Saturday, April 25, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-6)








Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-6)


BASHARIYAT KA INKAAR:


Barelwi Hazraat Qur’an Ki Is Aayat Se Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bashariyat Se Kharij Karke Noori Makhlooq Me Daakhil Karte Hain

“Beshaq Tumhare Paas Allah Ki Taraf Se Noor Aur Roshan Kitab Aa Chuki Hai”

(Surah Maida Ayat No. 15)

Ahle Bidat Yahan Noor Se Muraad Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Aur Roshan Kitab Se Qur’an Ko Muraad Lete Hain, Halaanke Noor Aur Kitab E Mubeen Dono Se Muraad Qur’an Majeed Hi Hai, Iske Darmiyan “Baab” At Tafseeri Hai Jiski Waazeh Daleel Qur’an Ki Agli Aayat Khud Kar Deti Hai, Jisme Kaha Jar Aha Hai “Yah Di Bihillah”  Iske Zariye Se Allah Tala Hidayat Fermata Hai , Agar Noor Aur Kitab Do Alag Alag Cheezein Hoti Toh Alfaaz “Yahdi Bihimallahu” Hote, Yani Allah Tala In Dono Ke Zariye Se Hidayat Fermata Hai,


Qur’an E Majeed Ki Is Nas Se Waazeh Ho Gaya Ke Noor Aur Kitab E Mubeen Dono Se Muraad Ek Hi Cheez Hai, Jaisa Ki Allah Ne Dusri Aayat Me Farmaya

“Ye Kitab E Ilaahi Ki Ayatein Hain Aur Roshan Kitab Ki”

(Surah Hijr Ayat No. 15)

Is Ayat Me Bhi 2 Zaaton Ki Baat Nahin Ho Rahi Hai Balk Eek Hi Cheez Ki Baat Ho Rahi Hai Is Aayat Me Bhi “Baab” Tafseeri Hai Aur Kitab E Ilaahi Aur Roshan Qur’an Se Ek Hi Cheez Muraad Hai Aur Wo Cheez Qur’an Hai,

 Allah Tala Ne Qur’an Ko Kai Jagah Apni Kitabon Me Waazeh Taur Par Noor Kah Kar Khitaab Farmya Hai Jaisa Ke Allah Ne Ek Jagah Farmaya

“Hamne Moosa Ko Kitaab Di Jiski Kaifiyat Ye Hai Ki Wah Noor Hai”

(Surah Ana’am Ayat No.91)

 Poore Qur’an Me Allah Tala Ne Kahin Par Bhi Nabion Ko Noori Makhlooq Kahin Nahin Kahan Hai Yahan Tak Ki Ahmad Raza Khan Sahab Ka Tarjuma Qur’an Kanzul Imaan Tafseer Muradabadi Me Bhi Is Aayat Me Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Makhlooq Na Lekar Hidayat Liya Hai, Ki Shirk Wa Kufr Me Doobi Insaaniyat Ko Gumrahi Ke Andhere Se Nikaalne Wale Nabi Hidayat Ke Noor Hain Yani Qur’an Ke Zariye Dilon Me Kufr Ke Andhere Ko Door Karke Tawheed Ki Shama Jalaane Wale Nabi Banker Aaye,

Magar Haay Re !! Wo Ahmaq Kya Jo Ahmaqana Kaam Na Kare Yahan Toh Patri Par Chale Magar Dusri Kitab Me Patri Se Utar Gaye Ahmad Raza Khan Sahab Apni Kitab Hadaiq E Bakhshish Me Is Tarah Likhte Hain

“Wahi Noor E Haq Hai, Wahi Jille Rabb Hai
        Unhin Se Sab Hai, Unhi Ka Sab Hai”

(Sawaaneh Aala Hazrat Page No. 171, Qadri Muhammad Shamsul Qadri)

Noor E Haq Yani Allah Ka Tukda Aur Usi Zaat Ka Hissa Balke Allah Hi Hai Kyonki Wahi Zille Rabb  Hai, Zil Aqs Ko Kahte Hain, Medical Language Me Kahen Toh Clone Ko Zil Kahte Hain Toh Iska Mane Ye Hua Muhammad Allah Ke Clone Hain, Fir Likhte Hain, Unhi Se Sab Hain Yani Unhi Ke Noor Ke 4-4 Tukde Karne Se Saari Kaaynaat Bani, Fir Kahte Hain Unhi Ka Sab Hai, Matlab Ye Ke Jab Muhammad (Sws) Allah Aur Allah Ka Hissa Hai Toh Sab Unhi Ka Toh Hua, Itna Kufriya Aqeeda Likhne Ke Baad Fir Ek Dusre As’haar Me Apna Aqeeda Is Tarah Zaahir Karte Hain

“Noor E Wahdat Hamara Nabi”

(Sawaneh Ala Hazrat Page No.170, Hadaiq E Bakhshish)

Ek Baar Fir Unhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Ke Noor Ka Tukda Kaha Aur Dhitaayi Toh Dekho Jo Log Inke Kufriya Aqeede Ko Na Mane Us Par Kufr Ka Fatawa Laga Rahen Hain

QUR’AN PAR KUFR KA FATAWA:

Ahmad Raza Khan Ke Tarjuma Qur’an Ke Fehriston (List) Me Ek Unwaan Likha Hai “Ambiya Ko Basher Kahna Tariqa E Kufr Hai”

Bhaiyyon ! Zara Ghaur Karen Ye Fatawa Sabse Pahle Allah Tala Par Laga Kyonke Allah Tala Ne Qur’an Ke 16we Pare Me Surah Kahaf Ke Aakhiri Ruku Me Farmaya

“Kah Do Main Tum Jaisa Basher Hoon”

Surah Ha Meem Sajda Ayat No 6 Me Irshad E Rabbani Hai

“Aiy Paighambar Kah Do Main Tum Jaisa Basher Hoon, Wahiyy Ki Jaati Mujh Par Ki Tumhara Ilaah (Mabood) Ek Hi Hai”

(Haa Meem Sajda Ayat No. 6)

Mazkoora Ayat Me Allah Tala Ne Apne Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Elaan Karaya Ke Aap Kah Do Ke Main Insaan Ho, Lihaza Sabse Pahla (Nauzubillah) Kufr Ka Fatawa Allah Tala Ki Zaat E Paak Par Laga Kyonki Usne Elaan Karaya  Fir Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Par Ke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Par Iska Nazool Hua Aur Aapne Tiaawat Ki Fir Tamam Musalmano Par Kyonki Unhone Bhi Padha Aur Kitabon Me Likha, Yahan Tak Ki Khud Fatawa Lagaane Wale Bhi Nab Ach Sake Aur Iski Chapet Me Aa Gaye,


BARELWI APNE HI FATAWON KI ZADD ME:

1-      Nabi Is Basher Ko Kahte Hain Jis Par Allah Tala Ne Hidayat Ke Liye Wahiyy Bheji Ho

(Bahar E Shariat Hissa Awwal Page No.8, Jaal Haq)

2-      Ambiya Sab Basher They Aur Mard Me Se They Na Koi Jinn Nabi Hua Aur Na Hi Aurat

(Bahar E Shariat Jild No.1 Page No.8)

Bhaiyyon Ek Taraf Inka Ye Fatawa  Ke Ambiya Ko Basher Kahna Tariqa E Kuffar Hai, Dusri Taraf Khud Ambiya Ko Basher Kahna Aur Likhna Kya Ye Jihaalat Aur Pagalpan Ki Inteha Nahin Hai

To Be Continued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi