Sunday, June 22, 2014

MOLWI MUHAMMAD HUSSAIN BATALWI (RH) KA MALLIKA VICTORIA (QUEEN OF BRITAIN) SE AHLE HADITH NAAM ALLOT KARWAANE KI WAJAH





 Bismillahirrahmanirraheen



WAHABI TAHREEK KOI DEENI TAHREEK  NAHI  THI, YE EK JIHADI TAHREEK THI JISME HANAFI, BARELWI, MUNKIREEN E HADITH KE BAAZ AFRAAD SHAMIL THEY AUR BAAZ NAHIN


HINDI WAHABI:

Janab Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Hanafi Ul Maslak They Aur Inke Kai Ek Ke Baad Ek Khulefa Hone Waale Unke Kai Jaanasheen Bhi HANAFI maslak They,

Yani Ye Sab Hanafi Wahabi They....

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Jamat Mujaahideen Me Janab Shah Ismael shaheed (Rh) Ki Wajah Se Kuch Log Aamil Bil'hadith Bhi They, Lekin Unka Tanaasab Ahnaaf Se Bahut Kam Tha,

Iska Ek Saboot Janab Malwi Sayyed Nasiruddeen (Rh) Damaad Shah Ishaaq Dehlawi (Rh) Ki Imaarat Ke Zamaane Me Saamne Aata Hai,

Iski Tafseel Yun Hai Ke 1834 Me Sayyed Naseerudeen (Rh) Ne Delhi Aur Uske Girdo Nawah Me Tableegh Ka Kaam Karke Mujaahideen Ki Ek Jamaat Faraaham Kar Li Toh Delhi Me Unko Jamaat Ka Ameer Muqarrar Kar Diya Gaya,

Iske Baad Janab Naseeruddeen (Rh) Ne Androon Hind Kai Jagah Apne Nayab Muqarrar Kar Diye, Aur Kai Jagah Puraane Kaarkuno Se Kaam Liya Aur Josh Dilaa Kar Unhe Dobara Jihaad Ki Sar'garmion Me Mashgool Kar Diya,

Phir Mujaahideen E Hind Ki Ek Jamaat LEKAR zil Hijjah 1250 Hijri (1835 CE) Ke Maheene Me Markaz Mujaahideen Sarhad Ki Taraf Rawaana Hue Aur Shikaar'pur Hote Hue 1840 CE Ke Shuru Me Sthaana Pahunch Gaye,

Jahan Ahle E Sthaana Ne Bhi Aapko Apna Ameer Muntakhab Kar Liya,

Chand Maheene Baad Kisi Ne Dhoka Se Unhe Zehar Dekar Shaheed Kar Diya..

(Note: IsKe Baad Sayyed Abdul Raheem, Ameer Muqarrar Hue Jo June 1841 Tak Rahe, Bila'aakhir Azaama'badi Khaandaam Ke Janab Wilaayat Ali (Rh) Ne Tahreek Ki Zamaam'kaar Sambhaali)

Sayyed Naseeruddeen (Rh) Ne Jamat Mujaahideen Ki Tanzeem Nau Ke Dauraan Saare Hindustan Me Ulema Wa Akaabireen Ko Tableeghi Wa Dawaati Khatoot Likhe; Jinhe Aa'aalam Naame Kaha JaaTa Hai,
In Elaam Naamon Ke Mad'owin Ki Tadaad 100 Se Zyada Hai Aur Inke Naam Janab Ghulam Rasool Mehar (Rh) Ne (ghulam ali and sons lahore page 164-166 )Sar'ghujistah Mujaahieen Me Darj Kar Diye Hain, Jo Zel Me Naqal Kiye Jaate Hai


1-Molwi Muhammad Siraajuddeem

Aur Dusre Mukhlis Deen'daar Wa Saakinaan Ajmer


Molwi Khaleelurrahman, Inke Farzand Aur Bhai, Molwi Bahadur Ali, Sayyed Hameeduddeen, Sayyed Muhammad Yaqoob, Sayyed Zainul Aabideen, Sayyed Abul Qasim,


Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Tonk,


Shah Ishaaq, Shah Yaqoob, Molwi Karaamat Ali, Molwi Mahboob Ali, Molwi Naseeruddeen, Molwi Muzaffar Hussain, Molwi Sheikh Muhammad, Hazi Muhammad, Haji Muzammail, mOlwi Hafiz Muhammad Hussain, Mowi Karamullah, Molwi Ilaahi Bakhs, Molwi Jamaludeen,


Hafiz Abdul Rahman, Molwi Muhammad Wazeer Ali ; Mushi Ezd Bakhs, Ameeruddeen, Ameenuddeen, Hafiz Abdul Razzaq, Mowi Abdullah, Molwi Ali Muhammad, Molwi Khurram Ali Bahawal Puri, Molwi Mahmood Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Sayyed Aulaad Hasan, Molwi Bahauddeen, Molwi Abdul Khaliq, Molwi Imam Ali, Hafiz Kiraamuddeen, Molwi Shah Ali, Molwi Abdullah Khan Alwi, Basharat Khan,

Molwi Abdul Majeed, Qari Ahmad Zaman, Hafiz Chhajju Beig, Hafiz Ahmad Khan, Azeem Ullah Khan , Mirza Ayyub Beig, Miyan Ahmad, Miyan Nijabat Ali,

Qazi Abdul Rahman Arab Saraaye Wale, Miyan Ghulaam Mohiudeen, Hafiz Wali Muhammad, Miyan Ruknuddeen, Miyan Ilaahi Bakh Aainah Shaaz, Maolwi Imdad Ali, Molwi Nazeer Hussain muhaddis dehlawi

Nez Dusre Ulema Wa Taaliba Wa Saaleha Saakinaan Dehli..


Molwi Buzurg Ali, Molwi Inaayat Ahmad, Molwi Muhammad Muttaqi, Darogha Raaham..


Saakinaan Meerut

Molwi Wahidudeen, Molwi Khuda Bakhs, Molwi Tahwar Ali, Molwi Khairuddeen, Molwi Muneeruddeen

Molwi Ramzan Ali, Molwi Imaanat Ali, molwi Kareem ullah, Sheikh Rahman Bakhs, Soofi Sahab, Shah Ghulaam Ali, Meer Hadi,

Aur Dusre Saakinaan Amroha

Hafiz Abdul Raheem, Miyan Usman, Miyan Ji Khaleefa

Saakinaan Moradabad

Haaji Sibghat Ullah, Sheikh Muhammad Hussain,

Aur Dusre Deen'daar Saakinaan Garhmukhteshwar,

Molwi Haidar Ali, Molwi Noorul Islam , Akhwan GUFRAN, Akbar Ali Khan , Shah Dil Khan, Hafiz Ahmad Ali, Murtaza Khan, Akhwand Imamudeen, Qari Sahab

Aur Dusre Saakinaan Rampur

Mirza Hasan Ali, Molwi Mahmood Ali, Molwi Makarim Khan, Molwi Sakhawat Ali (Jaunpuri), Molwi Karamat Ali (Jaunpuri)

Saakinaan Kanpur, Farrukhabad, Banda, Bareilly ; Kannauj, Jaunpur...

Molwi Ahmad Ullah, Molwi Rahmatullah, Hafiz Siddeeq,

Aur Dusre Ulema Saaleha Banaras

Sheikh Farzand Ali, Molwi Muhammad Faseeh,

Aur Dusre Ulema Saakinaan Ghazipur, Sahasram Pur, Aarah

Shah Muhammad Hussain, Molwi Wilaayat Ali, Molwi Ilaahi Bakhs,

Aur Dusre Khulefa Sayyed Sahab Saakinaan Azeema'bad, Muzaffar'pur, Chhapra,

Molwi Muhammad Ali, Molwi Imamudeen, Molwi Muraad, Qazi Abdul Baari, Soofi Noor Muhammad, Munshi Ghulaam Rahman, Molwi Hiraasatullah, Molwi Abdullah, Mistri Rajjab Ali

Is Fehrist Par Ek Sarsari Nazar Daal Lene Se Hi Maalum Ho Jaata Hai Ke Inme Aksariyat Ahnaaf Ki Hai,

(NOTE: 1838 Me Jab Ye Elaam Naame Jaari Hue Us Waqt Sayyed Nazeer Hussain Bhi Hanafi They)

Is Fehrist Ko Naqal Karne Se Hamara Maqsood Ye Hai Ke Logon Par Ye Waazeh Ho Jaaye Ke Hanafi Wahabi Kitne They Aur Ahle Hadith Ka Wahabion Me Kitna Tanaasab Tha ???

Nez Ye Baat Bhi Waazeh Ho Jaaye Ke Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Ki Zindagi Me Aur Unke Baad Ke Ashre Me Hanafi Bhi Wahabion Me Shamil They Aur Ahle Hadith Bhi...

Ahnaaf Aur Ahle Hadith Ke Elaawa Peer Naturi Bhi Shamil They,

Sir Sayyed Ahmad Khan Jo Peer Naturi Kahlaate They,

Sayyed Ahmad Shaheed (Rh) Aur Shah Ismael (Rh) Ke Motqad They Aur Apne Aapko Aali Ul Elaan Wahabi Kahte They

Jaisa Ke Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Ne Likha Hai

"Suna Hai Ke Jin Dino Bengal Me Wahabiyon Ki Tahqeeqaat Aur Talaash Ho Rahi Thi Ek European Mo'azziz Afsar Se, Jo Isi Kaam Par Mamoor Tha, Rail Me Sir Sayyed Se Muth Bhedh Ho Gayi, Dono Agra Jaate They Aur Sir Sayyed Ko Kisi Zariye Se Malum Ho Gaya Tha Ke Ye Afsar Wahabion Ki Talaash Par Mamoor Hai, Us Afsar Ne Aapse Poocha Aapka Kya Mazhab Hai ??

Unhone Kaha : Wahabi Musalman Hoon,

Fir Usne Sir Sayyed Ka Saara Pata (Adderess) Daryaaft Kiya, Unhone Sahih Sahih Bayan Kar Diya "

Janab Altaaf Hussain Hali (Rh) Isi Kitab Me Ek Dusri Jagah Likhte Hain

" Dr Hunter Ki Kitaab Ka Review Jo Unhone 1871 Me Likha Tha........ Sir Sayed Ki Un Jaleel Ul Qadr Khidmaat Me Se Hai Jiske Shukr Se Hindustan Ke Tamam Musalman Amuman Aur Wahabi Musalman Khususan Kabhi Ohda Bar'a Nahin Ho Sakte,

Chunke Is Review Me Sir Sayyed Ne Apne Wahabi Hone Ka Iqraar Kiya Tha, Isliye Angrezon Ki Bad'ghumaani Wahabion Se Bilkul Jaati Rahi Thi"

Munshi Ghulam Nabi Marhoom Kahte Hain Ke

"Ghaliban 1871 Me Jab Mr Griffin Diputy Commissioner Lahore Ne Munshi Qader Bakhs Khan Tahsildar Ko District Police Ki Report Par Ba'mujrin Wahabiyat Zer Mu'aakhza Karke Sahab Commissioner Ke Paas Bheja Aur Colonel David Jo Us Waqt Commissioner They , Ye Malum Hua Ke Qader Bakhs Ka Wahi Mazhab Hai Jo Sir Sayed Ahmad Khan Ka Hai Toh Unhone Financial Commissioner Se Shifaarish Karke Unki Tabdeeli Kasoor Me Karwa Di "

Yahan Us Haqeeqat Ki Taraf Ishaarah Kar Dena Bhi Na'munaasib Nahin Hai Ke Na Toh Hindustan Ke Saare Hanafi, Jamat Mujaahideen Yani Syed Ahmad Ki Tahreeq Ke Shamil They, Aur Na Saare Ahle Hadith Isme Shamil They.. Aur Na hi Saare Naturi ; Wahabion Me Shamil They...

Arz Hindustan Ki Kisi Bhi Mazhabi Jamat Ke Na Toh Sab Log Wahabion Me Shamil They Aur Na Sab Unke Mukhaalif,

Ahnaaf Ka Bhi Ek Hi Tabqa Is Me Shamil Hua Aur Dusra Usse Baaher Raha...

Ahle Hadith Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Hua, Aur Dusra Isse Alag Raha,

Naturion Ka Bhi Ek Hi Tabqa Isme Shamil Raha Aur Dusra Alag Raha...

Jab 1860 Ke Ashre Me Hukumat Ne Wahabion Ki Pakad Dhakad Shuru Kiya Toh Ahnaaf Ka Wah Tabqa Bhi Is Jamaat Se Alag Ho Gaya, Jo Pahle Isme Shamil Tha, Aur Tahreek Ka Taqreeban Saara Bojh UN logon Par Aa Raha Jo Aamil Bil Hadith They,

Janab Fazal Rasool Badayuni Ne Hind Me Jab Wahabion Ka Lafz Muta'arif Karaaya Tha Toh Sayed Ahmad Shaheed Ke Hanafi, Ahle Hadith, Aur Naturi Mota'qadeen Ke Liye Yaksa Istemal Kiya Jaata Tha,

Jab Ahnaaf Ne Tahreek Mujaahideen Se Alahedegi Akhtiyaar Kar Li Toh Unhone Wahabion Ka Label Bhi Aamileen Bil Hadith K Liye Makhsoos Kar Diya

Jab Sawaal Paida Hua Ke Agar Tum Wahabi Nahin Ho Toh Ham Wahabion Ko Kahan Talaash Karen ??

Toh Saadgi Se Kah Diya Ke

"Wahabion Ki Talaash Kaun Sa Mushkil Kaam Hai, Wah Saamne Masjid Me Chale Jaao, Jis Namazi Ko Rafulyadain Aur Aameen Bil Jaher Par Aamil Dekho Pakad Lo"

Yun Aamen Bil Jaher Aur Rafulyadain Ke Har Aamil Ko Qata'nazar Is Baat Ke Ke Wah Sayyed Ahmad Shaheed Ki Jamaat Me Shamil Tha Ya Nahin, Wahabi Mashoor Kar Diya Gaya......

(Tarikh Ahle Hadith, Sheikh Bahauddin London)


HIND KE AHLE HADITHON KA TAQABULI JAYEZA


Barre Sagheer Me Ahle Hadith Ek Mazhabi Jamaat Ka Naam RaHa Hai, Jisme Siyaasi Taur Par Mukhtaliful Aaara Log Shamil Rahen Hain, Aur Aaj Ke Daur Me Bhi Unki Ye Rosh Bar'qarar Hai,

Taqseem Hind Ke Baad, Muslim League, National Awaami Party, Awaami League, Tahreeq Istaqlaal, Pakistan Jamhoori Party, Me Ahle Hadith Jamat Ke Afraad ne Shamil Hokar Kaam Kiya Hai,

Jamat Islami Me Jaakar Bhi bahut Se Ahle Hadith Gum Hue Hain,

Isi Tarah Hindustan Me Ahle Hadith Ne Congress Me Bhi Shirqat Ki Aur Dusri Siyaasi Jamaton Me Bhi,

Taqseem Hind Ke Ma'qabl Zamaane Ne Ahle Hadith Ke Arkaan Ne Congress, Muslim League, Ahrar, Jamiat Ul Ulema, Tahreeq Khilaafat Wagerah Jamaton Me Shirqat Ki,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Wahabion Me Shamil Rahe Aur Baaz Arkaan Wahabion Ke Mukhalif Bhi Rahe ,

Isi Tarah Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Me Sir Sayyed Ahmad Khan Ki Talimi Tahreek Ki Himaayat Ki Jin Me Sayyed Mehar Ali, Aur Janab Muhammad Ismael Aligarhi Shamil Hain,

Aur Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sir Sayyed Ki Tahreek Taaleem Ki Mukhaalifat Bhi Ki Jin Me Deputy Imdad Ali Qaabil E Zikr Hai,

Ahle Hadith Ke Baaz Arkaan Ne Sarkaari Mulaazimatein Bhi Ki Jabke Dusre Iski Mukhaalifat Karte Rahe..

Nadwa Ki Tahreek Siyaasi Na Thi, Balke Usme Bhi Ahle Hadith Na Sirf Shamil Rahe Balke Uske Baaniyon (Founders) Me Shamil Hain,

Jinme Muhammad Ibraaheem Aarwi (Rh) Aur Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Hain,

Aur Ye Baat Shayad Qaayedeen Ki Dil'chaspi Ka Ba'as Ho Ke Nadwa Ki Sar'garmion Me Sheikh Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ki Shirkat Wa Shamooliyat Sayyed Nazeer Hussain Muhaddis (Rh) Ki Baraah E Raast Hidaayaat Ki Tahat Thi,

Jaisa Ke Sheikh Muhammad Hussain (Rh) Ne "Isha A Tus Sunnah Jild 16 Page 6 Ke Aakhir Me Likha Hai"

"Khaankisaar Ko Kanpur Ke Madarsha Darul Uloom Ke Dastaar Bandi Me ShamIl Hone Ka Nau'eed (invitation) Pahuncha, Aur Uske Saath Hz Sheikh Ul Qul Maulana Sayyed Muhammad Nazeer Hussain Sahab Ka Is No'eed Par Taameel Karne Ka Huqm Pahunch Gaya, Lihaaza Khaakisaar Ne Azam KanpuR Kiya, Is Taqreeb Se Ummeed Hai Allahabad, Aara, Raheemabad , Zila Darbhanga Wagerah Bhi Jaana Hoga, Jo Sahab Railway Line Par Maskan Rakhte Hon Aur Wah Milna chaahen Toh Wah Allahabad Mu'aarofat Dr Karamatullah Mulaazim Paltan No 5, Aur Aarah Mu'aarifat Molwi Abu Muhammad Ibraaheem Se Milen "

Iske Elaawa Iske Numaaya Qaayedeen Me Muhammad Younus Rais Datawali, Janab Sana Ullah Amritsari, Wagerah Nadwa Ke Baniyon Me Se Hain,

Qazi Suleman Mansoorpuri (Rh) Ek Arsha Tak Iske Ruqn Aur Mu'aawin Rahe,

Is Idaare Ke Kai Sheikh Ul Hadith Ahle Hadith Maslak Ke Haamil They,

Aur Janab Sayyed Suleman Nadwi (Rh) Bhi Janab Ashraf Ali Thanwi (Rh) Ke Zer E Asar Aane Se Pahle Ahle Hadith Hi Samjhe Jate They Jiska Shikwa Karte Hue Janab Shibli Nomani Ne ek Martaba Kaha Tha Ke

"Ajeeb Baat Hai Ke Main Hanafi Hoon Lekin Mujhse Padhne Waale Ahle Hadith Ho Jaate Hain"

Dar Ul Uloom Deoband Me Na Toh Ahle Hadith Ustaazah Ko Ba'gharz Taaleem Wa Tadrees Mulaazim Rakha Jaata Tha Aur Na Wahan Kisi Ahle Hadith Taalib E Ilm Ko Daakhila Diya Jaata Tha

NOTE: Janab Sanaullah Amritsari Jaise Chand Afraad Isse Mustasna Hain,

Lekin Iske Ba'wajood Darul Uloom Deoband Ki Ta'meer Wa Taraqqi Me Ahle Hadith Hissa Lete Rahen Hain

Algharz' Jamat e Ahle Hadith Me Siyaasi Taur Par Kai Qism Ke Log Shamil They Kyonki Jamat E Ahle Hadith Koi Ek Siyaasi Jamat Na Thi Ke Sab Ka Mauqaf Ek Hi Ho,

Ye Ek Mazhabi Jamat Thi Jiska Maqsad Kitab Wa Sunnat Ki Tarweej Tha,

1906 Me Qaayem Hone Wali "All India Ahle Hadith Conference" Bhi Koi Siyaasi Jamat Na Thi Aur Na Hi Isme Saare Ahle Hadith Shamil They,

Sheikh Muhamamd Hussain Batalwi (Rh) Aur Janab Abdul Jabbar Ghaznawi (Rh) Wagerah Isme Shamil Nahin Hue,

Nez Jo Log "All India Ahle Hadith Conference" Me Shamil Hue They Unka Siyaasi Mauqaf Bhi Ek Na Tha,

Maslan Janab Abdul Qasim Saif (Rh) Mutahhida Hinduatan Ke Haami They, Aur Siyaasi Sargarmiyon Ke Liye Unhone "Ahle Hadith League" Bana Rakhi Thi,

Nez "All India Ahle Hadith Conference" Ke Elaawah Bhi Mutahhida Hindustan Me Ahle Hadith Ki Tanzeemein Maujood Rahin JiNme Gurba Ahle Hadith, Motmar Ahle Hadith, Anjuman Ahle Hadith Punjab Shamil Hain,

Taqseem Hind Ke Baad Pakistan Me Sayyed Muhammad Dawood Ghaznawi (Rh) Ki Qiyaadat Me Markazi Jamiat E Ahle Hadith Qayam Hui, Toh Iske Saath Markazi Jamiat E Ahle Hadith Bhi Ban Gayi, Jiske Sar'parast Janab Hafiz Muhammad Abdullah Ropdi (Rh) They,

Hafiz Allama Ehsaan Ilaahi Zaheer (Rh) Ne Bhi Ek Daagh Bel Daali Thi, Jiske Sadar Janab Abdullah Sheikhul Hadith Gujranwala
Rahe, Jamiat Ghurba Ahle Hadith Bhi Shuru Hi Se Sar'garm Rahi Hai,

In Sab Tanzeemon ; Idaaron Ki Chhatri, Ahle Hadith Ka Laqab Tha..

.Hamari Is Baat Ki Wazaahat Yun Ho Sakti Hai Ke Firangi Mahli Bhi Hanafi Hain, Deobandi Bhi Hanafi Hain, Badayuni Bhi Hanafi Hain, Khairabaadi Bhi Hanafi Hain, maharawi Bhi Hanafi Hain , Barelwi Bhi Hanafi Hain,

Aur In sab Ki Chhatri Hanafi Hona Hai,,

Deobandion Me Madani Group Bhi Hanafi Hain, Thanwi Group Bhi Hanafi Hai, Sindhi Group Bhi Hanafi Hai, Tableeghi Jamat Waale Bhi Hanafi Hain, Qari Muhammad Tayyab Bhi Deobandi Hanafi They, Aur Unhe Deoband Se Be'dakahal Karaane Waale Bhi Hanafi They..

Aur In Sab Ki Chhatri, Deobandi Hanafi Hona Hai,

Yahi Baat Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Hukumat Ke Naam apni Darkhwaast Me Kahi Thi Ke

"Main Wahabi Nahin Hoon, Aamil Bil'hadith Hoon Aur Jinki Main Numaindagi Karta Hoon Unhe Wahabi Na Kaha Jaaye, Jo Wahabi Hain Unhe Wahabi Kaho, Khwaah Wah Ahle Hadith Me Se Hon, Khwaah Ahnaaf Me Se, Aur Jo Wahabi Nahin Hai Unko Aisa Mat Kaho "......


JANAB MUHAMMAD HUSSAIN BATALWI (RH) KI (BRITISH) HUKUMAT SE DARKH'KHWAAST KA JAYEZA

Taareekh Ke Mukhtalif Daur Me Aamileen Bil Hadith Ko Mukhtalif Naam Diye Jaate Rahe Hain,

Jinmese Kuch Unke Aqeedah Wa Amal Ke Lihaaz Se Durust Aur Kuch Na'durust Hain,

Maslan Ashab Ul Hadith, Ashabul Asr, Ahlul Asr, Ahle Hadith, Muhammadi, Muwahhid, Salafi, Wagerah Unke Hasab HaQ Naam Hain,

Jabke Zaahiri, Shafai, La'mazhab, Aur Wahabi Kaise Naam Zabar'dasti Unpar Chaspa Kiye Jaate Hain,

Chunke Zaahiri, Aur Shafai, Hone Ka Matlab Baaqi Fiqhi Mazhahib Ki Tarah Kam Se Kam Chauthi Sadi Hijri Ke Girdo Pesh Unka Wajood Saabit Karke Use Ek Naya Firqa Hone Ke Ilzaam Se Bari Kar Deta Hai,

Isliye Unke Zaahiri Ya Shafai Hone Ki Tardeed Ka Kaam Maukhir Karke Yahan Wahabi Ka Naam Unke Liye Ajnabi Hone Ki Wazaahat Karte Hain Kyonki Wahabiyat Nisbatan Naya Firqa Hai,

Kaha Jaata Hai Ke Pakistan, Hindustan, Bangladesh, Mayanmar, Nepal Aur Afghanistan Ke Wah Log Jo Ahle Hadith Hone Ka Daawa Karte Hain, Dar'asal Wahabi Hain Jo Najd Ke Shaikh Muhammad Bin Abdul Wahhab (Rh) Ke Maanne Waale Hain Aur Jo 13wi Sadi Hijri Me Hindustan Me Namudaar Hue Aur 14wi Sadi Hijri Ki Shuru'aat Me Hindustan Ki Bartaanwi (British) Hukumat Ko Darkhwaast Dekar Apne Liye Ahle Hadith Ka Naam Alot Karwa Kar Ahle Hadith Ban Baithe Hain,

Chunke Ek Musannif Ne Likha Hai

" Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Arkaan Ahle Hadith Ki Ek DaStakhti Darkhwaast Par Lieufinent Governor Punjab Ke Zariye Viceroy Hind Ki Khidmat Me Rawaana Kar Di, Us Darkhwaast Me Sar'fehrist Shams Ul Ulema, Miyan Nazeer Hussain Ke Dastakhat They,

Governor Punjab Ne Wah Darkhwaast (Request) Apni Taeedi Tahrir Ke Saath Government Of India Ko Bhej Di, Wahan Se Hasab Zaabta Manzoori Aa Gayi Ke Aaindah Wahaabi Ke Bajaaye Ahle Hadith Ka Lafz Istemaal Kiya Jaaye "

(Jung Azaadi 1857 Az Muhammad Ayyub Qadri)

" Isi Tarah Se CP Government Ki Tarah Se 14 July 1888 Ba'zariye Khat (Letter) Number 407,

UP Ki Taraf Se 20 July 1888 Ba'zariye Khat Number 386,

Mumbai Ki Taraf Se 14 August 1888 Khat Number 732,

Madraas Ki Taraf Se 15 August 1888, Ba'zariye Khat Number 127,

Bengal Ki Taraf Se 4 March 1890, Ba'zariye Khat Number 156, Batalwi Sahab Ko Manzoori Ki Ittela Di Gayi "

(Jung Azaadi 1857 az Muhammad Ayyub Qadiri )

Janab Muhammad Hussain Ki Darkhwaast Ki Wajah

Isha-a-Tus- Sunnah Jild 8 (1886 CE) Me Janab Muhammad Hussain Batalwi (Rh) Ne Lafz Wahabi Ke Istemaal Na Karne Aur Apne Aur Apne Ham'khyaalon Ke Liye Puraane Laqab Ahle Hadith Ke Istemaal Kar Bahes Ki Hai,

Aur Bataya Hai Ke Sarhadi Baghawaton Me Baaz Ahle Hadithon Ki Shirqat Ya Mu'aawinat Tasleem Kar Lene Se Aam Giroh Ahle Hadith Par Ilzaam Baghaawat Qayem Na Ho Sakne Ki Wajah Ye Hai Ke Baaz Afraad Ya Chand Ash'khaas Ka Fa'al Tamam Qaum Ka Fa'al Harghiz Nahin Ho Sakta Aur Na Is Fa'al Se Jumla Ash'khaas Qaum Ya Uske Mazhab Par Ilzaam Aaid Ho Sakta Hai,

Ye Ho Toh Duniya Me Koi Qaum Mazhab Ya Ghair Mazhab Muslim Ya Ghair Muslim Baghawat Se Bari Nahin Ho Sakti,

Kyonke Har Ek Qaum Aur Har Ek Mulk Me Baaz Afraad Se Khud Hi Sultanat Ki Baghaawat Wa Bad'khwaahi Waqu Me Aa Chuki Hai, Jiske Nazaare Europe Wa Asia Me Ek Nahin Sainkdon Maujood Hain,

Aza'aan Jumla Do Chaar Nazeerein (Example) Is Muqaam Me Zikr Ki Jaati Hain

1- Mazhab Mulkon Aur Sultanaton Me Apni Hi Qaum Ke Baaz Afraad Me Dynamate Ka Silsila Jaari Hai,

2- Bahut Salaateen Europe Wa Asia Ko Unhi Ke Ham Qaum Wa Ham'mazhab Ke Ash'khaas Ne Halaaq Kiya,

4- Hamari Malika Caesar Hind Par Uske Ham'qaum Wa Ham'mazhab Logon Ne Kai Dafa Hamla Kiya,

4- Is Waqt Jo Europe Me Khaas'kar London, Ireland Wagerah Me Irish Wagerah Se Fasaad Ka Bazaar Garm Hai, Wah Apne Hi Ham Qaum Wa Ham'mazhab Ash'khaas Ke Haathon Ho Raha Hai,

In Manaazir Aur Afraadi Mukhaalifaton Ke Sabab Se In Tamaam Aqwaam Isaayi Ko Koi Shakhs Baaghi Qaumein Qaraar Nahin Deta, Balke Aaj Kal Ke Mufsideen Irish Ke Liye Tahreek Ho Rahi Hai Ke Inko Madad Ma'aash Mile Taake Wah Be'rozgaari Ke Sabab Fir Fasaad Na Karen,

Pas Ahle Hadith Ke Baaz Afraad Ki Zaati Aur Shakhsi Baghaawat Ke Sabab Poore Giroh Ahle Hadith Ko Baaghi Wa Bad'khwaah Sultanate Kyon Qaraar Diya Ja Sakta Hai ??.................. Ummeed Hai Government Hamari Dar'khwaast Ki Taraf Tawajjoh Karne Ke Waqt In Baaton Ko Pesh E Chasm Rakhegi......... Aur Apne Mulaazimon Aur Ohde'daaron Ke Naam Ba'zariye Circular Aam Aur Qata'i Huqm Nafez Karegi Ki Wah Sarkaari Tahreeraat Wa Ahkaam Me Is Giroh Ko Lafz (Wahabi) Se Mukhaatib Na Kiya Karen, Unke Puraane Laqab Ahle Hadith Se Unko Mukhaatib Kiya Karen,

Government Ne Hamari Is Dar'khwaast Ki Taraf Tawajjoh Na Di Toh Logon Me Tanaza Aur Ikhtelaaf Failega, "

(Mukhtasar Ibaarat Isha Atus Sunnah)


Toh Ye Thi Wah Haqeeqat Jiski Wajah Se Janab Muhammad Hussian Batalwi (Rh) Ne Mallika Victoriya Se DarkhWaast Ki Ke Unko Wahabi Na Samjha Jaaye Balke Puraane Naam Se Pukaara  Jaaye, Warna Us Daur Me Hanafi They Lekin Unmese Kisi Se Ye Fatawa Jaari Nahin Kiya Ke Ahle Hadith Angrez Ki Aulaad Hain Ya Naya Firqa Hai,


 Khud Hanafi Kahte Hain Ke Molana Sayyad Monazir Husain Gilani Ke Shagird Molana Qazi Mohammad Abdur Rahman M.a Usmani Likhte Hain Ke

"Ahle Hadith Ki Tahrik Bhale Hi Kuchh Thi, Kaisi Thi, Mujhe Isse Bahas Nahi Hai. Taaham Ye Manna Padega Ke ,Musalmano Me Jo Al Kitab Sunnah Padhne Aur Padhane Ka Riwaj Aaj Hai..Usme Bahut Hadd Tak isi Tahrik Ka Hath Hai.."

(Kitab Tadween E Fiqah Safa No..59 ,Ulema E Ahle Hadith Ki Khidmat Az Irshad ul haque Ashri safa no..41 )

Ek Aur Hanfi Aalim Moulvi Khalid Mehmud Sahab Deobandi Likhte Hain Ke

" Jamaat e Ahle Hadith Se Hame Tahqiqat E Hadith Me Bhale Hi Ikhtelaf Ho Lekin Is Se Koi Inkar Nahi Kiya Ja Sakta Ke ,19 vi Sadi Me Hadith Ke Jhande Unhin Logon Ne GaaDe Hain, Yahi Log Gaon Gaon Shahar Shahar Ghoom
Ghoom Ke Logon Tak Hadith E Rasool Pahunchai, Us Waqt Na Koi Beroni Imdad Hasil Thi, Ke Jiske Sahare Bari Bari Imaarten Bani Ho, Tanzime Bani Hon...Bas Ek Jazba Tha Ahle Hadith Noujawano Me Ke Hadith Ke Tarjume Liye Phirte The,
Main Sach Kahta Hoon Ke Barre Saghir (Hind Wa Paak) Me Agar
Tark e Taqleed Ki Hawa Na Chalti To Ulema E Deoband Bhi Shayad Aurangzeb Se Aage Nahi Badhte."

(fatwa alamgiri)
(Kitab .Ashare Ahle Hadith Az Moulvi Khalid Mehmud Jild No 2 Safa No.23)

Ye The Hanfiyon Ki Zubani Taarif Jo Na Chahte Bhi Hanafi Ke Munh Se Nikal Hi Jaate Hain, Lekin Mera Maqsad Ye Batana Nahi Hai

Jab Hanafi Ne Khud Aiteraf Kiya Hai Ke Hadith Ki Kitabon Ko Padhane Me Ahle Hadith Ki Den
Hai, To Phir Ye Log Ahle Hadith Se Chhidhte Kiyon Hain ?

Aakhir Kiyon Ye Ahle HadiTh Ko Badnam Karte Hain ?