Bismillahirrahmanir raheem
Rafulyadain proof from Sahih hadith
Abdullah bin zubair r.a. Farmate hai:- Maine Abu Bakr R.a. ke pichhe Namaz perhi wo namaz ke shuru me aur rukoo se pahle aur rukoo se jab sar uthhate the to apne dono hath uthhate the aur kahte the Rasulullah sws bhi Namaz ke shuru me aur rukoo se pahle aur rukoo se sar uthhane ke baad rafadain kerte the.
{Bahqee 2 /73 }
Hajrat Umar Farooq r.a.:--
Umar Farooq r.a. ne ek martaba Logo ko namaz ka tareeka bataaane ka iraada kia to Qibl-e- rukh ho ker khare ho gaye aur dono hatho ko kandho tak uthhaya Fir “ Allah Akber “ kaha fir rukoo kia aur isi tarah kiya aur rukoo se sar uthha ker bhi Rafa dain kia.
{Bahqee 1 / 415 , 416 }
Hajrat Ali r.a.:- Saydena Ali r,.a, Fermate hai Rasululah sws Namaz ke shuru me , rukoo me jaane se Pahle aur Rukoo se sar uthhane ke baad aur do Rekaate perh ker khare hote waqt Rafa dain kerte the.
{ Abu Dawood 744 , } {Ibne Maza 864 } {Imam tirmizi ne sahi kaha 3423 }
Abdullah bin Umar r.a.
:- Abdullah bin umar r.a. Fermate hai Rasulullah sws shuru Namaz me, Rukoo se pahle aur rukoo ke baad apne dono hath kandho tak uthaya kerte the aur sazda me aisa nahi kerte the.
{ Bukhari : 735 , } {Muslim, 39 0 }
Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.
{ Bukhari 739 }
Imam Bukhari ke rahmatulla h ke ustaad Ali bin Madni Rahmtulah Fermate hai ke Hadith Ibne Umar r.a. ke bina per Musalmaano pe Rafadain kerna zuroori hai.
{Altalkhee sul zabeer 1 /218 }
Malik bin huwairas r.a. Shuru Namaz me Rafadain kerte fir jab rukoo kerte to rafadain kerte. Aur jab rukoo se sar uthhate to rafadain kerte aur ye fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kia kerte the.
{ Bukhari: 738 } { Muslim: 391 }
hz Waail bin Hazar R.a. Fermaate hai : Maine Nabi Akram sws ko dekha jab aap namaz shuru kerte to “ Allah Akbar” kahte aur apne dono haath uthhate, fir apna haath kapre me dhaank lete fir daya haath baye per rakhte. Jab rukoo kerne lagte to kapro se haath nikal lete “ Allah Akber “ kahte aur Rafadain kerte , jab rukoo se uthhte to “ Sameallah huleman Hameeda “ Kahte aur Rafadain kerte.
{ Muslim 401 }
Wail bin hajar r.a. 9 Hijri 10 hijri me Rasullulah sws ke paas aaye. Lehaza ssabit hua ke Rasulullah sws 10 Hijri tak Rafadain kerte the , 11 Hijri me Nabi Rahmat sws ne Wafaat paayi.
Abu Hameed Sa-sadi r.a. ne 10 Sahaba Ekraam r.a. ke ek majme me beyan kia ke : Rasulullah sws jab Namaz shuru kerte aur jab rukoo me jaate, Jab rukoo se sar uthhate aur jab 2 rekaate perh ker khare hote to Rafadain kerte the . Tamaam sahabi ne kaha tum sach beyaan kerte ho , Rasulullah sws isi tarah namaz perhte the.
{ Abu Dawood 730 } { Tirmizi 304 , Imam Tirmizi ne hasann sahi kaha hai} { Ibne- habban 5 /182 }
Imam Ibne Khazeema Rahmtullah is Hadith ko riwayat kerne ke baad Fermate hai ke maine Muhammad bin Yahyaa ko ye kahte hue suna ke jo shaksh hadith Abu hameed sun ne ke bawajud Rukoo me jaate aur us se sar uthhate waqt Rafadain nahi kerta to uski Namaz Naaqis hogi.
{ Sahi Ibne Khazeema 1 /298 , 588 }
Hajrat Abu Moosa Ashaari r.a. ne Fermaya , Kya Mai tumhe Rasulullah sws ki Namaz na batau ? Ye kah ker unhone Namaz perhi Jab Takbeere Tahreema kahi to Rafadain kia, Fir jab rukoo kia to Rafadain kia aur Takbeer kahi aur Rukoo se sar uthaate waqt “ Sameallah huleman Hamida kah kar dono haath uthaye aur fermaya “ Isi tarah kia kero “ .
{ Dar Qatni 1 /292 } { Hafiz Ibne Hazar in Altalkhees 1 /219 }
Abu Hurraiaa R.a.
Abu hurraira r.a. Fermaate hai ke Rasulullah sws shuru Namaz me, Rukoo se pahle aur rukoo ke baad apne dono haath uthhaya karte the.
{Ibne Maza 860 } { Ibne Khazeema 1 /344 by Hadith 694 sahi kaha hai.}
Hajrat Jabir bin Abdullah r.a. Jab Namaz shuru kerte , Jab rukoo kerte aur jab rukoo se sar uthhate to Rafadain kerte aur fermaate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah karte the.
{ Masnadul Siraj , Ibne Maja 868 , Imam ibne hajar ne sahi kha ahi }
AIY ALLAH HAM SAB BHAIYYON KO RAFULYADAIN KARNE KI TAUFEEQ DE..... AMEEN SUMMA AMEEN