Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-7)
MUSHRIKON KI RAWISH:
Pichli Qaum Ke Logon Ne Ambiya Se Kaha
“Tum Basher Ho Tum
Nabi Nahin Ho Sakte”
, Aaj Ke Mushrikon Ne
Kaha
“Nabi Hain Isliye
Bashar Nahin Ho Sakte”
Allah Tala Ne
Mushrikon Ka Ye Aqeeda Zaahir Kiya Fir Is Aqeede Ka Radd Farmaya
“Inhone Ye Kaha ! Tum
Bhi Toh Insaan Ho Ki Hamen In Cheezon Se Rok Do Jinhe Hamare Baap Dada Poojte
Rahen Hain, Koi Khula Hua Mojeza Laao, Rasoolon Ne Kaha, Haan Ham Bhi Tumhare
Jaise Insaan Hi Hain Lekin Allah Apne Bandon Mese Jis Par Chaahta Hai Ehsaan
Karta Hai”
(Surah Ibraheem Ayat
No.10-11)
“Kah Do Paak Hai Mera
Rabb Main Toh Bas Ek Insaan Hoon Jo Rasool Banaya Gaya Hoon Logon Ke Paas
Hidayat Pahunchane Ke Baad Imaan Se Rokne Wali Sirf Yahi Cheez Rahi Ki Inhone
Kaha Ki Kya Allah Ne Ek Insaan Ko Rasool Bana Kar Bheja Hai”
(Surah Bani Israel Ayat
No. 93)
Har Daur Ke Mushrikon
Ka Yahi Kahna Raha Ki Insaan Rasool Nahin Ho Sakta Inke Hidayat Ke Liye Yahi
Cheez Aadhe Aati Wo Yahi Kahte Kya Allah Insaan Ko Rasool Bana Sakta Hai ??
Iska Jawab Allah Ne Is Tarah Diya
“Agar Zameen Par
Farishtey Rahte Aur Chalet Firte Rahte Toh Ham Bhi Inke Paas Kisi Aasmani
Farishtey (Noori Makhlooq) Ko Rasool Banakar Bhejte”
(Surah Bani Israel Ayat
No. 94)
Allah Tala Ne Itna
Thos Aur Fitrat Ke Mutaabil Jawab Diya Hai Ki Rahti Duniya Ke Tamam Mushrik Aur
Bashariyat Ka Inkaar Karne Wale Na’samjh Jaahil La’jawab Ho Gaye Aur Allah Tala
Ke Is Qalam Ka Jawab Na Toh De Sake Aur Na Qayamat Tak De Sakte Hain Aur
Kaaynaat Me Allah Tala Ke Qalam Ka Jawab Dene Ki Jurrat Kar Bhi Kaun Sakta Hai
??
Allah Tala Ne Saaf
Saaf Bayan Kar Diya Hai Ki Agar Duniya Me Noori Makhlooq Rahti Toh Ham Duniya
Me Noori Makhlooq Ki Nabi Bana Kar Bhejte, Magar Zameen Par Insaan Rahte Hain
Is Liye Hamne Insaanon Mese Nabi Banakar Bheja, Magar Itni Thos Daleel Ke
Ba’wajood Musalmano Ke Andar Rah Rahe
Kalimo Go Mushriko Ne Nubuwwat Ko Bashariyat Ke Layeq Nahin Samjha Aur
Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Bashariyat Ka Inkaar Kar Diya, Is
Tarah Ye Logon Ke Aqeedon Par Daaka Daalte Hain Aur Apni Aur Masoom Aawaam Ki
Aakhirat Bhi Kharab Karte Hain,
“Ham Toh Doobenge Hi
Sanam, Tumko Bhi Le Doobenge”
Naye Logon Ke Islam
Qubool Karne Me Ye Sabse Bada Roda Hain, Picchle Daur Me Yani Khairul Kuroon Me
Koi Firqa Ek Amal Ya Ek Aqeeda Qur’an Aur Nabi E Akram Sallalaho Alaihi
Wasallam Ke Farmaan Ke Khilaaf Rakhta Toh Toh Fauran Us Par Kaarwahi Ki Jati
Aur Use Gumraah Firqa Kahkar Baaher Ka Raasta Dikha Diya Jaata Jaise Kisi Ne
Zakat Ke Tareeqe Ka Inkaar Kiya Aur Fauran Us Par Kaarwahi Hui, Agar Kisi Ne
Ali (As) Ki Mushkil Kusha Kaha Toh Fauran Kaarwahi Hui Isi Tarah Daur Aage Bada
Kisi Ne Taqdeer Ka Inkaar Kar Diya Fauran Baher Kiya Gaya,, Isi Tarah Jitney
Logon Ne Bhi Amal Aur Aqeede Me Zarra Baraabar Islami Taaleemaat Ke Khilaaf
Kuch Bhi Kiya Fauran Wo Firqa Gumrah Qarar De Diya Jaata,
Lekin Aajke Ye
Mushrik Ek Aqeeda Nahin Balke Qur’an Ke Har Har Shobe Ke Khilaaf Baatil Aqeeda
Rakhte Hain Fir Bhi Musalmano Ki Jamat Me Rahte Hain Aur Khilafat Na Hone Ki
Wajah Se Ye Azaad Bhi Hain, Balke Ulta Chor Kotwal Ko Daante Wali Misaal Ke
Tahat Turrah Ye Ham Tawheed Wali Jamaaton Ko Hi Aankhen Dikhaate Hain, Shayad
Ye Apni Aksariyat Par Ghamand Karte Hain Lekin Aksariyat Me Hona Haq Par Rahne
Ki Daleel Nahin Hai , Rabb Ka Farman Toh Ye Hai
“Kah Dijiye Khabees
Aur Paak Baraabar Nahin Ho Sakte Agarche Khabees Ki Kasrat Tumko Acchi Hi Kyon
Na Lage”
(Surah Maida Ayat No.
100)
“Beshaq Zyadatar Log
Fasiq Hi Hote Hain”
(Surah Maida Ayat
No.49)
Malum Hua Qur’an Ki
Ru Se Fasiq Aur Khabees Aksariyat Me Hi Honge Aur Imaan Wale Kam Hi Hote Hain
Rabb Ne Farmaya
“Jo Log Imaan Wale
Hain, Aur Nek Amal Karte Hain, Aise Log Kam Hi Hote Hain”
(Surah Saad Ayat
No.34)
Rabb Ke Farman Ke
Mutaabik Imaan Wale Kam Hi Hote Hain Aur Agar Imaan Wale Zyada Hon Toh Unki
Hukumat Hoti Hai Aur Ye Bhi Qur’an Ka Hi Farmaan Hai, Lekin Aaj Hindustan Me
Hanafion Ki Tadad Bahut Hai Fir Bhi
Zaleel Aur Ruswa Hai, Lihaza Qur’an Ki Ru Se Ye Musalman Hi Nahin Hai,
Inka Amal Dekho Toh
Ye Log Apni Auraton Aur Betion Ka Halala Karwaate Hain, Inki Namaz Sunnat Ke
Tareeqe Par Nahin Hoti, Ye Log Muharram, Chahellum, 12 Wafat, Shab E Barat, Kunda, 11wi, Wagerah Karte Aur
Tyohar Manate Hain Aur Agar Inke Aqeede Par Nazar Daalo Toh Inka Aqeeda Bhi
Mushrikaana Hai Jaise Nubuwwat Ko Insaan Ke Layeq Na Samjhna, Nabi Aur Tamam
Buzurgon Ko Ghaib’daan Samjhna, Hazir-Nazir, Mushkil Kusha, Haajat’rawan,
Nabion Aur Buzurgon Ko Zinda Samjhna,
Wagerah Wagerah,
Malum Hua Pichle Log
Ek Aqeeda Bhi Islami Taleemaat Ke Khilaaf Rakhte Toh Gumrah Firqe Kahlaate Aur
Islam Se Kharij Kar Diye Jaate, Lekin Aaj Ek Bhi Aqeeda Islami Na Hone Ke
Ba’wajood Ye Log Musalmano Ke Samaj Me Rahte Hain Aur Apne Apko Musalman
Samjhte Hain..
To Be Conrinued
#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi