Bismillahirrahmanirraheem
HANAFI MAZHAB ME
AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-2
ITTEHAAD E SALAASA:
2- WAHDAT UL WAJOOD:
“Ittehaad E Salaasa ”
Ka Dusra Hissa Jisne Quraan Wa Hadith Ke
Batlaaye Hue Khaaloq Wa Makhlooq Ke Farq Ko Badal Jaala Hai Wahdat Ul Wajood Ka
Nazariya Hai, Iska Kahna Yah Hai Ki Kaaynaat Ki Har Cheez Ek Zaat Ke Faile Hue Hisson Mese Ek Hissa Hai, Kisi Ek
Cheez Me Dusron Se Ghairiyat Nahin Yani Khaliq Wa Makhlooq Me Wahdat Hai Aur
Dono Ek Hain,
Is Nazariye Ke Lihaaz
Se Kaafir Wa Mushriq, Faasiq Wa Faazir, Momin Wa Muslim, Shaitaan Wa Jinn,
Kutta Wa Billi, Nijaasat Wa Ghalaazat Ye Sab Allah Ke Aine Wajood Hain, Unhe
Zaat E Ilaahi Se Alag Nahin Kiya Jaa Sakta Aur Na Unme Aur Zaat E Ilaahi Me Koi
Ghairiyat Hai Aur Kaaynaat Me Jo Mukhtalif Cheezein Nazar Aati Hain Ye His Wa
Idraak Ka Zaahiri Pahlu Hai,
Ibne Araabi Jo
Soofiya Me “Sheikh Akbar ” Ke Naam Se Pukaare Jaate Hain, Is Aqeede Ke Mojid
Samjhe Jaate Hain, Magar Haqeeqat Yah Hai Ki Bhi Hindu Mat Se Liya Hua Yah
Nazariya Shuru Hi Se Fann Tasawwuf Ki Jaan Banaa Raha Hai,
Haan ! Ibn E Araabi
Is Ummat E Muslima Ke Andar Iske Aawaahak (Lane Waale) Banker Zaroor Uthe Hain,
Futuhaat E Makkiya Aur Fususul Hakam Jaisi Mashoor Kitaabein Likh Kar Isko Haq
Saabit Karne Ki Koshish Ki Gayi Hai Aur Apni Poori Zindagi Is Nazariye Ko
Failaane Me Laga Di Hai, Unki Koshishon Ka Nateeja Yah Hai Ki Aaj Har Soofi Ke
Yahan Is Baat Ki Kisi Na Kisi Shakl Me Numaish Zaroor Hai, Ibne Araabi Kahta
Hai
“Parwardigaar Bhi Haq
Hai Aur Banda Bhi Haq,
Kaash! Main Malum Kar
Sakta Un Mese Mukallaf Kaun Hai?”
(Futuhaat E Makkiya
Part 1 Page No.1)
Agar Tum Kaho Ki
Mukallaf Banda Hai Toh Banda Murda Aur Mayyat Hai, Agar Tumhara Kahna Yah Hai
Ki ”Rabb ” Tu Wah Kaise Mukallaf Ho Sakta Hai?
Aur Likhta Hai
“Kaash ! Ki Mujhe
Maalum Hota Ki Mukallaf Kaun Hai? Jabki Yahan Allah Ke Elaawa Kisi Ka Wajood Hi
Nahin Hai”
(Rasail Ibn Araabi
Kitab Ul Jilaala Page 12)
Apni Kitan Fususul
Haqam Me Likhta Hai:
“Pas Aarif Wah Hai Jo
Har Cheez Me Haq Ko Dekhe Balke Haq Taala Ko Har Cheez Ka Ain Dekhe”
Aur Fas’hood Me Likha
Hai
“Beshaq Allah Taala
Cheezon Ka Ain Hai”
Isi Baat Ko Futuhaat
E Makkiya Me Yun Kahta Hai
“Pas Haq Me Enul Haq
Hai ,Agar Tu Chasm Beena Rakhta Hai Aur Khalq Me Enul Haq Hai Agar Tu Sahib E
Aqal Hai”
Is Nazariye Ke Lihaaz
Se Har Cheez Zaat E Ilaahi Ka Hissa Hai, Koi Cheez Dusri Cheez Se Ghairiyat
Nahin Rakhti, Sirf Farq Maraatib Ki Wajah Se Sooratein Badal Gayi Hain, Koi
Insaan Nazar Aata Hai, Koi Jaanwar, Koi Ped Nazar Aata Hai, Koi Pahaad, Koi
Wali, Aur Koi Nabi, Lekin Ek Faasiq Wa Faajir Bhi Dar’asal Zaat E Khudaawandi
Ka Aisa Hi Hissa Hai Jaisa Ek Buzurg Wali,
Isi Tarah Ek Jaanwar
Bhi Zaat E Haq Ka Ek Hissa Hai Aur Ek Parinda Bhi, Isi Liye Is Fann Ke
Kaamileen Kabhi Kisi Jaanwar Ke Bolne Par Labbaik Labbaik Ka Naara Lagaate Hain
Aur Kabhi Kawwe Kin Aawaaz Par Aur Agar Malum Kiya Jaaye Ki Yah Kya, Ye Toh
Jaanwar Aur Kawwe Ki Aawaaz Hai ?? Toh Jawaab Milta Hai Ki
“Mujhe Toh Har
Aawaaz, Aawaaz E Khuda’wandi Malum Hoti Hai, Isiliye Main Labbaik Labbaik Ka
Naara Lagaata Hoon” (Naozubillah)
Ibne Araabi Ke Is
Nazariye Ne Quraan Wa Hadith Ki Saari Qadaron Ko Badal Daala Hai, Aalam E
Duniya Haadis Ke Bajaaye Qadeem Ban Gayi, Allah Taala Ko Mu’attal Kar Daala
Gaya, Khair O Sharr Ki Tameez Baaqi Na Rahi, Taqleef Utha Li Gayi, Jannat Wa
Jahannam Be’mayne Cheezein Ban Gayi,
Aakhir Wah Kaun Sa
Ilaah Hai Jo Apni Zaat Ko Jahannum Ke Supurd Kar Dega ??
Ibn Araabi Ka Irshaad
Hai Ki
“Jahannum Ki Aag
Thandi Hokar Lutf Wa Lazzat Ka Samaan Muhayya Karegi”
Is Nazariye Ne Itna
Zor Pakda Ki Saari Duniya Me Uske Haami, Uske Maanne Wale Paida Ho Gaye, Aur
Kahin Khaandaan Waliullah Ne Uske Jhande Uthaaye Aur Aaj Islaam Ki Jo Soorat
Bani Hai Usme Sab Se Bada Haath Is Nazariye Ka Hai…
Is Usool Ka Teesra
Hissa Inshaallah Agle Post Me Share Kiya Jaayega
To Be Continued
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#TalashEHaq