Bismillahirrahmanirraheem
SUNEHRE WAAQYAAT:
HAZRAT UMAR BIN KHATTAB wa HAZRAT ABU BAKR RAZI’ALLAHU TALA ANHO:
JANNAT KI KHUS’KHABRI
Hz Sayyedena Abu
Musa Ash’ri Bayan Karte Hain:-“Main Apne
Ghar Se Ba’wazu Hokar Nikla, Maine Apne Dil Me Iraada Kiya Ke Aaj Saara Din
Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Ke Saath Rahunga, Main Masjid
Me Aaya Aur Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Bare Me Daryaaft
Kiya, Mujhe Bataaya Gaya Ke Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Is
Taraf Nikle Hain, Jis Tarah Unhone Ishaara Kiya Main Usi Taraf Logon Se Aapke Bare Me Poochta Hua Nikal Pada,
Rasullullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Quba Ki Taraf Ek Baagh Me
Daakhil Ho Gaye, Main Darwaaze Ke Qareeb Baith Gaya, Baagh Ka Darwaaza Khajoor
Ki Tahniyon Se Bana Tha, Main Darwaaze Par Baitha Raha Yahan Tak Ke Nabi E
Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Qaza E Haajat Se Faarigh Hue Aur Aap
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Wuzu Kiya, Main Aapke Paas Pahucha Toh Aap Kuwen
Ke Kinaare Baith Chuke They,
Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam Ne Apni Pindalion Se Kapda Hata Kar Apne Paaon Mubarak Kuwen Ke Paani
Me Latkaaye Hue They, Maine Rasoollullah Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko
Salaam Kiya Aur Fir Darwaaze Ke Qareeb Hokar Baith Gaya, Aur Apne Aap Se Kahne
Laga Ke
” Aaj Main Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam
Ka Chaukidaar Hoon”
Itne Me Hz Abu Bakr
Raziallahu Tala Anho Aaye Aur Unhone Darwaaze Par Dastak Di,
Maine Poocha;-“Kaun??”
Unhone Kaha;-“Abu
Bakr”
Maine Kaha;-“Zara
Thahriye”
Main Aap Muhammad Sallallaho
Alaihi Wasallam Ke Paas Aaya Aur Aapko Hz Abu Bakr Raziallahu Tala Anho Ki
Aamad Ka Bataaya,
Nabi E Akram Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya;-“ Unhe Aane Dijiye Aur Saath Hi Jannat Ki
Khush’khabri Bhi Suna Dijiye”
Maine Sayyedena Abu
Bakr Raziallahu Tala Anho Se Kaha;-“ Tashreef Laiyye, Rasoollullah Muhammad Sallallaho
Alaihi Wasallam Aapko Jannat Ki Khush’khabri Suna Rahen Hain”
Hazrat Abu Bakr
Raziallahu Tala Anho Daakhil Hue Aur
Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Daayen Jaanib Kuwen Ke Kinaare Par Baith
Gaye Aur Unhone Bhi Apne Paaon Tak Nange Karke Kuwen Me Daal Liye
Main Aapas Aakar
Darwaaze Ke Qareeb Aakar Baith Gaya, Jab Main Ghar Se Nikla Tha Tab Mere Bhai
Wuzu Kar Raha Tha Aur Wah Bhi Mere Peeche Aane Hi Waala Tha, Maine Apne Dil Me
Ye Khwaahish Paayi Ke Agar Mere Bhai Ke Saath Allah Ne Khair Ka Iraada Kiya Hai
Toh Use Bhi Yahan Le Aayega,
Itne Me Ek Aur Aadmi
Ne Aawaaz Di, Maine Poocha ;-“Kaun ??”
Jawab Mila;-“ Umar
Bin Khattab ”
Maine Kaha;-“Zara Sa
Rukiye ! Main Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pooch Kar Aata
Hoon”
Maine Aap Sallalaho
Alaihi Wasallam Ko Bataya Toh Aapne Farmaya:-“ Unhe Aane Do Aur Jannat Ki
Khush’khabri Bhi Suna Do”
Maine Hz Umar Bin
Khattab Ke Paas Aaya Aur Unhe Tashreef Lane Ko Kaha Aur Unhe Zabaan E Nubuwwat
Se Nikli Hui Jannat Ki Bashaarat Bhi Sunaayi, Wah Aaye Aur Aap Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baayen Jaanib Baith Gaye Aur Apne Paaon Kuwen Me
Latka Liye,
Fir Usmaan Aaye, Aap
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Unhe Bhi Andar Aane Ki Ijaazat Di Aur Unhe
Pahuchne Waale Aalaam Wa Masaib Par Jannat Ki Khush’khabri Di
(Sahih Bukhari 4/196,
Sahih Muslim 7/118)
#SunehreWaqeyaat
#IslamicLeaks
#UmairSalafiALHindi