Tuesday, January 12, 2016

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 15)










Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 15)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:



DALEEL  NO .16

Molwi Sahab Ki Agli Daleel

“Isi Tarah  Ham Dikhaate Hain Saari Baadshahi Ibraheem (As) Ko Zameen Aur Aasmaan Ki”

(Surah Anaam Ayat No. 75)

Mo;Wi Sahab Ka Kahna Hai Ki Jab Ibraheem (As) Ko Zameen Aur Aasmaan Ki Cheez Dikhaayi Gayi Toh Nabi E Akram Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ka Kya Kahna !


JAWAB:

Is Ayat Se Toh  Saabit Hota Hai Ke Ibraheem (As)  Ko Bilkul Bhi Ilm E Ghaib Nahin Tha, Pata Nahin In Molwion Ki Aqal Ko Kya Ho Gaya Hai, Kuch Sochte Aur Samjhte Hi Nahin Bas Wahi Murge Ki Ek Taang Apne Hi Dhun Me Rahte Hain, Are Molwi Sahab Zara Sa Bhi Dimaagh Ka Istemaal Kar Liya Kijiye,

Khair Jawab Suniye Agar Hz Ibraheem (As) Ko Ilm Ghaib Hi That Oh Fir Allah Taala Ko Kya Zaroorat Thi Aasmaan Aur Zameen Ki Cheezon Ke  Dikhaane Ki, Agar Bhi Diya Toh Kya Koi Cheez Dikhaa Dene Se Us Cheez Ka Ghaib Bhi Maalum Ho Jaata Hai,,

Maslan Koi Shakhs Kisi Gaaon Ya Jungle Chala Jaaye Ya Koi Usko Jungle Wagerah  Ki Shair Karaane Le Jaaye Toh  Jab Tak Wo Wahan Shair Kar Raha Hai Ya In Cheezon Ko Dekh Raha Hai Ya Wahan Ki Makhlooq Ko Dekh Raha Hai, Use Tab Tak Wahan Ki Khabar Hai Jab Tak Unhe Wo Dekh Aur Sun Raha Hai, Magar Kya Wo Shakhs Ghar Aakar Bhi Us Jagah Ya Us Makhlooq Ki Khabar Rakhta Hai ?? Kea B Us Jungle Me Aag Lagi Ya Nahin, Paani Barsa  Ya Nahin Ya Kahin Sookha Toh Nahin Pad Gaya, Un Jaanwaron Ka Kya Haal Hai, Jise Usne Dekha Tha ?? Wo Zinda Hai Ya Marr Gaye Kya Unhe In Baton Ki Khabar Hoti Hai ??

Zaahir Si Baat Hai, NAHI !!!

Bas Isi Tarah Allah Taala Ne Aone Nabion Ko Posheeda Cheezon Ko Dikhaa Kar Apni Jabbariyat, Rahmaniyat Ki Chand Nishaaniyan Dikha Di, Un Nabion Ke Andar Itni Taaqat Nahin Thi Ke Khud Se In Cheezon Ko Dekh Saken Ya Ghaib Se Jaan Saken, Isi Tarah Hz Ibraheem (As) Ko Bhi Dikhaaya Gaya Aur Nabi Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Bhi, Inki Jab Hi Tak Wahan Ki Khabar Thi Jab Tak Dikhaaya Gaya Uske Baad Is Duniya Aur Isme Basne Waali Makhlooq Ke Bare Me Kuch Khabar Nahin, Toh Ye Ilm E Ghaib Jaanna Kahan Raha ?? Ghaib Ka Jaanna Toh Tab Hota Hai Jab Be’ghair Allah K Eke Dikhaaye Dekh Lete, Jaisa Ke Maulana Sahab Ne Khud Likha Hai Ki

“Ghaib Use Kahte Hain Jo Be’ghair Kisi Zariye Se Kisi Cheez Ka Malum Karna Ho,”

Isi Tarah Aaj Kal Science Ke Zariye Samundra Ke Andar Ki Ajeeb O Ghareeb Makhlooq Discovery Channel Par Dikhaate Hain Jinka Pata Aaj Tak Duniya Ko Nahin Tha , Toh Kya Ghar Baithey Ye Sab Dekh Lene Se Aap Bhi Ghaib’daan Ho Gaye,

Malum Hua Kisi Ke Dikhaane Se Ilm E Ghaib Nahin Hota, Warna Ghar Baithey Baithey Aadmi Duniya Ki Sair Karta Rahta Hai Aur Ajeeb Ajeeb Cheezein Channels Se Dekhta Rahta Hai, Toh Aaj Saari Duniya Hi Ghaib’daan Ho Jaati, Baaaqi Ibraheem (As) Ke Bare Me Daleel Di Ja Chuki Hai Ki Unko Itna Ghaib Bhi Nahin Tha Ke Saamne Farishtey Khade Hain Aur Wo Unko Pahchaan Tak Na Sake

(Surah Hud Ayat No. 70)

KHULAASA E QALAAM:

Molwi Sahab Ne Job Hi Aayatein Pesh Ki U  Aayaton Se Ghairullah Me Ghaib Ki Sifat Ka Hona Saabit Nahin Hota Agar Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ghaib Hi Jaante Toh “Wahiyy” E Ilaahi Ke Muntazir Na Rahte Ke Kab “Wahiyy” Lekar Zibreel (As) Aayen Aur Kab Sahih Baat Ka Pata Chale, In Sab Baton Ki Kai Ek Misaalein Aur Daleel Maine  Pahle Bayan Kar Di Hai, Ham Toh Dekhte Hain Ke Wahi Nabi Jo Ghaib Ki Khabar Bataata Hai  Wahi Nabi Thodi Hi Der Me Lachaar Aur Majboor Ho Jaata Hai, Aur Kuch Bhi Bataane Se Aajiz Nazar Aate Hain,

Kya Pata Hone Ke Baad Bhi Jibreel (As) Ko Bataane Ki Zaroorat Baaqi Rahti Aur Agar Baaqi Hi Rahti Hai Toh Fir Is Ataayi Ilm Ka Faayeda Hi Kya ???

THE END

Allah Tala Ham Sab Ke Imaan O Aqaid Ko Durust Rakhen Aur Hamen Sacche Maano Me  Quran Wa Hadith Par Amal Karne Waala Banaaye…. Aameeen Ya Rabbul Aalameen

#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
#IrfanAli