Bismillahirrahmanirraheem
NAFARMANI AUR ZINAKARI KE AFSANE:
Rahi baat ki yazid rh ki nafarman wa zinakaar hone ke afsano ki, to yah bhi poori tarah ghalat hai jis ka radd ke liye khud hz hussain ra ke bade bhai muhammad ibn hanfiya ka yah bayan hi kaafi hai jo unhone uske baare me isi tarah ke afsane sun kar diya tha:
" Tum unke baare me jo kuch kahte ho maine unme aisi koi cheez nahi dekhi, maine unke yahan qayaam kiya hai aur maine unhe pakka namazi, neak Parhejgaar, masail shariat se lagaao rakhne wala aur sunnat ka paband paya hai"
( Al badaya wan nihaya part 8 pg 233)
KUSTUNTUNIA KE JIHAD ME SHAREEK LOGON KI MAGHFIRAT KE LIYE NABI SWS KI KHUSH KHABRI:
Iske elawa kam se kam ahle sunnat ko is hadith ke mutabik hi yazid ko bura bhala kahne se bachna chahiye jisme rasoollullah sws ne kustuntunia ke jihad me shirqat karne walon ke baare me maghfirat ki basharat di hai aur yazid us jang ka commander tha, ya bukhari ki sahih hadith hai aur nabi sws ka farman hai, kisi kaahin ya najumi ki baat nahi ki baad ke waqeye use ghalat saabit kar den, agar aisa ho to phir nabi ke farman aur kaahin ki baat ke farq baaqi na rahega, kya hum is hadith ka mazak udakar yahi kuch saabit karna chahte hain??
" Meri ummat ka pahla lashkar jo kausar ke shaher (kustuntunia) me jihad karega, wah baksha huwa hai"
(SAHIH BUKHARI)
MUHAMMAD BIN HANFIYA KI TARAF SE YAZID BIN MUAWIYA KI SAFAAI:
Hz hussain ra ke bhai muhammad bin hanfiya rh ne un logon ke saamne, jin ke haath "bagawat" ki command thi, yazid ki bait tod dene aur uske khilaaf kisi muhim me shirqat karne se na sirf inkaar kar diya balki yazid par lagaye gaye ilzaamo ko bebuniyaad karaar diya aur yazid ki safaai pesh ki, is mauke par unhone jo tareekhi bayan diya hai wah is tarah hai-
haafiz ibne kathir likhte hain-
" Abdullah bin mutie aur unke saathi hz ali ra ke bete, muhammad bin hanfiya rh ke paas gaye aur unhe yazid ki bait tod dene par razamand karne ki koshish ki lekin unhone aisa karne se saaf inkar kar diya, is par ibne mutie ne kaha " yazid sharab noshi, namaz tark karne wala aur allah ki kitab ka munkar hai" Muhammad bin hanfiya ne kaha " tum jin baaton ka zikr karte ho maine un me se koi cheez isme nahi dekhi, main uske paas gaya hun, mera wahan qayam bhi Raha, maine usko hamesha namaz ka paband, parhezgar, deen wa ilm ka taalib aur sunnat ka hamesha paasdaar paya" Wah(mutie) kahne laga ,wah yah sab kuch banawat aur dikhawe ke liye karta hoga, ibne hanfiya ne jawab me kaha " mujhse use kaun sa darr ya laalach tha", jis ke bina par usne mere saath aisa kiya?? Tum jo us ki sharab noshi ka jikr karte ho, kya tum me se kisi ne khud use karte dekha hai?? Agar tumhare saamne usne aisa kiya hai to tum bhi us ke saath is kaam me shareek rahe ho, aur agar aisa nahi hai to tum is cheez ke baare me kya gawahi de sakte ho jiska tumhe pata hi nahi, we kahne lage " ye baat hamare nazdeek sahih hai jabki ham me se kisi ne use aisa karte nahi dekha" Ibne hanfiya rh ne farmaya " allah to is baat ko tasleem nahi karta , wah to farmata hai:
" gawahi unhi logon ki bhrosemand hai jinko is baat ki zaati taur par jaankari ho"
jaao!! Main kisi baat me tumhara saath nahi de Sakta, we kahne lage " shayad aap ko yah baat buri lagti ho ki yah maamla aapke elawa kisi aur ke haath me rahe agar aisa hai to jhanda ham aapke hawale kiye dete hain"
Biradar hussain ra ne kaha- " tum jis cheez par jung kar rahe ho, main sire se usko jayez hi nahi samajhta, mujhe kisi ke peeche lagne ya logon ko apne peeche lagaane ki zarurat hi kya hai?" we kahne lage-" aap isse pahle apne baap ke saath milkar jo jang kar chuke hain"
unhone farmaya-" tum pahle mere baap jaisa aadmi" aur unhone jin se jang ki "un jaise log" to laakar dikhao, uske baad main bhi tumhare saath mil kar jung kar lunga"
we kahne lage, aap apne beton abul qaasim aur qaasim hi ko hamare hawale kar den, unhone farmaya:-" main unko agar is tarah ka huqm dun to main khud hi kyon na tumhare saath is kaam me sharik ho jaaun?? We kahne lage, accha aap sirf hamare saath chalkar logon ko jung par taiyar kar den, unhone farmaya-
" Subhanallah! Jisko main khud napasand karta hun aur usse bachta hun, logon ko iska huqm kaise dun?? Agar main aisa karun to main allah ke maamle me us ke bandon ka chahne wala nahi, balki bura chahne wala hunga" we kahne lage -"ham phir aapko majboor karenge" unhone kaha " main us waqt bhi logon se yahi kahunga ki allah se daro aur bandon ki khushi ki khatir allah ko naraaz na karo"
( Al badaya wan nihaya 8/632)
ALLAH HAMEN YAZID RH PAR BADAKHLAKI SE BACHAYE..... Ameen