✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***
Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Jinno ki ek Jamaat Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke khidmat mein hazir huyee unhoney arz kiya ki,
" Eh Muhammad SallAllahu Alaihi Wasallam ! Aap apni ummat ko mana farma dijiye Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley se istinja karney se kyuki ALLAH Subhanahu ne ismein hamari Rozi rakhi hai",
Iskey baad Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne aisa karney se mana farma diya.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 39 (Sahih)
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya,
" Do Laanat waley kaamo se bacho".
Sahaba Radi Alllahu anhuma ne pucha," Wo Do kaam kaun se hain"?
Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya," Kisi Raahguzar mein Pakhana karna , ya Sayaadar jagah mein pakana karna".
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 25 ( Sahih)
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne farmaya,
" Jo shaksh ALLAH aur Qayamat ke deen par yakeen rakhta ho usey liye jayaz nahi ki wo Peshaab pakhana Rok kar ke Namaz parhey yahan tak ki wo insey Faraghat hasil kar le".
Sunan Abu Dawud, Vol1, 91