Tuesday, April 19, 2011

YAZID KO RAHMAHULLAH KAHNA NA SIRF JAYEZ BALKI MUSTAHAB (IMAM GHAZALI RH KA FATAWA)

Bismillahirrehmanirraheem


" Imam ghazali (rh) se sawal kiya gaya ki us insaam ke baare me kya huqm hai jo yazeed par lanat karta hai? Kya us par zinakari ka hukm lagaya ja sakta hai?? Kya us par lanat ka huqm hai?? Kya yazid waqai me hz hussain ra ko qatl karne ka iraada rakhta tha ya uska maqsad sirf apni hifazat thi??
Usko (ra) kahna bahtar hai ya us se bachna bahtar hai?"


Imam ghazali rh ne jawab diya musalman par lanat karne ka koi huqm nahi, jo insaan kisi musalman par lanat karta haì wah khud lanat waala hai rasullullah ne farmaya hai:

" Musalman lanat karne wala nahi hota" iske elawa hamen to hamari shariat islamia ne jaanwaron tak par lanat karne se roka hai to phir kisi musalman par lanat karna kis tarah jayez ho jayega? Jabki musalman ki hurmat(ijjat) hurmat kaaba se bhi jyada hai jaisa ki hadith nabi sws me bayan hai

(sunan ibne majah)

Yazid ka islam sahi taur par saabit hai jahan tak Hz husain ra ki shahadat ki waqeye ka talluq hai to is baare me koi sahi saboot maujood nahi ki yazid ne unka qatl kiya ya qatl ka hukm diya ya us par razamandi zahir ki, jab yazid ke baare me ye saboot ko hi nahi pahunchti to phir bura kahna bhi haram hai, Allah taala ne farmaya hai -" tum badakhlaki karne se bacho ki kuch badakhlaki gunah ke dayere me aa jaati hai"

aur nabi sws ka irshad hai-

"allah taala ne musalman ke khoon, maal, izzat wa aabru aur us ke saath badakhlaki karne ko haraam qarar diya hai"

jis insaan ka khayal hai ki yazid ne hz hussain ra ke qatl ka huqm diya ya unke qatl ko pasand kiya, wah pahle darje ka bewakoof hai, kya yah haqiqat nahi ki aisi soch rakhne waale ke daur me kitne ki shah, badshahon ko qatl kiya gaya lekin wah is baat ka pata chalane me kaasir raha ki kin logon ne un ko qatl kiya aur kin logon ko is qatl ko pasand ya napasand kiya jabki unke qatl uske bilkul Nazdeek me aur uske zamane me hue aur usne unka khud tahkikaat kiya, phir us qatl ke baare me kya kaha ja sakta hai jo bahut door ke ilaaqe me huwa aur jispar 400( imam ghazali rh ke daur tak) ki muddat bhi gujar chuki hai..

Iske elawa is waqeye par girohbandi ki moti tahen chad gayi hain aur riwayatein ke dher laga diye gaye hain jis ke bina par asal haqiqat ka suraag lagana namumkin hai, jab maamla yah hai ki haqiqat se naqaab uthana jayez hi nahi, isliye har musalman ke saath aache akhlaq rakhna zaroori hai, phir haq pasand (ahle sunnat) ka mazhab to yah hai ki kisi musalman ke baare me yah saabit bhi ho jaaye ki us ne kisi musalman ko qatl kiya hai tab bhi wah qaatil musalman. Kaafir nahi hoga, is liye ki qatl ka gunah kufr nahi ek shakht gunaah hai, phir yah bhi haqiqat hai ki musalman kaatil marne se pahle pahle tauba kar hi leta hai aur shariat ka huqm to yah hai ki agar koi kaafir bhi kufr se Tauba karle us par bhi lanat ki ijajat nahi , phir yah lanat aise musalman ke liye kyon jayez hogi jisne marne se pahle qatl ke gunah se tauba kar li ho?

Aakhir kisi ke paas is baat ki kya daleel hai ki hz hussain ra ke kaatil ko tauba ki taufeeq naseeb nahi hui aur wah tauba kiye bina hi mar gaya hai jab ki allah ka tauba ka darwaja har waqt khula hai

WAHUWAL LAZI YAQBALUL TAUBATA IBADIHI

(ASSHURA 42/25)

Baherhaal kisi tarah se bhi aise musalman par lanat karna jayez nahi jo marr chuka ho, jo insan kisi mare hue musalman par lanat karega wah khud allah ka nafarmaan hai,

Agar (maan len) lanat karna jayez bhi ho lekin lanat ki bajaaye khamoshi ikhteyar kiye rakhe to aisa insan gunahgaar na hoga balki agar koi insaan apni zindagi me ek baar bhi iblees par lanat nahi bhejta to qayamat ke din us se yah nahi poocha jayega ki toone iblees par lanat kyon nahi ki?

Albatta agar kisi ne kisi musalman par Lanat ki to qayamat ke din us se zaroor poocha ja sakta hai ki toone us par lanat kyon ki thi? Aur tujhe yah kaise malum ho gaya ki wah lanati hai? Jab ki kisi ke kufr wa imaan ka masla gaib ka ilm hai jise allah ke siwa koi nahi jaanta , haan shariat ke zariye hamen yah zaroor malum huwa ki jo insaan kufr ki haalat me mare wah lanati hai.


Jahan tak yazid ko "rahmatullah" ya "rahimahullah" kahne ka maamla hai to yah na sirf jayez balki MUSTAHAB (accha kaam) hai balki wah khud hi hamari un duwaon me shaamil hain jo ham tamam musalmano ki maghfirat ke liye karte hain ki

ALLAHUMMAGHFIR LIL MUSLIMEEN WAL MOMINAAT

" YA ALLAH! TAMAM MOMIN MARDON AUR AURTON KO BAKHS DE"

"isliye ki yazeed bhi yaqeenan momin tha"


(WAFYATUL AAYAAN 3/288, TABA BAIRUT)


ALLAH HAMEN SAHABION PAR BADAKHLAKI SE BACHAYE.... Ameen