Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-4)
Ab Main Apko Ek
Chamatkar Aur Dikhaata Hoon, Ye Hadith Sunne K Baad Mumkin Hai Ke Logon Ko
Malum Karne Ki Khwahish Paida Hoki Is
Noor E Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Paida Hue Kitni Muddat
Ghuzri, Toh Lijiye Aisi Mauzu (Fake, Jhooti) Hadith Bhi Haazir Hai,
Rasoollullah
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hz Jibreel (As) Se Sawal Kiya Tumahari Umar Kitni
Hai Toh Jibreel (As) Ne Arz Kiya
“Aaqa Main Acchi
Tarah Umar Nahin Jaanta Magar Itna Jaanta Hoon Ke Chauth Hisaab Se Sitaara Tha,
Jo 70 Hazaar Saal Ke Baad Tulu Hota Tha Aur Maine Isko 72000 Baar Dekha Hai”
Toh Nabi
Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Be Farmaya
”Kasam Hai Rabb Ki Wo
Sitara Main Hi Hoon”
Ab Dekhiye Hz Jibreel
(As)Ne Apni Umar 70000x72000=15400,000 Saal Batlaayi Aur Ye Sitaara Yani Noor E
Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Isse Baherhaal Muddaton Pahle Ka Tha, Ye Kitna
Pahle Tha Is Mauju Hadith Me Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Bhi Apne Noor Ki Umar Na Batlaayi, Malum Hota
Hai Is Hadith Taraash Ko Isse Zyada Ka Hisaab Aata Hi Na Ho, Yahi Noor E Nabi
Ka Wajood Adam (As) Ki Nijaat Ka Zariya Bana, Lijiye Iske Liye Bhi Hadith
Taiyyar Hai
Allah Tala Ke Rasool
Ne Farmaya
“Jab Adam (As) Jannat
Se Nikaal Kar Duniya Me Bheje Gaye Toh Har Waqt Rote Rah Eek Martaba Aasmaan Ki
Taraf Muh Kiya Aur Arz Kiya Aiy Allah ! Muhammad Ke Waseele Se Maghfirat
Chaahta Hoon
“Wahiyy “ Aayi, “Muhammad
Kaun”
Arz Kiya
“Jab Aapne Mujhe
Paida Kiya That Oh Maine Arsh Par Likha Dekha Tha La Ilaaha Illallah
Muhammadurrasoolluah, Toh Main Samjh Gaya Ke Hz Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam S Unchi Koi Hasti Nahin Jinka Naam Tone Apne Naam Ke Saath Likh Rakha
Hai”
Wahiyy Aayi
“Wah Na Hote Toh
Tumko Bhi Paida Na Karta”
(Fazail E Aamaal
-Fazail E Zikr Jild No.3 Page 143)
Ab Dekhiye Is Mauzu
Hadith Me Ye Zikr Nahin Aaya Hai Ke Fir Adam (As) Ki Tauba Qubool Hui Bhi Ya
Nahin, Ulta Allah Tala Ne Yah Kah Kar Aur Bhi Mayoos Kar Diya Ki Agar Wah Na
Hote Toh Tumko Bhi Paida Na Karta,
Agar Ki Saayel Aisa
Jawaab Diya Jaaye Toh Uske Dil Par Kya Beetegi Ab Ye Baat Deobandi Aalim
Zakariya Sahab Ko Kaun Batlaaye Ki Ye Hadith Mauzu Hai, Aur Iska Raawi Abdurrahman
Zaid Bin Aslam Hai Jo Kazzab Hai, Muhaddiseeno Ne Isko Hadith Ka Gadhne Wala
Bataaya Hai
(Meezaan Ul Aitedal
Jild No.2 Page 106)
Deobandi Alim Zakariya Sahab Ne Aallah Par Aur Nabi E Akram
Sallalaho Alaihi Wasallam Par Kitna Bada Bohtaan Lagaya Hai, Qur’an Me Toh
Allah Tala Adam (As) Ki Tauba Ko Qubool
Hone Ke Silsile Me Fermata Hai
“Pas Seekh Li Aadam
Ne Apne Rabb Se Kuch Kalimat Fir Mutawajjoh Ho Gaya Allah Us Par, Beshaq Wahi
Tauba Ko Qubool Karne Wala Meharbaan Hai”
(Surah Baqarah Ayat
No 34)
Adam (As) Aur Hawwa
(As) Ne Apne Rabb Se Seekh Kar Is Tarah Dua Ki
“Aiy Hamare Rabb !
Hamne Apni Jaanon Par Zulm Kiya Hai Agar Tune Hamko Na Bakhsha Toh Ham Zaroor
Khasaara Pane Walon Mese Ho Jayenge”
(Surah Aaraaf Ayat
No. 23)
Qur’an Kahta Hai Dono
Ne Apne Rabb Se Ye Dua Ki Jabke Deobandi Alim Zakariya Sahab Kah Rahen Hain Ki
Nabi Ka Waseela Pakda, Zakariya Sahab Ne Ek Saath 2 Jurm Kar Dale Ek Toh Qur’an
Ki Aayaton Ka Inkaar Dusre Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Waseela Lagaakar
Ummat Ko Shirk Ki Taraf Dhakela Ab Allah Hi Jaane Inke Saath Kya Ho Raha Hoga,
Tamam Hanafi Khususan
Barelwi Hazraat Taqreer Karte Hain Ki Hz Adam (As) Ka Jism Yani Putla Abhi
Paani Me Geela Tha Ke Us Waqt Bhi Nabi They, Yani Allah Ke Rasool Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke
“Adam (As) Abhi Rooh
Aur Jism Ke Darmiyaan They,Main Us Waqt Bhi Nabi Tha”
Dar’asal Ye 2
Hadithon Ka Majmua Hai Jo Awaam Khususan Barelwi Hanafi Me Bahut Mashoor Hai
Inshaallah Is Mauju
Par Next Post Yani Part-5 Me Guftughu Hogi
To Be Continued…
#Irfanali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks