Bismillahirrahmanirraheem
HANAFI MAZHAB ME
AQEEDA HULOOL KA NAZARIYA: PART-3
ITTEHAAD E SALAASA:
3- WAHDAT USH
SHAHOOD:
“Ittehaad E Salasa ”
Ka Teesra Tukda “Wahdat Ush Shahood” Hai, Isko “Fana Fillah” Hona Bhi Kahte
Hain, Iska Matlab Yah Hai Ki Banda Apni Muhabbat Aur Riyaazat Ko Itna Badha De
Ki Huloolion Ki Tarah Allah Tala Ko Arsh Se Utaar Kar Kisi Zaat Me Daakhil
Karne Ke Bajaaye Khud Apni Taraf Mansoob Kare Aur Buland Hokar Zaat E Ilaahi Me
Mansoob Ho Jaaye Aur Is Tarah Apni Zaat Ko Fana Karke Baqa Haasil Kar Le,
Kaha Jaata Hai Ki Yah
Nazariya Ibn Araabi Ke Wahdat Ul Wajood Ke Muqaable Me Sheikh Alauddaula Samnaani (Wafaat 736Hijri)
Ne Ijaad Kiya Hai Aur Hind Wa Paak Me Mujaddis Alf Saani Sar Hindi Ne Ise
Kamala Tak Pahuchaaya Hai,
Magar Baat Yah Ki Yah
Nazariya Shuru Se Hi Tasawwuf Ke Har Silsile Me Maujood Raha Hai, Abu Ismael
Hardi (Wafaat 481 Hijri) Iske Muballigh E Azaam Aur Ali Hajweri Kashf Ul
Mahjoob Ke Musannif (Wafaat 465 Hijri), Aur Sheikh Abdul Qadir Jeelaani
Gunyatuttalibeen, Futuhul Ghaib, Al Fath Hur Rabbani Ke Musannif (Wafaat
561 Hijri) Ne Is Nazariye Ke Jhande Uthaaye Hain, Chaahe
Isko Yah Naam Na Diya Ho,
In Teeno Nazariyon Ki
Ijaad Ka Maqsad Yah Tha Ki Khaaliq Wa Makhlooq, Abd Wa Maabood Ka Farq Baaqi Na
Rahe Jo Zauq E Khudaayi Ki Raah Me Sabse Badi Rukaawat Hai Aur Jisko Quraan Wa
Hadith Ne Har Jagah, Har Marhala Har, Har Waqt, Har Aan Bayaan Kiya Hai, Aur Anjaam Kaar Aisi Zaat E Wujood Me Aayi Jo
Khaaliq Wa Makhlooq, Abd Wa Mabood Dono Ki Sifaat Waali Ho, Kabhi Khaaliq Bane
Kabhi Makhlooq, Kabhi Abd Kabhi Mabood Aur Zamaana Gawaah Hai Ki Is Maamle Me
Un Hazraat Bko Poori Poori Kaamyaabi Haasiil Hui Aur Abd Wa Mabood Dono Ki
Sifaat Se Muraqqab Aisi Be’shumaar Mili
Juli Zaatein Wajood Me Aayin Jo Kabhi Mushkil’khusha Banaayi Gayi Aur Kabhi
Data Wa Dast’ghir Kahlaayi.
“Ittehaad E Salaasa ”
Ke In Teeno Hisson Par Agar Nazar Daali Jaaye Toh Pahli Baat Yah Saamne Aayegi
Ke Ye Teeono Ke Teeno Quraan Wea Hadith Ke Poori Tarah Khilaaf Hain Lekin In
Teeno Nazariyaat Me Sirf Wahdat Ul Wajood Me Yaksaaniyat (Similarity) Paayi
Jaati Hai, Kyonki Uske Mutaabikj Har Cheez Zaat E Ilaahi Ka Ek Tukda Hai Aur
Isliye Ham Jins, Aur Ittehaad Hota Hai Toh Ham Jins Me Ittehaad Hota Hai,
Baaqi Do Nazariye
Hulool Aur Wahdat Ush Shuhood, Toh We
Bilkul Ghair Maqool Hain ,Kyonki Unme Ghair Jinson Me Ittehaad Ka Daawa Kiya Jaata Hai, Hulal Zaat
E Ilaahi Ko Zaat E Insaani Me Daakhil Karta Hai Magar Arsh Se Utaar Kar,
Aur Wahdat Ush Shahood Zaat E Insaani Ko
Zaat E Ilaahi Me Samota Hai Uper Uthaakar,
Lekin Itni Baat Toh
Baher’haal Kahni Padegi Zaroorat Ijaad Ki Maa Hai Aur Yah Bhi Ki “Ye Dhoop
Chhaon Hasbe Zaroorat Bhi Khoob Hai” Munaasib Maalum Hota Hai Ki Is Deen Ke
Aalam Bardaaron Ki Apni Kitaabon Se Namoona Ke Taur Par Chand Lafz Aapke Saamne
Aa Jaayen,
Yaad Rakhiye Yahan
Sirf Mukhtasar Bayan Hua Hai Warna Quraan Wa Hadith Ke Muqaable Ke Liye In
Hazraat Ne Itna Mawaad Jama Kar Rakha Hai Ki Uske Liye Hazaaron Panne (Pages)
Bhi Kam Hain,
TASAWWUF KI KITAABON KE NAAM:
Agar Aap Tasawwuf Ke
Bare Me Muqammal Tahqeeq Aur Jaankaari Chaahte Hain Toh In Kitaabon Ka Mutaala
Farmaayen, Haqeeqat Saaf Ho Jaayegi
1- Anees Ul
Arwah
2- Daleelul Aarifeen
3- Kashf Ul Mahjoob
4- Tazkiratul Awliya
5- Fawaid Fareediya
6- Malfuzat E Ahmad Raza
7- Asraar Ul Awliya
8- Fawaid Ul Fawaad
9- Imdad Ul Mushtaq
10- Fawaid Us Saliqeen
11- Masaikh Naqsbandi
12- Akhbar Ul Akhyar
13- Tazkiratul Awliya Pak Wa Hind
14- Tazkiyatul Gausiya
15- Kalam Ul Marghoob
16- Raah Tul Quloob
17- Anfasul Aarifeen
18- Rasail Ibn Araabi
19- Fuyooz Yazdaani
20- Futuhaat E Makkiya
21- Mishkaat Ul Anwaar
22- Risaala Kasheeriya
Yaad Rahe Uper
Posts Me Ye Kuch Jhalkiyan Bataur Namoona Pesh Ki Gayi Hain, Zaahir Hai Sahih
Ul Aqeeda Sunni Musalmano Ke Nazdeek Inki Haisiyat Khuraafaat Se Badhkar Nahin,
Ye Awliya Kiraam Agar Waqai Buzurg They Toh Fir Unse Mansoob Se Sab Baatein
Sahih Nahin Aur Agar Ye Baatein Sahih Hain Toh Fir Unki Buzurgi Mashqooq Hai,
Jo Log In Baton Ko
Karaamat Samjhte Hain Aur Unki Karaamat Samet Musalmaano Ko Unki Buzurgi
Manwaane Par Adig Hain Haqeeqat Me Yahi Log Unki Badnaami Ki Wajah Hain, Hawaalon
Ki Wajah Se Agar Koi Shakhs Buzurgon Ki Shaan Me Gustaakhi Kar Baithe Toh Bahut
Hadh Tak Uski Zimmedaari Unhi Andhe Mureedon Par Laagu Hoti Hai…
The End
Allah Taala Ham
Sab Musalmano Ko Sahih Aqeede Par Chalne Wala Banaaye, Aur Hamare Pichle Kiye
Hue Kabeera Aur Sagheera Gunaahon Ko Maaf Farmaaye ……. Aameen Ya Rabbul
Aalameen
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
#TalasE Haq