Saturday, April 9, 2011

KYA ALLAH HAMARE LIYE KAAFI NAHI??

Bismillahir rahmanir raheem.


Barelwiyat ke taruf ko aage badhate hue... Main ye article khaas unko dedicate karna chahta hun jo ye samjhte hai ki "allah hamare liye kaafi nahi aur awliya ka waseela lena jayez hai"


Is article me main barelwi mazhab ke fatawe na likhkar sirf qur'an ki ayaten ka bayan karunga...

Barelwi aqeede ko radd karte hue quran ki ye ayat bahut khoob hain


"yahi tumhara rabb hai isi ki hukumat hai aur jinko tum allah ke elawa pukarte ho wah khajoor ki guthli(seeds)ke barabar bhi ikhteyaar nahi rakhte, agar tum unko pukaro to we tumhari sunege bhi nahi aur agar sun bhi len to tumhara khuch bhi na kar saken aur qiyamat ke din we tumhare shirk karne se hi inkaar karenge aur tujhko khuday khabeer ka sa koi na batayega"

(fatir 13 ,14)


"Aap kah dijiye tumne apne khudaai shareekon ke haal par bhi nazar ki hai jinhe tum allah ke siwa pukarte ho zara mujhe bhi batao ki unhone zameen ka Kaun sa ansh(part) banaya hai ya unka aasmaan me kuch saajha hai ya hamne unko kitab di hai ki ye usi daleel par qayam hai?"

(fatir 40)


Aur zyada taqeed karte hue farmaya


" aur jinko tum allah ke elawa pukaate ho wah na to tumhari hi madad kar sakte hain aur na apni madad kar sakte hai"

(Aaraf 197)


"Aur jinko ye log uske siwa pukaarte hain we inka jawab isse zyada nahi de sakte"

(raad 14)


"Aur tumhara allah ke elawa koi bhi na kaarsaaz hai aur na madadgaar"

(ash shuara 31)


"kah! Bhala batao to allah ke elawa tum jinko pukaarte ho agar allah mujhe taqleef pahunchana chahe to kya ye uski di hui takleef ko door kar sakte hain ya allah mujh par inayat karna chahe to ye uski inayat ko rok sakte hai"

(zumar 38)

"wah jo sab beqaraar ki fariyad sunta hai jab wah use pukaarta hai aur musibat ko door karta hai aur tumko zameen me tasarruf waala banata hai kya allah ke elawa aur koi aur bhi khuda Hai? Tum log bahut kam hi gaur karte ho"

(namal 62)


Phir unko samjhane ka iraada kiya aur farmaya-

"Beshak jinko tum allah ko chhod kar pukarte ho, wo tumhare jaise hi bande hai aur agar tum sacche ho to tum unhe pukaro ,phir unko chahiye ki tumhara jawab den"

(aaraf 194)

Aur aage farmaya

"Kah dijiye ki to kya tumne (phir bhi) uske elawa aur qaarsaaz karaar de liye hain to apni hi zaat ke liye nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhte"

(raad 16)

" Aur usse badhkar gumraah kaun hoga jo allah ke elawa auron ko pukaare jo qiyamat tak bhi uski baat na sune balki unke pukaarne ki khabar tak na ho"

(ahkaaf 5)

"Aur jab aap se ye mere bande mere baare me malum karen to main qareeb hi hun, duwa karne waale ki dua qubool karta hun jab wah mujhse dua karta hai to (logon ko) chahiye ki mere ahkaamon ko maane aur mujhpar imaan laayen ,ajab nahi ki hidayat paa jaaye"

(baqarah 186)


Waqa-la rabbukumud ooni astajib lakum

trans: "aur tumhare rab ne kaha ki mujhe pukaaro main tumhari dua qubool karunga"

(gaffir)


In ayaton se yah baat saamne aa jaati hai ki sirf allah hi musibat me bandon ki madad kar sakta hai aur unke kaam aa sakta hai aur unke dukh ko door kar sakta hai,

Ab in ayaton ko kasauti par rakhkar barelwi imam ke farman sun lete hain


" Auliya kiraam ek hi jagah par rahkar tamam aalam ko haath ko laqeeron ki tarah dekhte hain aur door wa paas ki cheezon ki awaaz sunte ya ek pal me saari kaaynaat ki sair karte aur saikdon miles par haajat mandon ki haajat poori karte hain"

(jaal haq 138,139)


janab barelwi kahte hai-" jab tumhe kisi pareshaani ka saamna ho to qabr walon se maango"

(Al amn wal oola 46)


Ek to inlogon ka ye aqeeda hai to dusri taraf nabi(sws) apne chachere bhai abdullah bin abbas(ra) se farma rahe hai-" ki apni haajat sirf allah se talab kar, Fariyad sirf usi se maang, qalam ki siyahi khuskh(dry) ho chuki hai aur saari qaaynaat bhi milkar tujhd na faayeda de sakti hai aur nuksaan"

(tirmizi)

Kya allah hamare liye kaafi nahi??

"Aur jo allah par bharosa karta hai uske liye allah kaafi hai"

(talaaq 3)


Quran ki ayaton ko padhkar sochen ki kya hum apne amal ko barbaad to nahi kar rahe

mere barelwi bhaiyyon allah ke saath kisi aur ko shareek na karo..


Allah hame sacchi baat kahne aur karne ki taufeeq de...

Ameen