Monday, January 4, 2016

MUQALLIDEEN KAHTE HAIN SAHIH BUKHARI ME DO HAATH SE MUSAAFA KARNE KA BAAB HAI:








Bismillahirrahmanirraheem


MUQALLIDEEN KAHTE HAIN SAHIH BUKHARI ME DO HAATH SE MUSAAFA KARNE KA BAAB HAI:

Ek Sawaal Kiya Jaata  Hai Ki Do Haath Se Musaafe Ki Daleel Sahih Bukhari Me Hai,
Imam Bukhari Ne Kahan Likha Hai Ki Do Haanth Se Musaafa  karna chahiye maine kahin Nahin Padha, Bukhari Toh Maine Bhi Dekhi Hai,

Accha Shayad Muqallideen Ko Bhaagte Me Kuch Mil Gaya Hoga, Poori Baat Kuch Samjh Me Aayi, Asal Me Hai Kya Imam Bukhari Rh Ne Ek Baad Baandha Hai Bab  Ul Akhzi Bi’yadain 







“Do Haanth Se Pakadne Ka Bayan”


Aur Kya Bukhari Bukhari Ki Ratt Lagaane Waale Kya Ye Jaante Hain, Unko Ye Pata Hai Ki Kisi Muhaddis Ke Baab Ke Kya Matlab Hota Hai,

Dar’haqeeqat Muhaddis Ka Baab Daawa Hota Hai Yaad Rakha Jaaye Aur Aur Us Baab Ke Tahat Jo Hadith Aayi Hai Wo Daawe Ki Daleel Hoti Hai, Ab Ham Ye Dekh Rahen Hai Ki Isse Muqallideen Ko Ye Shubah Laga Ke Dekho Imam Bukhaari Ne Kaha Hai Ki Do Haathon Se Salaam Karna Chahiye, Shubah Kahan Hua Inko Aur Pakad Liya Inhone Ki Bukhari Se Saabit Hai Ki Do Haanthon Se Musaafa Kiya Jaaye,

Pahle Imam Bukhari Baab Baandhe Hain “Bab Ul Akhz Bil’yadain ” Do Haathon Ko Pakadne Ka Baab, Zaahir Hai, Ye Dawa Hai, Ab Jis Daawe Ki Daleel Laani Chahiye, Hadith Laayi Gayi, Beech Me Ek Sahaba Ka Asar La Diya Gaya

“Hz Hammad Ne Ibnul Mubarak Se 2 Hanth Se Musaafa Kiya”

Dekhiye 3 Cheezein Hogayi , Ek Baab Hai Jo Daawa Hai, Baad Me Hammad Ibn Zaid,  Ka Asar Pesh Kiya Gaya Uske Baad Hadith Laayi Gayi,

Daawa Hai Dono Haath Pakadne Ka Baab Hai Aur Hadith Aa Rahi Hai Us Daawe  Ki Daleel Me Ki Hz Abdullah Ibn Masood Ra Ka Ek Haanth Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Dono Haath Me Liya Hua Tha, Lihaaza Jo Ye Hadith Laayi Gayi Hai Ye Daawa Ke Mutaabik Nahin Hai, Agar Maan Liya Jaaye Ki Dono Haath Se Musaafa Hai Toh Beech Me Ye Asar Kyun Laaya Gaya, Is Wajah Se Laaya Gaya Ki Itna Bada Aadmi Uska  ye Amal Hadith Ke Khilaaf Hai, Lihaaza Uska Ye Amal Nahin Maana Jaayega,

Aur Ek Daleel Se Aur Saabit Karun Ke Ibn Shubruma Ra Ki Ek Baat Ko Hz Imam Bukhari Rh Sahih Bukhari Ke Andar Late Hain Kitab Ul Fazail E Quran Me Ki

“Ibn Shubruma Kahte Hain Ki Maine Nahin Dekha Ki Poore Quran Me Koi  Soorat 3 Aayat Se Kam Bole, Agar Namaz Me 3 Ayat Se Kam Padhna Durust Nahin Hai” Kisne Kaha “Ibn Shubruma”  Lihaaza Namaz Me 3 Ayat Se Kam Tilaawat Nahin Karna Chahiye, Kam Se Kam 3 Aayat,

Ab Ibn Shubruma Ka Ye Qaul Hz Imam Bukhari Baab Me Zikr Karte Hain Aur Uske Baad Hadith Late Hain Ki Hz Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Namaz Me 3 Ayaton Se Kam Bhi Padha Hai, Aur Daleel Pesh Ki Ki Ye 2 Ayatein Aap Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Padhi Hai,

(sahih bukhari jild no 6 kitab no. 61, hadith no. 571)

Pata Ye Chala Ki Hadith La Karke Ibn Shubruma Ka Wo Qaul Radd Karna Chaahte Hain Imam Bukhari Rh, Toh Daleel Mili Ke Imam Bukhari Rh Ke Baab Ko Samjhna In Kam Se Kam In Muqallideen Ke Bas Me Nahin Hai, Warna Aisi Himaakat Na Karte

Ab 2 Haath Se Musaafa Ya Ek Haanth Se Aiyye Dekhte Hain

EK HAATH SE MUSAAFA KARNE KI MARFU HADITH:


Hz Abdullah Bin Bisr (Ra) Farmate Hain Ke:-” Tum Log Mere Is Haath Ko Dekhte Ho, Maine Isi Haath Se Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Se Musaafa Kiya Hai Aur Hadith Ko Zikr Kiya”


( Tamheed Lama Fi Mauta Minal Ma’aafi Jild 12 Page 247)


Ye Hadith Sahih Ek Haath Se Musaafa Karne Ki Khuli Daleel Hai,










Hz Amr Bin Al’aas (Ra) Bayaan Karte Hain Ke Jab Taala Ne Mere Dil Me Islam Daala Toh Main Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ke Paas Aaya Aur Kaha :-” Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Apne Daayen (Right) Haath Ko Badhaaiye Ke Main Aap Se Bait Karun, Pas Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Apna Daanya Haath Badhaaya, Ke Maine Apne Haath Ko Sameit Liya, 


Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke:-” Amr Tujhe Kis Cheez Ne Rok Liya Hai “, 


Maine Arz Kiya Ke Kuch Shart Karna Chahta Hun, Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya:-” Kis Baat Ki Shart Karna Chahte Ho “, Maine Kaha Ke:- Mujhe Bakhsh Diya Jaaye, Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke:-” Tujhe Malum Nahi Ke Islam Qubool Karne Se Pahle Jitne Gunaah Hote Hain Unko Islaam Mita Deta Hai”


( Sahih Muslim Jild 1 Page 76)


Goya Ye Riwayat Baiyyat(Allegiance) Musaafa Ke Baare Me Hai, Lekin Baiyyat Me Bhi Musaafa Hi Hota Hai,





Hz Umaimah Bint Ruqaiyyah (Ra) Farmati Hain Ke :-” Ham Bahut Si Aurtein Deen E Islam Par Baiyyat Karne Ke Liye Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ke Paas Aayin Aur Ham Ne Baiyyat Ke Waqt Musaafa Ki Darkhwast Ki Toh Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke :- ” Main Aurton Se Musaafa Nahi Karta”


(Moatta Imam Malik Bab Maja Fil Bayyah )


Hafiz Ibn Abdul Barr (Rh) In Alfaz Ki Sharah Me Farmate Hain Ke :-” In Alfaz E Nabi Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Me Daleel Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Baiyyat Wagerah Ke Waqt Mardon Se Musaafa Karte They “


(Tamheed Jild 12 Pg 243)


Hafiz Ibnul Barr Is Hadith Ko Naqal Karne Ke Baad Farmate Hain Ke :-” In Masail Ke Elawa In Hadith Me Is Baat Ki Daleel Hai Ke Baiyyat Kaifiyat Wa Tareeqa Me Musaafa Hai Aur Is Silsile Me Aasaar E Nabwi Me Koi Ikhtelaaf Nahi”


( Tamheed Jild 12 Page 352)


In Dalail Se Saabit Huwa Ke Baiyyat Aur Mulaaqaat Ke Waqt Musaafa Ki Kaifiyat Wa Tareeqah Ek Hi Hai,

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#ShaikhJalaluddeen Qasmi