Friday, January 15, 2016

HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-1










Bismillahirrahmanirraheem




HANAFI MAZHAB ME AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-1




ITTEHAAD E SALAASA:

Munaasib Maalum Hota Hai Isi Maqaam Par Aap Ki Khidmat Me Ye Baat Akh Dun Ki Is Silsile Me Aap Ka Mujh Se Quraan Wa Hadith Ki Daleelein Talab Karna Insaaf Nahin Hai, Kyonki Yah Shari’at Ka Maamla Nahin, Ye Toh Deen Tariqat Ka Maidaan Hai Aur In Dono Cheezon Me Mashriq Wa Maghrib  Ka Farq Zameen O Aasmaan Ka  Ki Doori Hai,

Shariat Ki Buniyaad Jis Tarah 3 Cheezon Par Hai, Quran Hadith Wa Ijma Aur Uske Baad Kahin Qayaas Ka Number Aata Hai, Usi Tarah Is Deen Tariqat  Ki Bhi 3 Buniyaaden Hain Jin Ko Ittehaad E Salaasa Kaha Jaata Hai,

Meri  Khwaahish Yah Hai Ki Aapke Saamne Mushtasaran Taur Par Deen E Tariqat Ka Bayaan Saamne Rakh Doon, Use Waakif Ho Jaane Ke Baad Aap Tasawwuf Ke Silsila Ki Har Mushkil Chutkiyon Me Hal Kar Lenge..

1-      HULOOL

Is Nazariye Ki Buniyaad Yah Hai Ki Agar Koi Shakhs Ghair Maamuli Amal Ke Zariye Nafs  Ki Safaayi Aur Rooh Ki Baleedgi Paida Kar Le Ya Kisi Ko Ye Cheezein Wiraasat Me Mili Hon Toh Zaat Khudaawandi Uske Andar Hulool Kar Jaati Hai, Yani Laahoot Naasoot Me Aur Mojid Maujood Me Utar Aata Hai, Isi Liye Hinduon Ke Rishi’muni Aur Budh Mat Ke Maanne Waale  Jungalo Aur Pahaado Me Gosha Nasheen Hokar Shakht Riyaajatein Karte Hain, Yah Nazariya Isaaiyon Ka Bhi Hai Aur Unki Ghair Mamooli Riyaajatein Taareekh Ka  Hissa Ban Chuki Hain, Unke Riyaazat Karne Waale Apne Badan Ko Rassiyon Ke Zariye Sutoon Me Baadh Kar Ek Hi Haalat Me Qaayem Rahne Ki Koshish Karte They, Yahan Tak Ki Din Guzar Jaate Aur Rassi Unke Ghost Ko Kaat Kar Andar Utarti Chali Jaati Aur Zakhm Paida Hokar Unme Keede Pad Jaate Lekin Yah Log Apni Riyaajat Khatam Nahin Karte They Balke Usme Izaafa Ke Liye Lage Rahte, Zakhm Ke Keedon Me Koi Keeda Agar Alag Ho Jaata Toh We Usko Uthaakar Fir Se Zakham Par Daal Dete Aur Kahte ;-“ Kha ! Jo Tujhko Tere Maalik Ne Diya Hai”

Bahut Se Aise Buzurg Jungalon Me Maare Mare Firte Aur Ghaans (Grass) Par Ghuzaara Karte, Kuch Hazaraat Jaanwarpn Ke Bhaton Me, Kuch Puraani Qabaron Me Aur Kuch Kuwon Me Apna Ghar Banaa Lete They, Koi Saalon Chup Rahta Aur Koi Haathon Aur Pairon Me Lohe Ki Zanzeerein  Dale Dikhaayi Deta Tha,

Is Aakhiri Ummat Me Is Nazariye Ki Shuruaat Abdullah Ibn Saba _(Yemeni Yahoodi  Jo Khilaafat Hz Usmaan (Ra) Ke Zamaana Me Munaafikaana Taur Par Islaam Me Daakhil Hua Tha ) Ke Mureedon Se Hui, Unka Aqeeda Yah Tha Ki Allah Taala Ki Zaat Hz Ali (Ra) Ki Zaat Me Aur Unki Aulaad Me Hulool Kar Aaya Hai Aur Is Tarah Ye Hazraat Allah Ke Auwtaar Hain, Fir Hulool Ka Ye Aqeeda Abdullah Bin Saba Ke Maanne Walon Naseeriya, Kisaaniya, Karaamata, Baatiniya, Se Hota Hua Soofiya Ke Andar Daakhil Ho Gaya Aur Yahan Pahunch Kar Wo Asali Fal Fool Paaya,

Hz Ali (Ra) Ki Khudaayi Ka Aqeeda Khud Hz Ali (Ra) Ke Zamaane Me Shuru Ho Gaya Tha, “Qaum E Zat” Ke 70 Aadmi Jo Abdullah Bin Saba Ke Chele They, Hz Ali (Ra) Ko Elaaniya “Ilaah” Pukaarte They, Hz Ali (Ra) Ne Unhe Bahut Samjhaaya Lekin Jab We Apna Aqeeda Badalne Ko Taiyyar Nahin Hue Toh Hz Ali (Ra) Ne Unko Aag Me Jhonk Diye Jaane Ka Huqm Diya Lekin Ye Log Apne “Uloohiyat Ali” Ke Is Aqeede Me Inte Pakke They Ki Aag Me Jal Kar Bhi Pukaarte Rahe Ki  :- “Ali Beshaq Hi Rabb Hai” Kyonki
“Aag Ka Azaab Koi Nahin Deta Magar Wah Jo Aag Ka Rabb Hai”

(Sunan Abu Dawood Kitab Ul Jihaad)

Is Tarah Ye Log Apne Aakhiri Lamhon Me Bhihz Ali (Ra) Ki Khudaayi Ki Gawaahi Dekar Mare, Yahi Aqeeda Firqa Sabaiyya Wa Nasiriya Ka Bhi Hai Ki Hz Ali (Ra)  Me Allah Hulool Kar Gaya Hai Aur Isiliye Hz Ali (Ra) Rabb Hain,

Binori Sahab Ne Apne Waalid Sahab Ke Aqad Nikaah Ke Silsile Me Sayyedena Hz Ali (Ra) Ko  Arsh Par Bithaakar Usi Aqeede Ki Rahnumaayi Ka Mauqa Diya Aur Isi Liye Khwaaja Haidar Ali Aatish Lucknawi Farma Gaye Hain Ke

“Dil Mera Banda Naseere Ke Khuda Ho Gaya”

Isi Aqeede Ke Zer E Asar Me Yah Kaha Jaata Hai Ki Hz Moosa (As)  Ne Kohe Toor Par Jo Awaaz Suni Thi Wah Hz Ali (Ra) Ki Awaaz Thi, Soofiya Me Hussain Bin Mansoor Hallaaj Is Aqeede Ke Pahle Aawaahaq Samjhe Jaate Hain, Unka Aqeeda Yahi Tha Ke Lahoot Nasoot Me Hulool Kar Jaata Hai, Khaas Kar Apne Bare Me Toh Unka Khula Daawa  Tha Ke Mujhme Allah Hulool Kar Gaya Hai Aur Isi Wajah Se Aap “Enal Haq” Ka Naara Lagaate They,

“Hulool Mutlaq” Ka Yah Aqeeda Yani Allah Taala Ki Zaat Saari Kaaynaat Me Hulool Kiye Hue Hai, Jo Pahle Jahmiyon Ka Aqeeda Tha, Hussain Bin Mansoor Hallaaj Aur Unke Saathion Ke Zariye Is Ummat Me Ghus Aaya  Aur Aaj Yah Deen E Tasawwuf Ki Ragon Ka Khoon Bana Hua Hai,

Yaad Rahe Ahhmad Raza Khan Barelwi Ne Aqeeda Hulool Ke Qayel Ko Kaafir Kaha Hai (Dekhiye Unka Tarjuma Mai Tafsir Al Maida 17/77)

Junaid Baghdadi Ke Shargird Aur Mureed Shibli Ne Bhi Unhe Saathi Qaraar Diya Hai Aur Apne Se Zyada Aqalmand Thahraaya, Bahre Haal Kuch Ho Unme Himmat Zaroor Thi Ki Apne Aqeede Par Jame Rahe Aur Sar De Diya, Aaj Bhi Yahi Aqeeda Hai Magar Darr Ki Wajah Se Tadti Aur Tajalli Ke Naam Se Usko Bayan Kiya Jaata Hai,

Yah Hai Ittehaad E Salasa Me Se Ek Nazariya Ki Kaar Farmaayi, Raha Is Ittihaad Ka Dusra Hissa Toh Wah Isse Bhi Zyada “Azeem Us Shaan Hai”….

Inshaallah Allah Agle Post Me Bayan Karenge…

To Be Continued…

#UmairSalafiAlHindi
#TalaashEHaq
#IslamicLeaks