Friday, June 13, 2014

AZAAN WA AQAAMAT





✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Azaan wa Aqaamat
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah
Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo shaksh Adhan sunkar ye kahey

Allahumma Rabba hadhihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, wabaathhu maqaman mahmudan-il-ladhi waadtah.
usey Qayamat ke din meri shafaat milegi

(Tarjumh: Eh mere Allah jo is sari pukar ka RAB hai, aur Qayam rahney wali namaz ka bhi RAB hai , Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela ata farma, aur Maqam e Mahmood par unka qayam farma, jiska tuney unsey wada kiya hai)

Sahih Bukhari, Vol 1, 614

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki,

Adhan aur Aqamat ke darmiyan ki koi Dua Radd nahi ki jati

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 519

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ,

Muadhdhin ( Azan dene wala) bakhsh diya jata hai jaha tak uski aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai.

Aur Namaz ( ki jamaat) mein aaney waley ke liye 25 Namazon ka sawab likha jata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke gunaah maaf kar diye jatey hain

Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 513

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayiat hai Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya,

" Jab Namaz ke liye Azaan di jati hai to Shaitan peeth pher ker bhaag jata hai .Jab azan khatam hojati hai to wo ajata hai.

Jab Takbeer kahi jati hai to wo peth pher kar bhaagta hai. Jab takbeer khatam hoti hai to phir ajata hai.

Aur Namazi ke dil mein waswase dalta hai falan baat yad ker yahan tak ke Admi ko pata nahi chalta ke isne kis qadr Namaz padhi ".

(Bukhari 608 , Muslim 398)