Thursday, June 5, 2014

US SHAKHS KI NAMAZ BAHIN JISKA WAZU NAHIN


 
 
 
 
✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Hazrat Abu huraira Radi Alllahu anhu se rivayat hai ki RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ne farmaya ki

"Us shaks ki namaz nahi jiska wudhu nahi aur us shaks ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho".

Sunan Abu Dawud, Book 1, Number 101

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Ek Sahabi Radi Alllahu anhu rivayat kartey hain hai ki

RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ne ek Shaks ko namaz parhtey huye dekha uskey paaw mein ek Dirham ke barabar jagah sukhi rah gayee thi to AAP sallAllahu alaihi wasallam ne usko wudhu aur Namaz ke lotaney ka hukm diya.

Sunan Abu Dawud, Book 1, Number #175:

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Hazrath Abdullah bin UmrRadi Alllahu anhu se riwayiat hai k Hum RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ke sath Makkah se Madinah ki tarf lautey,

Raste mein humein pani mila hum mein se ek Jamat ne Namaz aser ke liye jald bazi mein Wudu kiya piche se hum bhi pahunch gaye dekha ke inki Aediyan Khushk thii inko pani nahi pahuncha tha

RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ne farmaya," Khushk Aediyon ke liye Aag se qarabi hai pas Wudu poora kiya karo".


Sahi Muslim Hadees 241