Saturday, April 30, 2011

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB

HZ SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA


IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE BAARE ME AAPKI ZABAN ALLAH KE RASOOL (SAW) KI TARAH TARJUMANI KARTAI HAI,

IRSAAD HOTA HAI,

"FA-INNA QIR-ATAHA FARI-ZATUN WAHIYA RUKNON TAB-TUS-SALATU BITARKIHA"

TRANS: SURAH FATIHA PADHNA FARZ HAI AUR YE SURAH NAMAAZ KI BUNIYAD HAI, ISKE NA PADHNE SE NAMAAZ NAAKIS HO JAATI HAI,


BHAIYON! BATAO ISSE BADKAR AUR ITMINAN KI SURAT AAP KE LIYE AUR KYA HO SAKTI HAI KI HZ . PEERANE PEER NE( ALLAH KI LAAKHON RAHMATEIN HO) HUZOOR (SAW) KI HADITHON KI TASDEEQ WA TAYID ME KAISA FAISLA KIYA HAI AUR SAAF KAR DIYA HAI KI SURAH FATIHA KE CHHOD DENE SE NAMAAZ NAHI HOTI

Sunday, April 24, 2011

BARELWI AQEEDA

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM


1. AHMED RAZA KHAN BRELWIO KA KHUDA   YE DUA HAI YE DUA HAI YE DUA TERA AUR SUB KA KHUDA AHMED RAZA  

BOOK:-NAGHMATA-AR-ROOH,PAGE#43 ,TABA’AT:HIND          

2. AIK SAHAB JO ALLAH SE 2 SAAL CHOTE HAI    HAZRAT ABU HASAN KHEZQAANI NE FARMAAYA HAI K MAI SUBAH SAWAREE ALLAH TAALA NE MERE SATH KHUSHTI KEE AUR HAME PACHAAR DEEYA(YANEE K NEECHE GEERA DEEYA) AUR YE BHI FARMAAYA K KHANE WALA AUR SONE WALA MUKHTALIF CHEEZEIN HAI AUR YE BHI FARMAAYA HAI MAI APNE RAB SE 2 SAAL CHOOTA HOUN

BOOK:-FAWAIDE FAREEDEEYA ,PAGE#78. TABA’AT:-DERA GHAZI KHAN        


3. ALLAH JHOOT BOOL SAKTA HAI

ALLAH NE KHABAR DEE K FALHA BAAT HOGEE YA NAHEE HOGEE AB OS KA KHEELAAF MUMKIN HAI YA MAHAAL TO MUMKIN HAI NAHEE AUR MAHAAL BIZ ZAAT TO HOO NAHEE SAKTA K NAFS ZAAT MAI EMKAAN HAI TO MAHAAL BILGHAIR HOGA. AB WO GHAIR KYA HAI JIS K SABAB SE YE MAHAAL HAI WO KIZBE ELAHI HAI(YANEE KHUDA K KALAAM MAI JHOOT KA EMKAAN HO SAKTA HAI)


BOOK:-MALFOOZAAT-E-MOLVI AHMED RAZA KHAN BRELWI JILD#4 ,PAGE#22-23


4. ALLAH KO LAAT MAN’AT KEHNA JAIZ HAI BRELIWIO KA AQEEDA HAI K ALLAH KO LAAT MANAAT KEHNA JAIZ HAI ES MAI KOI HARJ NAHEE AUR HUR MUSALMAAN JANTA HAI K LAAT MANAAT MUSHREEKEENE MAKKA K BUTO K NAAM HAI JAISE MOLVI MOHMMAD YAAR GADE WALE BRELWI KA SHEIR MULAHEEZA HO     HEWO DILBAR DEI BANDAAR DUR DEI EHAA ZAAT SAFAAT BULBUL HAA SE GUL THEEYA SE ALLAH LAAT MAANAAT

BOOK:-DEEWANE MUHAMMADI(SAW) PAGE#232  


5. ALLAH KI SHAADI  


HAZRAT MOOSA SAHAG MASHOOR BUZURG GUZRE HAIN..MAIN IN KI ZYARAT SE MUSAHRAF HUA HUN. ZANANA WAZAH RAKHTE THE .EK BAT SHADEED KEHAT PARA.BADSHAH KAZI WA AKABIR JAMA HOKAR HAZRAT KE PAS DUA K LIYE GAE APP IN KAR FARMATE RAHE K KYA MAIN DUA K KABIL HUN.JAB LOGON KI ILATAJA HAD SE GUZAR GAI TO EK PATHAR UTHAYA OR DUSRI HATH KI CHORION KI TARAF LE OR ASMAN KI TARAF MUN UTHA KAR FARMAYA .

MEEN(RAIN)YA APNA SUHAG WAPIS LIGIEN .SUHAGAN BIWI KA YEH KAHNA THA K GHATEIN PHAR KI TARAH UBREEN AUR JAL THAL HO GAI.

BOOK:-MALFOOZAT VOL 2 OG NO 94 PRINTED BY MADINA PUBLISHING KARACHI)


6. ALLAH HAZIR NAZIR NAHEE HAI    

MOLVI AHMED YAAR GUJRATI BRELWI LEKHTE HAI    

(a) .KHUDA KO HAR JAGAH MAI (MOJOOD) MANNA BE DEENI HAI  

BOOK:-JA-UL-HAQ PAGE#122    

(b) HAR JAGAH MAI HAZIR NAZIR HONA KHUDA KI SEFAT HARGIZ NAHEE    

BOOK:-JA-UL-HAQ PAGE#161    


7. ALA HAZRAT NE BOHOT LOGON KO KAFIR BANANYA HAI

19 VE CENTUREY KEY AALA HAZRAT,AHMED RAZA KHAN NE JITNEY LOGHO KO MUSALMAN SE KAFFIR BANAYA HAI, SHAYED HE KISI NE UTNEY LOGHO KO KAFFIR SE MUSALMAN BANAYA HOGA

BOOK:-TAJLIYAT-E-ANWAR-UL-MOUHEEN,PG#37        


8. BRELWIO K NAZDEEK ARIF KI PEHCHAAN     MOLVI MEHMOOD PELANWEE BRELWI LEKHTE HAI     AARIF KI PEHCHAAN ON K NAZDEEK YE HAI K WO AURTO K ENDAAM-E- MAKHSOOS KO ZEER-E-NAZR RAKHTA HO

BOOK:-NAJMUR REHMAN PAGE#104        


9. BRELWIO KA NAZARYA KHATM-E-NABOOWAT     HOZOOR(SAW) KO SOHBAT MAI SUB LOOG NABI HO SAKTE THE QAREEB THA K YE UMMAT SAREE KI SAREE NABI HO JAIE    

BOOK:-FATWA-E-AFRIQA PAGE#132


  10. NABOOWAT KI SHURUWAAT DARASAL ABDUL QADIR JILANI(SO CALLED GHAUSE AZAM OF BRELWI) SE HONEE CHAHYE  ANJAAM DEI AGHAAZE RESAALAT BASHAD EINAK GOHUM TABEI ABDUL QADIR

BOOK:-HADAIQ BAKSHISH JILD#2 PAGE#172 ,MOLVI AHMED RAZA KHAN

YANEE NABOOWAT KA AGHAAZ NAIE SEERE SE HOTA TO ABDUL QADIR JEELAANI K BAD HEE HOTA      


11. HUZOOR(SAW) K BAAD AGAR KOI NABI HOTA TO WO KAUN HOTA?

HAZRAT KHAUJA MUHAMMAD SULEIMAAN TONSVI NE FARMAAYA HAI K AAP(SAW) K BAAD KISI KO NABOOWAT MIL SAKTEE TO QAZI MUHAMMAD AQIL KO MILTEE


BOOK:-MAQABEELE SUL MAJLIS PAGE#70


AB MERA SAWAAL SUNNIO KA AQEEDA HAI K RASOOL( SAW) K BAAD SIRF UMAR HEE NABOOWAT KI AHLEYAT RAKHTE THE MAGAR YE KAUN SE NAYEE SHAKSIAT(QAZI MUHAMMAD AQIL) AGAYE YANEE BRELWI BHI UMAR KI ES FAZEELAT K QAIL NAHEE


12. NABOOWAT KA SILSILA AGAR CHALTA REHTA TO KIS PAR NABOOWAT KHATAM HOTEE


AGAR NABOOWAT KHATAM NAHEE HOTEE TO HAZRAT GHAUSE PAAK NABI HOTE

BOOK:-ERFAANE SHARIAT JID#3 PAGE#83


13. AHMED RAZA KHAN NE ALLAH SE DIRECT TALEEM HASIL KARI


BRELWIO KA AQEEDA HAI K MOVI AHMED RAZA KHAN BHI ALLAH K SHAGIRD HAI AUR ALLAH NE BARAH-E-RAAST( DIRECT) AAL HAZRAT KO TALEEM DEE HAI K (MOULANA AHMED RAZA KHAN) BRELWI TALMEEZ UR REHMAN THE ONHO NE KISI SE SHARFE TALAMMUZ HASIL NAHEE KEEYA(YANEE KISI ENSAAN SE ELM HASIL NAHEE KEEYA)

BOOK:-HAYAATE AHMED RAZA KHAN BRELWI PAGE#152


14. HAQEEQI MUSHRIK KAUN???

HAQEEQI MUSHRIK KHUDA JALLE SHANA HAI

BOOK:-FAWAIDE FAREEDIA PAGE#82 ,TABA’AT:-DERA GAZI KHAN


15. HAWA KA ALLAH K HUKUM KO NA MANNA    

AALA HAZRAT BRELWI NE FARMAAYA

RABBE AZZO JUL NE (GHAZWE AHZAAB) RASOOL(SAW) KI MADAD KARNI CHAHEE AUR SHUMAALI HAWA KO HOKUM DEEYA K JA MERE HABEEB KI MADAD FARMA AUR KAFEERO KO NEEST O NABOOD KARDE HAWA NE ENKAAR KAR DEEYA


BOOK:-MALFOOZAAT-E-AHMED RAZA KHAN BRELWI JILD#4 ,PAGE#93      

BARELWI AQEEDA

Continue


16. HAZRAT MUHAMMAD(SAW) AUR PEER FAREED KO KHUDA KA RUTBA DENA


MOLVI YAAR MUHAMMAD BRELWI GAREE WALA KEHTA HAI K MUHAMMAD(SAW) AUR PEER FAREED DONO KHUDA HAI(NAUZIBILLAH)

SHAIR MUALAHEEZA HO

FAREED BA SAFA HASTI MUHAMMAD MUSTAFA(SAW) HASTI CHEHA GOYUM CHEHA HASTI KHUDA HASTI KHUDA HASTI

BOOK:- DEEWANE MUHAMMADI PAGE#191



17. PEER FAREED KO HAZRAT ESSA(AS) SE AFZAL KARAAR DENA

LAKHOUN JALAIE AAP NE THOKAR K ZOOR SE OTTHA NAHEE MASEEH(AS) SE MARA FAREED KA

BOOK:-DEEWANE MUHAMMADI PAGE#124 ,

MOLVI MUHAMMAD YAAR GADE WALE YANE JO TAQAT FAREED ME HAI WO HAZRAT ESSA(AS) MAI NAHEE      


18. HAZRAT ESSA APNI TABLEEGAAT MAI NAKAMYAAB RAHE


DOOBARA WAHEE BHEJA JAATA HAI JO PEHLI DAAFA NA KAMYAAB RAHEIN EMTEEHAAN MAI DOBAARA WAHEE LOG BULAIE JAATE HAI JO FAIL HOUN HAZRAT MASEEH( AS) PEHLI AAMAD MAI NA KAMYAAB RAHE AUR YAHOOD K DUR K MARE KAAM-E-TABLEEG-E-REESALAT ANJAAM NA DEI SAKE ES LIYE ON KA DOOBARA AANA TALAAFE MA FAAT HAI

BOOK:-JAAMEUL FATWA AL MAROOF ANWAAR USH SHARIAT JILD#2 PAGE#138


  19. HUZOOR(SAWW) KO DHEKNE SE TAMAAM AHLE EMAAN KAFIR HOGAIE

HAZRAT MUHAMMAD(SAW) K NOOR KO DHEKNE SE TAMAAM EMAAMN WALE KAAFIR HO GAIE.

KISI KO ESKI KHABAR NAHEE

BOOK:-FAWAIDE RIZWIA PAGE#80


20. BARELWI NAZARYA K KRISHAN HAR JAGAH MUJOOD HAI


MOLVI AHMED RAZA KHAN BRELWI LEKHTE HAI K KRISHAN HAR JAGAH MOJOOD THA    

SHIEKH NE FARMAYA KRISHAN KEHANYA KAFIR THA AUR AIK WAQT MAI KAIE 100 JAGAH MOJOOD HO GAYA

BOOK:-MALFOOZAAT AHMED RAZA KHAN BRELWI JILD#1 PAGE#28

AUR YE BHI LEKHTE HAI KRISHAN K KAFIR BOOD CHUND SADAR JA HAZIR MEE SHAWAD

BOOK:- AHKAME SHARIAT JILD#2 PAGE193


21. MARDE KAMIL KI PEHCHAAN    


WO MARDE KAMIL HAR OS HAMAL KA MUTELLA HOTA HAI JO ABHI TAK MAA KA PAIT MAI HOTA HAI (YANEE) K KISI AURAT KO HAMAL KARAAR NAHEE PATA MAGAR WOO SE JANTA AUR DHEKTA HIA

BOOK:-NAJMUR REHAMN PAGE#104 ,

MOOLVI MEHMOOD PELAANWI BRELWI


22. RASOOL(SAWW) KO APNI AKHEERAT KA ELM NAHI THA


60 SAAL TAK HAZRAT(SAW) KO APNI NEEJATE AKHIR KA ELM NAHEE THA

REESALA:-WA MA ADRI PAGE#6 MOSADDEQA MOLVI ABUL HASANAAT WA ABUL BARAAKAAT BRELWI      


ALLAH K SEWA RASOOL(SAW) KO KHUDA KEHNA    


KHUDA KARNA HOTA JO THAKTE MASHEEYAT KHUDA HO K AATA YE BADA KHUDA KA

BOOK:-MALFOOZATE AHMED RAZA KHAN JILD#2 PAGE#48    


YANEE HAZRAT MUHAMMAD (SAW) KO KUDA KA DARJA DENA  


23. KYA RASOOL(SAWW) KI YE SHAAN HAI BRELWIO K NAZDEEK    


QUL INNAMA ANA BASHRUN MESLIKUM(QURANI AYAAT)

“ AE MEHBOOB!FARMADO K TUM JAISA BASHR HOUN

NAIZ ES AYAT MAI KUFFAR SE KHATAAB HAI KYUN K HAR CHEEZ APNE GHAIR JINS SE NAFRAT KARTI HAI LEHAAZA FARMAAYA GAYA K AE KUFFAAR TUM MUJH SE GHABRAO NAHEE MAI TUMHAREE JINS SE HOUN YANEE BASHER HOUN

SHEEKAARI JANWARO KISI AWAAZ NEEKAAL KAR SHEEKAAR KARTA HOUN

BOOK:-JA UL HAQ PAGE#175 ,176


 24.AAL HAZRAT SAHABA SE AFZAL THE


BRELWI AQEEDA

(AHMED RAZA KHAN KA) ZOHOD O TAQWE KA YE AALM THA K MAIN E BAAZ MASHAHIK KARAAM KO YE KEHTE HOIE SUNA HAI K EN KO DHEK KAR SAHABA KI ZEEYARAT KA SHAUQ KUM HO GAYA  

BOOK:-WASAAYA SHAREEF PAGE#24 TABA’AT:-HIND AALA HAZRAT

QIBLA SAHABA K ZOHOD O TAQWE KA MUKAMMAL NAMUNA AURA ATAM HAI  

BOOK:-WASAAYA SHAREEF PAGE#33 TABA’AT:-HIND


25. BRELWIO K SAYYADUL ANBIA KAUN???


SAYYADUL ANBIA WA RAEES UL FUZLA MANZAIR E AHLE SUNNAT HAZRAT NASIR UL ISLAM WUL MUSLIMEEN SULTANA UL MANAZEEREEN MAZHAR AAN HAZRAT SHIAR O BEESHA WA AHLE SUNNAT MOULNA MOLVI MUFTI HAFIZ QAREE OBAID UR REZA MUHAMMAD HASHAMAT ALI KHAN SAHIB QIBLA QADRI BARKAATI MUDDE ZILHUM AQDUS    

BOOK:-ALFAQHEE AMRITSAR PAGE#8 ,14 ;7 JULY 1945    

YE DARASAL AIK AALIM KO EN ALQAAB SE KHEETAAB KEEYA JA RAHA HAI


26. SHEITAAN APNI AWAAZ RASOOL(SAWW) JASIE NEEKAAL SAKTE HAI


SHEITAAN APNI AWAAZ RASOOL(SAW) KI AWAAZ SE MUSHABE KAR SAKTA HAI

BOOK:-MUWAEEZE NAEEMIA JILD#2 PAGE#142


27. SHEITAAN SE BRELIW AQEEDAT


SHIETAAN LOOGO SE SHIRK KARATA HAI KHUD KABHEE BUT APRASTIAY SHIRK NAHEE KAR SAKTA WO BADA MUWAHHID HAI AISA MUWAHHID K OS NE KHUDA K HUKUM SE ADAM(AS) KO SAJDA TAHAYYA NA KEEYA


BOOK:-TAFSEER-EL-NOOR-UL-ERFAAN PAGE #411 ,

MOLVI AHMED YAAR GUJRATI


28. BRELWIO K NAZDEEK SHEITAAN AUR RASOOL(SAWW) BARBAR HAI


DUR MAZHAB-E-ASHEEQAN YAK RUNG EBLEES O MUHAMMAD AST HUM RUNG


BOOK:-TAKEERA-E-GHOUSIA PAGE#255 ,TABA’AT:-GANJ SHAKER ACADEMY LAHORE

YANEE EBLEESE LAEEN AUR MUHMMAD(SAW) HUM SUNG O HUM WAZAN HAI(YANEE K ELM O MARTABE MAI BARABAR HAI)


29. 3 Khdao Par Yaqeen Rakhne Wala Bhi Musalmaan Hai


TEEN KUDA MANNEY SE MUSALMAN MUSHRIK NAIN BANTA.

BALKEY TAB BE MUSALMAAN REHTA HAY.

Book:-FATAWA-E-RIZWIA,VOL.1 ,P.NO:P 738 ,MATBOA AWAL HIND    

AHMAD RAZA KHAN AUR ANGREZI HUKUMAT KI NUMAINDAGI

Continues



30. AALA HAZRAT NE KABHI BHI SHARIAT KI PASDAARI NAHEE KAREE


SOMETIMES HE UTTERED WORDS THAT WERE NOT WORTHY OF A COMMON MAN, MUCH LESS OF A MAN TO WHOM LEARNING AND LEADERSHIP HAVE BEEN ATTRIBUTED. THIS HABIT WAS SO MUCH DEEP ROTTED IN HIM THAT HIS FRIENDS AND ADVOCATES OF HIS BELIEFS AND THOUGHTS WERE FORCED TO SAY, ‘HE WAS HARD HEADED AND CALLOUS TO HIS OPPONENTS. HE DID NOT TAKE ANY CARE REQUIRED BY THE SHARIA’

BOOK:-HAYAT ALA HAZRAT, P.211


31. AALA HAZRAT AUR ANGHEEROZO KI KHIDMAT


MAIN ANGREEZ KA KUD KASHTA POUDA HOON    

BOOK:-TABLIGH-O-RISALAT,VOL.8 ,PAGE NO 19

MERI UMER KA AKSAR HISA SALTANNAT-E- ANGREZI KI TAHID WA HIMAYAT MAIN GUZRA HAI AUR MAIN NEY MAMANAT-E-JAHAD AUR ANGREEZI ITAAT KE BARE MAIN ISS QADER KITABAIN LIKHI HAIN AUR ISHTEHARAAT SHAYA KIYE HAIN KEY AGAR WOH RASAIL AUR KITABHE IKHATTI KI JAIY TO 50 ALMARIYAN IN SE BAR SAKTI HAIN.


BOOK:-TARYAK_UL_QULUB PAGE NO: 25


MAIN APNEY KAAM KO NA MAKKA MAIN ACHI TARHA CHALA SAKTA HOON NA MADINEY MAIN NA ROOM MAIN NA IRAN MAIN NA KABUL MAIN MAGAR ISS GOVERNMENT MAIN JIS KEY IQBAL KEY LIYE DUA KARTA HOON  


Book:-TABLIGH-O-RISALAT,VOL.6 ,PAGE NO: 69


BALKEY IS GOVERNMENT KEY HUM PAR ISS QADER EHSANAT HAIN KEY AGAR HUM YAHAN SEE NIKAL JAIY TO NA HAMARA MAKKA MAIN GUZARA HO SAKTA HAI….. AUR NA HI QUSTUNTUNIYA MAIN……. TO PHIR KIS TARHA HO SAKTA HAI KEY HUM IS KEY BAR-E-KHILAFAT KOI KHYAAL APNEY DIL MAIN RAKHEY.


Book:-MALFUZAT-E-AHMEDIYA,VOL.1 ,PAGE NO:146


AUR MAIN YAKIN RAKHTA HOON KEY JESSEY JESSEY MERE MUREED BARHEY GAIN…..WAISEY WAISEY MASLA JIHAD KEY MUTAAKAD KAM HOTEY JAIN GAIN….KIYON KEY MUJYE MASEEH AUR MEHDI MAN LENA HE MASLA JIHAD KA INKAR HAI.

Book:-ZAMIMA SHADAT-UL-QURAN,PAGE NO:17


HUKUMAT-E-BARTANIA MUSLAMANAN-E-HINDUSTAN KE WASTAY REHMAT-E-KHUDA WANDI KI HAISIAT RAKHTI HAI. AIS HUKUMAT NE YAHAN KE TAMAM FIRKOUN MAIN AMAN PAIDA KAR KE IN PER AHSAN-E-AZIM KIYA HAI. LAEHAZA IS KE KHILAF JANG-O-KITAL KIS TARAHA JAHIZ HO SAKTA HAI.


Book:-TALKHIZ RISALA-TAL-AMARAAT WAL JIHAD


32. MUSLIM LEAGUE K KHEELAAF AALA HAZRAT KA FATWA DENA


MUSLIM LEAGUE MAIN MURTADEEN SHAMIL HAIN IS KI HIMAYAT KARNA, AUR IS MAIN CHANDA DEHNA,IS KA MEMBER BANNA,IS KI ISHAT-O-TABLIGH KARNA MUNAFIQEEN-O-MURTADEEN KI JAMAT KO FOROGH DENA AUR DEEN-E-ISLAM SE DUSHMANI KARNA HAI.


BOOK:-AL JAWABAT-AL-SANEYA,ALA ZAHA,AL SAWALAT-AL- LAHYEGIYA,P.NO 32 ,ALLAMA ABUL BARKAT  



33.BRELWIO KA FATWA QUAID–E–AZAM K KHEELAAF


(a) MR. M ALI JINNAH BUD MAZHAB HAIN.BAD MAZHAB SARAY JAHAN SE BADTER HAI.

JAANWAROON SE BE BADTER HAI.DOZAKHYON KE KUTOON SE BADTER HAIN.

KIYA KOI SACHA IMANDAR MUSALMAN KISI KUTAY AUR WOH BE DOZAQI KUTAY KO APNA QUAID BANANA PASAND KARYE GA.?


Book:-MUSLIM LEAGUE KI ZARYI BAKHYA DARYI,P.NO 119


(b) AGER IN DO KUFFER PER IKTAFADA KARTA TU M.ALI JINNAH KI KHUSUSIAT HE KIYA REHTI.LEHAZA WOH APNI SPEECH AUR LECTURES MAIN NAI NAI KUFFERIYAT BAKTA REHTA THA.


Book:-TAJANIB-E-AHLEL SUNNAHTH,P.NO 122


(c) MR.JINNNAH APNE AQAIED-O-KUFFERIYAT KI BINA PER KAFFIR AUR KHARIJO-UL-ISLAM HAIN.

Book:-TAJANIB-E-AHLEL SUNNAHTH,P.NO 122


(d) AGER RAHAFZI KI TAREEF HALAAL AUR JINNAH KO IS KA AHL SAMAJ KAR KARTA HAI TU WOH MURTAED HAI AUR IS KI BIVI IS KE NIKKAH SE NIKAL GAYI.  


Book:-AL JAWABAT-AL-SANEYA,ALALA ZAHA,AL SAWALAT- AL-LAHYEGIYA,P.NO 32 ,ALAMA ABUL BARKAT    


34. PEER JAMAL ALI SHAH HAZRAT YUSUF(AS) SE AFZAL     KHADIM HAI


TERE JITNE SARE HASEEN JAWA K YUSUF(AS) SE TUJH PAR QURBAAN SHEEREIN BAQAAL WALE]


Book:-anwar ali poor page#1


YANEE PEER JAMAT ALI SHAH(JIN KI SHAAN MAI YE SHAIR HAI) HAZRAT YUSUF(AS) SE HUSUN AUR JAAMAL MAI AFZAL HAI AUR TAMAAM HUSNO JAMAAL RAKHNE WALE JAMAAT ALI SHAH PAR QURBAAN



35. BRELWI AUR RASOOL(SAW) KI EZZAT  


JIBRAEL(AS) KAL KISI WAQT HAZRI KA WAADA KAR K CHALE GAIE DOSRE DIN ENTEEZAAR RAHA MAGAR JIBRAEL HAZIR NA HOIE SARKAR(SAW) BAHAR TASHREEF LAIE MULAHEEZA FARMAAYA K JIBRAEL(AS) DARE DOOLAT PAR HAZIR HAI FARMAAYA KYUN!!!! (JIBRAEL NE) ARZ KEEYA “REHMAT K FARSHTE OS GHAR MAI NAHEE AATE JSI AI KUTTA HO YA TASWEER HO.”

HUZOOR(SAW) ANDAAR TASHREEF LAIE SUB TARAF TALAASH KEEYA KUCH AN THA PALANG K NEECHE AIK KUTTE KA PILLA NIKLA OSE NEEKALA TO (JIBRAEEL) HAZIR HOIE


BOOK:-MALFOOZATE AHMED RAZA KHAN JILD#3 PAGE#7



36. HAZRAT YAQOOB(AS) K SARE BETE NABI HAI AUR NABI KA MASOOM HONA LAZMI NAHEE



HAZRAT YAQOOB(AS) K SARE FARZUND NABI THE AUR NABI KA NABOOWAT SE PEHLE MASOOM ONA ZAROORI NAHEE


BOOK:-TAFSEER NOOR UL IRFAN PAGE#162 

MAZAAR PAR LARKI KA JAANA AUR HUJRE ME KAALI KARTOOT (BARELWI AQEEDA)

MAZAAR PAR SHAH SAHAB KI KARTOOT


MAZARAAT PAR LARKION KA CHARHAWA AUR BRELWI



HZ SYEDI ABDUL WAHAB AKABIR AULIA ME SE HAIN .HZ SYEDI AHMED BADWI KABEER KE MAZAR PAR BOHUT BARA MELA AUR HUJUM HOTA TAH .IS MAJME MAIN CHALE ATAY THE,EK TAJIR KI KANEEZ PAR NIGAH PARHI NIGAH FOURAN PHER LI KE HADEES MAIN IRSHAD

HOWA AN NAZAR AULA LAKA SANIYA ALAIK

PAHLIO NAZAR TERE LIYE AUR DOSRI NAZAR TUJH PAR YANI PAHLI NAZAR KA KUCH GUNAH NHI DOSRI NAZAR KA MUWAKHZA HOGA ,KHAIR NIGAH TO APP NE PHER LI,MAGAR WO APP KO PASAND AYI ,JB MAZAR SHAREEF PAR HAZIR HOWE IRSHAD FARMAYA ABDUL WAHAB WO KANEEZ PASAND HAI,ARZ KI HAAN APNE SHEIKH SE KOI BAT NHI CHUPANA NHI CHAIE IRSHAD FARMAYA ACHA HUM NE TUM KO WO KANEEZ HIBA KI,AB APP SAKOOT MAIN HAIN K KANEEZ TO IS TAJIR KI HAI OR HUZOOR HIBA FARMATE HAIN,MAHAN WO TAJIR HAZIR HOWA ,AUR IS NE KANEEZ MAZAR-E-AQDAS KI NAZAR KI,KHADIM KO ISHARA HOWA UNHOON NE APP KI NAZAR KARDI,IRSHAD FARMAYA ABDUL WAHAB AB DAIR KAHE KI,FALAN HUJRA MAIN LE JAOW AUR APNI HAJAT PURI KARO.


BOOK:-MALFOOZAT AALA HAZRAT JILD#3 PG#32

ALLAH KA FARMAN

Bismillahirrahmanirraheem


ASSALAM O ALEKUM


Mout Aur Zindagi.! Wo ( Allah) Hi To Hy Jo Raat Ko Tumhari Rooh Kabz Karta Hy Aur Jo Kuch Tum Din Me Karty Rehty Ho, Wo Iss Ko B Janta Hy, Phr Dosry Roz (Subah) Tmhy Iss Se Jaga Deta Hy Taa K Zindagi Ki Muqarrah Muddat Pori Ho. Akhir Kaar Isi Ki Traf Tum Ko Wapis Jana Hy, Phr Wo Tumhy Bata Dy Ga K Tum Kya Karty Rahey Ho.!

{Surah Al-InamAyat 60}  

Allah K Nafarman Logon Ka (Duniya Mai Aish Ki Zindagi Guzarna Aur) Unka Chalna Phirna Tum Ko Kisi Dhoke Mai Na Dal De. Ye Mehez Chand Roza Zindagi Ka Thora Sa Lutf Hai, Phir To In (Nafarmano) Ka Thikana Dozakh Hi Hoga Jo Bad Tareen Aram Gah Hai .

(SURAH AL IMRAN AYAT 196-197) 


"Hum Ne Tumhain Zameen Main Ikhtiyarat k Saath Basaya Aur Tmhare Liye Yahan Saman-e-Zindagi Faraham Kia, Magar Tum Log Kam Hi Shukar-Guzaar Hote Ho"

(Surah Aaraf)

Saturday, April 23, 2011

KYA TAQLEED WAJIB HAI??

Bismillahirrahmanirraheem




yeh baat buhot mashahur hai ke char(4) imam barhaq hein aur awaam apar in ki taqleed karna wajab hai ,

char 4 imamon se muraad IMAM MALIK RH, ABU HANIFAH NAUMAN BIN SABIT RH, MUHAMMAD IDREES SHAFEE, AHMED BIN HAMBAL (RH) HAIN .

charoon sahiban ka buhot buland ilmi martabah hai aur deen-e- islam mein in ki khidmat kisi se dhaki chhuppi nahi hein,

lekin in ke darjaat imamat par faiz hone aur awam par in ki taqleed ke wajab hone ki koi daleel QURAN O HADEETH se nahi milti.

QURAN O HADDETH hi asal deen hai, jab yahan se hum kisi baat ka saboot paa lein to phir taweel ki gunjaish nahi rehti aur jab humein kisi baat ka sabut nahi milta,to phir isse tasleem karne ki koi gunjaish hamare pas nahi.

Is liye ke hum shariyat ke tabeh hein, shariyat saz nahi.

chànd nadan qisam ke muqalid Ayat e Qurani فَسۡـَٔلُو ٓاْ أَهۡلَ ٱلذِّكۡرِ إِن كُنتُمۡ لَا تَعۡلَمُون َ se yeh jowaz nikalte hein ke is ayat mein awaam ko inki taqleed ka hukam diya geya hai


halanke inka yeh qol ALLAH TAA'LA par iftra hai aur ALLAH TAA'LA par jhoot bolte huwe zara barabar bhi nahi sharmate.

sura An-Nahl ki is ayat ka ma'qbal ma'baad is baat ki saf saf wazahat kar raha hai ke yahan ahlul zikar se murad ahle anjeel hein (ahle kitab )na ke UMMAT E MUHAMMADIYA ke ulma.

phir yeh nadan muqalid jowaze taqleed apne zaime batil mein sabit to kar dete hein.lekin hamara sawal aaj bhi kham thonk kar khara hai ke is ayat se apne char imamon ki taqleed ka bhi sabut do ke ahle zikar se sirf yahi char murad hein aur yahan yeh hawala bhi beyja na ho ga ke mazkurah bala ayat se murad QURAN O HADEETH ka hukam daryaft karna hai,logoon ki baatein maan lene ka hukam nahi.

yahud o nisara apne molvion aur darweshoon ka kehna mante thay,is liye ALLAH TAA,LA ne mushrik farmaya.mo minoon ko hukam diya ke logoon qol mat poocho balke yeh poocho ke ALLAH TAALA aur Rasool Allah s.a.w ka hukam keya hai(muqada ma -Alamgeeri )


haqeeqat yeh hai ke islam ki haqeeqi taleem se logon ko sab se ziyada bargshata karne wali bidat yehi taqleed aimah arba hai. ke is ke sabab logon ne Rasool Allah s.a.w ke aqwal,ahad eetho sunan mubarka tark kar diya aur in logon ke aqwal o afaal ki pervi karne lage hein. jin ki taqleed karne ka hukam na ALLAH ne diya aur na Rasool Allah ne diya .

kyon ke woh nabi nahi thay balke ummati thay. yahan sawal yeh bhi paida hota hai ke jab yeh taqleed chothi(4 th ) saddi hijri mein shuru hui to woh muslaman jo is taqleed ke shuru hone se pehle hi taqleed par amal kiye baghair is duniya se rukhsat ho gaye in ka kiya bane ga aur in mein sahabah ikram (r.z) tabei n tabah tabeib sab log shameel hein jo qaroon e salasah ke log hein. jin zamanoon ke mutliq Rasool Allah s.a.w ne khair ki khabar di aur yeh hadeeth BUKHARI ( 2651) mein hai.

natija yeh nikla ke taqleed sarasar bidat hai

yahan aik etraz kiya jata haike shariyat mut'harah ka beshtar hisah woh hai jis par yeh charoon imam mutfiq hein aur baqol Shah walli allah muhadees dehlvi (rh)in charron bazurgoon ka kisi masla par itfaq karna "ijmaa ummat" ki alamat hai yeni jis masla par aima arba mutfiq hoon.samjh lena chaiye ke suhabah ikram se le kar aaj tak puri ummat is par mutfiq chali aayi hai is liye aima arba ke itfaqi masla se bahir nikalna jaiz nahi.

jawaban arz hai ke aima arba kisi masla par mutfiq hoon woh agar ijma e ummat hai to sab se pehle aima arba ke muqliddeen khasusan HANFI is ke mukhalif hein.

RAFULYADAIN PROOF FROM SAHIH HADITH

Bismillahirrahmanir raheem


Rafulyadain proof from Sahih hadith


Abdullah bin zubair r.a. Farmate hai:- Maine Abu Bakr R.a. ke pichhe Namaz perhi wo namaz ke shuru me aur rukoo se pahle aur rukoo se jab sar uthhate the to apne dono hath uthhate the aur kahte the Rasulullah sws bhi Namaz ke shuru me aur rukoo se pahle aur rukoo se sar uthhane ke baad rafadain kerte the.

{Bahqee 2 /73 }


Hajrat Umar Farooq r.a.:--

Umar Farooq r.a. ne ek martaba Logo ko namaz ka tareeka bataaane ka iraada kia to Qibl-e- rukh ho ker khare ho gaye aur dono hatho ko kandho tak uthhaya Fir “ Allah Akber “ kaha fir rukoo kia aur isi tarah kiya aur rukoo se sar uthha ker bhi Rafa dain kia.

{Bahqee 1 / 415 , 416 }

Hajrat Ali r.a.:- Saydena Ali r,.a, Fermate hai Rasululah sws Namaz ke shuru me , rukoo me jaane se Pahle aur Rukoo se sar uthhane ke baad aur do Rekaate perh ker khare hote waqt Rafa dain kerte the.


{ Abu Dawood 744 , } {Ibne Maza 864 } {Imam tirmizi ne sahi kaha 3423 }

Abdullah bin Umar r.a.

:- Abdullah bin umar r.a. Fermate hai Rasulullah sws shuru Namaz me, Rukoo se pahle aur rukoo ke baad apne dono hath kandho tak uthaya kerte the aur sazda me aisa nahi kerte the.

{ Bukhari : 735 , } {Muslim, 39 0 }


Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.


{ Bukhari 739 }


Imam Bukhari ke rahmatulla h ke ustaad Ali bin Madni Rahmtulah Fermate hai ke Hadith Ibne Umar r.a. ke bina per Musalmaano pe Rafadain kerna zuroori hai.


{Altalkhee sul zabeer 1 /218 }


Malik bin huwairas r.a. Shuru Namaz me Rafadain kerte fir jab rukoo kerte to rafadain kerte. Aur jab rukoo se sar uthhate to rafadain kerte aur ye fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kia kerte the.


{ Bukhari: 738 } { Muslim: 391 }


hz Waail bin Hazar R.a. Fermaate hai : Maine Nabi Akram sws ko dekha jab aap namaz shuru kerte to “ Allah Akbar” kahte aur apne dono haath uthhate, fir apna haath kapre me dhaank lete fir daya haath baye per rakhte. Jab rukoo kerne lagte to kapro se haath nikal lete “ Allah Akber “ kahte aur Rafadain kerte , jab rukoo se uthhte to “ Sameallah huleman Hameeda “ Kahte aur Rafadain kerte.


{ Muslim 401 }


Wail bin hajar r.a. 9 Hijri 10 hijri me Rasullulah sws ke paas aaye. Lehaza ssabit hua ke Rasulullah sws 10 Hijri tak Rafadain kerte the , 11 Hijri me Nabi Rahmat sws ne Wafaat paayi.


Abu Hameed Sa-sadi r.a. ne 10 Sahaba Ekraam r.a. ke ek majme me beyan kia ke : Rasulullah sws jab Namaz shuru kerte aur jab rukoo me jaate, Jab rukoo se sar uthhate aur jab 2 rekaate perh ker khare hote to Rafadain kerte the . Tamaam sahabi ne kaha tum sach beyaan kerte ho , Rasulullah sws isi tarah namaz perhte the.


{ Abu Dawood 730 } { Tirmizi 304 , Imam Tirmizi ne hasann sahi kaha hai} { Ibne- habban 5 /182 }


Imam Ibne Khazeema Rahmtullah is Hadith ko riwayat kerne ke baad Fermate hai ke maine Muhammad bin Yahyaa ko ye kahte hue suna ke jo shaksh hadith Abu hameed sun ne ke bawajud Rukoo me jaate aur us se sar uthhate waqt Rafadain nahi kerta to uski Namaz Naaqis hogi.

{ Sahi Ibne Khazeema 1 /298 , 588 }


Hajrat Abu Moosa Ashaari r.a. ne Fermaya , Kya Mai tumhe Rasulullah sws ki Namaz na batau ? Ye kah ker unhone Namaz perhi Jab Takbeere Tahreema kahi to Rafadain kia, Fir jab rukoo kia to Rafadain kia aur Takbeer kahi aur Rukoo se sar uthaate waqt “ Sameallah huleman Hamida kah kar dono haath uthaye aur fermaya “ Isi tarah kia kero “ .

{ Dar Qatni 1 /292 } { Hafiz Ibne Hazar in Altalkhees 1 /219 }


Abu Hurraiaa R.a.

Abu hurraira r.a. Fermaate hai ke Rasulullah sws shuru Namaz me, Rukoo se pahle aur rukoo ke baad apne dono haath uthhaya karte the.

{Ibne Maza 860 } { Ibne Khazeema 1 /344 by Hadith 694 sahi kaha hai.}


Hajrat Jabir bin Abdullah r.a. Jab Namaz shuru kerte , Jab rukoo kerte aur jab rukoo se sar uthhate to Rafadain kerte aur fermaate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah karte the.


{ Masnadul Siraj , Ibne Maja 868 , Imam ibne hajar ne sahi kha ahi }


AIY ALLAH HAM SAB BHAIYYON KO RAFULYADAIN KARNE KI TAUFEEQ DE..... AMEEN SUMMA AMEEN

Friday, April 22, 2011

FIQH HANAFI AUR HADITH E NABAWI ME IKHTELAAF

Birmillahirrehmanir raheem


Is article me ye samjhane ki koshish ki jaayegi ke FIQH aur SAHIH HADITH Me ikhtelaaf ho to iski taraf ruju karna chahiye.....AFSOS Hamare muqallid bhai hadith chhod dete hain aur fiqh par amal karte hain.

Yahan kuch ikhtelaaf bayan kiye ja rahe hain..


KUTTE KA CHATNA:

Nabi sws ka huqm hai:-

" Hz abu hurairah ra riwayat karte hue kahte hai ki nabi sws ne farmaya jab kutta tumhare bartan se paani pee jaaye to use 7 baar dho"

( Bukhari)

Fiqh kahti hai-" jab bartan se kutta pee jaaye use 3 baar dho"

( Hidaya, kitabut tahara)

Bukhari aur muslim ki hadith ke khilaaf hai! Bhaiyyon zara socho,


BAITULLAH KI CHAT(ROOF) PAR NAMAZ:


Nabi sws ki manahi:-

" Hz ibne umar ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi sws ne baitullah ki chhat par namaz padhne se mana kiya"

( Tirmizi)

But fiqh kahti hai

" Kaabe ki chhat par namaz padhna jayez hai"

( hidaya baabus salat phil kaaba)



AURTON KI IMAMAT KA MASLA:

Nabi sws ki izazat-

" nabi sws ne umme warqa ko apne ghar walon ki imamat karane ka huqm diya"

(abu dawood baab imamatun nisa)

"hz aisha ra tahira ra ke beech me khadi hokar aurton ki imamat karti thi"

( mustardark haakim baab imamatul imraat)


Fiqh kahti hai-

" sirf aurton ko jamaat se namaz padhna maqrooh hai"

( hidaya baabul imamat)

Hanafi bhaiyon! Nabi kareem sws to sirf aurton ko bhi jamaat se namaz padhne ki izajat den aurat ki imamat aurton ke liye jayez rakhi gayi lekin fiqh me yah kaam mana qaraar paya gaya, socho to sahi hadith ki barabari kitni buri cheez hai aur nabi sws ke huqm ke muqable me nahi kahna kitni badi zyadati hai aur phir is fiqhi yukrah se is kaam ko haram samjh rakha hai ki hanafion ke yahan aurat ki imamat aurton ke liye bilkut hai hi nahi.


NABAALIGH( UNDER AGE) KI IMAMAT:

" AMR BIN SALMA RA NE 6 YA 7 SAAL KI UMAR ME LOGON KI IMAMAT KARAYI"

( Bukhari)

Logon ne amr bin salma ko apna imam banaya uske peeche namaz padhi, nabi sws ko is imamat ka zaroor pata tha agar bacche ki imamat najayez hoti to huzoor mana kar dete ya zaroor aasmaan se wahiy aa jaati ki bacche ki imamat jayez nahi, isliye bacche ki imamat se khuda aur uske rasool sws ki khamoshi bacche ki imamat ke jayez hone ki daleel hai


FIQH:

" nahi jayez waaste mardon ke namaz padhe peeche aurat ke ya bacche ke"

(hidaya part 1 babul imamat)

Amr bin salma ra saat saal ke bacche ke peeche nabi kareem sws ki zindagi me qur'an ke utarne ke dauraan me mardon ne namaz padhi, na khuda ne roka, na huzur ne mana kiya lekin fiqh kahti hai "nahi" jayez hai ye kaun sahab hain kahne wale, yah to sirf nabi sws ka hi haq hai , ummati bina daleel ke aisa nahi kar sakte.


GIFT KI HUI CHEEZ KA MASLA:


Nabi sws ka irshad hai-

" hz ibne abbas ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi sws Ne farmaya gift ki hui cheez ko wapas lene waala kutte ki tarah hai jo apni ulti(qaiy) karke chaat leta hai"

( bukhari)

FIQH:

" jab kisi gair aadmi ko koi cheez gift kar di jaaye to girf karne wale ko use waapas lene ka haq hai"

( Hidaya kitabul hiba)


ISTASQA KI NAMAZ BA JAMAAT:


Nabi karim sws ki sunnat-

" abdullah bin zaid ra riwayat karte hue kahte hain ki nabi kareem sws namaz istasqa ke liye sahaba ko lekar eidgaah ki taraf nikle aur 2 rakat namaz unchi kirat ke saath padhayi, qible ki tarah hi apni chadar paltayi"

( Bukhari, muslim)


FIQH:

" Imam abu hanifa rh ne kaha ki istasqa ke waqt namaz masnoon nahi"


( Hidaya baab ul istasqa)


JANAZE KI GAAYBAANA NAMAZ:


Nabi sws ka amal

" jis din shah najjasi ki wafaat hui nabi sws ne uski wafaat ki khabar( wahi ke zariye) sahaba ra ko di ( ki aaj najjasi habsha me wafaat paa gaya hai) phir huzoor sws unhe lekar eidgaah tashrif le gaye unhe Lineno me khada karke (najjasi) ki janaze ki gaaybaana namaz 4 taqbeeron se padhai"


(bukhari,muslim)


FIQH:

" namaz gaaybaana jayez nahi"

(durre mukhtar part 1 baab salatul janaiz)



JAMAAT ME IKHARI TAQBEER

Nabi sws ka huqm

" nabi karim sws ne hz bilal ra ko huqm kiya ki we azaan ke qalime dohre karen aur taqbeer ke qalme ikhare kahen siwaay 'kad ka matis salaat' ke"


(bukhari ,muslim)


FIQH:

" Aur iqamat azaan ki tarah dohri hai"

( Hidaya babul azan)


NAMAZ KI IMAMAT KA MASLA


Rasool ka irshad hai-

logon ki imamat kaun kare? Is baare me nabi karim sws irshad farmate hain-

" imamat kare logon ki wah jo sabse jyada quran ka qaari ho aur agar qirat( ke janne me) sab barabar ho to phir sabse jyada sunnat ko jaanne waala imamat kare agar sunnat ke ilm me bhi sab barabar hon to umar me sabse bada imamat kare"

(muslim)

Zara is hadith ke baare me sochen ki huzoor ne imamat karne ki 4 Sooratien bayan ki hain, lekin fiqh hanafi ne 21 bayan ki hain.. Zara gaur karen



To be continued

FIQH HANAFI AUR HADITH E NABAWI ME IKHTELAAF

Continues....


FIQH:


Huzur ke bayan ki hui 4 sooraton me tabdili karke bhi khamosh na rahe isliye durremukhtar me is tarah increment kiya hai-


1- sabse zyada imamat ka haqdar sabse zyada namaz ke huqooq jaanne wala.

2- sabse acchi tilawat karne wala.

3- phir sabse zyad nek

4- sabse zyada umar wala

5- sabse acche charactor waala

6- accha chehre waala

7- sharif nasl wala

8- accha libaas wala

9- agar in sab khoobiyon me barabar ho to parchi daal le

10- jise chahe pasand karle


( tabdirul absaar durre mukhtar)

zara sochen ki hadith me 4 sooratein thi inme tabdeeli ki, iske baad 10 sooratein bana daali, aap hairaan honge ki durre mukhtar likhne wale ne inke elawa aur bhi badayh hai aap likhte hain.

11- noorani chehre waala

12- sabse badkar nasab wala

13- sabse acchi awaaz wala

14- khoobsurat beewi waala

15- sabse zyada maal

Waala.

16- bahut bade sar wala aur bahut chhote satar (penis) wala

17- bahut bade darje wala

18- musafir ke muqable thaherne wala

19- phir asli azaad, aazaad kiye gaye gulam ke muqable par

20- wuju ke badle jisne tayammum kiya hai wah gusl ke badle tayammum karne waala

21- phir (ab bhi) agar logon me ikhtelaaf rahe to zyada log jise chahe imam bana den

wallahu alam

(DURRE MUKHTAR)


Bhaiyon! hadith aap padh chuke hain jisme rahmate aalam ne sirf 4 sooratein batayi hain fiqha walon ne 4 se 10 banayi aur 10 se 21 tak badha di,

allah ka irshad hai-

" Aiy imaan walon! Mat aage badho allah ke aur uske rasool ke aur (is bare me) allah se daro beshak allah sunne wala jaanne wala hai"

Thursday, April 21, 2011

YAZID BIN MUAWIYA RA, AUR MUHARRAM UL HARAM KI BIDATEN AHMAD RAZA KHAN KE AINE ME

BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM


YAZID BIN MUAWIYA RA KE BAARE ME AHMAD RAZA KHAN KI SAFAAI:


Maulana ahmad raza khan faazil barelwi, jo musalmano ko kaafir kahne me bahut bebaak maane jaate hain, yazid rh ke baare me yah safaai dene ki baad ki imam ahmad rh etc use kaafir jaante hain aur imam ghazali etc musalman kahte hain,

Apna maslak yah bayan karte hain ki:

" Aur hamare imam khamosh rahte hain ki ham na musalman kahen na kaafir, isliye yahan bhi khamosh rahenge"

( Ahkam shariat part 2 pg 88)

AHMAD RAZA KHAN AUR UNKE MUREEDON KI NAFARMANI:


Iske elawa ahle sunnat walon ki badi tadaat maulana ahmad raza khan barelwi ki mureed hai, lekin hairat hai ki iske bawajood wah muharram ki in gadi hui rasmon me bad chadh kar hissa lete hain, jabki ahmad raza khan barelwi ne bhi muharram ki in rasmon se mana kiya hai aur inhe bidat ,najayez, aur haraam likha hai aur in ko dekhne se bhi roka hai, unka fatawa hai


" tajiya aata dekh kar Nazaren fer len, uski taraf dekhna hi nahi chahiye"


(irfan e shariat part 1 pg 15)


Unki ek kitab tajiyadari hai us ke page 4 par likhte hain:

1- "Gharj ashray e muharramul haraam ki agli shariaton se is shariat paak tak badi barkat ibadat thahri thi, in behuda rasmon ne ne jaahilana aur gunaho ke melon ka zamana kar diya"


2-" yah kuch aur isi ke saath soch wah kuch ki mano gadi hui tasweeren theek theek unhi hazraat shaheed sahaba ke janaze hain"


3-" kuch utaara baaki toda aur dafan kar diye, yah har saal maal ki barbaad karne ke jurm me do gunah judagaana hai, ab tajiadari is galat tareeqe ka naam hai, bilkul bidat wa najayez wa haram hai"


page 11 par likhte hain-

4-" Taajiya par chadha khana na khana chahiye,agar niyaz dekar chadhayen, ya chadhakar niyaz den to bhi uske khane se parhez karen"


Aur page 15 par sawal jawab hai,-


SAWAAL- Tajiya banana aur us par nazar wa niyaz karna, Zaruraten poori hone ki ummeed me mannate latkana aur acchi bidaton ki niyat se use bhalai janna kaisa gunah hai?


JAWAB: Ye saare kaam jis tarah logon me aaj ke zamane me mashoor hain, bidaten aur haram wa najayez hain.


Isi tarah muharram ki dusri bidat marsiya padhne ke baare me "irfan e shariat" ke pahle part page 16 par ek sawal wa jawab yah hai,


SAWAL: Muharram shareef me marsiya padhne me shirqat jayez hai ya nahi??

JAWAB: Najayez hai, we gunahon se bhare hote hain.


Muharram ko gham ka mahina samjha jaata hai, isliye in dinon me siyah ya sabz libaas pahna jaata hai aur shadi biyaah se bacha jaata hai, is ke baare me ahmad raza khan likhte hain:

" Muharram me siyah, sabz kapde gham ki nishani hai aur gham haraam hai"


( Ahkam shariat 171)


MASLA:

Kya farmate hain is masle ke baare me ?

1- kuch ahle sunnat wal jamat muharram ke dinon me na to din bhar roti pakaate hain na jhaadu dete Hain, kahte hain dafan karne ke baad pakaayi jayegi.

2- in 10 dinon me kapde nahi utaarte.

3- maahe muharram me koi shadi biyah nahi karte.


JAWAB:

"Teeno baatein gham hain, aur gham haraam hai"


(ahkam shariat part 1 pg 171)


Ahmad raza khan ki safaai ke baad ummeed hai ki barelwi ulama apne logon ki sahih rahnumayi karenge aur we apni jihalat aur ulama ki khamoshi ki bina par jo uper likhi bidaton wa khurafaat karte hain ya kam se kam aisa karne walon ke julooson me shirqat karke unke badhawe ka zariya bante hain, unhe inse rokne ki koshish karenge....


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SAMJHNE KI TAUFEEQ DE.... Ameen

Wednesday, April 20, 2011

HZ HUSSAIN RA KE BHAI MUHAMMAD BIN HANFIYA RH KI TARAF SE YAZID BIN MUAWIYA KI SAFAAI:









Bismillahirrahmanirraheem


NAFARMANI AUR ZINAKARI KE AFSANE:


Rahi baat ki yazid rh ki nafarman wa zinakaar hone ke afsano ki, to yah bhi poori tarah ghalat hai jis ka radd ke liye khud hz hussain ra ke bade bhai muhammad ibn hanfiya ka yah bayan hi kaafi hai jo unhone uske baare me isi tarah ke afsane sun kar diya tha:

" Tum unke baare me jo kuch kahte ho maine unme aisi koi cheez nahi dekhi, maine unke yahan qayaam kiya hai aur maine unhe pakka namazi, neak Parhejgaar, masail shariat se lagaao rakhne wala aur sunnat ka paband paya hai"

( Al badaya wan nihaya part 8 pg 233)


KUSTUNTUNIA KE JIHAD ME SHAREEK LOGON KI MAGHFIRAT KE LIYE NABI SWS KI KHUSH KHABRI:


Iske elawa kam se kam ahle sunnat ko is hadith ke mutabik hi yazid ko bura bhala kahne se bachna chahiye jisme rasoollullah sws ne kustuntunia ke jihad me shirqat karne walon ke baare me maghfirat ki basharat di hai aur yazid us jang ka commander tha, ya bukhari ki sahih hadith hai aur nabi sws ka farman hai, kisi kaahin ya najumi ki baat nahi ki baad ke waqeye use ghalat saabit kar den, agar aisa ho to phir nabi ke farman aur kaahin ki baat ke farq baaqi na rahega, kya hum is hadith ka mazak udakar yahi kuch saabit karna chahte hain??


" Meri ummat ka pahla lashkar jo kausar ke shaher (kustuntunia) me jihad karega, wah baksha huwa hai"

(SAHIH BUKHARI)



MUHAMMAD BIN HANFIYA KI TARAF SE YAZID BIN MUAWIYA KI SAFAAI:


Hz hussain ra ke bhai muhammad bin hanfiya rh ne un logon ke saamne, jin ke haath "bagawat" ki command thi, yazid ki bait tod dene aur uske khilaaf kisi muhim me shirqat karne se na sirf inkaar kar diya balki yazid par lagaye gaye ilzaamo ko bebuniyaad karaar diya aur yazid ki safaai pesh ki, is mauke par unhone jo tareekhi bayan diya hai wah is tarah hai-

haafiz ibne kathir likhte hain-

" Abdullah bin mutie aur unke saathi hz ali ra ke bete, muhammad bin hanfiya rh ke paas gaye aur unhe yazid ki bait tod dene par razamand karne ki koshish ki lekin unhone aisa karne se saaf inkar kar diya, is par ibne mutie ne kaha " yazid sharab noshi, namaz tark karne wala aur allah ki kitab ka munkar hai" Muhammad bin hanfiya ne kaha " tum jin baaton ka zikr karte ho maine un me se koi cheez isme nahi dekhi, main uske paas gaya hun, mera wahan qayam bhi Raha, maine usko hamesha namaz ka paband, parhezgar, deen wa ilm ka taalib aur sunnat ka hamesha paasdaar paya" Wah(mutie) kahne laga ,wah yah sab kuch banawat aur dikhawe ke liye karta hoga, ibne hanfiya ne jawab me kaha " mujhse use kaun sa darr ya laalach tha", jis ke bina par usne mere saath aisa kiya?? Tum jo us ki sharab noshi ka jikr karte ho, kya tum me se kisi ne khud use karte dekha hai?? Agar tumhare saamne usne aisa kiya hai to tum bhi us ke saath is kaam me shareek rahe ho, aur agar aisa nahi hai to tum is cheez ke baare me kya gawahi de sakte ho jiska tumhe pata hi nahi, we kahne lage " ye baat hamare nazdeek sahih hai jabki ham me se kisi ne use aisa karte nahi dekha" Ibne hanfiya rh ne farmaya " allah to is baat ko tasleem nahi karta , wah to farmata hai:

" gawahi unhi logon ki bhrosemand hai jinko is baat ki zaati taur par jaankari ho"

jaao!! Main kisi baat me tumhara saath nahi de Sakta, we kahne lage " shayad aap ko yah baat buri lagti ho ki yah maamla aapke elawa kisi aur ke haath me rahe agar aisa hai to jhanda ham aapke hawale kiye dete hain"

Biradar hussain ra ne kaha- " tum jis cheez par jung kar rahe ho, main sire se usko jayez hi nahi samajhta, mujhe kisi ke peeche lagne ya logon ko apne peeche lagaane ki zarurat hi kya hai?" we kahne lage-" aap isse pahle apne baap ke saath milkar jo jang kar chuke hain"

unhone farmaya-" tum pahle mere baap jaisa aadmi" aur unhone jin se jang ki "un jaise log" to laakar dikhao, uske baad main bhi tumhare saath mil kar jung kar lunga"

we kahne lage, aap apne beton abul qaasim aur qaasim hi ko hamare hawale kar den, unhone farmaya:-" main unko agar is tarah ka huqm dun to main khud hi kyon na tumhare saath is kaam me sharik ho jaaun?? We kahne lage, accha aap sirf hamare saath chalkar logon ko jung par taiyar kar den, unhone farmaya-

" Subhanallah! Jisko main khud napasand karta hun aur usse bachta hun, logon ko iska huqm kaise dun?? Agar main aisa karun to main allah ke maamle me us ke bandon ka chahne wala nahi, balki bura chahne wala hunga" we kahne lage -"ham phir aapko majboor karenge" unhone kaha " main us waqt bhi logon se yahi kahunga ki allah se daro aur bandon ki khushi ki khatir allah ko naraaz na karo"


( Al badaya wan nihaya 8/632)


ALLAH HAMEN YAZID RH PAR BADAKHLAKI SE BACHAYE..... Ameen

Tuesday, April 19, 2011

YAZID BIN MUAWIYA RA KO KUSTUNTUNIA(CONSTANTINOPLE) KE JIHAD KI COMMANDARI (TAREEKHI JAYEZA)







Bismillahirrehmanir raheem


Kustuntunia(constantinople) ke jihad se related sahih bukhari ki jo riwayat pahle jagahon par bahas me aa chuki hai, jis me yah khush khabri di gayi hai ki is jihad me shareeq hone wale log bakshe hue hain, lekin itihaas(history) ki purani kitaben is baat par sahmat hain ki is jihad ke ameer lashkar yazeed bin muawiya they, is silsile me sab se pahle musnad ahmad ki ek riwayat hai jisme saaf tarah se bayan hai ki-

" Is qustuntunia ke lashkar ke ameer jisme hz abu ayyub ansari (ra) bhi shareeq they, yazid bin muawiya they"

(musnad ahmad)


Isi tarah purani kitabon jaise ibne saad (230H) Ki Attabqatul qubra, ibne zarir tabri (310H) ki tarikhul umm wal muluq (part 4 page 173) aur khalifa bin khayyat (240H) ki taareekh (part 1 pg 196) me is jihad ke baare me yazid bin muawiya ki shirqat ka jikr is andaz hi se hai ki wah ameer e lashkar they, yah to nayi aur purani taareekhen hai . Baad ke itihaaskaaron(historian) me hafiz ibne kathir (rh) (774H) Ka jo darja hai, wah batane ki zarurat nahi unhone apni tareekh ki mashoor kitab al bidaya wan nihaya ki bahut se jagahon par iska khulaasa kiya hai,

(part 8 pg 59) par musnad ahmad ki riwayat bhi naqal ki gayi hai aur page 58 par hai ki hz abu ayyub ansari ra ki wasiyat ke mutabik un ki namaz e janaza yazid ne padhai

(AL BADAYA WAN NIHAYA PART 8 PAGE 58,59)


Isi part ke page 151 par likha hai ki hz hussain ra bhi us lashkar me maujood they

(page 151)

Aur page 229 me yazid rh ke haalat me yahi likha hai ki wo us lashkar me maujood they


(badaya wan nihaya pg 229)

Isi tarah ibne abdul barr(463H) Ki kitab " al istiaab fi maariftil ashab" part 2 page 157, imam suhaili rh (581H) ki oranjul anf (sharah seerat ibne hisham) 2nd part page 246, haafiz ibne hajar ki kitab "al asaba fi tamijussahaba" part 2 page 90 me isi haqiqat ka munazara Kiya gaya hai, iske elawa sharah bukhari "fath ul bari" part 6 page 125, (tawa darus salam) aur "umdatul qari" me bhi hadith ( yaghzuroona madinata qaysara) ki tafseel karte hue likha gaya hai,


Hadith aur tareekh ke in tamam hawalon se yah baat suboot ko pahunch jaati hai ki jis lashkar ke baare me rasoollullah sws ne "maghfurul lahum" (wah bakhsha huwa hai) farmaya hai us ke ameer yazid bin muawiya ra hi they.



Is tareekh ke jawab me kuch log yazid ko is khush khabri se darkinar karne ke liye kahte hain ki is lashkar ke ameer hz sufiyan bin auf they, yazid na they, lekin taareekhi daleelen is raaye ka difa(baatil hona) karti hain, jaisa ki hawala di gayi ibaarton se saaf hai,

shayad aise logon ke saamne ibnul aseer (630H) ki al kaamil aur ibne khaldun (808H) ki taareekh hai agar unke bayanon se bhi unki raaye poori nahi hoti,


Ibnul aseer ne is silsile me likha hai ki-

" Hz muawiya ra ne Kustuntunia ki taraf ek badi fauj bheji, hz sufiyan bin auf ko us ka ameer banaya aur apne ladke yazid ko bhi us fauj me shamil hone ko kaha lekin wah saath jaane ke liye taiyyar na huwa, lashkar wahan pahuncha aur khabar aayi ki wah musibaton se do chaar ho gaya hai is par yazid ki marzi ke mutabik bade lashkar me badhotri(increment) ki jisme hz ibne abbas ra, hz ibne umar ra, ibne zubair ra, aur abu ayyub ansari ra etc bahut se log they"



(TAREEKH IBNUL ASEER PART 3 PAGE 227)


Tareekh ibne khaldun me bhi (shayad) aisi hi baat likhi hai

(part 3 page 9, taba bairut 1971)


1- Ye dono kitabein baad ki hain jabki purani taareekh me yazid hi ko lashkar ka commander batlaya gaya hai jaisa ki pahle saare hawale darj kiye ja chuke hain.


2- Ibnul aseer aur ibne khaldun ke bayan kiye gaye dalail ko agar pahle historian ki dalail ki roshni me dekha jaaye to is me sirf itni zyadati milti hai ki yazid se pahle Ek lashkar sufiyan bin auf ki commandari me bheja gaya lekin iske bawajood wah lashkar ko kaarakardgi na dikha saka jiske baad yazid ki commandari me wah lashkar bheja gaya jisne wahan jaakar jihad kiya aur yun yazidi lashkar ki kustuntunia ke jihad ka pahla vijeta(winner) aur nabi (sws) ki khush khabri ko sahi tahraya gaya, isi ke saath tamam historian ka yazid ki ko us kustuntunia ke lashkar ka commander qaraar dena bilkul sahi hai, aur ibnul aseer aur ibne khaldun ki jaankaari bhi uske khilaf nahi, jabki isme ek baat ki zyadati(increment) bhi hai, lekin is zyadati se yazid ko is gaurav(greatness) se door karne ki koshish be buniyaad hai, yah baat to khud ibnul aseer ne apni zehan me bhi nahi thi jiska saaf saaboot yah hai ki unhone apni kitaab Asudul gaaba me yazid hi ko kustuntunia ke lashkar ka commander likha hai

(usdul gaaba part 2 page88- part5 page 145 taba old translation, abu ayyub ansari)


ALLAH HAMEN BADAKHLAKI SE BACHNE KI TAUFEEQ DE.....AMEEN

YAZID KO RAHMAHULLAH KAHNA NA SIRF JAYEZ BALKI MUSTAHAB (IMAM GHAZALI RH KA FATAWA)

Bismillahirrehmanirraheem


" Imam ghazali (rh) se sawal kiya gaya ki us insaam ke baare me kya huqm hai jo yazeed par lanat karta hai? Kya us par zinakari ka hukm lagaya ja sakta hai?? Kya us par lanat ka huqm hai?? Kya yazid waqai me hz hussain ra ko qatl karne ka iraada rakhta tha ya uska maqsad sirf apni hifazat thi??
Usko (ra) kahna bahtar hai ya us se bachna bahtar hai?"


Imam ghazali rh ne jawab diya musalman par lanat karne ka koi huqm nahi, jo insaan kisi musalman par lanat karta haì wah khud lanat waala hai rasullullah ne farmaya hai:

" Musalman lanat karne wala nahi hota" iske elawa hamen to hamari shariat islamia ne jaanwaron tak par lanat karne se roka hai to phir kisi musalman par lanat karna kis tarah jayez ho jayega? Jabki musalman ki hurmat(ijjat) hurmat kaaba se bhi jyada hai jaisa ki hadith nabi sws me bayan hai

(sunan ibne majah)

Yazid ka islam sahi taur par saabit hai jahan tak Hz husain ra ki shahadat ki waqeye ka talluq hai to is baare me koi sahi saboot maujood nahi ki yazid ne unka qatl kiya ya qatl ka hukm diya ya us par razamandi zahir ki, jab yazid ke baare me ye saboot ko hi nahi pahunchti to phir bura kahna bhi haram hai, Allah taala ne farmaya hai -" tum badakhlaki karne se bacho ki kuch badakhlaki gunah ke dayere me aa jaati hai"

aur nabi sws ka irshad hai-

"allah taala ne musalman ke khoon, maal, izzat wa aabru aur us ke saath badakhlaki karne ko haraam qarar diya hai"

jis insaan ka khayal hai ki yazid ne hz hussain ra ke qatl ka huqm diya ya unke qatl ko pasand kiya, wah pahle darje ka bewakoof hai, kya yah haqiqat nahi ki aisi soch rakhne waale ke daur me kitne ki shah, badshahon ko qatl kiya gaya lekin wah is baat ka pata chalane me kaasir raha ki kin logon ne un ko qatl kiya aur kin logon ko is qatl ko pasand ya napasand kiya jabki unke qatl uske bilkul Nazdeek me aur uske zamane me hue aur usne unka khud tahkikaat kiya, phir us qatl ke baare me kya kaha ja sakta hai jo bahut door ke ilaaqe me huwa aur jispar 400( imam ghazali rh ke daur tak) ki muddat bhi gujar chuki hai..

Iske elawa is waqeye par girohbandi ki moti tahen chad gayi hain aur riwayatein ke dher laga diye gaye hain jis ke bina par asal haqiqat ka suraag lagana namumkin hai, jab maamla yah hai ki haqiqat se naqaab uthana jayez hi nahi, isliye har musalman ke saath aache akhlaq rakhna zaroori hai, phir haq pasand (ahle sunnat) ka mazhab to yah hai ki kisi musalman ke baare me yah saabit bhi ho jaaye ki us ne kisi musalman ko qatl kiya hai tab bhi wah qaatil musalman. Kaafir nahi hoga, is liye ki qatl ka gunah kufr nahi ek shakht gunaah hai, phir yah bhi haqiqat hai ki musalman kaatil marne se pahle pahle tauba kar hi leta hai aur shariat ka huqm to yah hai ki agar koi kaafir bhi kufr se Tauba karle us par bhi lanat ki ijajat nahi , phir yah lanat aise musalman ke liye kyon jayez hogi jisne marne se pahle qatl ke gunah se tauba kar li ho?

Aakhir kisi ke paas is baat ki kya daleel hai ki hz hussain ra ke kaatil ko tauba ki taufeeq naseeb nahi hui aur wah tauba kiye bina hi mar gaya hai jab ki allah ka tauba ka darwaja har waqt khula hai

WAHUWAL LAZI YAQBALUL TAUBATA IBADIHI

(ASSHURA 42/25)

Baherhaal kisi tarah se bhi aise musalman par lanat karna jayez nahi jo marr chuka ho, jo insan kisi mare hue musalman par lanat karega wah khud allah ka nafarmaan hai,

Agar (maan len) lanat karna jayez bhi ho lekin lanat ki bajaaye khamoshi ikhteyar kiye rakhe to aisa insan gunahgaar na hoga balki agar koi insaan apni zindagi me ek baar bhi iblees par lanat nahi bhejta to qayamat ke din us se yah nahi poocha jayega ki toone iblees par lanat kyon nahi ki?

Albatta agar kisi ne kisi musalman par Lanat ki to qayamat ke din us se zaroor poocha ja sakta hai ki toone us par lanat kyon ki thi? Aur tujhe yah kaise malum ho gaya ki wah lanati hai? Jab ki kisi ke kufr wa imaan ka masla gaib ka ilm hai jise allah ke siwa koi nahi jaanta , haan shariat ke zariye hamen yah zaroor malum huwa ki jo insaan kufr ki haalat me mare wah lanati hai.


Jahan tak yazid ko "rahmatullah" ya "rahimahullah" kahne ka maamla hai to yah na sirf jayez balki MUSTAHAB (accha kaam) hai balki wah khud hi hamari un duwaon me shaamil hain jo ham tamam musalmano ki maghfirat ke liye karte hain ki

ALLAHUMMAGHFIR LIL MUSLIMEEN WAL MOMINAAT

" YA ALLAH! TAMAM MOMIN MARDON AUR AURTON KO BAKHS DE"

"isliye ki yazeed bhi yaqeenan momin tha"


(WAFYATUL AAYAAN 3/288, TABA BAIRUT)


ALLAH HAMEN SAHABION PAR BADAKHLAKI SE BACHAYE.... Ameen

SACCHAR COMMITTEE KI SACCHAI

Bismillahirrahmanir raheem


Aaj ka topic hai " SACCHAR COMMEETEE AUR HINDUSTANI MUSALMANO KA JAYEZA"


Is article ka maqsad sirf is baat par roshni daalna hai ki kya ye report muslimon ki rahnumayi karti hai?? Kya is report ko lekar jo khushi musalmano ko ho rahi hai jayez hai??

Mera maqsad kisi ki tanqeed karna nahi...

SACCHAR COMMITTEE KYA HAI???

Musalmano ki backwardness (pichdapan) dikhane ki koshish ki gayi hai ki hindustani musalmaan ki kya haalat hain....


Gaur karne ka maqaam hai jo qawm ne 1000 saal hindustan me shaan o showkat se hukumat ki ho... Aur aaj aajadi ke sirf 60 saal baad aisi haalat ho gayi ki iska haalat Daliton ke barabar bhi nahi hai....


Report batati hai ki har tabke me musalmano ki taadat kam hai chahe wo sarkari tabqa ho ya gair sarkari.....

Ye report musalmano ko muh chidaati nazar aa rahi hai,


Aaj duniya ki sabse taqatwar qawm ki iss halat ke peeche kya wajah hai ye Ye bhi sochne ka maqaam hai....

Iski khaas wajah hai emaan ki kami.. Aaj hamare ander imaan ki kami.. Chahe wo siyasat ho ya gair siyasati kaam.


Pahle ke log jaise abul kalam, abdul gaffar khan etc siyasat karte they lekin kabhi apna imaan nahi becha... Kabhi teeke nahi lagwaaye, gair allah ko sajde nahi kiye, dusron ke saamne haath nahi joda...


Lekin aaj ka musalmaan in sab kamon se kaasir hai imaan bik gaya hai..... Iraq, afghanistan, libyi to sirf ek example hai ki kaise us desh ke logon ne chand dollaron ke liye apne hi bhaiyyon ke saath gaddari kari....


Is sacchar committee ki aad me world bank aur UNO ko ye bataya jaa raha hai dekho hamne is taqatwar qawm ko 60 saal me hi kahan se kahan pahuncha diya...

Musalmano neend se jaago... Yahudi islaam ka khula dushman hai, wo har tarah se islam ko mitana chahta hai... Agar har musalmaan apne imaan par qayam rahe.. To inshaallah musalmano ki . Kamyabi ko koi rok nahi sakta....imaan ka jajba laao bhaiyon.....


Siyasat karo acchi baat hai lekin imaan ke saath jaisa pahle ke logon ne karke bataya..


Gairmuslimon ko islam ki daawat do... Kisi bhi tarah se dawat do....lekin ek baar zaroor do...

Taki akhirat me tum bach jaaoge.... Allah ki pakad se bacho...

Allah hamen haq baat kahne ,samjhne, aur karne ki taufeeq de

AAMEEN

Monday, April 18, 2011

AHLE HADITH (UMMAT KE BUZURGON KI NAZAR ME

Bismillahirrehmanirraheem


AHLE HADITH (UMMAT KE BUZURGON KI NAZAR ME)


" Main duniya me pahla AHLE HADITH hoon"

Hz abu huraira ra

(tazkiratul huffaz part 1 pg 34)


" Hamesha haq par rahne waali jamaat agar AHLE HADITH nahi hai to phir main nahi jaanta ki wah kaun hai??"


imam ahamad bin hambal (sharf ashabul hadith)



" Jis jamat ke baare me huzoor (sws) ne farmaya wah hamesha haq par rahegi us se muraad AHLE HADITH jamaat hai"


(ameerul momineen fil hadith hz imam bukhari rh)


" Farishte aasmaan ke pahredaar hain aur AHLE HADITH zameen ke"


( Imam sufiyan suri rh 'sharf ashabul hadith)


"AHLE HADITH musalmano me aise hain jaise ahle islam tamaam mazhab me"


Sheikh ul islam imam ibne taymia ra .....' naqzul mantik pg 33'


" Aiy allah! Mujhe qayamat ke din AHLE HADITH ki jamaat me karna"


hz khwaja sayyed moinuddin hasan chishti ajmeri rh..

(tazkira tus salihin part 3 pg 249)

Saturday, April 16, 2011

AHMAD RAZA KHAN AUR UNKE HAZAM NA HONE WALE FATAWE (UNDIGESTED FATAWE)








Bismillahirrahmanirraheem


Barelwiyat ke taruf ko aage badate hue maine ye zaroori samjha ki ab ala hazrat(ahmad raza khan) ke kuch aise kaarnaame bayan kar diye jaayen.. Jo hajam na ho saken..

Jaisa ki barelwi bhai ahmad raza ke gud gaate hain.. Ki unka chehra dekh kar Bahut se angrez musalmaan ho gaye wagerah wagerah..


Pahle aap unki gandi zabaan ka tazkirah karte chalen aur batayen ki kya aisi zaban kisi alim ya musalman ko shobha deta hai??

Ahmad raza wahabion ko gaali dete hue likhte hain-

" Kufr party wahabiya ka buzurg iblees laeen---khabeeson! Tum kaafir thaher chuke ho. Iblees ke maskhare, dajjal ke gadhe--are munafiqon--wahabiya ki poonch, zaleel imarat qaaroon ki tarah tahtussara pahuncti hai najdiyat ke kawwe, sisakte, wahabiyat ke boom bilakte aur majbooh gustakh bhadakte"

(KHALISUL ETIKAAD 2-20)

ALLAHUAKBAR,

Shah ismael shaheed ke baare me farmate hain-" sarqash , taaghi, shaitaan, Laeen, banda daaghi"

(al aman wal oola 112)

Fatawa rizwiya me farmate hain-" gair muqallid wa deobandi jahannum ke kutte hain rafziyon(shia) ko inse bura kahna shiaon par zulm karna jaisa hai"

(fatawa rizwiya 6-90)


"jo shah ismael aur nazeer husain etc ko maanta ho, iblees ka banda wa jahannum ka kunda hai. Gair muqallid sab bedeen pakke shaitaan poore laanat waale hain"

(subhanus subuh 134)

Ye to thi inki mubarak zubaan jo shayad hi kisi ahle sunnat wal jamat ke ulama ya alim ne kahi ho.....lekin ye thahre Aala hazrat yani sabse bade hazrat....hamare nabi to hazrate sallallaho alaihi wasallam hain.. Aur ye janab aaala hazrat hain....


Janab ahmad raza ne apne aapko ambiya ka darja dene ki bhi koshish ki...aakhir karte bhi kyon nahi. Aakhir mirza gulam qadyani ke bhai ke student jo they.

Janab barelwi apne baare me likhte hain-

" Sar dard aur bukhar we mubarak rog( marz) hain jo ambiya (as) ko Hote they"

Aage chalkar likhte hain-

" Alhamdulillah ki mujhe bhi bukhar ki hararat wa dard e sar rahta hai"

(MALFUZAT 1-64)

Janab ahmad raza asal me ye batana chahte hain ki unka jismani haal ambiya kiraam ke jaisa hai, apni pakeezgi saabit karne ke liye ek jagah likhte hai-


" Meri paidaish ki taareekh abjadi hisaab se qur'an kareem ki is ayat se nikalti hai jisme irshad hai-

"ye we log hain jinke dilon me allah taala ne imaan likh diya aur unki ruhani manjoori kar di hai"

Mirja gulam qadyani aur ahmad raza me sirf itna farq hai ki qadyani ne apne ko nabi hone ka khulla dawa kiya.. Lekin ahmad raza khul kar na bata paaye....AFSOS


Ek sahab likhte hain-

" Ala hazrat ne apni paak zabaan se kabhi gair sharai word(alfaaz) nahi kaha. Allah ne aapko har tarah ki galtiyon se bachakar rakha"

aur yah ki-" ala hazrat bachpan se hi galtiyon se paak they. Seedhe raaste ki paiwi aapke ander maujood kar Di gayi thi"


(YAAD ALA HAZRAT 32, FATAWA RIZWIYA 2-5)


Unka ilmi aur gandi zuban ka tazkirah pahle ki kar chuka hun... Zaban ke paak hone ka sawal hi nahi uthta ki ahmad raza khan ki zaban gair sharai alfaz se paak thi..


Unke ek aur bande likhte hain-" ala hazrat ka wajood allah taala ki nishanion me se ek nishani tha"

(ANWAR E RAZA 100)


Sahaba kiram (ra) ka ek gustakh apne imam wa rahnuma ke baare me likhta hai-" ala hazrat ki ziyarat ne sahaba kiram ki ziyarat ka shauk kam kar diya"

(wasaya shareef 24)


Badha chadha kar bolne me aqal ka daaman haath se chhod diya jaata hai. Ek barelwi is rule ka daman bante hue likhta hai ki-

" Saadhe 3 saal ki umar shareef ke zamane me ek din apni masjid ke saamne maujood they ek sahab arbi libaas me tashreef laye aur aapse arabic language me baat ki. Aapne( saadhe 3 saal ki umar me) bahtareen arabic me unse baat ki aur iske baad unki soorat dekhne me nahi Aayi"

( hayat aala hazrat 22)

Unka ek mureed likhta hai-" aala hazrat ki baat samjhne ke liye zaroori hai ki insaan ilm ka samundar ho"

(anwar e raza 286)

Sahaba ne quran kaise samjha.... Wo to bas quran sunte hi giroh dar giroh islam me daakhil ho gaye


yahan kaunse ilm ke samundar ki baat ho rahi hai


Jihad ke khilaaf kuch fatawe bhi dekh lete hain-

" Hum hind ke musalmano par jihad farz nahi aur jo iski farjiyat ko maanta hai wa musalman ka dushman hai aur unko nuksaan pahunchana chahta hai"

" Hz hussain ra ke jihaad se daleel lena jayez nahi kyonki unpar jung thopi gayi thi aur waqt ke ruler par us waqt tak jihad farz nahi jab tak usme kaafiron ke muqaable ki taaqat na ho isliye hum par jihad kaise farz ho sakta hai kyonki ham angrez ka muqabla kaise kar sakte hain"


( al hujjatul motmana fi aaytul mumtahina pg 208, 210)

" hindustan ke musalmano ke ooper jihad wa jung laagu nahi hoti"

(DAWAMUL AISH 46)

Bahehaal ahmad raza ke baare mashoor ho gaya tha ki we britisher ki agent hain aur har us andolan(movement) ke virodhi hain jo angrejo ke dauran
chalaya jaata ho...

Allah hame barelwi aqeede se bachaye...

Friday, April 15, 2011

AHMAD RAZA KHAN AUR UNKA SHIA MAZHAB SE TALLUQ (UPDATED)

bismillahirrehmanirraheem


Janab ahmad raza ki family ke baare me sirf itna hi pata chala hai ki unke baap daada ki ginti hanafi ulama me hoti hai, albatta janab barelwi sahab ke dushmano(deobandi,wahabi) ki taraf se ilzaam hai ki unka relation shia family se tha. Unhone saari umar taqiya kiye rakha (chupaye rakha) aur apni asliyat ka pata na chalne diya taaki we ahle sunnat ke beech shia aqeedon ko riwaaj de saken. Inke virodhi is baat ke saboot ke liye jin tareeqon ko pesh kiya karte hain unme se kuch ya yahan bayan kiya jaa raha hai-

1-Janab ahmad raza ke baap dada ke naam shia naamon se milte julte hain unka shajar-e-nasab hai -Ahmad raza bin naqi ali bin raza ali bin kaazim ali

(HAYAT AALA HAZRAT-2)


2- Barelwion ke aala hazrat ne ummul momineen hz ayesha(ra) ke khilaaf bahut hi ghatiya word istemal kiya hai. Aqeeda ahle sunnat se juda koi insaan iske baare me soch bhi nahi sakta. Apne kaseede Me unhone likha hai-

TANG WA CHUST UNKA LIBAAS AUR WAH JOBAN KA UBHAAR,

MASLI JAATI HAI QABA SAR SE KAMAR TAK LEKAR

YAH FATA PADTA HAI JOBAN MERE DIL KI SURAT KI HUE JAATE HAI JAMA SE BARON SEENA WA BARR,


(HADAIQH BAKSHISH 3-23)

NAUZUBILLAH

(aiy allah mujhe maaf karna..lekin ala hazrat ke kartoot logon tak pahunchana bahut zaroori tha)


3- Unhone musalmano me shia mazhab se liye gaye aqeedon ki dawat dene me bharpoor role ada kiya, koi asli shia apne is maqsad me itna qaamyaab na hota jitni qaamyaabi ahmad raza sahab ko is silsile me taqayya ke lubaade se mili. Unhone apne shia hone par parda daalne ke liye kuch aise risaale bhi likhe jinme dikhawe ko shia mazhab ka virodh aur ahle sunnat ki himayat paayi jaati hai. Shia taqayye ka yah bhaav hai jiska taqaaza unhone poori tarah ada kiya

(fatawa barelwi 14)


4- Janab ahmad khan sahab ne apni kitaabon me aisi riwayaton ko likha hai jo khaalis Shia riwayatein hain aur unka aqeeda ahle sunnat se door ka bhi waasta nahi hai, jaise ki-

"Hz ali (ra) qiyamat ke din jahannum ki ticket baatenge"

(al aman wal oola-58)

"hz fatima (ra) ka naam fatima isliye rakha gaya ki allah ne unko aur unki aulaad ko jahannum se azaad kar diya hai"

(khatm nubuwwat 98)

" Shia imamon ko taqdees ka darja dene ke liye unhone yah aqeeda gada ki agwaas( qaus ka plural matlab logon ki fariyaad sunkar poori karne waale) hz ali (ra) se hote hue hasan askari tak pahuncte hain is silsile me unhone wahi serial no. Rakha hai jo shia imamon ka hai"

(malfoozat 115)


Janab ahmad raza ne baaki sahaba e kiraam ko chhodkar hz ali (ra) ko mushkil kusha karaar diya aur kaha-

" Jo insaan mashoor saifi( jo shia aqeede ki tarjumani karti hai) padhe uski mushkile hal ho jaati hain"

dua e saifi ye hai-

" Hz ali ko pukaaro jinse ajeeb kaam hote hain tum unko madadgaar paoge, aiy ali Aapki wilayat ke tufail tamam pareshaaniya door ho jaati hain"

(al aman wal oola-12-13)

isi tarah unhone panjatan paak ko aam kiya aur is sher ko riwaaj diya-

" paanch hastiyan aisi hai jo apni barqat se har bimari ko door karti hain, muhammad, ali, hasan, hussain aur fatima (ra)"

(rizwiya 2-187)


Unhone shia aqeede ki tarjumani karne wali cheez "zaafar" ko batate hue apni kitaab khaalisul etiqaad me likha hai-

"Zafar chamde(leather) ki ek aisi kitaab hai jo imam zaafar saadiq ne ahle bait ke liye likhi. Isme hz ki saari cheezen darj kar di hain. Isi tarah isme qiyamat tak hone waale waqyon ka bhi zikr kar diya gaya hai"

(khalisul etiqaad-48)

Janab barelwi ne ek aur shia riwayat ko apni kitaab me darj kiya hai ki-

" Imam raza shia ke 8we imam se kaha gaya ki koi aisi dua sikhaayen jo ham ahle bait ki qabron ki ziyarat ke waqt padha karen to unhone jawab diya ki qabr ke paas jaakar 40 baar Allahuakbar kah kar kaho-" assalamu alaikum ya ahlul bait" aiy ahlul bait main apne aur mushkilaat ke hal ke liye aapko khuda ke saamne sifarishi banakar pesh karta hun aur aale muhammad (sws) ke dushmano se apne ko alag karta hun"

(hayatul mawaat, fatawa rizwiya 4-299)


Yani shia ke imamon ko musalmaanon ke nazdeek muqaddas aur sahaba kiram (ra) aur ahle sunnat ke imamon se uncha qaraar dene ke liye unhone is tarah ki riwayatein aam ki jabki ahle shha ke imamon ke serial no. Aur is tarah ke aqeedon ka aqeeda ahle sunnat se koi talluq nahi hai.


Janab ahmad raza shia taajiye ko ahle sunnat me banane ke liye apni ek kitaab me likhte hain-

" Tabarruk ke liye hz hussain ra ke maqbare ka namoona banakar ghar ke andar rakhne me koi harz nahi"

(risala badrul anwaar-57)

Is tarah ki bahut si riwayatein aur masail unki kitabon me paya jaata hai.

Thursday, April 14, 2011

NABI (SWS) KI WAFAAT KE WAQT KA BAYAN

Huzor Sallaho alihe wa Sallam ke Wafaat ka waqt

Hajrath:- Umar Farooq R.A.:-- wafaat ki khabar sun ker inke hosh jaate rahe aur wok hare ho ker kahne lage “ Kuch Munafeqeen Samajhte hai Rasulullah sallaho Alihe Wasallam ki Wafaat ho Gai Lekin Haqeeqat ye hai ke Rasulullla h swa ki Wafaat nahi hui , Balke Aap apne Rabb ke paas Tashreef le gaye hai.

Jis Tarah Musa bin Imran Ali salam Tashreef le gaye the aur apni Qaum se 40 raat Gayeb rah ker unke paas fir waapis aa gaye the, halake waapsi se pahle kaha jar aha tha ke wo intaqaal ker gaye hai.”

Khuda ki kasam Rasulullah sws bhi juror palat ker aayenge aur un logo ke haath Paao kaat daalenge jo Samajhte hai ke Aap sallaho alihe wa sallam ki Maut waqi Ho chuki hai.

Hajrath Abu Bakr R.A.:-- Mere Maa Baap Aap per Qurbaan , Allah aap par 2 Maut Jama Nahi karega, jo Maut Aap per likh di gait hi wo aap ko aachuki.




Us ke baad Abu Bakr Bahar Tashreef Laye us waqt bhi Hajrath umar r.a. logo se baate ker rahe the, hajrat Abu Bakr ne un se kaha Umar Baith Jao, Hajrat umar R.A. ne Baithne Se inkaar kar dia. Sahaba Hajrath umar ko chor ker Hajrat abu bakr ki taraf Mutawajja ho gaye. Hajrat Abu Bakr ne Fermaya.

Amma Baad” Tum me se jo shakhs Muhammad Sws ki Pooja Karta tha wo jaan le ke Muhammad sws ki Maut waaqi ho chuki hai . Aur tum me se jo shakhs Allah ki ibaadat kerta tha to yaqeenann Allah humesha zinda Rahne wala hai , kabhi nahi marega.


Fir unhone ye ayat parhi. Soorah Imran {3 : 144 }

“ Muhamad nahi ha imager Rasool hi un se pahle bhi bahut se Rasool guzar chuke hai . to kya ager wo mar jaye ya un ki maut waaqih ho jaaye ya qatl ker diye jaye to tum log kya Aeeri ke bal palat jaaoge.?

Aur jo shakhs Apne Aeeri ke bal palat jaye to yaad rakhe ke wo Allah ka kuch nuksaan nahi pahucha sakta. Aur Anqareeb Allah shukr karne walo ko Jaza dega. Uske baad Hajrat umar ne Fermaya mai ne jo hi Abu bakr ko Telawat kerte hue suni intahai Mutahhyer aur dahshat zada ho ker rah gaya . Hatta ke mere paao mujhe uthha hi nahi rahe the aur hatta ke Abu bakr ko us ayat ki talaawat kerte sun ker mai zameen per gir Para.kyoke mai jaan gaya waqai Nabi sws ko maut aa chuki hai.

{Ibne Hishaam = 2 /655 } {Bukhari = 2 / 640-641 }

ANGUTHA CHOOMNE AUR QABRON PAR AZAAN DENE KI HAQIQAT AUR BARELWI DALAIL

Bismillahirrehmanirraheem


Angutha(thumb) choomna(kissing) karna bhi ek bidat hai jiska hadith se koi saboot nahi, barelwi hazraat is bidat ko saabit karne ke liye man gadant aur kamzor riwayaton ka sahara lete hain,


Janab barelwi likhte hain-" hz khidr (as) se riwayat hai ki jo insaan ash-hadu anna muhammadur-rasool-allah sun kar apne anguthe ko chumega aur phir apni aankhon par lagayega uski aankhen kabhi na dukhengi"


(fatawa rizwiya 383)

Janab ahmad raza ne is riwayat ko imam sakhawi se naqal kiya hai jabki imam sakhawi ne is hadith ko zikr karte hue likha hai-

"Is riwayat ko kisi sufi ne apni kitaab me naqal kiya hai iski sanad me jin raavion ke naam hain we muhaddiseen ke nazdeek majhool aur ghair maroof hain(yani yah gadi hue sanad hai) aur phir hz khidr (as) se kisne suna is baat ka bhi koi zikr nahi"

(AL MAQA SIDUL HASANA LILSAKHAWI)


Matlab imam sakhawi jis riwayat ko soofia ke khilaaf Kamzor qaraar de rahe hain janab ahmad raza poori ilmi baimaani ka saboot dete hue ek ghair islami bidat ko riwaj dene ke liye use ki daleel pesh kar rahe hain


Imam suyuti (rh) likhte hain-

" We tamam riwayaten jinme anguthe ke choomne ka zikr, muhammad taahir al fatni, aur allama shawkani (rh) etc. Ne un tamaam riwayaton ko mangadant karaar diya hai"


(TAZKIRATUL MAUJUAAT)


Lekin janab imam ahmad raza ka barabar zidd hai ki-"anguthe choomne ka inkaar ijmaa ummat(barelwi ummat) ke manaafi hai"

(FATAWA RIZWIYA 496)


Barelwi khurafaat me se yah bhi hai ki we kahte hain-

"jisne" la illaha illallahu wah-dahu la shareeqa lahu" yah sari dua likhkar mayyit ke kafan me rakh di wah qabr ki pareshanion se bacha rahega aur munkar nakeer uske paas nahi aayenge"


(fatawa rizwiya 4-127)

Isi tarah barelwi hazraat ne "ahad nama" ke naam se ek dua gadh rakhi hai jiska koi saboot nahi. Iske baare me unka aqeeda Hai-
"Use jis murde ke qafan me rakha jaaye allah uske saare gunaah maaf kar dega"

(jaal huq 340)


Barelwi hazraat kitaab wa sunnat aur khud fiqh hanafi ka virodh karte hud bahut si bidaton ko kar jaate hain jinka salaf saliheen se koi saboot nahi milta! Inme se ek qabr par azaan dena bhi hai,

khan sahab barelwi likhte hain-" qabr par azan dena mustahab hai isse mayyit ko fayeda hota hai"

(fatawa rizwiyah 4-54)

"qabr par azaan dene se shaitaan bhaagta hai aur barqaten utarti hain"

(jaal haq 1-315)


Magar hanafi maslaq me iska khaas taur par manahi hai

Allama ibne hammam (rh) farmate hain-" qabr par azan dena ya dusri bidat ko karna theek nahi, sunnat se sirf itna saabit hai ki nabi(sws) jab jannatul baqi me tashrif le jaate to farmate-"assalamu alaikum da-ra-qaumum momineen" iske elawa kuch saabit nahi, in bidaton se bachna chahiye"

(Abrul maqaal fi kiblati izlal 143)




Imam shami (rh) kahte hain-" Aajkal qabr par azaan dene ka riwaaz hai iska koi saboot nahi yah bidat hai"

(badrul anwaar fi adabil aasar 38)


Mahmood balkhi (rh) ne likha hai-" qabr par azan dene ki koi haisiyat nahi"


(badrul anwaar 40)

Baherhaal barelwi hazraat ki ye taaleem hain jo na sirf kitaab wa sunnat ke khilaaf hain balki fiqh hanafi ke bhi khilaaf hain lekin phir bhi barelwi qawm fiqh hanafi ka paband hone ka daawa karti hai..


Allah se dua hai ki hamdn sunnat par amal karne aur bidaton se bache rahne ki taufeeq de.....AMEEN

Tuesday, April 12, 2011

KYA PAKKI QABR BANANA JAYEZ HAI?? PART 1

Bismillahir rahmanir raheem


Barelwi aqeede mese ek aqeeda ye hai hai qabron ko uncha karna aur uspar majaar banakar uski ibadat karna..


Aayen ab barelwiat ke aqeede ka jayeza len aur kitaab wa sunnat ke saath saath fiqh hanafi se uska compare karen taaki pata chale ki in logon ke aqeede ki sanad kitaab wa sunnat se milti hai aur na hi fiqh hanafi se..


Ahmad yaar gujrati likhte hain-" saahibe qabr ki izhaar e azmat ke liye maqbara etc. Banana shar'an jayez hai"

(jaal haq 282)


aage likhte hain-" ulama wa auliya wa saliheen ki qabron par imaartein banana jayez kaam hai jabki usse maqsad logon ki nigahon me mahaanta paida karna ho taaki log us qabr waale ko tucch se jaane"

(jaal haq 285)


jabki hadith me yah maujood hai ki-

"nabi (sws) ne qabr ko chuna gach karne(pakki banane) aur uspar koi maqbara banane se mana farmaya hai"

(muslim,tirmizi, nisai)


isi tarah nabi(sws) ne hz ali (ra) ko khaas Taur par huqm diya tha ki-" we unchi pakki qabron ko zameen ke barabar kar den"

(ahmad,baiyhqi)


hz umar bin al haarish (ra) hz samama (ra) se riwayat karte hain ki unhone kaha-" room(rome) me hamara ek saathi khatm ho gaya to hz fuzla bin ubaid (ra) ne qabr ko zameen ke barabar karne ka huqm diya aur farmaya ki maine nabi(sws) ko is baat ka huqm dete hue suna hai"

(muslim)


Ab fiqh hanafi ki ibaartein bhi dekhiye


"qabron ko pakki banana mana hai"

(kitabul aasaar)


imam muhammad bin al hasan se poocha gaya ki kya qabr ko pakka banana na pasandida kaam hai? To unhone jawab diya--haan!

(kitabul asal 1-422)


imam surkhsai (rh) "al mabsoot" me farmate hain-"qabron ko pakka na banao kyonki nabi(sws) se iski manaahi saabit hai"

(al mabsoot 2-62)


qaazi khan apne fatawe me farmate hain-" qabron ko pakka na banaya jaaye aur na hi us par maqbara etc. Banaya jaaye kyonki imam abu hanifa se iski manahi Aayi hai"

(fatawa qadhi khan 1-194)


Imam kasaani (rh) ka irshad hai-" qabr ko pakka karna makrooh hai aur imam abu hanifa ne qabr par maqbara etc. Banana makrooh samjha hai isme maal ki barbaadi hai. Albatta qabr par paani chidakne me koi harz nahi. Magar imam abu yousuf se mankool hai ki paani chidakna bhi makrooh hai kyonki isse qabr pakki hoti hai"

(baday-us-sanaa 1-320)


isi tarah ki ibaarte fiqh hanafi ki tamam kitaabon me aayi hai...

Bahrur-raiq 2-209, fath ul qadir 1-472, raddul mukhtaar ala durre mukhtar 1-601, fatawa hindiya 1-166, fatawa bajajiyah aur kanjud daqaiq etc.


Qazi ibraheem hanafi farmate hain-" we maqbare jo qabron par banaye gaye hain unhe girana farz hai kyonki nabi(sws) ki nafarmani se banaye gaye hain. Aur wah imarat jo nabi(sws) ki nafarmani par banayi gayi ho uska girana masjide ziraar ke giraane se bhi zyada zaroori hai"

(majalisul abrar 129)

Nabi(sws) ka farmaan Hai-
"allah yahood wa isaaiyon par lanat kare unhone apne nabion ki qabron ko sazda gaah bana liya hai"


(bukhari)


ye to hain kitaab wa sunnat aur fiqh hanafi ki saaf daleelen magar barelwi qawm ko zidd hai ki kabron ko pakka karana aur unpar maqbare etc banana zaroori hai. Janab ahmad raza khan kahte hain-" maqbaron etc. Banana is liye zaroori hai taaki mazaar aam qabron se alag nazar aaye aur aam logon ki nazron me haibat wa mahaanta(greatness) paida ho"

(majalisul abrar 129)


Aage likhte hain- shame roshan karna, qabr ke samman(respect) ke liye jayez hai taaki logon ko ilm ho ki yah kisi buzurg ki qabr hai aur we isse tabarruk haasil karen"

(fatawa rizwiya 4-144)

Ek aur barelwi alim farmate hain-"agar kisi wali ki qabr ho to unki ruh ka samman(respect) karne or logon ko batlane k liye ki ye wali ki qabr hai taki log isse barkat haasil kar le to charagh(light) jalana jayez hai"

(jaal haq-300)



Ye to hain barelwi ulama ki fatawe magar hadith me iski saaf manahi aayi hai.

Hz abdullah bin abbas (ra)se riwayat hai-"nabi(sws) ne qabron ki ziyarat ke liye aane waali aurton, qabron par sajdagaah banane walon par aur unpar chiraag jalaane walon par laanat farmayi hai"

(abu dawood, tirmizi, nisai)


mulla ali qaari hanafi likhte hain-

"qabron par charaag jalaane ki manahi isliye aayi hai ki yah maal ki barbadi hai aur isliye ki yah jahannum ke aasaar me se hai aur ya isliye aayi hai ki isme qabron ka samman hai"

(mishqaat 1-470)


ibne abideen farmate hain-" mazaaron par tel(oil) ya chiraag etc ki nazar chadhana jhoota amal hai"

(raddul mukhtar 2-139)


allama haskafi hanafi farmate hain-" wah nazar wa niyaz jo aap logon ki taraf se qabron par chadhaai jaati hai chahe wah nagad(cash) ki surat me ho ya chiraag etc Ki shakl me to samaan taur par se sab baatil wa haraam hai"

(durre mukhtar 2-139)


to be continued in nxt article

KYA PAKKI QABR BANANA JAYEZ HAI?? PART 2

Continues read previous article


Fatawa alamgiri me hai-"qabron par roshni karna jahiliyat ki rasmo me se hai"


(alam giri 1-178)

allama alusi farmate hain-" qabron par charaagh wa shammaon ko hataana zaroori hai aisa koi kaam jayez nahi"

(ruhul ma-aani 10-219)


isi tarah-"chadar etc se qabr ko dhakna bhi jayez nahi"

(fatawa matalibul momineen)

aur-" yah sab baatil hain in kaamon se bachna chahiye"

(fatawa azizia 9)

"charag jalaana aur chadaren chadhana haraam hai"

(fatawa shah rafiuddin 14)


hanafi ulama hz ali (ra) ke baare me bayan karte hain ki we kisi aisi qabr ke paas se guzre jise kapde se dhaanp diya gaya tha to aapne usse mana farma diya"


(matalibul momineen)

in saari bidaton ka islami shariat me koi wajood nahi aur na hi yah pahle ki zamane se saabit hai. Agar isme kisi tarah ka koi deeni fayeda hota to sahaba kiraam ,aur tabaeen etc se iska amal saabit hota.


Balki nabi(sws) ne dua farmayi thi-

"aiy allah meri Qabr ko melagaah na banana ki uski pooja(ibadat) shuru kar di jaaye"

(mishqat)


isi tarah barelwi hazrat ne pakki qabron ki aadh me urs, mahfilon, meelad, fatiha ki nazar, kul, 11wi, aur 40we etc ki shakl me bahut si is tarah ki bidate gad li taaki we inke waseele se apni pet ki aag thandi kar saken



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KARNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE....

AMEEN SUMMA AMEEN

Saturday, April 9, 2011

KYA ALLAH HAMARE LIYE KAAFI NAHI??

Bismillahir rahmanir raheem.


Barelwiyat ke taruf ko aage badhate hue... Main ye article khaas unko dedicate karna chahta hun jo ye samjhte hai ki "allah hamare liye kaafi nahi aur awliya ka waseela lena jayez hai"


Is article me main barelwi mazhab ke fatawe na likhkar sirf qur'an ki ayaten ka bayan karunga...

Barelwi aqeede ko radd karte hue quran ki ye ayat bahut khoob hain


"yahi tumhara rabb hai isi ki hukumat hai aur jinko tum allah ke elawa pukarte ho wah khajoor ki guthli(seeds)ke barabar bhi ikhteyaar nahi rakhte, agar tum unko pukaro to we tumhari sunege bhi nahi aur agar sun bhi len to tumhara khuch bhi na kar saken aur qiyamat ke din we tumhare shirk karne se hi inkaar karenge aur tujhko khuday khabeer ka sa koi na batayega"

(fatir 13 ,14)


"Aap kah dijiye tumne apne khudaai shareekon ke haal par bhi nazar ki hai jinhe tum allah ke siwa pukarte ho zara mujhe bhi batao ki unhone zameen ka Kaun sa ansh(part) banaya hai ya unka aasmaan me kuch saajha hai ya hamne unko kitab di hai ki ye usi daleel par qayam hai?"

(fatir 40)


Aur zyada taqeed karte hue farmaya


" aur jinko tum allah ke elawa pukaate ho wah na to tumhari hi madad kar sakte hain aur na apni madad kar sakte hai"

(Aaraf 197)


"Aur jinko ye log uske siwa pukaarte hain we inka jawab isse zyada nahi de sakte"

(raad 14)


"Aur tumhara allah ke elawa koi bhi na kaarsaaz hai aur na madadgaar"

(ash shuara 31)


"kah! Bhala batao to allah ke elawa tum jinko pukaarte ho agar allah mujhe taqleef pahunchana chahe to kya ye uski di hui takleef ko door kar sakte hain ya allah mujh par inayat karna chahe to ye uski inayat ko rok sakte hai"

(zumar 38)

"wah jo sab beqaraar ki fariyad sunta hai jab wah use pukaarta hai aur musibat ko door karta hai aur tumko zameen me tasarruf waala banata hai kya allah ke elawa aur koi aur bhi khuda Hai? Tum log bahut kam hi gaur karte ho"

(namal 62)


Phir unko samjhane ka iraada kiya aur farmaya-

"Beshak jinko tum allah ko chhod kar pukarte ho, wo tumhare jaise hi bande hai aur agar tum sacche ho to tum unhe pukaro ,phir unko chahiye ki tumhara jawab den"

(aaraf 194)

Aur aage farmaya

"Kah dijiye ki to kya tumne (phir bhi) uske elawa aur qaarsaaz karaar de liye hain to apni hi zaat ke liye nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhte"

(raad 16)

" Aur usse badhkar gumraah kaun hoga jo allah ke elawa auron ko pukaare jo qiyamat tak bhi uski baat na sune balki unke pukaarne ki khabar tak na ho"

(ahkaaf 5)

"Aur jab aap se ye mere bande mere baare me malum karen to main qareeb hi hun, duwa karne waale ki dua qubool karta hun jab wah mujhse dua karta hai to (logon ko) chahiye ki mere ahkaamon ko maane aur mujhpar imaan laayen ,ajab nahi ki hidayat paa jaaye"

(baqarah 186)


Waqa-la rabbukumud ooni astajib lakum

trans: "aur tumhare rab ne kaha ki mujhe pukaaro main tumhari dua qubool karunga"

(gaffir)


In ayaton se yah baat saamne aa jaati hai ki sirf allah hi musibat me bandon ki madad kar sakta hai aur unke kaam aa sakta hai aur unke dukh ko door kar sakta hai,

Ab in ayaton ko kasauti par rakhkar barelwi imam ke farman sun lete hain


" Auliya kiraam ek hi jagah par rahkar tamam aalam ko haath ko laqeeron ki tarah dekhte hain aur door wa paas ki cheezon ki awaaz sunte ya ek pal me saari kaaynaat ki sair karte aur saikdon miles par haajat mandon ki haajat poori karte hain"

(jaal haq 138,139)


janab barelwi kahte hai-" jab tumhe kisi pareshaani ka saamna ho to qabr walon se maango"

(Al amn wal oola 46)


Ek to inlogon ka ye aqeeda hai to dusri taraf nabi(sws) apne chachere bhai abdullah bin abbas(ra) se farma rahe hai-" ki apni haajat sirf allah se talab kar, Fariyad sirf usi se maang, qalam ki siyahi khuskh(dry) ho chuki hai aur saari qaaynaat bhi milkar tujhd na faayeda de sakti hai aur nuksaan"

(tirmizi)

Kya allah hamare liye kaafi nahi??

"Aur jo allah par bharosa karta hai uske liye allah kaafi hai"

(talaaq 3)


Quran ki ayaton ko padhkar sochen ki kya hum apne amal ko barbaad to nahi kar rahe

mere barelwi bhaiyyon allah ke saath kisi aur ko shareek na karo..


Allah hame sacchi baat kahne aur karne ki taufeeq de...

Ameen

Tuesday, April 5, 2011

KYA MURDE SUNTE HAIN???

BISMILLAHIR RAH MANIR RAHEEM


AS SALAM O ALAIKUM WR WB



BARELWI HAZRAAT KA EK AQEEDE ME SE EK AQEEDA YE BHI HAIN KI MURDE SUNTE HAIN ,APNI QABR ME KHAATE PEETE AUR NAMAZ PADHTE HAI....

JANAB BARELWI AMBIYA KIRAM KE BAARE ME KAHTE HAIN

"AMBIYA KIRAM AS KI ZINDAGI HAQIQI HISSA DUNAYAWI ZINDAGI HAI UNPAR TASDEEQ WAADA-E-ILAAHIYA KE LIYE SIRF EK PAL KO MAUT TAARI HOTI HAI PHIR USI WAQT UNKO WAISI HI ZINDAGI DE DI JAATI HAI IS ZINDAGI PAR WAHI DUNIYA WAALE AHKAAM HAIN UNKI MIRAAS BAATI NA JAAYEGI, UNKI BIWION (WIFES) KA NIKAAH HARAAM, UNKI BIWION PAR IDDAT NAHI, WO APNI KABR ME KHAATE PEETE AUR NAMAZ PADHTE HAIN"

(MALFOOZAT LIL BARELWI 3-276)


EK AUR BARELWI IRSHAD FARMATE HAIN-"AMBIYA-E-KIRAAM 40 DIN KABR ME RAHNE KE BAAD NAMAZ PADHNA SHURU KAR DETE HAIN"

(RUSULUL QALAM 1)

AAGE SUNIYE-"AMBIYA KIRAAM APNI QABR ME ZINDA HAIN WE CHALTE PHIRTE HAIN NAMAZ PADHTE AUR KALAAM KARTE HAIN AUR MAKHLOOQ KE MAAMLON ME TASARRUF KARTE HAIN"

(HAYATUNNABI KAZMI 3)

NABI KAREEM (SWS) KI GHUSTAKHI KARTE HUWE UNHONE APNI KITAABON ME LIKHA HAI KI AAP (SWS) KO JAB SAHABA (RA) NE DAFAN KIYA TO AAP ZINDA THEY EK BARELWI IRSHAD KARTE HAIN-

"KABR SHAREEF ME UTAARTE WAQT HUZUR(SWS) "UMMATI UMMATI" FARMA RAHE THEY"


JANAB BARELWI KA EK AUR FARMAN SUNIYE-"JIS WAQT NABI (SWS) KI RUH AQDAS KABZ HO RAHI THI US WAQT BHI JISM ME ZINDAGI MAUJOOD THI"


(HAYATUNNABI)


AAGE SUNIYE-"HAMARA ULAMA NE FARMAYA KI HUZOOR(SWS) KI ZINDAGI AUR WAFAAT ME KOI FARQ NAHI APNI UMMAT KO DEKHTE HAIN AUR UNKE HAALAT, NIYATON WA IRAADON AUR DIL KI BAATON KO JAANTE HAIN YAH AAPKO BILKUL SAAF HAI, ISME KOI CHHIPI BAAT NAHI"

(JAAL HAQ 15)

"3 DIN TAK ROZAY SHAREEF SE BARABAR 5 WAQT NAMAZ PADHNE KI AAWAZ AATI RAHI"


(HIDAYTUTTAREEQ FI BAYANUT-TAHQEEQ WATTAQ QALEED 86)

IRSHAD HOTA HAI-

"JAB HZ ABU BAQR RA KA JANAZA HUJRA MUBARAK KE SAAMNE RAKHA GAYA TO AAWAZ AAYI "DOST KO DOST KE PAAS LE AAO"

(HAYATUNNABI-125)


YAH KHOOBI SIRF AMBIYA KIRAM TAK HI MAUJOOD NAHI HAI BALKI BUZURGAANE DEEN BHI ISKE QAYEL HAI

IRSHAD HOTA HAI-" ALLAH KE WALI MARTE NAHI BALKI EK GHAR SE DUSRA GHAR BADAL LETE HAI UNKI RUH SIRF EK PAL KE LIYE BAHAR NIKALTI HAI PHIR ISI TARAH JISM ME MAUJOOD HOTI HAI JIS TARAG PAHLE THI"


(FATAWA NAEEMIA 225)


BAHERHAAL KHOL KHOL KAR BATANE KI ZARURAT NAHI KYONKI YE AQEEDA BARELWION ME AAM HAI KI MURDE SUNTE HAIN QABR ME


AB QUR'AN E KAREEM KI TARAF AATE HAIN AUR DEKHTE HAIN QUR'AN KYA HUQM DETA HAI


"AUR USSE BADKAR ZAALIM KAUN HOGA JO ALLAH KE ELAWA KISI AUR KO PUKAARE JO QIYAMAT TAK BHI USKI BAAT NA SUNE BALKI UNKO PUKAARNE KI KHABAR TAK NA HO"


(AHKAAF 5)


"TO ALLAH PAAK HAI UNKE SHIRK SE KYA YE UNKO SHAREEK KARTE HAIN JO KISI CHEEZ KO PAIDA NA KAR SAKEN BALKI WE KHUD KI PAIDA KIYE GAYE HAIN, WE UNKO KISI BHI TARAH KI MADAD NAHI DE SAKTE,(BALKI) KHUD APNI HI MADAD NAHI KAR SAKTE AUR ,AGAR TUM UNKO KOI BAAT BATLAANE KO PUKAARO TO TUMHARA PAIWI NA KAR SAKE, BARABAR HAIN(DONO KAAM) TUMHARE HISAAB SE KI AGAR UNKO PUKAARO CHAHE KHAAMOSH RAHO BESHAQ JINKO TUM ALLAH KO CHHOD KAR PUKAARTE HO WO TUMHARE JAISE HI BANDE HAIN, TO AGAR TUM SACCHE HO TOH TUM UNKO PUKAARO PHIR UNKO CHAHIYE KI JAWAB DEN, KYA UNKE PAIR(FEET) HAIN JINSE WOH CHALTE HAIN , KYA UNKE HAATH(HAND) HAIN JINSE WO KISI KO HAATH SE PAKADTE HAIN, KI UNKI AANKHEN HAIN JINSE WO DEKHTE HAIN, KYA UNKE KAAN(EARS) HAIN JINSE WO SUNTE HAIN, AAP KAH DIJIYE KI TUM APNE SAB SAAJHIDAARO(PARTNERS) KO BULA LO PHIR MERE KHILAAF CHAAL CHALO AUR MUJHE MOHLAT NA DO, BESHAK MERA KAARSAAZ ALLAH HAI JISNE MUJH PAR KITAAB UTAARI HAI AUR WAH NEK LOGON KI KAARSAAZI KARTA HI RAHTA HAI, AUR JINKO TUM ALLAH KI ELAWA PUKAARTE HO WE NA TO TUMHARI HI MADAD KAR SAKTE HAIN AUR NA APNI HI MADAD KAR SAKTE HAIN, AUR AGAR TUM UNKO KOI BAAT BATLAANE KO PUKAARO TO SUN NA SAKEN AUR AAP UNKO DEKHEN KI MAANON AAPKI TARAF NAZAR KAR RAHEN HAIN JABKI UNHE KUCH SAMJH NAHI AA RAHA"



(AL ARAAF 191-198)


YE AYATEN MUSHRIKEEN(BARELWI) PAR KITNI FIT BAITHTI HAI....QUR'AN NE KITNA KHOL KHOL KAR BAYAN KIYA HAI....


KHUD AHMAD RAZA LIKHTE HAIN-"JAB KABHI MAINE MADAD MAANGI TO YA GAWTH HI KAHA"

(MALFOOZAT 3/7)

YANI KABI ALLAH SE MADAD NA MAANGI



ALLAH KA FARMAAN SUNTE HAIN-" MERI YAAD SE PARDA PADA HUWA THA AUR WE SUN BHI NAHI SAKTE THEY KYA PHIR BHI KAAFIRON KA KHAYAL HAI KI MUJHE CHHOD KAR MERE BANDON KO(APNA) KAARSAAZ QARAAR DE LEN, BESHAK HAMNE JAHANNUM KO KAAFIRON KI MEHMAANI KE LIYE TAIYYAR KAR RAKHA HAI"

(KAHAF 101-103)

"AAP KAH DIJIYE KI HAM TUMHE UN LOGON (KA PATA) BATAYEN JO KAAM KE LIHAAZ SE BILKUL HI GHATE ME HAIN? YAH WE LOG HAIN JINKI (SARI) KOSHISH DUNIYA HI KI ZINDAGI ME KHARCH ME LAGI RAHI AUR WO YAHI SAMAJHTE RAHE KI WE BADE ACCHE KAAM KAR RAHE HAIN"


(KAHAF 103-104)


ALLAH HAMARE BAREWI BHAIYYON KO HIDAYAT DE

Sunday, April 3, 2011

MASLA HAZIR O NAZIR AUR BARELWI DALAIL

BISMILLAHHIR RAHMANIR RAHEEM


BARELWI AQEEDE ME SE EK AQEEDA YAH HAI KI NABI (S.W.S) HAR JAGAH HAAJIR WA NAAZIR HAIN AUR EK WAQT WE APNE PAAK JISM KE SAATH KAI JAGAH PAR MAUJOOD HO SAKTE HAIN,


YE AQEEDA NA SIRF QUR'AN WA HADITH KI KHULI MUKHALIFAT HAI BALKI AQL AUR SAMJNE ME BHI ALAG HAI, ISLAMI SHARIAT IS TARAH KE BEQAR AUR HINDUAANE AQEEDE SE BILKUL PAAK SAAF HAI,


MAIN PAHLE BARELWI DALEEL PESH KARUNGA USKE BAAD INSHAALLAH ALLAH KA KALAAM BAYAN KARUNGA,


BARELWI AQEEDA RAKHTE HAI-" KOI JAGAH AUR KOI WAQT HUZOOR (SWS) SE KHAALI NAHI"

(MASLA HAZIR WA NAZIR 85)


EK BARELWI LIKHTE HAIN-"AULIYA ALLAH EK WAQT ME KUCH JAGAHON PAR HO SAKTE HAIN AUR UNKE EK SAATH KAI JISM KO SAKTE HAIN"

(JAAL HAQ 150)


MATLAB JAB AULIYA KIRAM KE LIYE YAH CHEEZ JAYEZ HAI TO BHALA NABI (SWS) SE KYON NAHI

AAGE PADHIYE

"HUZUR (SWS) KO DUNIYA KI SAIR KARNE KA APNE SAHABA KI ARWAH KE SAATH AKHTIYAR HAI AAPKO BAHUT SE AULIYA NE DEKHA HAI"


(JAAL HAQ 154)

DAWA AUR DALEEL DONO EK SAATH LIKH DIYE GAYE HAIN, DAWA YAH KI NABI (SWS) SAHABA KIRAM KE SAATH ALAG ALAG JAGAHON PAR MAUJOOD HO SAKTE HAIN AUR DALEEL YAH HAI KI BAHUT SE AULIYE NE DEKHA HAI,


AAGE LIKHTE HAIN-"APNI UMMAT KE AAMAL PAR NIGAAH RAKHNA, UNKE LIYE GUNAHON SE ASTAGHFAAR KARNA, UNSE BALAON KA DOOR KARNA, ZAMEEN KE CHARON TARAF AANA JAANA, USME BARQAT DENA AUR APNI UMMAT KA KOI NEK AADMI MAR JAAYE TO USKE JANAZE ME JAANA YAH HUZOOR (SWS) KA MASHGALA(HABIT) THA"

(JAAL HAQ 154)


AB JANAB AHMAD RAZA KHAN KA BUZURGANE KIRAM KE BAARE IRSHAAD SUNIYE-"UNSE POOCHA GAYA KI KYA AULIYA EK WAQT KE KUCH JAGAH HAAJIR HONE KI TAAQAT RAKHTE HAI?? TO JAWAB DIYA-" AGAR WO CHAHEN TO EK WAQT ME 10 SHAHRON ME 10000 JAGAH KI DAWAT QUBOOL KAR SAKTE HAIN


(MALFOOZAT 113)

NABI (SWS) KE BAARE ME LIKHTE HAIN-

"NABI SWS KI ROOH KAREEM TAMAM DUNIYA ME HAR MUSALMAN KE GHAR TASHRIF FARMA HAI"

(KHALISUL ETIQAD 40)

"NABI SWS MILAD, NAAT KHWANI NEK LOGON KE NAMAZ E JANAZA ME APNE PAAK JISM KE SAATH TASHRIF FARMA HOTE HAI"

(ETIQAD 156)

"NABI SWS NE HZ ADAM AS KA PAIDA HONA, UNKA SAMMAN(RESPECT) HONA, AUR GALTI PAR JANNAT SE NIKAALA JAANA, AUR PHIR TAUBA QUBOOL HONA, AAKHIR TAK UNKE SAARE MAAMLE JO UNPAR GUZRE SABKO DEKHA AUR JIS WAQT RUHE MUHAMMADI KI TAUBA HAMESHA KE LIYE HZ ADAM SE HAT GAYI TAB UNSE BHOOL WA USKE NATIJE HUE"

(JAAL HAQ 115)

YANI NABI SWS DUNIYA ME AANE SE PAHLE BHI HAAZIR WA NAZIR THEY


"NABI SWS KI RISAALAT AUR ADAM AS SE LEKAR AAPKE JISMANI DAUR TAK KI TAMAM WAQEYON PAR HAAJIR HAIN"


(JAAL HAQ 193)


BARELWIYAT KE IS AQEEDON KA ZARA ALLAH KE IRSHAADON SE COMPARE KARTE HAIN


WAMA KUNTA BIZANIBIL GHARBIYYI IZ QAZAYNA ILA MUSAL AMRA WAMA KUNTA MINASHSHAHIDEEN


"AUR AAP(NOOR PAHAD KE) PASHCIMI DISHA (WEST SIDE) ME MAUJOOD NA THEY JAB KI HAMNE MUSA KO AHKAAM DIYE THEY AUR AAP UN LOGON ME SE MAUJOOD NA THEY JO WAHAN MAUJOOD THEY"

(QASAS 44)


"AUR NA AAP MADYAN WALON ME THAHRE HUWE THEY KI HAMARI AYAATEN PADH KAR LOGON KO SUNA RAHE THEY LEKIN HUM(AAP HI KO) RASOOL BANANE WAALE THEY"

(QASAS 45)

"AUR AAP TOOR KE PAHLU ME NA US WAQT MAUJOOD THEY JAB HAMNE (MUSA KO) AAWAZ DI THI LEKIN APNE RAB KI RAHMAT SE NABI BANAYE GAYE TAAKI AAP LOGON KO DARAYEN JINKE PAAS AAP SE PAHLE KOI DARAANE WAALA NAHI AAYA TAAKI WO NASIHAT QUBOOL KAREN"

(QASAS 46)


"AUR AAP UN LOGON KE PAAS NA THEY US WAQT JAB WE QALAM DAAL RAHE THEY KI UNME SE KAUN MARYAM KI SARPARASTI KARE, AUR NA AAP UNKE PAAS US WAQT MAUJOOD THEY JAB WE AAPAS ME JHAGAD RAHE THEY"

(IMRAN 44)


"YAH(KISSA) GAIB KI KHABRON ME SE HAI HAMNE WAHIY KE ZARIYE AAP TAK PAHUNCHA DIYA, ISE ISSE PAHLE NA AAP HI JAANTE THEY NA AAPKI QAWM TO SABR KIJIYE ,BESHAK HI NEK ANJAAM PARHEZGAR LOGON KE HI LIYE HAI"



(HUD 49)


"YAH (KISSA) GAIB KI KHABRON MESE HAI JISKI HAM AAPKE TARAF WAHIY KARTE HAIN AUR AAP UNKE PAAS US WAQT MAUJOOD NA THEY JAB UNHONE APNA IRAADA PAKKA KAR LIYA THA AUR WO CHAALEN CHAL RAHE THEY"


(YOUSUF 102)


ALLAH TAALA HUZOOR SWS KE MASJID HARAM SE AQSA TAK JAANE KA KISSA BAYAN KARTE HUE FARMATE HAIN-

"WAH PAAK HAI JO APNE BANDE(SWS) KO RAATON RAAT MASJID HARAM SE MASJID E AQSA(BAIT UL AQDAS) TAK LE GAYA JISKE IRD GIRD KO HAMNE BARQAT WAALA BANA RAKHA HAI TAAKI UNKO HAM KUCH APNI KUDRAT DIKHAYEN BESHAK WAH SUNNE WAALA AUR DEKHNE WAALA HAI"

(BANI ISRAEL 1)


IN AYATON KE SAATH SAATH AUR WAQEYE BHI IS AQEEDE KA DIFAA KARTE HAIN KI AAP SWS HUJRE MUBARAK ME MAUJOOD HOTE THEY TO SAHABA KIRAM RA AAPKA MASJID ME INTEZAR FARMAYA KARTE THEY, AGAR AAP HAAJIR WA NAAJIR THEY TO SAHABA KA MASJID ME INTEZAAR KARNE KA KYA MATLAB

ISI TARAH JAB AAP MADINA ME THEY TO HUNAIN ME AAPKA WAJOOD NA THA AAP TABOOK ME THEY TO MADEENE ME AAP MAUJOOD NA THEY AUR JAB ARAFAAT ME THEY TO NA MAKKA ME AAPKA WAJOOD THA NA KI MADEENE ME


ALLAH HAMEN SACH BAAT KAHNE AUR SAMJHNE KI TUFEEQ DE...

AAMEEN