bismillahirrehmanirraheem
Janab ahmad raza ki family ke baare me sirf itna hi pata chala hai ki unke baap daada ki ginti hanafi ulama me hoti hai, albatta janab barelwi sahab ke dushmano(deobandi,wahabi) ki taraf se ilzaam hai ki unka relation shia family se tha. Unhone saari umar taqiya kiye rakha (chupaye rakha) aur apni asliyat ka pata na chalne diya taaki we ahle sunnat ke beech shia aqeedon ko riwaaj de saken. Inke virodhi is baat ke saboot ke liye jin tareeqon ko pesh kiya karte hain unme se kuch ya yahan bayan kiya jaa raha hai-
1-Janab ahmad raza ke baap dada ke naam shia naamon se milte julte hain unka shajar-e-nasab hai -Ahmad raza bin naqi ali bin raza ali bin kaazim ali
(HAYAT AALA HAZRAT-2)
2- Barelwion ke aala hazrat ne ummul momineen hz ayesha(ra) ke khilaaf bahut hi ghatiya word istemal kiya hai. Aqeeda ahle sunnat se juda koi insaan iske baare me soch bhi nahi sakta. Apne kaseede Me unhone likha hai-
TANG WA CHUST UNKA LIBAAS AUR WAH JOBAN KA UBHAAR,
MASLI JAATI HAI QABA SAR SE KAMAR TAK LEKAR
YAH FATA PADTA HAI JOBAN MERE DIL KI SURAT KI HUE JAATE HAI JAMA SE BARON SEENA WA BARR,
(HADAIQH BAKSHISH 3-23)
NAUZUBILLAH
(aiy allah mujhe maaf karna..lekin ala hazrat ke kartoot logon tak pahunchana bahut zaroori tha)
3- Unhone musalmano me shia mazhab se liye gaye aqeedon ki dawat dene me bharpoor role ada kiya, koi asli shia apne is maqsad me itna qaamyaab na hota jitni qaamyaabi ahmad raza sahab ko is silsile me taqayya ke lubaade se mili. Unhone apne shia hone par parda daalne ke liye kuch aise risaale bhi likhe jinme dikhawe ko shia mazhab ka virodh aur ahle sunnat ki himayat paayi jaati hai. Shia taqayye ka yah bhaav hai jiska taqaaza unhone poori tarah ada kiya
(fatawa barelwi 14)
4- Janab ahmad khan sahab ne apni kitaabon me aisi riwayaton ko likha hai jo khaalis Shia riwayatein hain aur unka aqeeda ahle sunnat se door ka bhi waasta nahi hai, jaise ki-
"Hz ali (ra) qiyamat ke din jahannum ki ticket baatenge"
(al aman wal oola-58)
"hz fatima (ra) ka naam fatima isliye rakha gaya ki allah ne unko aur unki aulaad ko jahannum se azaad kar diya hai"
(khatm nubuwwat 98)
" Shia imamon ko taqdees ka darja dene ke liye unhone yah aqeeda gada ki agwaas( qaus ka plural matlab logon ki fariyaad sunkar poori karne waale) hz ali (ra) se hote hue hasan askari tak pahuncte hain is silsile me unhone wahi serial no. Rakha hai jo shia imamon ka hai"
(malfoozat 115)
Janab ahmad raza ne baaki sahaba e kiraam ko chhodkar hz ali (ra) ko mushkil kusha karaar diya aur kaha-
" Jo insaan mashoor saifi( jo shia aqeede ki tarjumani karti hai) padhe uski mushkile hal ho jaati hain"
dua e saifi ye hai-
" Hz ali ko pukaaro jinse ajeeb kaam hote hain tum unko madadgaar paoge, aiy ali Aapki wilayat ke tufail tamam pareshaaniya door ho jaati hain"
(al aman wal oola-12-13)
isi tarah unhone panjatan paak ko aam kiya aur is sher ko riwaaj diya-
" paanch hastiyan aisi hai jo apni barqat se har bimari ko door karti hain, muhammad, ali, hasan, hussain aur fatima (ra)"
(rizwiya 2-187)
Unhone shia aqeede ki tarjumani karne wali cheez "zaafar" ko batate hue apni kitaab khaalisul etiqaad me likha hai-
"Zafar chamde(leather) ki ek aisi kitaab hai jo imam zaafar saadiq ne ahle bait ke liye likhi. Isme hz ki saari cheezen darj kar di hain. Isi tarah isme qiyamat tak hone waale waqyon ka bhi zikr kar diya gaya hai"
(khalisul etiqaad-48)
Janab barelwi ne ek aur shia riwayat ko apni kitaab me darj kiya hai ki-
" Imam raza shia ke 8we imam se kaha gaya ki koi aisi dua sikhaayen jo ham ahle bait ki qabron ki ziyarat ke waqt padha karen to unhone jawab diya ki qabr ke paas jaakar 40 baar Allahuakbar kah kar kaho-" assalamu alaikum ya ahlul bait" aiy ahlul bait main apne aur mushkilaat ke hal ke liye aapko khuda ke saamne sifarishi banakar pesh karta hun aur aale muhammad (sws) ke dushmano se apne ko alag karta hun"
(hayatul mawaat, fatawa rizwiya 4-299)
Yani shia ke imamon ko musalmaanon ke nazdeek muqaddas aur sahaba kiram (ra) aur ahle sunnat ke imamon se uncha qaraar dene ke liye unhone is tarah ki riwayatein aam ki jabki ahle shha ke imamon ke serial no. Aur is tarah ke aqeedon ka aqeeda ahle sunnat se koi talluq nahi hai.
Janab ahmad raza shia taajiye ko ahle sunnat me banane ke liye apni ek kitaab me likhte hain-
" Tabarruk ke liye hz hussain ra ke maqbare ka namoona banakar ghar ke andar rakhne me koi harz nahi"
(risala badrul anwaar-57)
Is tarah ki bahut si riwayatein aur masail unki kitabon me paya jaata hai.