Thursday, February 12, 2015

FARMA'BARDAAR BIWI KI SIFAAT


 
 
 
 
Farma'bardar Muslimah Biwi Ki Sifaat

Hz Abu Bakr (Ra) Ki Beti Aur Hz Aisha (Ra) Ki Behen Hz Asma (Ra) Ka Darj Zel Bayan Qaabil e Ghaur Hai,

Wah Farmati Hain K

"Hz Zubair Bin Awwam (Ra) Ne Mujhse Shadi Ki Toh Unke Paas Ek Oont Aur Ghode Ke Siwa Ru E Zameen Par Koi Maal, Koi Ghulam Aur Koi Cheez Ni Thi , Main Hi Unka Ghoda Charati, Use Paani Pilaati, Uska Dol Seeti, Aur Aata Goondhti Ti,

Chananche Kuch Ansari Ladkion Jo Badi Sacchi Thi, Meri Rotiyan Paka Jaati Thi,

Zubair (Ra) Ki Wah Zameen Jo Allah Ke Rasool (Sws) Ne Unhe Di Thi, Us Zameen Se Main Khajoor Ki Ghuthliyan Sar Par Laad Kar Main Laaya Karti Ti, Jabke Ye Zameen Ghar Se 2 Miles Door Thi,

Iske Baad Mere Walid (Hz Abu Bakr) Ne Ek Ghulam Mere Paas Bhej Diya Jo Ghode Ki Dekh Bhaal Ka Sab Kaam Karne Laga Aur Main Be'fikr Ho Gayi,

Goya Walid Ne Ghulam Bhej Kar Mujhko Azaad Kar Diya"

(Sahih Bukhari Kitab Un Nikah Bab Gherah H. 2225, Sahih Muslim Kitab Us Salam H. 2182, Musnad Ahmad 2/522)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait