Friday, January 1, 2016

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 13)



Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 13)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:


DALEEL  NO . 9
 




Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Ab ‘Wahiy’ Farmaayi Apne Bande Ko Jo ‘Wahiy’ Farmaayi”

(Surah Namal Ayat No. 4)

JAWAB:

Ab Janaab Is Aayat Se Na Jaane Kaise Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib’daan Saabit Karne Par Tule Hain Iske Jawaab Me Toh Bas Isi Ke Aage Ki Aayaton Ko Main Likh Deta Hoon Aap Khud Ba’khud Samjh Jaayenge Ke Maamla Kya Hai ??

“Is Qur’an Ko Poori Taaqat Waale Farishte Ne Sikhaaya Hai Jo Jor Aawar Hai, Fir Wo Seedha Khada Hua Aur Wo Buland Aasmaano Ke Kinaaron Par Tha, Fir Nazdeek Hua Aur Utar Aaya Fir Wo Do Kamaano Ke Ba’qadr Faasle Rah Gaya Balke Isse Bhi Kam Pas Isne Allah Ke Bande Ko’wahiy’ Farmaayi Job Hi Pahunchaayi”

(Surah Najam Ayat No. 4-10)

Is Aayat Me Allah Tala Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Par ‘Wahiy’ Kis Tarah Jibreel (As) Lekar Aaye They Wo Kaifiyat Bayan Farma Raha Hai, Isse Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib’daan Saabit Karna Ilm Se Kora Hone Ki Khuli Daleel Hai,

DALEEL NO. 10

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Aur Rasool Tumhare Gawaah Honge”

(Surah Baqarah Ayat No 143)

Molwi Sahab Likhte Hain, Dekhi Gawaahi Maani Jaati Hai Suni Nahin, Lihaaza Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Qayamat Tak Ki Saari Baate Jaan Rahen Hain Tabhi Toh Mahshar Me Gawaahi Denge

JAWAB:

Is Ayat Se Ye Janab Aur In Jaise Kai Molwi Ye Saabit Karte Hain Ki Gawaahi Den Eke Liye Dekhna Zaroori Hai Aur Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Qayamat Tak Ke Saare Ummat Ka Haal Ahwaal Yahan Tak Ke Unke Dilon Me Imaan Kis Darje Ka  Hai, Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam  Sab Jaan Rahen Hain, Tabhi Toh Gawaahi Dene Aayenge,

Aiyye Quraan Aur Hadith Me Dekhen Ke Yahi Baat Quraan Me Kai Jagah Aayi Hai Jisme Pichhle Saare Nabion Se Gawaahi Li Jaayegi Aur Saare Farishton Se Bhi Gawaahi Li Jaayegi Yahan Tak Ke Ummat E Muhammadia Se Bhi Gawaahi Li Jaayegi, Kya Ummat Ke Log Ghaib Jaante Hain ? Agar Nahin Jaante Toh Gawaahi Kaise Denge,  Aao Dekhen Gawaahi Ka Matlab Kya Hai Aur Gawaahi Ke Liye Ghaib Jaanna Zaroori Hai Ya Nahin, Pahle Wah Aayat Dekhen Ke Gawaahi Kaun Kaun Dega

“Jis Roz Allah Tamam Paighambaron Ko Jama Karega Fir Irshad Farmaayega Tum Ko Kya Jawab Mila, Wo Kahenge Hamko Kuch Khabar Nahin Beshaq Beshaq Tu Posheeda Baton Ko Jaanne Wala Hai”

(Surah Maayeda Ayat No. 109)

“Aur Jis Din Ham Har Ummat Par Unhi Mese Inke Muqaable Par Gawaah Khada Karenge Aur Inhe In Sab Par Gawaah Bana Kar Laayenge”

(Surah Nahal Ayat No. 89)

“Hamne Isi Tarah Tumhe Aadil Ummat Banaaya Take Tum Logon Par Gawaah Ho Jaao Aur Nabi Tum Par Gawaah Ho Jaaye”

(Surah Baqarah Ayat No. 143)

“Rasool Tum Par Aur Tum Logon Par Gawaah Ho Jao”

(Surah Al Hajj Ayat No. 78)

In Aayaton Se Pata Chala Ki Sirf Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Hi Nahin Balke Tamam Rasoolon Se Unke Ummaton Par Gawaahi Li Jaayegi Aur Ummate Muhammadi Ko Allah Tala Ne Wo Sharf Bakhsha Hai Ke Ye Ummat Picchli Tamam Ummaton Ki Aur Rasoolon Ki Gawaahi Degi, Ham Gawaahi Kaise Denge Aiyye Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Dekhen

Isi Ayat Ki Tashreeh Me Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Ki Riwayat Hai, Ki Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

“”Mahshar Ke Din Nooh (As) Ko Bulaaya Jaayega, Allah Unse Sawaal Karega Ke Tumne Hamara Paigham Apni Qaum Tak Pahucha Diya Tha, Wah Arz Karenge Haan ! Mere Rabb , Fir Unki Qaum Se Poocha Jaayega Ke Nooh Ne Hamara Paigham Tumhe Pahuncha Diya Tha, Wah Jawab Denge Hamare Paas Koi Daraane Waala Nahin Aaya, Is Par Allah Nooh (As) Se Farmaayega Tere Haq Me Koi Gawahi Dene Wala Hai, Wah Kahenge Muhammad (Sws) Aur Unki Ummat, Fir Ummat E Muhammadiya Gawahi Degi Ke Nooh (As) Ne Tera Paigham Apni Qaum Tak Pahucha Diya Tha, Allah Tala Poochega Tumhe Kaise Malum Tum Us Waqt They Hi Nahin, Tab Ummat Kahegi Aiy Allah Tala  Hamare Darmiyaan Tere Aakhiri Rasool Aaya Tha Aur Us Par Teri Kitaab Naazil Hui Thi Jisme Bayan Kiya Tha Ke Nooh (As) Aur Is Tarah Se Tere Saare Nabion Ne Apni Apni Qaum Tak Mera Paigham Pahucha Diya Tha Fir Allah Ke Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Gawaahi Denge Ke Beshaq Maine In Tak Ye Khabar Pahucha Diya Tha”

(Sahih Bukhari, Kitab Ut Tafseer)


Yahi Matlab Hai Gawaahi Dene Ka Jo Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Saaf Lafzon Me Farma Diya, Ab Hamen Bataya Jaaye Is Gawaahi Me Ghaib Ka Kya Lena Dena Yahan Toh Haqaiq Ki Roshni Me Gawaahi Di Ja Rahi Hai, Fir Agar Aap Nabi Sallalaho Alaihin Wsallam Ko Ghaib’daan Saabit Kar Rahen Hain Toh Is Aayat Aur Sahi Hadith Se Toh Pata Chalta Hai Ki Ummat Bhi Gawaahi Degi Toh Kya Saari Ummat Aur Ummat Ka Eke K Baccha Bhi Aur Auratein Sab Ke Sab Ghaib’daan Ho Gaye ??

Ek Baat Aur Agar Aap Dekhi Gawahi Ke Qayel Hain Toh Fir Aap Kalma Kyun Padhte Hain Kya Aapne Allah Tala Ko Dekha Hai ?? Nabi Ko Dekha Hai ?? Jo Aap Anjaano Me Kahte Hain, Main Gawaahi Deta Hoon Ke Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahin, Ye Aapko Kaise Malum Pada,

Isi Tarah  Aap Kahte Hain Ke Main Gawaahi Deta Hoon Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Tala Ke Rasool  Hain, Kya Aapne Rasool Ko Dekha Hai ??

Isi Tarah Jannat , Jahannum, Farishtey, Aakhirat Wagerah Kisi Ko Kisi Ne Nahin Dekha Magar Fir Bhi Ye Gawaahi Deta Hai Ki Ye Sab Hai,

Malum Hua Jis Tarah Ham Duniya Me Beghair Dekhe Sirf Allah Ke Qur’an Par Imaan Rakh Kar Dete Hain, Theek Isi Tarah Mahshar Me Bhi Qur’an Ke Mutaabik Ham Aur Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Gawaahi Denge

#Islamicleaks
#Irfanali
#Islamicleaks