Thursday, January 7, 2016

MUSAAFA EK HAATH SE YA DO HAATH SE: MUQALLIDEEN KE JAWABAT KA TAJZIYA



Bismillahirrahmanirraheem




MUSAAFA EK HAATH SE YA DO HAATH SE: MUQALLIDEEN KE  JAWABAT  KA TAJZIYA



Is Post Me Ham Muqallid Alim Abu Bilal Jhangwi Deobandi Ki Kitab Se Liye Gay Ek Unwaan Ka Tajziya Karenge Jise Deobandi Website “Tahaffuz E Ahlesunnatpune” Me Share Kiya Hai, Dar’asal Ye Poora Post Abu Bilal Jhangwi Ki Kitab “Tohfa Ahle Hadith” Se Copy Kiya Gaya Hai, Alhamdulillah Is Unwaan Ko Poora Jawab Ahle Hadith Aalim Abu Shuaib Dawood Arshad Sahab Ne Ek Kitab Ki Shakal Me De Diya Hai Jo “Tohfa Deobandiyyah” Ke Naam Se Mashoor Hai


ABUBILAL JHANGWI (DEOBANDI) KAHTE HAIN


Chunache Imaam Bukhari Rh Ne Sahi Bukhari Me Musafa 2 Hantho Se Karne Ki Hadis or Bazafta Baab Bhi Bandha Hai Par Gair Muqallid Ko imam Bukhari Rh pe Etemad Nhi (Iska jawab pichle article me publish ho chuka hai) Or Jab Hum Sahi Bukhari Se Rafayaden Ki Hadis Lat Hai To Waha sirf Baab Ke Naam Pe Gair Muqallid us Hadis Ka Inkar Kar Dete Hai ZARURI NHI KE 1 BAAB ME SIRF EK HI MASLA HOTA HAI


Chunache Bukhari Sharif Me Hi Ek Hadis Hai Ek Sahabi Rz Ne Masjid Me Qarz Diya Masjid ke Kaam Ke Liye Phir Jab Wapsi Ka Waqt pura Hone Ke Bawajod Bhi Paisa Wapis Na mila To unhone masjid Me Shor Sharaba Shuru Kar Diya fir Nabi KarimS.w Ne Irshad farmaya Ke Masjid Me unchi Awaaz Me Baat Mat Karo or Farmaya Kuch Qarz Ka hissa Maaf Kar do Hadis Lambi Hai maine Mafhom BayaKar Diya ………..


Chunache Yaha Baab Ek Hai Par Masla bahot Nikal Jayega jais Masjid Ke Zaruriyat Ke Liye Qarz Lena Qarz Ko Maaf Karna Masjid Me Unchi Aawaz Se Baat Mat Karna Ab Agar Koi Baab Ki Wajah Se Dusre Masle Ko Na mane To Ye Uski Jihalat Hai Magar Baab Qayam karne Ka Matlb Hai Ke Wo Masla Hai Jo Baab Bandha Gaya Hai Khaaas Par Naam Nihad Ko Sharam Kaha





*HADIS★★


Humse Umar Bin Aasin Ne Hadis Bayan Ki Unae Hamam ne Unse Qatadah Ne Bayaan Kiye Ke Maine Hazrat Anas Rz SE Pucha Kya Musafe Ka Dastur Nabi Karim S.w ke Sahaba Rz Me Tha To Unhone Jawaab diya jeee han


[[ Bukhari Sharif Jild 2 safa 926]]

Hazrat Ibn Masuud Rz Farmate hai Ke Muhje Nabi Kareem.S.w Ne Tashawood sikhaya To Meri Dono Hatheli Nabi Karim S.w ki Dono Hatheliyo Ke Darmiyan Thi



Or Kaab Bin Malik Rz Ne Bayan Kiya Ke Mai Masjid Me Dakhil Huwa To Waha Nabi Karim S.w Tashrif Farma The Talha Bin Abdullah Rz Badi Tezi Se Meri Taraf Aaaye Or Tauba Qubul Hone Par Mukhe Mubarak Baad Di


[[ Bukhari Sharif Jild 2 Safa 926 BAAB L MUSAAFAH] ]


Hammad Bin zaid Ne Ibn Mubark se Dono Hatho Se Musafa Kiya


[[ Bukhari Sharif Jild 2 safa 926]]


AHLE HADITH:

Sabse Pahle Toh “Tahaffuzahlesunnahpune “ Waale Me Sahih Bukhari Ki Hadith Ke Matan Me Chhedchhaad Ki Hai Unka Ye Kahna Ki

“Meri Dono Hatheli Nabi Karim S.W Ki Dono Hatheliyo Ke Darmiyan Thi”

Is Hadith Hz Abdullah Bin Masood (Ra) Ki Dono Hathelion Ka Zikr Nahin Hai, Agar Dono Hathelion Ko Maan Bhi Liya Jaaye Toh Bhi Musafae Ki Wo Kaifiyat Nahin Banti Jo Muqallideen Ke Yahan Raij Hai

bhai aapki pesh kardah hadith me mulaaqaat ke musaafah ka zikr nahi balke usme hai ke :-" rasoollullah sallalaho alaihi wasallah (pbuh) ne hz ibn masood (ra) to tashud sikhaate hue apne dono Haathon Ke Darmiyaan Liya Tha "


Maulana Abdul Hayy Luckhnawi Hanafi Marhoom Farmate Hain Ke:-" Aur Sahih Bukhari Me Jo Ye Hadith Hz Abdullah Bin Masood (Ra) Se Marwi Hai Ke:- " Mujhe Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Tashud Sikhaaya, Haalaanke Mera Haath Un Ke Dono Haathon Ke Me Tha, Is Par Wah Musaafa Jo Mulaaqaat Ke Waqt Kiya Jaata Hai Muraad Nahi Hai, Balke Ye Haath Me Haath Lena Waisa Hai Jaisa Ke Buzurg Chhoton Ko Koi Cheez Taleem Dene Ke Waqt Haath Me Haath Le Lete Hai"

(Majmua Al Fatawa Jild 1 Page 119)


Aur Agar Aap Isko Mulaaqaat Ke Musaafa Par Hi Mahmool Karte Hain Toh Zaahir Hai Ke Hz Ibn Masood (Ra) Ne Ek Hi Haath Se Musaafah Kiya Tha, Jaisa Ke Kafi Se Saabit Hota Hai,
Maulana Abdul Hai Lucknawi Ki Is Wazaahat Ke Baad Mujhe Nahin Lagta Ki Is Hadith Par Aur Wazaahat Karne Ki Zaroorat Hai,


ABU BILAL JHANGWI YA TAHAFFUZ AHLE SUNNAH PUNE WALE AHLE HADITH KA DHOKA BAYAN KARTE HUE LIKHTE HAIN:

Dhokha No.1
————————————————
Hazrat Abdullah Ibn Masud Rz Ke 1 Hanth The Isliye Hum.1 Hanth Se Musafa Karte hai
————————————————
Aqal se Kaam Lo To Iska Jawab Asaam.Hai
————————————————
Jab Koi Kisi Se Musafa karta Hai 2 Hanth Se To Uska (RIGHT) DAYAN hanth Dusre Ke 2no hanth Ke Bich Hi Hoga 2no Ka (RIGHT) Dayan Hanth Hi 1 Dusre Ke Bich Hoga
Naqli Jawab NABI KARIM S.W Dono Hanth The Hume Bhi 2 Hanth Se Musafa Karna Chahiye
.
Jab admi 2 Hanth Se Musafa Karta hAi To darmiyan Me 1 Hanth Aata Hai Yahi Ibn Masud Rz Farma Rahe Hai Nabi Karim S.w Ke 2 hanth Ke Darmuyan Me Tha ye Kaise Mumkin Hai Nabi Karim S.w 2 Hanth Se musafa Kar Rahe Hai Or Ibn Masud Rz 1 Hanth Bada Rahe Hai aise Karne Se Beadbi gustakhi Hogi Ke Imam ul Ambiya 2no Hanth Bada Rahe Ho Or Ibn Masud Rz 1 Hanth Ye Bat Ko Saaaf Karne Ke Liye Imaam Bukhari Rh Ne Tabe Tabai Ka Amal pesh Kar Rahe Hai HAMMAD bin ZAID NE ABDULLAH IBN MUBARAK SE DO HANTH SE MUSAFA KIYA



AHLE HADITH:

Is Istadlal Me Aapne Kafi Ko Jins Qaraar De Kar Mazkoorah Kaifiyat Musaafah Ki Bayaan Ki Hai, Magar Aapne Isme Ek Ghalti Toh Ye Ki Hai Ke 'Mufrad' Ko ' Tashniyah Banaya Hai Aur Dusri Ye Ki ' Ba'in Kafiyah' Ki Sifat Ko Tark Kar Diya, Kyonke Aap Isse 'Mufrad Muraad Len Ya Tashniyah' Dono Sooraton Me Alfaaz Hadith Ke Mawafiq ' Ba'in Kafiyah' ( Dono Hatheli Ke Darmiyaan) Hona Zaroori Hai,

Magar Aap Ulti Ganga Bahaate Hain Aur Mufrad Se Tashniyah To Banaaya Hi Tha, 'Ba'in Kafiya' Ko Nazar'andaaz Kar Diya,

Phir Is Istadlal Me Aapne Qur'aan Ki Koi Aayat Ya Hadith Se Koi Taa'ed Aimma Lughat Ka Koi Qaul Pesh Nahi Kiya,

Mahaz Aapne Khud Apni Taraf Se Ye Kahkar Jaan Chhuda Li Hai Ke " Ho Hi Nahi Sakta Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) To Donon Haathon Se Musaafa Karen Aur Sahabi Ek Haath Se Musaafa Karen "

Azeez Bhai Ye Haqiqat Hai Ke Sahaba Kiram, Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ka Bada Adab Wa Ahteraam Karte They , Magar Kisi Adab Wa Ahteraam Ka Unse Saabit Hona Bhi To Bayaan Kiya Jaaye Aur Ye Bhi Shari'at Ke Waazeh Dalail Se Saabit Kiya Jaaye Ke " Ek Haath Se Musaafah Adab Wa Ahteraam Ke Manaahi Hai "


Ye Saara Aapka Hawaayi Kila Banaya Huwa Hai, Jiska Haqiqat Se Door Tak Ka Bhi Waasta Nahi Aur Dalail Ke Bil'muqaable Uski Haisiyat Kuch Bhi Nahi,


Ye Bhi Aapne Khoob Farmaya Ke:-" Agar Tasleem Kar Liya Jaaye Ke Sahaabi Ne Ek Haath Se Musaafa Kiya Tha Toh Tab Bhi Uswa(Namoona) Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Hamare Liye Muqaddam Hai"

Ye Mahaz Aapka Dhakosla Hai !!

Kyonke Usool Ki Kitabon Me Saaf Likha Hua Hai Ke:-" Jis Fa'el Par Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam (Pbuh) Ki Khamoshi Akhtiyaar Karen Wah Huqman Marfu Hota Hai",

Magar Yahan Sahabi Ka Fael Khaas Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ke Saath Hai, Ise Mahaz Hz Ibn Masood Ra Ka Fa'el Qaraar Dekar Radd Karna Aap Jaise Muqallideen Ka Hi Kaam Hai,

Phir Aapne Is Me Kafi Ko Mufrad Tasleem Kar Liya Hai, Jisse Aap Ke Tamaam Dawe Baatil Hokar Zameen Bos Hogaye Hain,

Baqi Raha Ye Amr Ke :-"Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Toh Dono Haathon Se Hi Musaafa Kiya Tha"

Toh Iske Mutallhk Arz Kiya Ja Chuka Hai Ke Ye Musaafa Mulaaqaat Ke Waqt Par Na Tha



BA’QAULABU BILAL JHANGWI, AHLE HADITH KA DHOKA NO. 2
Dhokha no 2


Musafa ka Matlab Hai 1 am hatheli Dusri Hatheli Ke Sath Milana Pas Lafz Musafa Ka Taqaza Ye Hai Ke Musafa 1 hanth Se Sunnat Hai
————————————u—u
Jawab No 2


Jab 2 Hanth Se Musafa Kiya Jata Hai To Aapas Me 1. 1 Hi Hatheli Milti hai Na Ke 2. 2 Hatheli lolll Samjha Kar

AHLE HADITH:

Aapka Ye Jawab Bhi Samjh Se Pare Hai, Jab Musaafe Ka Matlab Hai Batan Kaf Se Batan Kaf Ko Milaana, Iske Liye 2 Haathon Ki Kya Zaroorat, Kisi Bhi Hadith Me 2 Haathon Se Musaafa Karne Ka Zikr Nahin Hai, Hz Abdullah Bin Masood Ra Wali Hadith Ki Tashreeh Uper Ho Chuki, Ab “Loll Samjhakar Kahkar” Baat Zabardasti Manwaane Ki Koshish Na Karen
                                                       

BA’QAUL ABU BILAL, AHLE HADITH KA DHOKA NO.3


Dhokha No 3



Baaz Hadiso Me ” ید ” ka Lafz Aaya hai Aur ” ید “Wahid Hai matlab Ye Ke 1 Hanth Se Musa fa Kiya
—————————————
Jawab No 3


Qaraan Hadis Ko Samjhne ke.Liye Jahan Bahot Se Uloom.Ki Zarurat Hai Wahi Arbi Arab Ke Qadim Muhawraat Ko Samjhne Ke Liye Or Arbi ibara tK e istemal. Or Samjhne Ke.Liye Bhi pura Pura Ubur Zaruri Hai Har Zaban Me WAHID KA sega(صیغہ)
2 Tarah Istemal Hota Hai!!!
—————————————
1 Bataur Mufarrad Yani Isse 1 Afraad Murad Hai
—————————————
2 Bataur (جنس)
—————————————
Chand Misale
—————————————
Is Waqt Sega Wahid Ka Hota Hai lekin Usse muta’addad (1se zitada) Afraad Murad Hote hai Jais Hum Kahte Hai MUJHE ANGOOR DE DO MUJHE FALSAFA DO ETC To iska Matlb ye nhi hota ke MUJHR 1 HI ANGOOR DO
MAINE TUJHR APNI AANKH SE KHADA DEKHA MAINE APNRKAAN SE TERI BAT SUNI
Ab Isse Gair Muqallid Ye murad Lenge Ke Maine Apne 1 Ankh sr 1 hi Kaan Se Dekhi Or Suni?????

Isi Tarah Arbi Me Bhi Wahid Ka sega Bataur ( جنس)
Jans Ke istemal Hita Hai
JAISE EK DYWA ME NABI KAREEM S.W NE FARMAYA

اللهم اجعل في بصري نورا واجعل في سمعي
نوراـ

Aye Allah Meri Aankho Me Noor Paida Farma Mere kaano Me Noor Paida farma

المسلم من سلم المسلمون من لسانه ويده

MUSALMAN WO HAI JISKE ZABAAN O HANHT SE MUSALMAN SALAMAT RAHE
من راي منكم منكرافليغٌيره بيده
Tumme Se jo Burai Ko Dekhe Pas Wi Apne Hatho Se mitaye
.
Yaha Jitni Bhi M’sak Di Gai hai Yaha Sega Wahid Ke liye Hai Lekin Ye Qat’an Ye Matlab Nhi Ke
MERI SIRF 1 AANKH 1 KAAN ME NOOR PAUDA FARMA MUSALMAN SIRF 1 HANRH SE MAFOZ RAHE APNU 1 HANTH SE BURAI KO MIRAYE

BALKE WAHID se (جنس)
Jans Wala mane Muraad Hai
Usi Tarah


Gair Muqallid Jis Hadis Se 1 Hanth Se Musafa Muraad Lete Hai Waha ( يد) se (جنس) jans Wala Mana Murad Hai Hadis Pak Me hai ke Musafa Karne Se Gunah Jhadte Hai Kya Sirf 1 hanth ke Gunah Jadhne Ki Zarurat Hai Dono Ki Nhi??

Hazrat Anas Bun Malik Rz Se Riwayat Hai Ke Nabi Karim S.w Ne Irshad Farmaya Ke Jab 2 Musalman Mulaqat Karte Waqt Ek Dusre Ka Hanth Apne Hanth Me Lete Hai To Allah Tala Unki Duwa Ko Zarur Qubul Farmate Hai Or Unke Hatho Ko Juda Hine Se Pahle Unki Magfirat Karte Hai
[[Musnad Ahmad jild 17 safa 338]]

★★Is Hadis Sharif Me ايدي Ka Aafz Aaya Hai Jo يد Ki Jama Hai Or Jama Ka Itlaaq (istemal) kam Se Kam 3 par Hota Hai lehaza Sabit Huwa Ke 2. 2 Hathi Se Musafa Hota Hai

AHLE HADITH:

Subhaanallah ! Mere Bhai Ham Ne Kab Dawa Kiya Hai Ke ' Ya'd' Ka Lafz Har Maqaam Par Hi Ek Haath Ke Liye Mus'ta'amal Hai,

Ye Aapko Maalum Hoga Ke ' Qareenah ' Se Maana Badal Jaata Hai, Isi Lafz " Ya'd " Ko Hi Le Lijiye..

Surah Baqarah Ayat No 237 Me Quwwat Qabzah Aur Milkiyat Ke Maane Me Istemaal Huwa Hai,

Aur Surah Mujaadila Ayat 12 Me Ba'maana ' Pahle' Aur Surah Yaseen Ayat No 9 Me Ba'maana ' Saamne' Aur Surah Baqarah Ayat No 66 Me Ba'maana ' Maujood' Ke Liye Istemaal Howa Hai,

Toh Kya Aap In Tamaam Maqaamaat Par 'Ya'd' Ka Maana Do Haath Karenge ??


Surah Maida Ayat 38 Me Chor Ka Haath Kaatne Ka Huqm Hai,

Toh Kya Aap Yahan 'Ya'd' Ka Maana Karenge Ke:-" Chor Ke Dono Haath Kaat Do ?"

Zara Allah Ka Khauff Kijiye, Aakhir Marr Ka Mitti Me Dafan Hona Hai,

Jab Ye Baat Wazeh Suboot Ko Pahunch Gayi Ke:-" Kisi Mustarak Lafz Ke Maana Me ' Qareena' Ki Zaroorat Hoti Hai,"

Toh Aap ' Ya'd' Mufrad Ko Tashniyah Ke Maana Lene Ke Liye ' Qareena' Ka Saboot Den, Warna Ye Asli Aur Sahi Maana Ke Liye Qayem Rahega,

Aur Bila'qareena Aapko Mufrad Se Tashniya Koi Banane Nahi Dega,

Baaqi Aapne Khud Jo Hadith Pesh Karke Uske Maane Ke Saath Mazaaq Kiya Hai Wah Mardood Hai,

Kyonki Hz Anas (Ra) Ki Riwayat Me Jo Ibne Habban (510) Aur Mustardak Haakim 1/11, Musnad Ahmad 3/154, Me Sahih Sanad Se Marwi Ye Alfaz Bhi Hai

" Al Momin Min Am'nah Al Naas"

Trans:-" Yani Momin Wah Hai Jisse Log Mahfooz Hon "

Imam Hakim, Zahbi, Aur Hafiz Ibn Hajar Ne Fath Ul Bari 1/46 Me Isko Sahih Kaha Hai,


Saaf Zaahir Hai Ke Agar Uske Baayen Haath Se Zeb(Pocket) Kaat Li Jaaye, Ya Chhuri Maari Jaaye To Wah Aman Me Na Hoga,

Is Tafseel Se Malum Huwa Ke Aapki Pesh Kardah Hadith Me Lafz 'Ya'd' Ba'taur Mu'haawra(Idioms) Ba'maana " Quwwat" Istemaal Huwa Hai, Wah Khwaah Siyaasi Ho Ya Akhlaaqi Koi Aur,

Baher'haal Har Soorat Me Tumse Dusra Musalmaan Mahfooz Hona Chahiye, Ye Nahi Ke Tum Zabaan Aur Haath Se Toh Kuch Kaho Na, Magar Akhbaar Me Khabar Shaaye Kar Do Ke Ye Badkaar Hai Wageraah, Ya Police Se Raabta Karke Kisi Par Jhoota Chori Ka Muqaddama Lagwa Kar Uski Chamdi Utarwa Dena Wagerah,

Ye Tamaam Cheezen Is Hadith Ki Zad Me Aati Hai,

Lekin Inki Samjh Ke Liye Andha Muqallid Na Hona Shart Hai,