Friday, April 3, 2015

FAJR KI JAMAT KE WAQT US KI SUNNAT PADHNA KAISA HAI?










FAJAR KI JAMAT KE WAQT US KI SUNNAT PADHNA KAISA?



Jab jamat khadi ho jai to Sunnat or Nawafil padhna kaisa? 



Bismillahhirehmanir Rahmeem. 

Jab Jamat khadi ho jai to sunnaten or nawafil padhna jayez nahi. 

Isi trah fajar ki sunnaten bhi nahi padhna chahiye is bare me yeh Ahadees hai. 

Imaam Abu dawood ne apni sunan abu dawood me yeh baab bandhe hai or 3 hadeees lai hai.

“Baab is aurakul imam wo lam yusli rakatil Fajar” 

(1)Hazrat Abdullah bin sarjis Riziallah wo anhum bayan karte hai Ke Ek Shaks Aaya or Rasool Allah s.a.w.s. fajar ki namaz padha rahe thy Us Ne 2 Rakat fajar ki sunnaten padhi fir Nabi s.a.w.s. k saath namaz me shamil ho gaya, jab aap Farigh Hue To Poocha Aiy Falan Tumhari namaz kon si hai Wo Jo Tumne Akele Padhi ya Wo jo tum ne hamare saath padhi. 

(Sahi muslim page35, sunan Abu
dawood Rakamul hadees 1665.)

Yeh hadees daleel hai jab jamat ho rahi ho to kisi k liye sunnat ya nafil padhna jayaz nahi he khwah
ho k sunnaton k baad pehli rakat pa lon ga

yahi hukum fajar ki sunnaton ka hai is hadis ka shan-e- wird Fajar ki do sunnaten hain

jamat k dauran Bahar Sehan Me ya Kisi Kone Me Fajar Ki Sunnaten Padhni Jayaez Nahi Jaisa Ke Aksar Masajid me yeh mamool hai. 

(2) Hazrat Abu Huraira Riziallah wo anhum bayan karte hain Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya 

" Jab Farz Namaz Ke Liye Jamat Khadi Ho Jaye To Phir farz
namaz k elawa koi namaz nahi. "

(Sahi muslim, sunan Abu dawood Rakamul hadees 1666.)

Is hadees se bhi sabit hota hai k jamat Ke hote Hue sunnaten padhne ki mumaniyat ka Isbaat hota hai? 

Aurr behqhi Ki Riwayet Ke 

"Jab jab jamat khadi ho jai to koi namaz nahi hai siwai Farz namaz Ke Illa Yeh Ke Subah Ki Sunnaten ho."

Yeh hadees bilkul be asal hai
mauzu or zaeef he dekiye Aunul maabud sharah Abu dawood.

Yahi mugalta bohat Logon Ko Hai Jo Jamat Ke Dauran Sunnaten Ada
Karte Hain or Sunnat Ki Mukhalifat Karte Hain

Allah se daro sunnat ki itteba karo Take Jannat Ke Sahi Mayene Me Haqdaar Ban Jao.

Teesri Hadees Jab Fajar Ki Sunnaten Reh Jayen To Kab
Ada Karen ??

Is Per Bhi Imam Abu dawood
Rehmatulla wo alai Ne Baab Bandh hai. 

“Baab man fatita mati yaqzaiha” 

“Fajar ki sunnate reh jai to kab ada kare” 

(3) Hazarat Qais bin Umro Raziallah wo Anhum Bayan Karte Hai Ke Rasool Allah s.a.w.s. Ne Ek Shakhs Ko Dekha Jo Fajar Ki Namaz Ke Baad 2 Rakaten Padh Raha Tha To rasool Allah s.a.w.s. Ne Farmaya 

"Subha Ki Namaz 2 Rakaten Hain"

Toh Us Shakhs Ne Jawab Diya
Ke 

"Mein Ne Pehli 2 Sunnaten Nahi Padhi Thi" 

Toh Rasool Allah s.a.w.s. khamosh ho Gaye. 

(Abu Dawood Hadees 1667, Allam Albani ne is hadees ki sanad ko Sahi qarar diya hai or yeh Mishkat or Ibne maja me bhi hai.) 

Yeh Hadees Taqreeri Hai Aur Sunnaten Agar Reh Jaye To Baad Me Padhna Afzal Hai, 

Bil Khusoos Fajar Ki Sunnaten nabi kareem s.a.w.s. Safar Me Bhi Nahi Chohdte Fajar Ki Yeh 2 Rakaten Duniya or Jo Kuch Yeh Duniya Me Hai Inse Afzal Hai

Fajar Ki Sunnaten Fajr Ki Farz Namaz Ke Baad Padhna Jayez Hai or Wo Hadees Jisme Hai

"Namaz Fjar Ke Baad Namaz Nahi Hai"

Usse Muraad Aam Nawafil Hai Na Ke Is Qism Ki Namaz Jo Kisi Sabab Se Padhi Ja Rahi Ho In Auqqat Me
Sababi (Salat for reason) Jayez Hai 

Makrooh Auqaat (Jis Waqt Sunnat Nafil Padhna Nahi Chahiye) Me Bhi Maslan Janaze Ki Namaz , Tahiyatul Masjid Kasoof Aur Khasoof Ki Namaz Aur Tawaf Ke Baad Ki 2 Rakat Yeh Sababi Namaze Hai Jaisa Ke Haramain Sharifain Me Namaz e Fajar Aur Asar K Baad Janaze Ki Namaz Taqreeban Har Roz hota Hai Jo Log Hajj Ya Umra Ada Karne Ke Liye Gaye He Inko Maloom Hai? 

Nabi kareem s.a.w.s. Ka Kisi Kaam Ko Dekh Kar Ya Sun Kar Khamosh rehna iski daleel samjha jata hai Is
Liye Is Hadees Se Istedlal Bilkul Sahi hai. Ke Jo Shakhs Fajar Ki Sunnaten Fajar Ki Farz Namaz Se
Pehle Nahi Padh Saka Wo Farz Ke Baad Padh Sakta Hai,

Namaziyon Aur Tamam Musalmano Se
Guzarish Hai Ke Sunnat Rasool Per Amal Karo Bidat Ko Khatam Kar Do Aur Hoshiyaar Aur Aqalmand Ke Liye Yeh Chand Sahi Hadeesen kafi
hai

Mazeed tafseel k liye is kitab ko padhe jis me mufassal behas he 

Book “Al gayatul marama fi bayanus salath ilal fareeza indal
auqaat” 

Allah hum sab ko Quran wo sunnat per sahi amal karne ki taufeeq farmai. Ameen ya rabal alameen. 

#FarooqMonis
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi