 1977 Safa No..341..)

Hindustan Me Assalamo Alaikum Kahne Ka Riwaj Khatam Hogaye The

Ek Musalman Dusre Se Milte To "Aadab" Ya Taslimaat Ke Alafaz Kahte.

(Kitab.Hikayat E Auliya az Moulana Ashraf Ali Thanvi Karachi Safa No..153)

Aur Bhi Bahut Kuchh Pe Pabandiyan Thi.

Hajj Ke Liye Jaane Pe Akbar Ke Zamane Me Mamaniyat Hogai Thi..

Jume Ki Namaz Shahron Me Hoti Thi, Gaon Dehat Mein Padhne Ka Ihtemam Nahi Tha.

Jume Ke Khutebe Me Nabi Saw Pe
Darood O Salam Nahi Padhe Jaate The .

Is Sab Jankari Ke Liye Aap Sab Ko Is Kitab Ka Motaala Karna Hoga.

(Radde Koushar Shaikh Ikram Lahore 1992 Safa no.94/95 )

Aise Me Quraan Aur Hadith Ki Taraf
Musalmano Ko Laana Nihaayat Mushkil Kaam Tha.

Khud Hanafi Kahte Hain Ke Molana Sayyad Monazir Husain Gilani Ke Shagird Molana Qazi Mohammad Abdur Rahman M.a Usmani Likhte Hain Ke

"Ahle Hadith Ki Tahrik Bhale Hi Kuchh Thi, Kaisi Thi, Mujhe Isse Bahas Nahi Hai. Taaham Ye Manna Padega Ke ,Musalmano Me Jo Al Kitab Sunnah Padhne Aur Padhane Ka Riwaj Aaj Hai..Usme Bahut Hadd Tak isi Tahrik Ka Hath Hai.."

(Kitab Tadween E Fiqah Safa No..59 ,Ulema E Ahle Hadith Ki Khidmat Az Irshad ul haque Ashri safa no..41 )

Ek Aur Hanfi Aalim Moulvi Khalid Mehmud Sahab Deobandi Likhte Hain Ke

" Jamaat e Ahle Hadith Se Hame Tahqiqat E Hadith Me Bhale Hi Ikhtelaf Ho Lekin Is Se Koi Inkar Nahi Kiya Ja Sakta Ke ,19 vi Sadi Me Hadith Ke Jhande Unhin Logon Ne GaaDe Hain, Yahi Log Gaon Gaon Shahar Shahar Ghoom
Ghoom Ke Logon Tak Hadith E Rasool Pahunchai, Us Waqt Na Koi Beroni Imdad Hasil Thi, Ke Jiske Sahare Bari Bari Imaarten Bani Ho, Tanzime Bani Hon...Bas Ek Jazba Tha Ahle Hadith Noujawano Me Ke Hadith Ke Tarjume Liye Phirte The,
Main Sach Kahta Hoon Ke Barre Saghir (Hind Wa Paak) Me Agar
Tark e Taqleed Ki Hawa Na Chalti To Ulema E Deoband Bhi Shayad Aurangzeb Se Aage Nahi Badhte."

(fatwa alamgiri)
(Kitab .Ashare Ahle Hadith Az Moulvi Khalid Mehmud Jild No 2 Safa No.23)

Ye The Hanfiyon Ki Zubani Taarif Jo Na Chahte Bhi Hanafi Ke Munh Se Nikal Hi Jaate Hain, Lekin Mera Maqsad Ye Batana Nahi Hai

Jab Hanafi Ne Khud Aiteraf Kiya Hai Ke Hadith Ki Kitabon Ko Padhane Me Ahle Hadith Ki Den
Hai, To Phir Ye Log Ahle Hadith Se Chhidhte Kiyon Hain ?

Aakhir Kiyon Ye Ahle HadiTh Ko Badnam Karte Hain ?

Iske Pichhe Kiya Saazish Hai Use Benaqab Karte Hain Tawarikh Batati Hai Ke

Ahle Hadith Angrezon Se Hamesha Bar Sare Pekar Rahe Hain

Purtagaliyon (Portugals) Ki Dosti Ke Bare Me Hukumat Ko Hamesha Kahte Rahe Ke Ye Dosti Sahi Nhi Hai..

1857 Se Pahle Bhi Ahle Hadithon Ne Angrezon Ke Khilaf Hindustan Chhoron Tahrik Chalai Thi.

Wo Tahrik (Andolan) Musallah Bhi Thi, Us Tahrik Me Shuru Me Hanafi Ke Aalim Bhi Shamil The.

Lekin 1857 Me Jaise Hi Angrezon Ne Mokammal Hukumat Ka Elaan Kiya , Hanafi Is Tahrik Se Alag Hogaye.

Qamar Ahmad Usmani Sahab Likhte Hain Ke

"Hazrat Molana Nanotwi Is Waqye Ke Baad 24 Saal Zindah Rahe Aur Hazrat Molana Rashid Ahmad 1857 Ke Baad 50 Saal Zindah Rahe Lekin Phir Kabhi Kisi Tahrik Me Shamuliyat Ki Koi Khabar Nahi Aai, Lekin Ahle Haditon Ne Jaddo Jahad Jari Rakha"

(Kitab Tazkira Zafar Murattab Qamar Ahmad
Usmani 1977 Kamaliya Safa No 343)

1857 Ke Baad Jab Pura Hindustan Malkah E Bartaniya Ke Gulami Me Aagaya Toh Angrezon Ne Is Baat Ka Jaiza Lene Lage Ke Koun Log Hamari Hakumat Ke Liye Khatra Ban Sakte Hain..

Jaiza Liya Gaya To Pata Chala Ke Hinduon Se Koi Khatra Nahi Hai, Kiyon Ke Hindu Se To Kuchh Chhina Nahi Gaya Tha Jisko Haasil Karne Ke Liye Ladte.

Hinduon Ke Liye To Sirf Aaqa Hi Badle The , Balki Hindu Khush The Ke Angrezon Se Milke Musalmano Se
Inteqaam Liya Ja Sakta Hai Aur Hindu Ye Bhi Chahte The Ke Dobara Musalman Is Mulk Me Hukmaran Na Bane , Isliye Wahabi Ko Hindu Bhi Achha Nahi Samajhte
The.


Isliye Hindu Bhi Angrezon Se Mil ke Wahabi Ke Khilaf Hogaye.

Wahabi Chunke Aam Musalman Hi The Unki Nishandahi Ke Liye Hanfi Hazrat Tayyar Hogaye, Kiyonke
Wahabiyon Se Hanfiyon Ko Bair Tha Ke WoTaqleed E Shakhsi Ke Khilaf The

Is Liye Hanfiyon Ne Wahabiyon Ke Liye Masajid Ke Darwaze Band Kardiye Wahabiyon pe Maasharati Boycott Kiya Gaya,

Isse Angrezon Ko Wahabiyon Ko Pakadne Me Aasani Hui.

Baad Me Gulam Ahmad Mirzai Bhi Shamil Hogaye Angrez Ki Taraf Se Jihad Ke Khilaf Fatawa Diya Rooh e Jihad Ko Khatam Ki Gai...

Aur Usme Hanfi Aur Mirzai Kaamyab Hogaye..

Dr Qiyamuddin Sahab Likhte Hain Ke

" Ek Hindu Suraj mal Diputy
Inspector Patna Normal School Ne Ek Akhbaar Nikala Tha, Uske 16-4-1875, Usme Ek Unwan Tha (Wahabiyon Ki Nai Chal ) Us
Me Likha Tha

"Aaj Kal Wahabiyon Chuhon Ki
Tarah Bilon Se Nikalne Lage Hain."

Aur Is Akhbar Ka Kaam Hai Wahabiyon Ki Nishandahi Karna Hai, Us Akhbar Ne Apna Farz Ada Kiya Wahabiyon Ki Mukhbari Karke, Usi Waqt Me Ek Hanfi Najmuddin Nami Ne Wahabiyon Ke Khilaf Ek Kitab Likhi , Jo 1878 Me Patna Me Shaye (Publish) Hui, Uska Ek Nushkha Patna Ke Police Comissioner Ko Diya Gaya Usme Likha Tha.

"Main Wahabiyon Ke Sardar Ke Motaalliq Sab Kuchh Haasil Karne Ki Koshish Kar Raha Hoon Aur Koi Kasar Utha Nahi Rakha Hoon Isme Mera Dost Nawab Sayyad Wilayat Ali Bhi Kaam Kar Rahe Hain "

(Kitab Hindustan Me Wahabi Tahrik Safa No 388/389)

Hanafi Aur Hindu Dono Mile Huye The, Hanfiyat Ke Badhawa Dene Ke Liye Hindu Bhai Ne Maali Madad Bhi Iske Liye Ki Taqleed Aur Jamood Par Yalgar Rokne Ke Liye,

Deoband Me Madarsa Qayam Kiya Gaya, Us Me Hindu Hazrat Ne Badh Chadhh Ke Hissa Liya

Molana Monazir Hussain Ahsan Gilani Ne Likha Hai

" Chanda Dene Walon Me, Munshii Tulsi Ram, Ram Sahaye , Munshi Hariduaara Lal , Lala Baijnath , Pandit Shri Ram, Munshi Moti Lal ,Sewa ram "

Aur Bhi Naam Hain, Jiska Naam Musalmano Ke Naam Ke Saath Saath Hai.

Aaj Tak Ye Moaamma Bana Hua Hai Ke Aakhir Ek Islami Idarah Ko Hinduon Ne Chanda Kiyon Diya , Wo Bhi Kuchh Dino Ke Liye Nahi Balki Mustaqil Tha , Baad Me Na Jaane Kiyon Phir Chanda Lena Band Kiya

Note

Ab Ye To Deoband Ke Akaabrin Hi Batayenge Ke ..Hinduon Ne Chanda Kiyon Diya..

Un Ki Kiya Mansha Thi, Ye Hinduon Ko Darul uloom Deoband Se Kiya Fayeda Pahucha, Allah Hi Behtar Jaanta Hai.

(Kitab Sawaaneh e Qasmi az Monazir Hussain
Gilani jild no 2 Maktaba E Rahmaniya Lahore Safa no..317)

Hanfiyon Aur Angrezon Ki Dosti Ki Kahani Padhni Hai To Doston Aap Log.. Abu Salman Shahjahan Puri Ki Likhi Kitab "Sawanhe Shaikhul Hind " Padhiye.

Puri Khurafaten Pata Chal Jayega

Hanfiyon Ne Apne ulema Ko Bhi Nahi Chhora...

Molana Mehmudul Hasan Aur Unke
Shagird Molana Obaidullah Sindhi. Ye Aise Hanfi Hain Jo Biswi Sadi Me jung e Azadi Me Hisaa Liya ....

Jab Ke Hanfi Hazrat jung e Aazadi Se Hamesha Bachte Rahe.

Hanfi Log Angrezon Ke Paas Wahabiyon Ki Chugliyan Kiya Karte The. chugli ki Aadat Itni Badh Gayi Ke Hanfiyon Ke Ulema Ko Bhi Dasne Lage

Mehmudul Hasan Sahab Jaise hanfi Ulema Ko Bhi Nahi Bakhsha Unke Shargird Ne Hi Angrezon Ke Paas Jaa Ke Ustad Ki Chugli Kardi

Molvi Mohammad Ahmad Bin Molana Qasim Nanotwi Jo Taqriban 40 Saal Tak Deoband
Modarsa Ke Mohtamim Rahe Aur Unke Janashin Habibur rahman ,Ye Dono Angrez Ke Agent The.

Molana Mohammad Aahmad 1885 . Me ba'tour Modarris Amli zindagi
Ka Aagaz Kiya.

1896 Me Unko Darul Uloom Ka Mohtamim Banaya Gaya

Molana Mohammad Ahmad Ne Ek Shazish Ke Tahat Molana Shabbir Ahmad Usmani Ko Aur Obaidullah Sindhi Ke Khilaf Amada Paikar Karne Aur Unpar Kufr Ka Fatwa Lagane Me Molana Mohammad Ahmad Ka Bahut Bada Hath Tha

Hazrat Shaikh ul Hind Ke Khilaf
Saharanpur Ke Collector Le Maarfat Govarment Me Reporten Shaye Ho Chuki Thi.

Reshmi Rumal Sazish Me Hazrat Shaikhul Hind Ko Bahut Zeyadah Takleef Di Gai.


Goverment Me Moulana Mohammad Ahmad Ke Baare Me Likha Hai Ke Ye "Hakumat Ka Aadmi Hai "

(Az shah Abu Salman Shahjahanpuri Karachi 1988 safa no 167/168)


Molana Habiburrahman Ke Baare Me Hai Ke Aap Molana Shabbir Ahmad Usmani Ke Bhai The.

Taalim Shuru Se Aakhir Tak Daarul Uloom Me Hi Hui, Phir Wahin Mudarris Huye, Phir Nayeb
Mohatamim Bane.

Uske Baad Sadar Mohtamim Bane, Molana Mohammad Ahmad Ke Sirf Nayeb Hi Nahi The Balki Ham Khayal Bhi The

Reshmi Roomal Sazish Case Ki Directrory Board Me Hukkam Ne In Dono Ka Naam Wafadaron Me Shamil Kiya Hai

Montazamin Darul uloom Deoband Se Murad Yahi Dono Buzrag Hain Jo Hazrat Shaikh ul
Hind Ko Angrezon Ke Qadmon Me Jhukana Chahte The , Aur Aapse Hamesha Angrezon Se Maafi Ka Motalba Kiya Jaata Tha.

(Kitab Shaikh ul Hind Az Abu Salman Shah jahan
Puri Karachi 1988 Safa no.169)

Ek Aur Deoband Ke Aalim The. Hafiz Mohammad Ahmad Ayyubi, Unka Bhi Angrezon Se Bahut Khushgawar Taalluq Tha.

Molana Mehmud ul Hasan Ki Sargarmiyon Ke Baare Me Hakumat Ko Reporten Bheja karte
The.

Molana Mehmud ul Hasan Sahab Turak Logon Se Milkar Jo Program Banate Hafiz Sahab Ke Zariye UP Ke Governor Ko Pata Chal Jata Tha.

Aur Molana Ashraf Ali Thanvi Ka Bhai, Mazhar Ali Angrezon Ki Hukumat Me CBI Me Tha.

Usne Hazrat Shaikh ul Islam Ke Saathiyon Pe Maulana Husain Ahmad Madani Ke Alfaaz Me
Nihayat Hi Wahshiyana Zulm Kiya.

Shaitan Bhi Sharma Jaata Uske Zulm Ko Dekhkar

(Kitab Sawaneh Abul Kalam Aazad Az Shorash Kashmiri lahore 1994 safa no 120)

Moulana Ashraf Ali Thanvi Jiska Darul uloom Me Achhi Pakar Thi, Usne Tahrik ( Tark e Mowalat ) Ke Khilaf Quraan Aur Hadith Ke Zarye Fatwa Dhoond Rahe The

Lekin Naqam Rahe Toh Ashraf Ali Ka Bhai Jo CBI me Tha, Use
Zalim Taarin Shakshiyat Ke Naam Se Jana Jaata Tha, Usne Shaikh ul Hind Ke Saathiyon Pe Angrezon Se Gaddari Ke Jurm Me Be'inteha Zulm Kiya, Aur Uske Zulm Ko Chhupane Ke Liye Ashraf Ali Thanvi Quraan Aur Hadith Me Jawaz
Dhoond Rahe The.

(Sawanh E Abul Kalam Aazad safa
no.134/135)

Molana Mohammad Ali Johar ,Apne Naye Aur Purane Saathi Jo Taalim Yaafta The Unko Jama
Karne Lage To Ye Baat UP Ke Govarnor Ko Khatak Gai

Ashraf Ali Thanvi Ka Ek Chachera
Bhai, Supritendent CID tha, Unki Koshish Se Ashraf Ali Thanvi Ko Hakim ul Ummat Ka Khitab Mila Aur Logon Ko Bhi Kahne Ke Liye Kaha Gaya, Maqsad Tha Ke Shah Waliullah Ki Tahrik Pe Zarb Lage.

( Kitab Sarguzasht Abul Molana Abdullah Aligari Murattab Dr Gulam Mustafa Islamabad 1980 safa no 141)

Ashraf Ali Thanvi Ke Sifaarish Pe Molana Mohaamd Ali Johar Ko Angrezon Ki Khushnudi Haasil Karne Ke Liye Jamiat Ul ulema Se Mazul Kardiya Gaya

Is Waqya Ke Baad Ashraf Ali Ke Bhai Ko CID Ka Bara Afsar Bana Diya Gaya

(Kitab Sar'guzasht Kabul safa no 141)

Aur Jab Molana Shaikh ul Hind Sahab Wafaat Kar Gaye To Fouran Darul uloom Deoband Ke Araakin Ne Meating Karke Ashraf Ali Thanvi Ko Mohtamim Bana Diya

Ashraf Ali Ko Mohtamim Banane Ka Bahut Pahle Plan Ban Chuka Tha

Taki Molana Mohammad Ali Johar Ki Tahrik Ko Fana Kar Diya Jaaye..

(Sarguzasht E Kabul safa no 141/142)

Hanfiyon Ki Ek Shakh Jamaat e Ulema Ludhiyana Kahlati Thi, Usne Aise Fatwe Diye Ke Mat Puchhiye, Usne Awwam Ko Ubhara Ke

"Wahabiyon Ko Pakar Ke Angrezon Ke Darbar Me Pesh Kar Ke Saza Dilaye"

"Masjid Ke Darwaze Wahabiyon Ke Liye Band Kiya Jaye"

Hanfiyon Ka Saath Hinduon Ne Bhi Khoob Diya

Ahle Hadithon Ki Nishandahi Karte Aur Us Pe Moqamdme Chalte, Faansi, Ya Kaala Paani Ki Sazayen Milti

Unki Jaidadon Ko Zabt Kar Liya
Jaata...

1860 Me To Ek Silsila Chal Gaya Pakad DhakaD Ka, Itni Mukhbari Ki Gai Ki Angrezon Ko Bhi Shak Hone Laga Ke Kahin Hanafi Log Jhut To Nahi Kahte

Patna Ke Police Comissnor Ki Yaddasht Me Mukhbir Imdad Ali Ke Baare Me Likha Gaya Ke

"Ye Shakhs Hakumat Ko Bewaquf Bana Raha Hai "

Inke Sabhi Waar Sahte Rahe., ek Waqt Aaya Ke Angrezon Ki Taraf Se Tamam Wahabiyon Ko Ek
Elaan Hukumat Ka Sunaya Gaya Ke

" Agar Wahabi Log Angrezi Hukumat Se Maafi Maang Lete Hain, Aur Unki Itaat Qabul Kar lete Hain Toh Watan Wapasi Ka Kiraya Bhi Diya Jayega Aur Izzat Ke Saath Jeene Kaa Pura Haque Bhi, Lekin
Wahabiyon Ne Is Pesh kash Ko Thukra Diya Hikarat Ke Saath"

(Kitab Hindustan Me Wahabi Tahrik safa no 223)

Waqt Guzarne Ke Saath Wahabiyon Pe Zulm Badhta gaya, kai kai din bhooka rakha gaya ,

Pedh Ke Patte Kha Kar Guzara Karte The, Wahabiyon Ke Amir Inayat Ali Sadiq puri Ko Tez Bukhar Ho Gaya...

Lekin Na doctoron Aur Na Khane Ke Liye Kuchh Tha.

Aakhair Isi Halaat Me Inteqal Kar Gaye 1858 Me.

(Kitab Hindustan Me Wahabi Tahrik safa no 227)

Wahabiyon Ke Jo Log Pakre Jaate Unhen Be'inteha Zulm Ka Nishana Banaaya Jaata

Moulana Yahya Sadiqpuri Ko Giraftar Karke Jis Kothri Me rakha Gaya Uska Raqba Tha 4 × 6 tha, us
Ke Chhat Me Ek Chhota Sa Surakh Tha Aur Kothri
Ka Darwaza 24 Ghante Me Ek Baar Khola Jaata

Lekin Unhone Angrezon Ki Koi

Laalach Qabul Nahi Kiya Aur Na Hi Halaat Se Ghabra Ke Raah E Haque Se Pichhe Hatna Gawara Kiya

Khud Angrezon Ne Aiteraf Kiya Hai Ke William Huntar Naami Ek Angrez Ne Kitab Likhi "Hindustani Musalman"

Usme Likha Hai Ke

" Wahabiyon Ne Na Kabhi Wafadari Ki Hukumat Se Aur Naa Hi Ham Se Koi Riya'at Maangi,"

Molana Yahya Sadiqpuri Ko Garmiyon Ke Dino Me Rehat Chalane Ke Liye Diya Jaata Aur
Baala'akhir Usi Rehat Chalate , Peshab Me Khoon Aane Laga Aur Duniya Se Chal Base.

(Kitab Kaala Paani Taba Faisla baad 1977 safa no 57)

Molana Thanesari Ne Likha Hai Ke

"Angrezon Ne Wahabiyon Ki Sar'kobi Ke Liye Ek Mohakma
Hi Banaya Tha, Jiska Head Office Rawalpindi Me Tha , Shaikh ul kul Miyan Nazir Hussain Mohaddis Dehlawi Ko Pakad Ke Laaya
Gaya, Abhi Case Khula Bhi Nahi Tha Ke Suye Ittefaq Us Mohakme Ke Deputy Commissnor Sahab Duniya Se Chal Base Aur Angrezi
Mohakma Ko Dar Laga Ke Kahin Kudrat Inteqam To Nahi Le rahi Hai, Aur Is Depot Ko Angrezon Ne Band Kardiya.

( Kitab Kala Pani Tabaa Faisla bad safa no 58 )

Bagawat Ke Ilzam Me Wahabiyon Ko Giraftar Karna Ek Mamool Ban Gaya Tha..

Wahabiyon Ki Jaidad Zabt Karna Bhi Mamool Ka Kaam Tha, Us
Ke Zad Me Khushhaal Gharana Muflis Hogaya, Sirf Ek Sadiqpuri Ke Jaidad Ko Nilaam Karne Se Hukumat Ko 121948 Rupee Mile
The, Jis se Sarkar Ne 33000 Rupee Me Municipal Head Quator Banaya Aur Usi Jagah Banaya Jahan Wahabiyon Ka Ghar Tha

Ek Sadak Banaya Jo Patna City Railway Station Se Patna
Ghaat Tak Jaati Thi

Ek Bazaar Banwaya Jisse Sarkar Ko Salaana 3000 Rupee Mila Karte The.

Ye Us Dour Ki Baat Hai Jab, Bartaniya (Britain) Me 5
pound Me Ek Flat Mil Jaaya Karta Tha .Ye 1860 Ka Waqya Hai

(Hindustan Me Wahabi Tahrik Safa no 295)

1860 Hijri Ke Arse Me Chalne Waale Moqadme Isi Tarah Ba'dastoor Chalte Rahte Toh.

19vin Sadi ke Khatam Hone Tak Wahabi Khatam Ho Jaate

Hanafi Hazrat Yahi Chahte Bhi The, Ke Wahabi Ladte Rahen Aur Unki Jaidaad Zabt Hoti Rahe, Adaladat Use Fansi Ki Saza Ya Kaala Paani
Bhejti Rahe, Yani Isi Dagar Pe Chalte Rahen Jis Ki Pahli Manzil Baalakot Thi

Aur Kat Te Apni Jamaat Ko Khatam Karaalen , Mard Hazrat Jung Karte Huye Marr Jayen, Unki Aurten Aur Bachhe Galiyon Me Bheek Mange
Faqiron Ki Tarah.

Aur Hindustan Se Wahabiyon Ka Safaya Ho Jaye., Aur Taqleed, Wa Jamood Ka Parcham Bila Shikat Lahrata Rahe ..

(Kitab Hindustan Me Wahabi Tahrik Safa No 297)

Lekin Hanfiyon Ka Mansuba Paaye Taqmeel Ko Nahi Pahuch Saka



Via-Rizwan Shaikh