Saturday, February 28, 2015

MUQALIDDEEN KA SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS BANARASI (RH) PAR LAGAAYE GAYE BOHTAAN KA JAWAB:





Bismillahirrahmanirraheem

MUQALIDDEEN KA SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS BANARASI (RH) PAR LAGAAYE GAYE BOHTAAN KA JAWAB:

Maulana Jamal Buland'sahri, Shaikh Abdul Haq (Rh) Par Bohtaaan Lagaate Hue Farmaate Hain ,

"Shaikh Abdul Haq Banarasi Ka Naam Kaun Nahin Jaanta Ghair Muqalliddeen Ke Mashoor Aur Maroof Aimma'deen Aur Ulema Mese Hain, Aap Nabi E Akram (Sws) Ki Jauza (Wife) Hz Aisha (Ra) Ki Shaan Me Unke Shia Zadah Alfaaz Ko Tareekh Ne Mahfooz Rakha Hai Farmate Hain (Yani Shaikh Abdul Haq Sahab Farmate hain)

"Hz Ali Se Jung Karke Hz Aisha (Ra) Murtad Ho Chuki Thin, Agar Bila Taubah 'Mari' Toh Kufr Par 'Mari'"

(Kashful Ahbab Page 41, Ba'hawala Aina Ghair Muqallidiya 239)

Mere Islami Bhaiyyon Aur Baheno ! Jo Kahani Maulwi Jamal Buland'sahri Ne Uper Tarasha hai Aur Iske liye Jo Daleel Di Hai, Us Par Kuch Kahne Se Pahle Zara Aap Maulwi Jamal Sahab Ki Diyaanat Aur Makkari Mulaheza Karen

"Hz Aisha Siddeeqa (Ra) Se Mutalliq Jo Ibarat Kashful Ahbab Ke Hawale Se Likhi Hai, Aina Ghair Muqallidiyat Wale Ne Jo Usme Kaarastani Ki Hai Wah Toh Jaane Dijiye,

Iski Buniyaad Par Maulwi Jamal Ne Jo Haath Ki Safaayi Dikhaayi Hai Usko Mulaheza Karen

"Agar Bila'taubah 'Mari' Toh Murtad Mari"

Ye Lafz Dil'kharash Maulwi Jamal Naqal Karte Hain Kis Se "Aina Ghair Muqallidiat Se"

Jabke Jo Alfaaz Aina Ghair Muqallidiyat Me Jo Alfaaz Hain Wah Hai

"Agar Bila'taubah Mari'n Toh Murtad Mari'n"

Dekhiye Lafz "Mari'n" Se Noon Ghanah (Nukta) Hata Kar Baat Kahan Se Kahan Ja Pahunchi,

Aina Ghair Muqallidiyat Wala Noon Ke Saath Naqal Karta Hai, Maulwi Jamal Jab Usse Naqal Karte Hain Toh Noon Ko Ghayab Kar Dete Hain,

Taake Ye Jumla Saraasar Gustaakhi Ka Jumla Ban Jaaye Aur Har Padhne Waala Yaqeen Kare,

Jin Logon Ki Diyaanat Ilmi Ka Ye Haal Ho, Taassub Me Aise Andhe Ho Rahe Hon Ke Unko Zara Bhi Allah Ke Saamne Khade Hone Aur Jawab'dehi Ka Khyaal Na Rahe Unse Kya Cheez Baeed Ho Sakti Hai,

AB US IBAARAT KI HAQEEQAT SUNIYE:

"Aina Ghair Muqallidiyat " Waale Ne Abdul Haq Muhaddis Banarasi (rh) Ke Taalluq Se Apni Kitab Me Bahut Saari Bakwaas Ki Hai Aur Tahreef Lafzi Aur Manawi Se Nahin Chooka Hai,

Usko Jab Unki Kisi Kitab Me Koi Ghalti Pakad Me Nahin Aayi Toh Us Andhe Muqallid Ne Aur Unke Dushmano Ne Unke Mutaalliq Jo Kuch Aftaraat Wa Bohtanaat Taraashe Unhi Ko Unke Khilaaf Istemal Karke Apne Dil Ko Tasalli Dene Laga Aur Duniya Ki Aankh Me Dhool Jhonke Ke Liye Kitaabon Ka Naam Bhi Likh Diya,

Lekin Aapko Ye Malum Hona Chahiye Ke "Kashful Ahbab" Allama Abdul haq Muhaddis Banarasi (Rh) Ki Kitaab Nahin Balke Unke Shakht Tareen Dushman Ki Kitab Hai Jisne Taqleed Ki Himayat Me Is Tarah Ke Bahut Se Bahtaan Taraash Kar Ulema E Haq Ke Sar Lagaaye Aur Apni Aakhirat Kharaab Ki,

Lihaaza Is Kitab Ki Buniyaad Par Ilzaam Lagana Aisa Hi Hai Jaise Ki Esaayi Par Ilzaam Lagaane Ke Liye Kisi Yahoodi Ki Kitab Ko Buniyaad Banaya Jaaye,

Kya Kisi Deobandi Par Ilzaam Taraashi Ke Liye Kisi Barelwi Ki Kitaab Ko Buniyaad Banaya Jaaye Toh Deobandi Usko Qubool Kar Lenge,

Agar Qubool Kar Lenge Toh Iska Elaan Karen Aur Fir Qudrat Khuda'wandi Ka Karishma Dekhen,

Aur Agar Nahin Karenge Toh Ahle Hadith Ke Mutaalliq Unke Dushmano Ki kitaabon Ko Kis Tarah Buniyaad Banaya Ja Sakta Hai,

Ham Bila Shak o Shubah Kahte Hain Ke Ye Allama Abdul Haq Par Bohtaan Hai Aur Ye Kashf Ul Ahbab Ke Musannif Ki Khud Sakhta Ijaad Hai, Jiska Khamiyaza Ba'roz E Qayamat Usko Bhugatna Hoga,

Jo bohtan Allama Abdul Haq Banarasi (Rh) Par Lagaya Aur Uski Aadh Me Jamaat Par Ilzaam Tarashi Ki Ye Sab Mahaz Fraud Aur Jhoot Hai,

Jamat Ka Aqeeda Harghiz Wah Nahin Jo Ye Mufti Bataata Hai, Hazaaron Fatawe Aur Sainkdon Kitabein Is Par Gawaah Hai Ke Ye Sab In Deobandion Ki Mahaz Makkari Hai,

Is Waqt Ham Sirf Ek Kitab Ka Zikr Karenge Jisme Ek Sawaal Ka Jawab diya Gaya Hai Aur Uska Jawab Par Jamaat Ahle Hadith ke Us Waqt Ke Aksar Akaaabir Ke Signature Maujood Hain, Us Kitab Ka Naam Hai

"Tazkiyatul Ashab Fi Rad Raibul Oola Al Re'taab" Jo 1301 Hijri Me Mutee Ansari Delhi Me Chhapa Hai

Sawal Ye Hai

"Ek Shakhs Kahta Hai Ke Hz Aisha (Ra) Baghi Hain Is Waaste ke Unhone Hz Ali (Ra) Se Jung Ki Aur Hz Ali (Ra) Se Koi Afzal Nahin, Na Ummul Momineen Aur Na Shaikhain (Ra) Na Ghair Aur Na Hz Aisha (Ra) Aur Dusri Ajwaaz Ahle Bayt Nahin, Aur Kahta Hai Ke Yahi Aqeeda Hai Aamileen Bil Hadith Ka,

Pas Qaul Us Shakhs Ka Mawafiq Aur Mutaabil Qur'an Wa Hadith Ke Hai Ya Nahin ??"

Iska Jawab Bada Tafseel Aur bada Mudallal Diya Gaya Hai

JAWAB:

"Hz Aisha (Ra) Ko Baghi Kahna Aur Shaikhan (Hz Abu Bakr wa Umar) Par Hz Ali Ko Afzal Qarar Dena Aur Azwaaj E Nabi (Sws) Ko Ahle Bayt Se Khaarij
Bataana Aur Isko Aamileen Bil Hadith Ke Sar Lagaana,

Tamam Hi Ko Saraasar Ghalat Batlaaya Hai"

Is Kitab Ke 16 Pages Is Sawal Ke Jawab Me Sarf Kiye Hain, Iski Ham Sirf Pahli Line Hi Naqal Karte Hain

JAWAB:

"Ye Shakhs Jahil, Be'adab, Raafzi Hai Aur Aqaid Salaf Wa Aamileen Bil Hadith Se Na'waqif Aur Qaul Uska Qur'an Wa Sahih Hadith Ke Sareeh Mukhaalif Hai"

Is Fatawe Ki Taeed 20 Bade Bade Ulema Ne Ki Hai, Jisme Allama Sayyed Shareef Hussain, Aur Shaikh Ul Kul Miyan Nazeer Hussain Muhaddis Dehlawi (Rh) Bhi Hain,

Aapne Likha

"Ab Is Wazaahat Ke Baad Bhi Kisi Ko Asraar Hai Toh Ham Kahte Hain Ke Uska Maamla Allah Ke Supurd Hai Jo Koi Hz Aisha (Ra) Ke Liye Baghi; Murtad Ya Koi Aur Kalima E Tauheen Baraaye Tauheen Istemal Kare, Us Par Allah Ki Laanat Ho, Aur Us Par Bhi Allah Ki Laanat Ho Jo Kisi Par Bila'wajah Tauheen Ka Ilzaam Lagaaye, Agar Tum Sacche Ho Toh Kaho Aameen"

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Tuesday, February 24, 2015

MUTAASSIB MUQALLIDEEN ( PART-1)






Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : MUTAASSIB MUQALLIDEEN ( PART-1)

Part-1

Sawal bahut pyara hai , ke agar Taqleed sirf ek hi Imam ke Jayaz hai tho yaha par app 2 Imamo ke chakkar nazar aa raha hai , ek Imam Abu Hanifa (rh) aur Doosre Imam Ashri aur maturidi. Abb khud inke Mazhab itna confusion bhara hai aur doosro ko kahte hai

Abb Inka Jawab Dekhee aur daleel dekhe, khud iss cheez ko yeh maan rahee hai ke waqyee ke 2 Imam ke Taqleed karte hai aur logo ko gumrah karte hai ke yeh sirf Imam Abu Hanifa (rh) ke Taqleed karte hai . Yeh Aqeeda mei Imam Abu Hanifa ke taqleed kyou nahi karte , acchi cheez tho humesha leni chaeye , kia Imam Abu Hanifa ka Aqeeda kharab thaa ?

1- http://darulifta-deoband.org/showuserview.do?function=answerView&all=ur&id=11947

2- http://darulifta-deoband.org/showuserview.do?function=answerView&all=ur&id=11947

Ek Taraf Muqallideen ka daawa he ki wo Imam Abu Hanifa Ke Furum muqallid Aur Matrudi ashari ke Aqaid me muqallid

=================

Dusri taraf Apna wajood Victorian saabit karte huye Munafiq likhte he ki Furu me Nanotwi ke Muqallid or Aqaid me Gangohi ke Muqallid

===================

Inn Muqallideen ka Asal Chehra yehi he ke yeh Musalmano ko dhoka dene ke liye Hanafi libada Odhe huye Khule yahoodi he Kyu ke in yahoodiyo ka wajood Apko Angreji huqumat se pehle nahi milega Na hi Nanotwi or Gangohi ke muqallid


With Scan..



*Ab Dekhte hai Muqallidin e Deoband k kitna Aqeeda Imam Abu Hanifa se Melta hai,Kya Waqaye me ye Hanfi Kahlane k layak hai ?

1-Elm-e-Gaib k Baare Me Imam Abu Hanifa r.al k Aqeeda :

''Beshaq Allah Tala Gaibaat ko janne wale hai''

Kya Deobandio k Ye Aqeeda hai ?

with Scan..



 



2-Imam Abu Hanifa r.al k Aqeeda :

''Hazrat Abu Baqar r.a Aur Iblees k Imaan Baraber hai''

Kya Deobandio k ye Aqeeda hai ?

3-(A) Imam Abu Hanifa r.al k Aqeeda :

'' jo Allah ko Arsh per Na Maane Wo Kafir hai''

Kya Deobandio k Ye Aqeeda hai ?

With Scan..
 



(B) Imam Abu Hanifa r.al k Aqeeda :

'' jo Allah ko Arsh per Na Maane Wo Kafir hai''

Kya Deobandio k Ye Aqeeda hai ?

scan..
 


4-Imam Abu Hanifa Aqeeda :

''Ambiya Aur Awlia ki jaat Aur Martaba k Waseela se Dua Karna Jaiz Nahi''

Kya Deobandio k Ye Aqeeda hai ? Jab k Wo her Duao me Nabi (s.a.w) k Waseela lagate hai.

With Scan..




 

5-Imam Abu Hanifa r.al k Nazdeek :

''Farz Namazo ki Tadad 6 hai ''

jabke Farz Namazo ki Tadad 5 hai , Kya Deobandio k Ye Aqeeda hai ?

With Scan..



 

Kya ye Muqallidin e Deoband Waqai me Hanfi hai ya fer ye Angrezo ki Paidawar hai?? Saspens Bana Rahega kuki enka Aqeeda he Jab kisi Ek Imam per Nahi teka hai tou Kaise Muqallid hue ?

Bahar haal Next post me Dekhe Deobandi jis Tarah Apna Nisbat Imam Abu Hanifa r.al ki taraf kar k Khud se Gadhe hue Hanafi Mazhab ki kitabo ki hakekat..

Allah paak hume Batil  Fitna se Mahfoz Farmaye.



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Sunday, February 22, 2015

QUR'AN PAAK KI HISTORY- PART-10

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..


Topic : Quraan paak ki History

Part-10

Jayada Tafseer Se Es Mouzu se baat Nahi karuga Apne Baat Mukhtasar he Rakhuga,kuki Waqt Aur Halaat ki Qillat ki Wajah se Pure Wajahat Apne Next Artical ''Quraan Majeed ki Fazilat'' k leye Chod Raha hu.

Quraan Majeed k Challenge.

Quraan Majeed k Bare me Kuffar k Kahna tha k ye Allah Tala ki Nazil Qarda Kitab Nahi h Balke Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam ki Apne Tasnef hai,Allah Tala ne Quraan Majeed me Eska Jawab ye Deya k ye Quraan Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam ki Tasnef hai Tou Es Jaise Ek Sureh ,Ya Es Jaisa Kalam Tum v Tasnef kar k Dekha Do.

Irshad e Bari Tala Hai :

''Kya Wo Kahte hai k Esne ye (Quraan) Khud Gad leya hai ? kah dejye Fer Tum v Es jaise 10 Surate Gad la-ao Aur Allah k Sewa Jinhe (Madad k leye) Bula Sakte ho Bula lao Ager Tum Sacche ho''

[Sureh No-11. Sureh Hud,Ayat No-13]

10 Surato k Baad Allah Tala ne Serf Ek Sureh Tasnef karne k Chellenge v Deya,

Irshad e Bari Tala hai :

''Aur Ager Tum Es (Quraan) k Mutalliq Sak me ho Jo Humne Apne Bande per Nazil keya Tou Tum Es Jaise Ek Surat le Aao Aur Allah k Sewah Apne Madad garo ko v Bula lo Ager Tum Sacche ho''

[Sureh No-2. Al-Baqarah,Ayat No-23]

Ek Sureh k Baad Allah Tala ne Ek Ayat k Chellenge v Deya k Ek Sureh tou Bari Dur ki Baat hai Tum Es jaise Ek Ayat v Nahi Bana Sakte,
Irshad e Bari Tala hai :

''Aur Ager Tum Es (Quraan) k Mutalliq Sak me ho jo humne Apne Bande per Nazil keya Tou Tum Es Jaise Ek Surat le Aao Aur Allah k Sewah Apne Madad garo ko v Bula Lao Ager Tum Sacche ho.''

[Sureh No-2,Al Baqra,Ayat No-23]

Ek Surat k Baad Allah Taka ne Ek Ayat k Chelleng v Dey k Ek Surat tou Bade Dur ki Baat hai Tum es Jaise Ek Ayat v Nahi Bana sakte .

Irsha e Bari Tala hai :

''Kya wo Kahte hai k Esne Khud he Ye (Quraan) Gada hai ? belkul Wo Imaan Nahi laye, Fer Enhe Chayye k Es (Quraan) Jaise Ek Ayat he Le Aye Ager Wo Sacche hai''

[Sureh No-52. At-Tur,Ayat No-33-34]

Sureh Bani Ishrail me Allah Tala ne Ye Challenge Ayse Jordar Andaz me Deya hai k Jo kisi Dusre Jagah Mouzud Nahi,

Irshad e Bari Tala hai :

''Aye Mohammad ! Kah Dejye Ager tum Sare k Sare Jin o Inshan Mel ker v Es jaise Mesa'al Bana chaho Tab v Es Tarah ki Mesa'al Nahi Bana Sakte Goya tum Sare k Sare Ek Dusre k Madad gar Ban jao''

[Sureh No-17. Al-'Isra',Ayat No-88]

Sawal ye hai k Guzesta 1400 Saal se Arab o Azam me Mouzud Quraan Majeed k Badtren Dusmano Me se Kisi ne Es Challenge ko Qabul Nahi Keya?

Subhan Allah. —



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Friday, February 20, 2015

MUQALIDDEEN KA SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS BANARASI (RH) PAR LAGAAYE GAYE BOHTAAN KA JAWAB:





Bismillahirrahmanirraheem

MUQALIDDEEN KA SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS BANARASI (RH) PAR LAGAAYE GAYE BOHTAAN KA JAWAB:


Maulana Jamal Buland'sahri, Shaikh Abdul Haq (Rh) Par Bohtaaan Lagaate Hue Farmaate Hain ,

"Shaikh Abdul Haq Banarasi Ka Naam Kaun Nahin Jaanta Ghair Muqalliddeen Ke Mashoor Aur Maroof Aimma'deen Aur Ulema Mese Hain, Aap Nabi E Akram (Sws) Ki Jauza (Wife) Hz Aisha (Ra) Ki Shaan Me Unke Shia Zadah Alfaaz Ko Tareekh Ne Mahfooz Rakha Hai Farmate Hain (Yani Shaikh Abdul Haq Sahab Farmate hain)

"Hz Ali Se Jung Karke Hz Aisha (Ra) Murtad Ho Chuki Thin, Agar Bila Taubah 'Mari' Toh Kufr Par 'Mari'"

(Kashful Ahbab Page 41, Ba'hawala Aina Ghair Muqallidiya 239)

Mere Islami Bhaiyyon Aur Baheno ! Jo Kahani Maulwi Jamal Buland'sahri Ne Uper Tarasha hai Aur Iske liye Jo Daleel Di Hai, Us Par Kuch Kahne Se Pahle Zara Aap Maulwi Jamal Sahab Ki Diyaanat Aur Makkari Mulaheza Karen

"Hz Aisha Siddeeqa (Ra) Se Mutalliq Jo Ibarat Kashful Ahbab Ke Hawale Se Likhi Hai, Aina Ghair Muqallidiyat Wale Ne Jo Usme Kaarastani Ki Hai Wah Toh Jaane Dijiye,

Iski Buniyaad Par Maulwi Jamal Ne Jo Haath Ki Safaayi Dikhaayi Hai Usko Mulaheza Karen

"Agar Bila'taubah 'Mari' Toh Murtad Mari"

Ye Lafz Dil'kharash Maulwi Jamal Naqal Karte Hain Kis Se "Aina Ghair Muqallidiat Se"

Jabke Jo Alfaaz Aina Ghair Muqallidiyat Me Jo Alfaaz Hain Wah Hai

"Agar Bila'taubah Mari'n Toh Murtad Mari'n"

Dekhiye Lafz "Mari'n" Se Noon Ghanah (Nukta) Hata Kar Baat Kahan Se Kahan Ja Pahunchi,

Aina Ghair Muqallidiyat Wala Noon Ke Saath Naqal Karta Hai, Maulwi Jamal Jab Usse Naqal Karte Hain Toh Noon Ko Ghayab Kar Dete Hain,

Taake Ye Jumla Saraasar Gustaakhi Ka Jumla Ban Jaaye Aur Har Padhne Waala Yaqeen Kare,

Jin Logon Ki Diyaanat Ilmi Ka Ye Haal Ho, Taassub Me Aise Andhe Ho Rahe Hon Ke Unko Zara Bhi Allah Ke Saamne Khade Hone Aur Jawab'dehi Ka Khyaal Na Rahe Unse Kya Cheez Baeed Ho Sakti Hai,

AB US IBAARAT KI HAQEEQAT SUNIYE:

"Aina Ghair Muqallidiyat " Waale Ne Abdul Haq Muhaddis Banarasi (rh) Ke Taalluq Se Apni Kitab Me Bahut Saari Bakwaas Ki Hai Aur Tahreef Lafzi Aur Manawi Se Nahin Chooka Hai,

Usko Jab Unki Kisi Kitab Me Koi Ghalti Pakad Me Nahin Aayi Toh Us Andhe Muqallid Ne Aur Unke Dushmano Ne Unke Mutaalliq Jo Kuch Aftaraat Wa Bohtanaat Taraashe Unhi Ko Unke Khilaaf Istemal Karke Apne Dil Ko Tasalli Dene Laga Aur Duniya Ki Aankh Me Dhool Jhonke Ke Liye Kitaabon Ka Naam Bhi Likh Diya,

Lekin Aapko Ye Malum Hona Chahiye Ke "Kashful Ahbab" Allama Abdul haq Muhaddis Banarasi (Rh) Ki Kitaab Nahin Balke Unke Shakht Tareen Dushman Ki Kitab Hai Jisne Taqleed Ki Himayat Me Is Tarah Ke Bahut Se Bahtaan Taraash Kar Ulema E Haq Ke Sar Lagaaye Aur Apni Aakhirat Kharaab Ki,

Lihaaza Is Kitab Ki Buniyaad Par Ilzaam Lagana Aisa Hi Hai Jaise Ki Esaayi Par Ilzaam Lagaane Ke Liye Kisi Yahoodi Ki Kitab Ko Buniyaad Banaya Jaaye,

Kya Kisi Deobandi Par Ilzaam Taraashi Ke Liye Kisi Barelwi Ki Kitaab Ko Buniyaad Banaya Jaaye Toh Deobandi Usko Qubool Kar Lenge,

Agar Qubool Kar Lenge Toh Iska Elaan Karen Aur Fir Qudrat Khuda'wandi Ka Karishma Dekhen,

Aur Agar Nahin Karenge Toh Ahle Hadith Ke Mutaalliq Unke Dushmano Ki kitaabon Ko Kis Tarah Buniyaad Banaya Ja Sakta Hai,

Ham Bila Shak o Shubah Kahte Hain Ke Ye Allama Abdul Haq Par Bohtaan Hai Aur Ye Kashf Ul Ahbab Ke Musannif Ki Khud Sakhta Ijaad Hai, Jiska Khamiyaza Ba'roz E Qayamat Usko Bhugatna Hoga,

Jo bohtan Allama Abdul Haq Banarasi (Rh) Par Lagaya Aur Uski Aadh Me Jamaat Par Ilzaam Tarashi Ki Ye Sab Mahaz Fraud Aur Jhoot Hai,

Jamat Ka Aqeeda Harghiz Wah Nahin Jo Ye Mufti Bataata Hai, Hazaaron Fatawe Aur Sainkdon Kitabein Is Par Gawaah Hai Ke Ye Sab In Deobandion Ki Mahaz Makkari Hai,

Is Waqt Ham Sirf Ek Kitab Ka Zikr Karenge Jisme Ek Sawaal Ka Jawab diya Gaya Hai Aur Uska Jawab Par Jamaat Ahle Hadith ke Us Waqt Ke Aksar Akaaabir Ke Signature Maujood Hain, Us Kitab Ka Naam Hai

"Tazkiyatul Ashab Fi Rad Raibul Oola Al Re'taab" Jo 1301 Hijri Me Mutee Ansari Delhi Me Chhapa Hai

Sawal Ye Hai

"Ek Shakhs Kahta Hai Ke Hz Aisha (Ra) Baghi Hain Is Waaste ke Unhone Hz Ali (Ra) Se Jung Ki Aur Hz Ali (Ra) Se Koi Afzal Nahin, Na Ummul Momineen Aur Na Shaikhain (Ra) Na Ghair Aur Na Hz Aisha (Ra) Aur Dusri Ajwaaz Ahle Bayt Nahin, Aur Kahta Hai Ke Yahi Aqeeda Hai Aamileen Bil Hadith Ka,

Pas Qaul Us Shakhs Ka Mawafiq Aur Mutaabil Qur'an Wa Hadith Ke Hai Ya Nahin ??"

Iska Jawab Bada Tafseel Aur bada Mudallal Diya Gaya Hai

JAWAB:

"Hz Aisha (Ra) Ko Baghi Kahna Aur Shaikhan (Hz Abu Bakr wa Umar) Par Hz Ali Ko Afzal Qarar Dena Aur Azwaaj E Nabi (Sws) Ko Ahle Bayt Se Khaarij

Bataana Aur Isko Aamileen Bil Hadith Ke Sar Lagaana,

Tamam Hi Ko Saraasar Ghalat Batlaaya Hai"


Is Kitab Ke 16 Pages Is Sawal Ke Jawab Me Sarf Kiye Hain, Iski Ham Sirf Pahli Line Hi Naqal Karte Hain

JAWAB:

"Ye Shakhs Jahil, Be'adab, Raafzi Hai Aur Aqaid Salaf Wa Aamileen Bil Hadith Se Na'waqif Aur Qaul Uska Qur'an Wa Sahih Hadith Ke Sareeh Mukhaalif Hai"

Is Fatawe Ki Taeed 20 Bade Bade Ulema Ne Ki Hai, Jisme Allama Sayyed Shareef Hussain, Aur Shaikh Ul Kul Miyan Nazeer Hussain Muhaddis Dehlawi (Rh) Bhi Hain,

Aapne Likha

"Ab Is Wazaahat Ke Baad Bhi Kisi Ko Asraar Hai Toh Ham Kahte Hain Ke Uska Maamla Allah Ke Supurd Hai Jo Koi Hz Aisha (Ra) Ke Liye Baghi; Murtad Ya Koi Aur Kalima E Tauheen Baraaye Tauheen Istemal Kare, Us Par Allah Ki Laanat Ho, Aur Us Par Bhi Allah Ki Laanat Ho Jo Kisi Par Bila'wajah Tauheen Ka Ilzaam Lagaaye, Agar Tum Sacche Ho Toh Kaho Aameen"

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Wednesday, February 18, 2015

APNI MOMIN BETI KA NIKAH BE'NAMAZI KE SAATH KARNA KAISA HAI ??




Sawal- Apni Momin Beti Ka Kisi Be'namazi Ke Saath Nikah Karna Kaisa Hai ???

Jawab:

Ahle Ilm Ki Ek Raaye Ke Mutaabik Daimi Taur Par Be'namazi Shakhs Chunke Deen E Islam Se Khaarij Hai,

Isliye Kisi Bhi Musalman Ke Liye Jaiz Nahin Ke Wah Apni Namazi Beti Ki Shadi Kisi Be'namazi Se Kare, Kyonki Kaafir Hone Ki Wajah Se Kisi Bhi Musalman Aurat Ka Usse Nikah Jayez Nahin,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Agar Tumhe Ye Ilm Ho Jaaye Ke Wah Auratein Momin Hain Toh Fir Unhe Kuffar Ki Taraf Waapas Na Karo, Na Wah Auratein Un Kuffar Ke Liye Aur Na Hi Wah Kuffar Un Auraton Ke Liye Halal Hain"

(Surah Mumtahina Ayat No. 10)

Aur Agar Koi Be'namazi Shakhs Ke Saath Apni Beti Ki Shadi Kar De Toh Uska Nikah Munaqid Nahin Hoga,

Isliye Agar Baad Me Be'namazi Shauhar Tobah Karke Ba'qaidagi Se Namazein Padna Shuru Kar De Toh Un Dono Ka Dobara Nikah Karaya Jaayega, Jaisa Ka Saudi Mufti Shaikh Ibn Baaz (Ra) Ka IsKe Mutaallik Yahi Fatawa Hai,

#UmairSalafiAlHindi.

Sunday, February 15, 2015

BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI:





.BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI:

"Bahtareen Aurat" Tobah Karne Wali Aur Sharm O Haya Waali Hoti Hai,

Kyonki Wah Haya Karne Waalion Mese Hai,

Meri Pyari Musalman Baheno ! Haya Badi Azeem Us Shan Khoobi Hai,

Ye Aala Akhlaq Me Shumar Kiya Jaata Hai Aur Aurat Ki Nafs Ki Paakeezgi, Uske Jazbah Deeni Ki Hifazat Ki Be'daari, Huququllah Ki
Umdah Paas'dari Par Dalaalat Karta Hai,

Haya Momin, Pak Daaman, Taahirah Aur Shareef Auraton Ki Sifat Hai,

Allah Tala Ne Tumhe Haya Ki Taqeed Farmaayi Hai, Aur Haya Waalion Ki Taareef Karte Hue Farmaya Hai

"Fir Un Dono Me Se Ek (Ladki) Sharmati Lajaati (Moosa) Ke Paas Aayi, Usne Kaha,

Beshaq Mere Waalid Tujhe Bulaate Hain Taake Wah Tujhe Hamari Khaatir Paani Pilaane Ke Liye Mazdoori De Den"

(Surah Qasas 25: 28)

Yani Wah Sharm O Haya Ke Saath Logon Se Hat'kar Aur Unse Door Rahte Hue Aayi, Jabke Usne Apne Chehre Par Apne Kapde Ya Haath
Se Pardah Kar Rakha Tha,

Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na Ho Toh Mominaat Mese Nahin Hai, Kyonki Jisme Haya Na Ho, Uska Koi Imaan Ni Hota,

Hz Abu Hurairah (Ra) Bayan Karte Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Haya Imaan Hai Aur Imaan Jannat Me Hoga"

(Jame Tirmizi Bab Maja Fil Haya Hadith No. 2009, Musnad Ahmad 2/501)

Jab Tum Is Qabil E Tareef Sifat Ko Apna Logi Toh Tumhari Seerat Wa Kirdaar Aur Tumhare Tamam Maamlaat Me Har Tarah Ki Bhalaayi Aa Jaayegi,

Haya Musalman Aurat Ko Bure Fa'aal Se Rokti Aur Bure Akhlaq Se Mahfooz Rakhti Hai,

Kyonki Haya Ka Jazba Saraasar Khair Hi Khair Hai, Isiliye Janab Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Haya Sirf Khair Hi Laati Hai"

(Sahih Bukhari Kitabul Adab Bab Haya Hadith No, 6117, Sahih Muslim Kitab Ul Imaan Bab
Adad Shoebul Iman Hadith No. 37)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Thursday, February 12, 2015

FARMA'BARDAAR BIWI KI SIFAAT


 
 
 
 
Farma'bardar Muslimah Biwi Ki Sifaat

Hz Abu Bakr (Ra) Ki Beti Aur Hz Aisha (Ra) Ki Behen Hz Asma (Ra) Ka Darj Zel Bayan Qaabil e Ghaur Hai,

Wah Farmati Hain K

"Hz Zubair Bin Awwam (Ra) Ne Mujhse Shadi Ki Toh Unke Paas Ek Oont Aur Ghode Ke Siwa Ru E Zameen Par Koi Maal, Koi Ghulam Aur Koi Cheez Ni Thi , Main Hi Unka Ghoda Charati, Use Paani Pilaati, Uska Dol Seeti, Aur Aata Goondhti Ti,

Chananche Kuch Ansari Ladkion Jo Badi Sacchi Thi, Meri Rotiyan Paka Jaati Thi,

Zubair (Ra) Ki Wah Zameen Jo Allah Ke Rasool (Sws) Ne Unhe Di Thi, Us Zameen Se Main Khajoor Ki Ghuthliyan Sar Par Laad Kar Main Laaya Karti Ti, Jabke Ye Zameen Ghar Se 2 Miles Door Thi,

Iske Baad Mere Walid (Hz Abu Bakr) Ne Ek Ghulam Mere Paas Bhej Diya Jo Ghode Ki Dekh Bhaal Ka Sab Kaam Karne Laga Aur Main Be'fikr Ho Gayi,

Goya Walid Ne Ghulam Bhej Kar Mujhko Azaad Kar Diya"

(Sahih Bukhari Kitab Un Nikah Bab Gherah H. 2225, Sahih Muslim Kitab Us Salam H. 2182, Musnad Ahmad 2/522)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Monday, February 9, 2015

KHUTBA E NIKAH-




Bismillahirrahmanirraheem

KHUTBA E NIKAH-

Aqad Nikah Se Pahle Khutba Padhna Chahiye, Khutbe Ka Aghaaz Allah Tala Ki Hamd O Sana
Aur Rasool Maqbool Sallalaho Alaihi Wasallam Par Durood O Salaam Se Karna Chahiye ,

Aur Afzal Khutba Ye Hai,

KHUTBA E NIKAH

"(Bila'shubah) Sab Tareef Allah Ke Liye Hain, Ham Uski Tareef Karte Hain Aur Usi Se Madad Chaahte Hain,

Aur Usse Bakhshish Chaahte Hain, Aur Uski Panaah Chaahte Hain Apne Nafs Ki Buraaiyyon Aur Apne Bure Kaamon Se,

Jisko Allah Hidayat De Usko Koi Gumraah Karne Waala Nahin Aur Jisko Wah Gumraah Karde Usko Koi Hidayat Karne Waala Ni,

Ham Is Baat Ki Gawaahi Dete Hain Ke Sirf Akela Allah Hi Ibaadat Ke Layeq Hai Uska Koi Shareek Nahin Aur Gawaahi Dete Hain Ke Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Ke Bande Aur Uske Rasool Hain,"

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro Jitna Ki Usse Darne Ka Haq Hai, Aur Musalman Hokar Maro"

(Surah Aal E Imran 102)

"Aiy Logon ! Daro Apne Parwardigaar Se Jisne Tumko Ek Jaan Se Paida Kiya Aur Usi Se
Uska Joda Paida Kiya, Aur Un Dono Se Faila Diye Bahut Se Mard Aur Auratein,

Aur Darte Raho Us Allah Se Jisse Tum Mangte Ho, Aur Rishte'daron Ka Khyaal Rakho, Beshaq Allah Tala Tumhari Dekh'bhal Karne
Waala Hai"

(Surah Nisa)

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro! Seedhi Baat Kaho ! Allah Tumhare Kaamon Ko Sanwaar Dega Aur Tumhare Gunahon Ko Bakhs Dega,

Aur Jo Shakhs Allah Aur Uske Rasool (Sws) Ki Ita'at Karega, Toh Use Bahut Badi Kaamyabi Haasil Hogi"

(Surah Ahzab 71)

Iske Baad Nikah Padhane Wala Apni Gharz Bataaye, Maslan Yun Kahe

"Main Tumhari Falan Beti Se Rishta Ke Liye Haazir Hua Hoon"

Ya Aur Bhi Jo Kalimaat Munasib Hon, Ada Kare..

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jis Khutba Me Allah Ki Hamd O Sana Na Ho Wah Us Haath Ki Tarah Hai Jo Kata Hua Ho"

(Tirmizi)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Friday, February 6, 2015

BETI TOH RAHMAT HOTI HAI




BETI TOH RAHMAT HOTI HAI

.Daur E Jihaalat Ke Parwar'dah Ek Shakhs Ne Aap (Sws) Beti Hz Fatima (Ra) Ke Saath Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Muhabbat Ka Aalam Dekha Toh Hairat'zadah Rah Gaya,

Aakhon Se Aansu Nikal Aaye, Sochne Laga Ke

"Aah ! Kis Be'dardi Se Maine Apni Beti Ko Sirf Daur E Jihaalat Ki Aseebat Ki Bina Par Zinda'dargor Kar Diya Tha,"

Aur Fir Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Istefsaar Par Apni Daastaan Bayan Karna Shuru Kar Di,

"Meri Biwi Hamila (Pregnent) Thi, Unhi Dino Main Ek Safar Par Majboor Ho Gaya , Arse Baad Palat Kar Aaya Toh Apne Ghar Me Ek
Bacchi Ko Khelte Dekha,

Biwi Se Poocha, Ye Kaun Hai ??

Toh Biwi Ne Kaha, Ye Tumhari Beti Hai, Aur Fir Kisi Na'malum Khauff Ke Tahat Ilteja'amez Lahze Me Kaha:

"Zara Dekho Toh Kis Qadr Pyari Bachi Hai, Iske Wajood Se Ghar Me Kitni Raunaq Hai, Ye Agar Zinda Rahegi Toh Tumhari Yaadgaar
Bankar Tumhare Khaandaan Aur Qabeele Ka Naam Zinda Rakhegi "

Maine Gardan Jhuka Li, Biwi Ko Koi Jawab Diye Be'ghair Ladki Ko Dekhta Raha,

Ladki Kuch Der Toh Ajnabi Nigaahon Se Mujhe Takti Rahi, Fir Na Jaane Kya Soch Kar Bhaagti Hui Aayi Aur Mere Seene Se Lipat Gayi,

Maine Bhi Jazbaat Ru Me Use Aagosh Me Bhar Liya Aur Pyar Karta Raha,

Kuch Arsa Yunhi Ghuzar Gaya Ladki Aahista Aahista Badi Hoti Rahi Aur Hoshiyar Hui,

Saane Buloogh (Adolecent Age) Ke Qareeb Pahuch Gayi,

Ab Maa Ko Meri Taraf Se Bilkul Itminan Ho Chuka Tha, Mera Rawaiiya Bhi Beti Ke Saath
Muhabbat'amez Tha,

Ek Din Maine Apni Biwi Se Kaha

"Zara Isko Bana Sanwaar Do, Main Qabeele Ki Ek Shadi Me Ise le Jaunga"

Maa Bechari Khush Ho Gayi Aur Jaldi Se Saja Sanwaar Kar Taiyyar Kar Diya,

Maine Ladki Ka Haath Pakda Aur Ghar Se Rawaana Ho Gaya, Ek Ghair'abaad Bayabaan Me Pahunch Kar Pahle Se Taiyyar'shuda Ek Ghadhe Ke Qareeb Main Khada Ho Gaya,

Ladki Jo Badi Khushi Ke Saath Uchhalti Kood'ti Chali Aa Rahi Thi Mere Qareeb Aakar Ruk Gayi,Aur Badi Masoomiyat Se Sawaal Kiya

"Baba Ye Ghadha Kis Liye Hai ??"

Maine Sapaat Lehze Me Usse Kaha

"Apne Khaandani Rasm O Riwaaj Ke Mutaabik Main Tumko Usme Dafan Kar Dena Chaahta Hoon Taaki Tumhari Paidaish Se Hamare Khaandaan Aur Qabeele Ko Jo Zillat Wa Ruswaayi Hui Hai Usse Nijaat Mil Jaaye"

Ladki Ko Soorat E Haal Ka Andaaza Hua Toh Uske Chehre Ka Rang Udh Gaya Aur Qabl Uske Uski Taraf Se Kisi Radd E Amal Ka Izhaar Ho,
Maine Usko Ghadhe Me Dhakel
Diya,

Ladki Der Tak Roti Aur Gidgidaati Rahi Lekin Mujhpar Uske Rone Aur Faryaad Karne Ka Koi Asar Na Hua, Maine Ghadhe Ko Mitti Se Daba Diya,

Agarche Aakhir Waqt Tak Wah Haath Uthaaye Mujhse Zindagi Ki Ilteja Kar Rahi Thi,

Lekin Afsos ! Maine Apne Dil Ke Tukde Ko Zinda Dar'gor Kar Diya,

Lekin Uski Aakhiri Ilteja Aaj Bhi Mere Kaanon Me Laawa Tapkaati Rahti Hai

"Baba Tumne Mujhko Dafan Toh Kar Diya Lekin Meri Maa Ko Haqeeqat Na Bataana,

Kah Dena Ke Maine Apni Beti Ko Qabeele Waalon Me Chhod Aaya hoon"

Apne Arab Sahabi Se Ek Beti Ke Zinda'dargor Kar Diye Jaane Ki Daastaan Suni Toh Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aankhon Se Aansuon Ka Sailaab Jaari Ho Gaya,

Us Waqt Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Aagosh Me Hz Fatima Zahra (RA) Baithi Hui Thi, Unki Aankhon Me Bhi Nami
Nazar Aayi,

Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Beti Ko Seene Se Laga Liya Aur Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Honton Par Ye Jumle Jaari Ho Gaye

"Beti Toh Rahmat Hai"

Aur Fir Aasmaan Ki Taraf Dekte Hue Farmya

"Main Fatima Ko Dekh'kar Apne Mashaam Jaan Ko Bahist Ki Khushboo Se Mu'atir Karta Hoon.

Ya Allah ! Main Tujhse Maut Ke Waqt Aaraam Wa Raahat Aur Qayamat Ke Hisaab Wa Kitab
Ke Waqt Affuw Maghfirat Ka Taalib Hoon"

(Sunehre Auraq)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait

Tuesday, February 3, 2015

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:


 
 
 
Bismillahirrahmanirraheem

BIWI KI BAD'TAMEEZI PAR SHAUHAR KO ITMINAN AUR SABR SE KAAM LENA CHAHIYE:

Biwi Se Hone Wale Bahut Saare Maamlaat Se Raham Dili Aur Safaqqat Ki Wajah Se Sirf Nazar'andaz Kar Dena Chahiye,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Unke Saath Bahut Acche Tareeqe Se Ghuzar Basar Karo"

(Surah Nisa Ayat No. 19)

Hz Anas (Ra) Farmate Hain

"Maine Apne Ahal O Ayaal Ke Saath
Rasoollullah (Sws) Se Zyadah Rahem Karne Wala Kisi Ko Ni Dekha, Aapki Biwiyan Aapki Baaton Ka Jawaab Deti Aur Koi Biwi Din Se Lekar Raat Tak Aapko Chhod Deti"

(Sahih Bukhari Hadith No. 2336, Sahih Muslim Hadith No, 1479)

Biwi Ka Ye Haq Banta Hai Ke Shauhar Use Apni Muhabbat Ka Ehsaas Dilaane Ki Khaatir Uski Baatein Tawajjoh Se Sune Aur Deen Aur Murawwat Ke Daayere Me Rahte hue Uski Izzat Kare,

Aur Jo Uska Rishtey'dar Uske
Ghar Aaye Uske Liye Khaane Aur Peene Ka Bando'bast Karne Me Khushi Aur Raza'mandi Ka Izhaar Kare,

Islam Ne Shauhar Ke Liye Apni Biwi Ko Raazi Rakhne Aur Dil Me Jo Uski Muhabbat Hai, Usse Badhkar Izhaar Karne Me Jhoot Ka Sahara Lene Ki Ijaazat Bhi Di Hai,

Taake Wah Apne Shauhar Ke Saath Khush Aur Raazi Rahe,

Shauhar Ko Chahiye Ke Kabhi Kabhi Gharelu Kaamon Me Uski Madad Kare, Khaas'kar Aise Kaamon Me Jo Mushkil Aur Uske Liye Thaka'wat Ka Zariya Hon,

Nabi E Kareem Sallalaho Alahi Wasallam Kabhi Kabhi Apni Biwiyon Ke Kuch Kaam Kar Dete,

Hz Aisha (Ra) Se Poocha Gaya Ke Nabi E Kareem (Sws) Apne Ghar Me Kya Karte They ??

Toh Unhone Farmaya

"Aap Apne Ghar Me Baaz Pesha'warana Kaam Karte Jaise Ghar Sawaarna, Kapde Rafu Karna, Joota Marammat Karna, Doodh
Duhna"

(Musnad Ahmad 6/256)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait
#IslamicLeaks