Monday, January 25, 2016

MUSAAFA EK HAATH SE YA DO HAATH SE ??

मुकल्लिदीन  कहते हैं के सहीह बुखारी मे दो हाथ से मुसाफा  करने की दलील है


अपने आपको गैर अहले हदीस कहने वाले मुकल्लिद हज़रात अहले हदीस को चेलेंज करते हैं की एक हाथ से मुसाफे की दलील अहले हदीस कयामत तक नहीं दे सकते  ताज्जुब की बात है  जो कुरान वा हदीस को मानने का दावा करता हो उसी के  पास हदीस ना हो. ऐसा  क्या मुमकिन हो सकता है,
एक सवाल किया जाता है की दो हाथ से मुसाफे की दलील सहीह बुखारी मे है. लेकिन अहले हदीस इनकार करते हैं,


मेरा मूकल्लिदीन से सवाल है की बतायें की इमाम बुखारी  ने कहाँ पर लिखा है की मुसाफ़ा दो हाथ से करना चाहिये. बुखारी  हमने भी पड़ी है

दर हकीकत  असल मे इमाम बुखारी रह ने बाब उल मुसाफा  के बाद एक बाब बाँधा है  "बाब उल अख्ज बिल यदैन  " यानी दो हाथ से पकड़ने का बयान, दर हकीकत मुहद्दिस का बाब दावा होता है, और उस बाब के तहत जो हदीस लायी गयी है वो दावे की दलील होती है, लेकिन यहाँ मुकल्लुद्दीन को शुबह हूआ  और समझा की यहाँ इमाम बुखारी  कह रहें हैं की दो हाथ से मुसाफा करना चाहिये,

फ़िर से समझो, पहले इमाम बुखारी बाब बाँधते हैं  "बाब अख्ज  बिल  यदैन " दो हाथ से पकड़ने का  बयान, जाहिर  है  ये दावा है, और इमाम बुखारी  इस दावे की दलील लायें हैं इस बाब मे, हदीस  लायी  गयी, बीच  मे एक सहाबा का  असर  लाया गया

" हज़रत  हम्माद इब्ने जैद ने अब्दुल्लाह इब्ने मुबारक रह से दो हाथ  से मुसाफा किया "

देखिये तीन चीज़ें हो गयी, एक बाब है  जो दावा है, बाद मे हज़रत हम्माद इब्ने जैद का असर पेश किया गया, उसके बाद हदीस लायी  गयी, और हदीस आ रहि है उस दावे की दलील मे

" हज़रत  अब्दुल्लाह  इब्ने मसूद रजि  का एक हाथ मुहम्मद सल्लल्लाहो अलैही वसल्लम  ने अपने दोनो हाथों  मे लिया  हूआ  था "

लिहाजा जो ये हदीस लायी गयी है वो दावे के मुताबिक नहीं है, अगर  मान लिया जाये  की दोनो हाथ से मुसाफा है  तो बीच मे ये असर क्यों लाया गया? इस वजह से लाया गया की  इतना बड़ा आदमी उसका ये अमल हदीस के खिलाफ है. लिहाजा उसका ये अमल नहीं माना जायेगा,

और एक दलील से साबित करूँ, हज़रत  इब्ने  शुब्रुमा  रजि  की एक बात  को हज़रत इमाम बुखारी  रह  ने सही बुखारी के अंदर लाते हैं  किताब  उल फजाईल कुरान  मे

" इब्न शुब्रुमा कहते हैं की मैने नहीं देखा की  पूरे कुरान मे कोई सूरह  3 आयत से कम बोले,अगर नमाज़ मे 3 आयत से कम पढ़ना दुरुस्त नहीं है "  किसने  कहा "इब्ने  शुब्रुमा " लिहाजा  नमाज़  मे  3 आयत से कम तिलावत नहीं करना चाहिये,कम  से  कम 3 आयत,

अब इब्ने शुब्रुमा का ये कौल  हज़रत इमाम बुखारी  बाब मे जिक्र  करते है और इसके बाद हदीस लाते हैं
"हज़रत  मुहम्मद  सल्लल्लाहो  अलैहि  वसल्लम  ने  नमाज़ मे 3 आयतों से कम भी  पड़ा है, " और दलील पेश की के ये 2 आयते  आपने  पड़ी हैं

(सही बुखारी जिल्द नO 6 किताब न0 61 हदीस न0 571)


अब दो हाथ से मुसाफा  या एक हाथ से

حَدَّثَنَا عَبْدُ الْوَارِثِ بْنُ سُفْيَانَ قَالَ حَدَّثَنَا قَاسِمُ بْنُ أَصْبَغَ قَالَ حَدَّثَنَا ابْنُ وَضَّاحٍ قَالَ حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ بْنُ كَعْبٍ قَالَ حَدَّثَنَا مُبَشِّرُ بْنُ إِسْمَاعِيلَ عَنْ حَسَّانَ بْنِ نُوحٍ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُسْرٍ قَالَ تَرَوْنَ يَدِي هَذِهِ صَافَحْتُ بِهَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ

हज़रत अब्दुल्लाह  बिन बुस्रिन रजि  फ़रमाते हैं के :-" तुम लोग मेरे इस हाथ को देखते हो, मैने इसी हाथ से रसूल्लुल्लह सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम  से मूसाफा किया है  और हदीस को जिक्र किया "
(तम्हीद इब्नुल बर्र जिल्द 12 पेज 247)

ये हदीस एक हाथ से मुसाफा करने की खुली दलील है,


हज़रत अमर बिन अल आस रजि  बयान करते हैं के जब अल्लाह ताला ने मेरे दिल मे इस्लाम डाला तोह मैं रसूल्लूल्लाह सल्ललहो अलैहि वसल्लम के पास आया और कहा:-" रसूलूल्लाह सल्लल्लाहो  अलैहि  वसल्लम अपने दायें  हाथ को आगे बढ़ाइये  के मैं आपसे बैत करूँ, पस  आप सल्लल्लाहो  अलैहि वसल्लम  ने अपना  दाँया हाथ आगे बढ़ाया, के मैने अपने हाथ को समेट लिया,

आप रसूल्लूल्लाह सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम ने फरमाया की :-" अमर तुझे किस चीज़ ने रोक लिया " मैने अर्ज किया  के कुछ शर्त करना चाहता हूं, आप रसूल्लूल्लाह सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम  ने फरमाया :-" किस बात की शर्त करना चाहते हो "

मैने कहा :-" मुझे बख्श दिया जाये, आप सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम  ने फरमाया की :-"तुझे मालूम  नहीं  के इस्लाम कुबूल करने से पहले जितने गुनाह होते हैं उनको इस्लाम मिटा देता है "
(सही मुस्लिम जिल्द 1 पेज 76 हदीस न 117)


गोया ये रिवायत बैय्यत मूसाफा  के बारे मे है, लेकिन बैय्यत  मे भी मुसाफा  ही होता है,

हज़रत उमैमा बिनते रुकैय्या रजि  फ़रमाती  हैं के :-" हम बहुत सी औरते दीन  ए इस्लाम  पर बैय्यत करने के लिये रसूल्लूल्लाह सल्लल्लाहो  अलैहि  वसल्लम  के पास आयीं  और हमने बैय्यत  के वक्त मुसाफा की दरख्वास्त की  तो आप रसूल्लूल्लाह सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम ने फरमाया के

" मैं औरतों से मुसाफा नहीं करता " (मौत्ता  इमाम मालिक  बाब माजा फिल बय्यह )


हाफिज इब्ने बर्र रह  इन अल्फाज की शरह मे फ़रमाते हैं के :-" इन अल्फाज  ए नबी सल्लल्लाहो अलैहि  वसल्लम मे दलील है के नबी बय्यत वगेरह के वक्त  मर्दों  से मुसाफा करते थे " (तम्हीद  जिल्द  12 पेज  352)

हाफिज इब्ने बर्र रह  इस हदीस को नकल करने के बाद फ़रमाते हैं :-" इन मसायल के ऐलावा  इस हदीस  मे  इस  बात की दलील  है के बैय्यत कैफ़ियत वा तरीका मे मुसाफा है  और इस सिलसिले  मे आसार  ए नबवी मे कोई इख्तेलाफ  नहीं " (तम्हीद जिल्द 12 पेज 352)

इन दलायल से साबित हुआ के  बैय्तत और मुलाकात के वक्त मुसाफा की कैफ़ियत वा तरीका एक ही है 

अल्लाह ताला हम सबको कुरान व सहीह हदीस पर अमल करने की तौफीक दे,      आमीन 

Sunday, January 24, 2016

SUNEHRE WAAQYAAT: HAZRAT UMAR BIN KHATTAB wa HAZRAT ABU BAKR RAZI’ALLAHU TALA ANHO:



Bismillahirrahmanirraheem


SUNEHRE WAAQYAAT: HAZRAT UMAR BIN KHATTAB wa HAZRAT ABU BAKR RAZI’ALLAHU TALA ANHO:



JANNAT KI KHUS’KHABRI



Hz Sayyedena Abu Musa  Ash’ri Bayan Karte Hain:-“Main Apne Ghar Se Ba’wazu Hokar Nikla, Maine Apne Dil Me Iraada Kiya Ke Aaj Saara Din Nabi E  Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Saath  Rahunga, Main Masjid Me Aaya Aur Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Bare Me Daryaaft Kiya, Mujhe Bataaya Gaya Ke Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Is Taraf Nikle Hain, Jis Tarah Unhone Ishaara Kiya Main Usi Taraf Logon Se  Aapke Bare Me Poochta Hua Nikal Pada, Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Quba Ki Taraf Ek Baagh Me Daakhil Ho Gaye, Main Darwaaze Ke Qareeb Baith Gaya, Baagh Ka Darwaaza Khajoor Ki Tahniyon Se Bana Tha, Main Darwaaze Par Baitha Raha Yahan Tak Ke Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Qaza E Haajat Se Faarigh Hue Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Wuzu Kiya, Main Aapke Paas Pahucha Toh Aap Kuwen Ke Kinaare Baith Chuke They,

Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apni Pindalion Se Kapda Hata Kar Apne Paaon Mubarak Kuwen Ke Paani Me Latkaaye Hue They, Maine Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Salaam Kiya Aur Fir Darwaaze Ke Qareeb Hokar Baith Gaya, Aur Apne Aap Se Kahne Laga Ke

 ” Aaj Main Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Chaukidaar Hoon”

Itne Me Hz Abu Bakr Raziallahu Tala Anho Aaye Aur Unhone Darwaaze Par Dastak Di,

Maine Poocha;-“Kaun??”

Unhone Kaha;-“Abu Bakr”

Maine Kaha;-“Zara Thahriye”

Main Aap Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Paas Aaya Aur Aapko Hz Abu Bakr Raziallahu Tala Anho Ki Aamad Ka Bataaya,

Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya;-“ Unhe Aane Dijiye Aur Saath Hi Jannat Ki Khush’khabri Bhi Suna Dijiye”

Maine Sayyedena Abu Bakr Raziallahu Tala Anho Se Kaha;-“ Tashreef Laiyye, Rasoollullah Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Aapko Jannat Ki Khush’khabri Suna Rahen Hain”

Hazrat Abu Bakr Raziallahu Tala Anho Daakhil Hue Aur  Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam  Ke Daayen Jaanib Kuwen Ke Kinaare Par Baith Gaye Aur Unhone Bhi Apne Paaon Tak Nange Karke Kuwen Me Daal Liye

Main Aapas Aakar Darwaaze Ke Qareeb Aakar Baith Gaya, Jab Main Ghar Se Nikla Tha Tab Mere Bhai Wuzu Kar Raha Tha Aur Wah Bhi Mere Peeche Aane Hi Waala Tha, Maine Apne Dil Me Ye Khwaahish Paayi Ke Agar Mere Bhai Ke Saath Allah Ne Khair Ka Iraada Kiya Hai Toh Use Bhi Yahan Le Aayega,

Itne Me Ek Aur Aadmi Ne Aawaaz Di, Maine Poocha ;-“Kaun ??”

Jawab Mila;-“ Umar Bin Khattab ”

Maine Kaha;-“Zara Sa Rukiye ! Main Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pooch Kar Aata Hoon”

Maine Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bataya Toh Aapne Farmaya:-“ Unhe Aane Do Aur Jannat Ki Khush’khabri Bhi Suna Do”

Maine Hz Umar Bin Khattab Ke Paas Aaya Aur Unhe Tashreef Lane Ko Kaha Aur Unhe Zabaan E Nubuwwat Se Nikli Hui Jannat Ki Bashaarat Bhi Sunaayi, Wah Aaye Aur Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baayen Jaanib Baith Gaye Aur Apne Paaon Kuwen Me Latka Liye,

Fir Usmaan Aaye, Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Unhe Bhi Andar Aane Ki Ijaazat Di Aur Unhe Pahuchne Waale Aalaam Wa Masaib Par Jannat Ki Khush’khabri Di

(Sahih Bukhari 4/196, Sahih Muslim 7/118)


#SunehreWaqeyaat
#IslamicLeaks
#UmairSalafiALHindi

Thursday, January 21, 2016

HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-3



 





Bismillahirrahmanirraheem






HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-3



ITTEHAAD E SALAASA:



3- WAHDAT USH SHAHOOD:



“Ittehaad E Salasa ” Ka Teesra Tukda “Wahdat Ush Shahood” Hai, Isko “Fana Fillah” Hona Bhi Kahte Hain, Iska Matlab Yah Hai Ki Banda Apni Muhabbat Aur Riyaazat Ko Itna Badha De Ki Huloolion Ki Tarah Allah Tala Ko Arsh Se Utaar Kar Kisi Zaat Me Daakhil Karne Ke Bajaaye Khud Apni Taraf Mansoob Kare Aur Buland Hokar Zaat E Ilaahi Me Mansoob Ho Jaaye Aur Is Tarah Apni Zaat Ko Fana Karke Baqa Haasil Kar Le,

Kaha Jaata Hai Ki Yah Nazariya Ibn Araabi Ke Wahdat Ul Wajood Ke Muqaable Me  Sheikh Alauddaula Samnaani (Wafaat 736Hijri) Ne Ijaad Kiya Hai Aur Hind Wa Paak Me Mujaddis Alf Saani Sar Hindi Ne Ise Kamala Tak Pahuchaaya Hai,

Magar Baat Yah Ki Yah Nazariya Shuru Se Hi Tasawwuf Ke Har Silsile Me Maujood Raha Hai, Abu Ismael Hardi (Wafaat 481 Hijri) Iske Muballigh E Azaam Aur Ali Hajweri Kashf Ul Mahjoob Ke Musannif (Wafaat 465 Hijri), Aur Sheikh Abdul Qadir Jeelaani Gunyatuttalibeen, Futuhul Ghaib, Al Fath Hur Rabbani Ke Musannif (Wafaat 561  Hijri)  Ne Is Nazariye Ke Jhande Uthaaye Hain, Chaahe Isko Yah Naam Na Diya Ho,

In Teeno Nazariyon Ki Ijaad Ka Maqsad Yah Tha Ki Khaaliq Wa Makhlooq, Abd Wa Maabood Ka Farq Baaqi Na Rahe Jo Zauq E Khudaayi Ki Raah Me Sabse Badi Rukaawat Hai Aur Jisko Quraan Wa Hadith Ne Har Jagah, Har Marhala Har, Har Waqt, Har Aan Bayaan Kiya Hai,  Aur Anjaam Kaar Aisi Zaat E Wujood Me Aayi Jo Khaaliq Wa Makhlooq, Abd Wa Mabood Dono Ki Sifaat Waali Ho, Kabhi Khaaliq Bane Kabhi Makhlooq, Kabhi Abd Kabhi Mabood Aur Zamaana Gawaah Hai Ki Is Maamle Me Un Hazraat Bko Poori Poori Kaamyaabi Haasiil Hui Aur Abd Wa Mabood Dono Ki Sifaat Se  Muraqqab Aisi Be’shumaar Mili Juli Zaatein Wajood Me Aayin Jo Kabhi Mushkil’khusha Banaayi Gayi Aur Kabhi Data Wa Dast’ghir Kahlaayi.

“Ittehaad E Salaasa ” Ke In Teeno Hisson Par Agar Nazar Daali Jaaye Toh Pahli Baat Yah Saamne Aayegi Ke Ye Teeono Ke Teeno Quraan Wea Hadith Ke Poori Tarah Khilaaf Hain Lekin In Teeno Nazariyaat Me Sirf Wahdat Ul Wajood Me Yaksaaniyat (Similarity) Paayi Jaati Hai, Kyonki Uske Mutaabikj Har Cheez Zaat E Ilaahi Ka Ek Tukda Hai Aur Isliye Ham Jins, Aur Ittehaad Hota Hai Toh Ham Jins Me Ittehaad Hota Hai,

Baaqi Do Nazariye Hulool Aur Wahdat Ush Shuhood,  Toh We Bilkul Ghair Maqool Hain ,Kyonki Unme Ghair Jinson Me  Ittehaad Ka Daawa Kiya Jaata Hai, Hulal Zaat E Ilaahi Ko Zaat E Insaani Me Daakhil Karta Hai Magar Arsh Se Utaar Kar, Aur  Wahdat Ush Shahood Zaat E Insaani Ko Zaat E Ilaahi Me Samota Hai Uper Uthaakar,

Lekin Itni Baat Toh Baher’haal Kahni Padegi Zaroorat Ijaad Ki Maa Hai Aur Yah Bhi Ki “Ye Dhoop Chhaon Hasbe Zaroorat Bhi Khoob Hai” Munaasib Maalum Hota Hai Ki Is Deen Ke Aalam Bardaaron Ki Apni Kitaabon Se Namoona Ke Taur Par Chand Lafz Aapke Saamne Aa Jaayen,

Yaad Rakhiye Yahan Sirf Mukhtasar Bayan Hua Hai Warna Quraan Wa Hadith Ke Muqaable Ke Liye In Hazraat Ne Itna Mawaad Jama Kar Rakha Hai Ki Uske Liye Hazaaron Panne (Pages) Bhi Kam Hain,

TASAWWUF KI KITAABON KE NAAM:


Agar Aap Tasawwuf Ke Bare Me Muqammal Tahqeeq Aur Jaankaari Chaahte Hain Toh In Kitaabon Ka Mutaala Farmaayen, Haqeeqat Saaf Ho Jaayegi

1-      Anees Ul  Arwah
2-      Daleelul Aarifeen
3-      Kashf Ul Mahjoob
4-      Tazkiratul Awliya
5-      Fawaid Fareediya
6-      Malfuzat E Ahmad Raza
7-      Asraar Ul Awliya
8-      Fawaid Ul Fawaad
9-      Imdad Ul Mushtaq
10-   Fawaid Us Saliqeen
11-   Masaikh Naqsbandi
12-   Akhbar Ul Akhyar
13-   Tazkiratul Awliya Pak Wa Hind
14-   Tazkiyatul Gausiya
15-   Kalam Ul Marghoob
16-   Raah Tul Quloob
17-   Anfasul Aarifeen
18-   Rasail Ibn Araabi
19-   Fuyooz Yazdaani
20-   Futuhaat E Makkiya
21-   Mishkaat Ul Anwaar
22-   Risaala Kasheeriya



Yaad Rahe Uper Posts Me Ye Kuch Jhalkiyan Bataur Namoona Pesh Ki Gayi Hain, Zaahir Hai Sahih Ul Aqeeda Sunni Musalmano Ke Nazdeek Inki Haisiyat Khuraafaat Se Badhkar Nahin, Ye Awliya Kiraam Agar Waqai Buzurg They Toh Fir Unse Mansoob Se Sab Baatein Sahih Nahin Aur Agar Ye Baatein Sahih Hain Toh Fir Unki Buzurgi Mashqooq Hai,

Jo Log In Baton Ko Karaamat Samjhte Hain Aur Unki Karaamat Samet Musalmaano Ko Unki Buzurgi Manwaane Par Adig Hain Haqeeqat Me Yahi Log Unki Badnaami Ki Wajah Hain, Hawaalon Ki Wajah Se Agar Koi Shakhs Buzurgon Ki Shaan Me Gustaakhi Kar Baithe Toh Bahut Hadh Tak Uski Zimmedaari Unhi Andhe Mureedon Par Laagu Hoti Hai…



The End


Allah Taala Ham Sab Musalmano Ko Sahih Aqeede Par Chalne Wala Banaaye, Aur Hamare Pichle Kiye Hue Kabeera Aur Sagheera Gunaahon Ko Maaf Farmaaye ……. Aameen Ya Rabbul Aalameen

#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
#TalasE Haq

Monday, January 18, 2016

HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-2










Bismillahirrahmanirraheem




HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-2



ITTEHAAD E SALAASA:



2- WAHDAT UL WAJOOD:

“Ittehaad E Salaasa ” Ka Dusra Hissa  Jisne Quraan Wa Hadith Ke Batlaaye Hue Khaaloq Wa Makhlooq Ke Farq Ko Badal Jaala Hai Wahdat Ul Wajood Ka Nazariya Hai, Iska Kahna Yah Hai Ki Kaaynaat Ki Har Cheez Ek Zaat Ke  Faile Hue Hisson Mese Ek Hissa Hai, Kisi Ek Cheez Me Dusron Se Ghairiyat Nahin Yani Khaliq Wa Makhlooq Me Wahdat Hai Aur Dono Ek Hain,

Is Nazariye Ke Lihaaz Se Kaafir Wa Mushriq, Faasiq Wa Faazir, Momin Wa Muslim, Shaitaan Wa Jinn, Kutta Wa Billi, Nijaasat Wa Ghalaazat Ye Sab Allah Ke Aine Wajood Hain, Unhe Zaat E Ilaahi Se Alag Nahin Kiya Jaa Sakta Aur Na Unme Aur Zaat E Ilaahi Me Koi Ghairiyat Hai Aur Kaaynaat Me Jo Mukhtalif Cheezein Nazar Aati Hain Ye His Wa Idraak Ka Zaahiri Pahlu Hai,

Ibne Araabi Jo Soofiya Me “Sheikh Akbar ” Ke Naam Se Pukaare Jaate Hain, Is Aqeede Ke Mojid Samjhe Jaate Hain, Magar Haqeeqat Yah Hai Ki Bhi Hindu Mat Se Liya Hua Yah Nazariya Shuru Hi Se Fann Tasawwuf Ki Jaan Banaa Raha Hai,

Haan ! Ibn E Araabi Is Ummat E Muslima Ke Andar Iske Aawaahak (Lane Waale) Banker Zaroor Uthe Hain, Futuhaat E Makkiya Aur Fususul Hakam Jaisi Mashoor Kitaabein Likh Kar Isko Haq Saabit Karne Ki Koshish Ki Gayi Hai Aur Apni Poori Zindagi Is Nazariye Ko Failaane Me Laga Di Hai, Unki Koshishon Ka Nateeja Yah Hai Ki Aaj Har Soofi Ke Yahan Is Baat Ki Kisi Na Kisi Shakl Me Numaish Zaroor Hai, Ibne Araabi Kahta Hai

“Parwardigaar Bhi Haq Hai Aur Banda Bhi Haq,
Kaash! Main Malum Kar Sakta Un Mese Mukallaf Kaun Hai?”
(Futuhaat E Makkiya Part 1 Page No.1)

Agar Tum Kaho Ki Mukallaf Banda Hai Toh Banda Murda Aur Mayyat Hai, Agar Tumhara Kahna Yah Hai Ki ”Rabb ” Tu Wah Kaise Mukallaf Ho Sakta Hai?

Aur Likhta Hai

“Kaash ! Ki Mujhe Maalum Hota Ki Mukallaf Kaun Hai? Jabki Yahan Allah Ke Elaawa Kisi Ka Wajood Hi Nahin Hai”

(Rasail Ibn Araabi Kitab Ul Jilaala Page 12)

Apni Kitan Fususul Haqam Me Likhta Hai:

“Pas Aarif Wah Hai Jo Har Cheez Me Haq Ko Dekhe Balke Haq Taala Ko Har Cheez Ka Ain Dekhe”

Aur Fas’hood Me Likha Hai

“Beshaq Allah Taala Cheezon Ka Ain Hai”

Isi Baat Ko Futuhaat E Makkiya Me Yun Kahta Hai

“Pas Haq Me Enul Haq Hai ,Agar Tu Chasm Beena Rakhta Hai Aur Khalq Me Enul Haq Hai Agar Tu Sahib E Aqal Hai”

Is Nazariye Ke Lihaaz Se Har Cheez Zaat E Ilaahi Ka Hissa Hai, Koi Cheez Dusri Cheez Se Ghairiyat Nahin Rakhti, Sirf Farq Maraatib Ki Wajah Se Sooratein Badal Gayi Hain, Koi Insaan Nazar Aata Hai, Koi Jaanwar, Koi Ped Nazar Aata Hai, Koi Pahaad, Koi Wali, Aur Koi Nabi, Lekin Ek Faasiq Wa Faajir Bhi Dar’asal Zaat E Khudaawandi Ka Aisa Hi Hissa Hai Jaisa Ek Buzurg Wali,

Isi Tarah Ek Jaanwar Bhi Zaat E Haq Ka Ek Hissa Hai Aur Ek Parinda Bhi, Isi Liye Is Fann Ke Kaamileen Kabhi Kisi Jaanwar Ke Bolne Par Labbaik Labbaik Ka Naara Lagaate Hain Aur Kabhi Kawwe Kin Aawaaz Par Aur Agar Malum Kiya Jaaye Ki Yah Kya, Ye Toh Jaanwar Aur Kawwe Ki Aawaaz Hai ?? Toh Jawaab Milta Hai Ki

“Mujhe Toh Har Aawaaz, Aawaaz E Khuda’wandi Malum Hoti Hai, Isiliye Main Labbaik Labbaik Ka Naara Lagaata Hoon” (Naozubillah)

Ibne Araabi Ke Is Nazariye Ne Quraan Wa Hadith Ki Saari Qadaron Ko Badal Daala Hai, Aalam E Duniya Haadis Ke Bajaaye Qadeem Ban Gayi, Allah Taala Ko Mu’attal Kar Daala Gaya, Khair O Sharr Ki Tameez Baaqi Na Rahi, Taqleef Utha Li Gayi, Jannat Wa Jahannam Be’mayne Cheezein Ban Gayi,

Aakhir Wah Kaun Sa Ilaah Hai Jo Apni Zaat Ko Jahannum Ke Supurd Kar Dega ??

Ibn Araabi Ka Irshaad Hai Ki

“Jahannum Ki Aag Thandi Hokar Lutf Wa Lazzat Ka Samaan Muhayya Karegi”

Is Nazariye Ne Itna Zor Pakda Ki Saari Duniya Me Uske Haami, Uske Maanne Wale Paida Ho Gaye, Aur Kahin Khaandaan Waliullah Ne Uske Jhande Uthaaye Aur Aaj Islaam Ki Jo Soorat Bani Hai Usme Sab Se Bada Haath Is Nazariye Ka Hai…

Is Usool Ka Teesra Hissa Inshaallah Agle Post Me Share Kiya Jaayega

To Be Continued

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#TalashEHaq

Friday, January 15, 2016

HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-1










Bismillahirrahmanirraheem




HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-1




ITTEHAAD E SALAASA:

Munaasib Maalum Hota Hai Isi Maqaam Par Aap Ki Khidmat Me Ye Baat Akh Dun Ki Is Silsile Me Aap Ka Mujh Se Quraan Wa Hadith Ki Daleelein Talab Karna Insaaf Nahin Hai, Kyonki Yah Shari’at Ka Maamla Nahin, Ye Toh Deen Tariqat Ka Maidaan Hai Aur In Dono Cheezon Me Mashriq Wa Maghrib  Ka Farq Zameen O Aasmaan Ka  Ki Doori Hai,

Shariat Ki Buniyaad Jis Tarah 3 Cheezon Par Hai, Quran Hadith Wa Ijma Aur Uske Baad Kahin Qayaas Ka Number Aata Hai, Usi Tarah Is Deen Tariqat  Ki Bhi 3 Buniyaaden Hain Jin Ko Ittehaad E Salaasa Kaha Jaata Hai,

Meri  Khwaahish Yah Hai Ki Aapke Saamne Mushtasaran Taur Par Deen E Tariqat Ka Bayaan Saamne Rakh Doon, Use Waakif Ho Jaane Ke Baad Aap Tasawwuf Ke Silsila Ki Har Mushkil Chutkiyon Me Hal Kar Lenge..

1-      HULOOL

Is Nazariye Ki Buniyaad Yah Hai Ki Agar Koi Shakhs Ghair Maamuli Amal Ke Zariye Nafs  Ki Safaayi Aur Rooh Ki Baleedgi Paida Kar Le Ya Kisi Ko Ye Cheezein Wiraasat Me Mili Hon Toh Zaat Khudaawandi Uske Andar Hulool Kar Jaati Hai, Yani Laahoot Naasoot Me Aur Mojid Maujood Me Utar Aata Hai, Isi Liye Hinduon Ke Rishi’muni Aur Budh Mat Ke Maanne Waale  Jungalo Aur Pahaado Me Gosha Nasheen Hokar Shakht Riyaajatein Karte Hain, Yah Nazariya Isaaiyon Ka Bhi Hai Aur Unki Ghair Mamooli Riyaajatein Taareekh Ka  Hissa Ban Chuki Hain, Unke Riyaazat Karne Waale Apne Badan Ko Rassiyon Ke Zariye Sutoon Me Baadh Kar Ek Hi Haalat Me Qaayem Rahne Ki Koshish Karte They, Yahan Tak Ki Din Guzar Jaate Aur Rassi Unke Ghost Ko Kaat Kar Andar Utarti Chali Jaati Aur Zakhm Paida Hokar Unme Keede Pad Jaate Lekin Yah Log Apni Riyaajat Khatam Nahin Karte They Balke Usme Izaafa Ke Liye Lage Rahte, Zakhm Ke Keedon Me Koi Keeda Agar Alag Ho Jaata Toh We Usko Uthaakar Fir Se Zakham Par Daal Dete Aur Kahte ;-“ Kha ! Jo Tujhko Tere Maalik Ne Diya Hai”

Bahut Se Aise Buzurg Jungalon Me Maare Mare Firte Aur Ghaans (Grass) Par Ghuzaara Karte, Kuch Hazaraat Jaanwarpn Ke Bhaton Me, Kuch Puraani Qabaron Me Aur Kuch Kuwon Me Apna Ghar Banaa Lete They, Koi Saalon Chup Rahta Aur Koi Haathon Aur Pairon Me Lohe Ki Zanzeerein  Dale Dikhaayi Deta Tha,

Is Aakhiri Ummat Me Is Nazariye Ki Shuruaat Abdullah Ibn Saba _(Yemeni Yahoodi  Jo Khilaafat Hz Usmaan (Ra) Ke Zamaana Me Munaafikaana Taur Par Islaam Me Daakhil Hua Tha ) Ke Mureedon Se Hui, Unka Aqeeda Yah Tha Ki Allah Taala Ki Zaat Hz Ali (Ra) Ki Zaat Me Aur Unki Aulaad Me Hulool Kar Aaya Hai Aur Is Tarah Ye Hazraat Allah Ke Auwtaar Hain, Fir Hulool Ka Ye Aqeeda Abdullah Bin Saba Ke Maanne Walon Naseeriya, Kisaaniya, Karaamata, Baatiniya, Se Hota Hua Soofiya Ke Andar Daakhil Ho Gaya Aur Yahan Pahunch Kar Wo Asali Fal Fool Paaya,

Hz Ali (Ra) Ki Khudaayi Ka Aqeeda Khud Hz Ali (Ra) Ke Zamaane Me Shuru Ho Gaya Tha, “Qaum E Zat” Ke 70 Aadmi Jo Abdullah Bin Saba Ke Chele They, Hz Ali (Ra) Ko Elaaniya “Ilaah” Pukaarte They, Hz Ali (Ra) Ne Unhe Bahut Samjhaaya Lekin Jab We Apna Aqeeda Badalne Ko Taiyyar Nahin Hue Toh Hz Ali (Ra) Ne Unko Aag Me Jhonk Diye Jaane Ka Huqm Diya Lekin Ye Log Apne “Uloohiyat Ali” Ke Is Aqeede Me Inte Pakke They Ki Aag Me Jal Kar Bhi Pukaarte Rahe Ki  :- “Ali Beshaq Hi Rabb Hai” Kyonki
“Aag Ka Azaab Koi Nahin Deta Magar Wah Jo Aag Ka Rabb Hai”

(Sunan Abu Dawood Kitab Ul Jihaad)

Is Tarah Ye Log Apne Aakhiri Lamhon Me Bhihz Ali (Ra) Ki Khudaayi Ki Gawaahi Dekar Mare, Yahi Aqeeda Firqa Sabaiyya Wa Nasiriya Ka Bhi Hai Ki Hz Ali (Ra)  Me Allah Hulool Kar Gaya Hai Aur Isiliye Hz Ali (Ra) Rabb Hain,

Binori Sahab Ne Apne Waalid Sahab Ke Aqad Nikaah Ke Silsile Me Sayyedena Hz Ali (Ra) Ko  Arsh Par Bithaakar Usi Aqeede Ki Rahnumaayi Ka Mauqa Diya Aur Isi Liye Khwaaja Haidar Ali Aatish Lucknawi Farma Gaye Hain Ke

“Dil Mera Banda Naseere Ke Khuda Ho Gaya”

Isi Aqeede Ke Zer E Asar Me Yah Kaha Jaata Hai Ki Hz Moosa (As)  Ne Kohe Toor Par Jo Awaaz Suni Thi Wah Hz Ali (Ra) Ki Awaaz Thi, Soofiya Me Hussain Bin Mansoor Hallaaj Is Aqeede Ke Pahle Aawaahaq Samjhe Jaate Hain, Unka Aqeeda Yahi Tha Ke Lahoot Nasoot Me Hulool Kar Jaata Hai, Khaas Kar Apne Bare Me Toh Unka Khula Daawa  Tha Ke Mujhme Allah Hulool Kar Gaya Hai Aur Isi Wajah Se Aap “Enal Haq” Ka Naara Lagaate They,

“Hulool Mutlaq” Ka Yah Aqeeda Yani Allah Taala Ki Zaat Saari Kaaynaat Me Hulool Kiye Hue Hai, Jo Pahle Jahmiyon Ka Aqeeda Tha, Hussain Bin Mansoor Hallaaj Aur Unke Saathion Ke Zariye Is Ummat Me Ghus Aaya  Aur Aaj Yah Deen E Tasawwuf Ki Ragon Ka Khoon Bana Hua Hai,

Yaad Rahe Ahhmad Raza Khan Barelwi Ne Aqeeda Hulool Ke Qayel Ko Kaafir Kaha Hai (Dekhiye Unka Tarjuma Mai Tafsir Al Maida 17/77)

Junaid Baghdadi Ke Shargird Aur Mureed Shibli Ne Bhi Unhe Saathi Qaraar Diya Hai Aur Apne Se Zyada Aqalmand Thahraaya, Bahre Haal Kuch Ho Unme Himmat Zaroor Thi Ki Apne Aqeede Par Jame Rahe Aur Sar De Diya, Aaj Bhi Yahi Aqeeda Hai Magar Darr Ki Wajah Se Tadti Aur Tajalli Ke Naam Se Usko Bayan Kiya Jaata Hai,

Yah Hai Ittehaad E Salasa Me Se Ek Nazariya Ki Kaar Farmaayi, Raha Is Ittihaad Ka Dusra Hissa Toh Wah Isse Bhi Zyada “Azeem Us Shaan Hai”….

Inshaallah Allah Agle Post Me Bayan Karenge…

To Be Continued…

#UmairSalafiAlHindi
#TalaashEHaq
#IslamicLeaks