Sunday, February 15, 2015

BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI:





.BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI:

"Bahtareen Aurat" Tobah Karne Wali Aur Sharm O Haya Waali Hoti Hai,

Kyonki Wah Haya Karne Waalion Mese Hai,

Meri Pyari Musalman Baheno ! Haya Badi Azeem Us Shan Khoobi Hai,

Ye Aala Akhlaq Me Shumar Kiya Jaata Hai Aur Aurat Ki Nafs Ki Paakeezgi, Uske Jazbah Deeni Ki Hifazat Ki Be'daari, Huququllah Ki
Umdah Paas'dari Par Dalaalat Karta Hai,

Haya Momin, Pak Daaman, Taahirah Aur Shareef Auraton Ki Sifat Hai,

Allah Tala Ne Tumhe Haya Ki Taqeed Farmaayi Hai, Aur Haya Waalion Ki Taareef Karte Hue Farmaya Hai

"Fir Un Dono Me Se Ek (Ladki) Sharmati Lajaati (Moosa) Ke Paas Aayi, Usne Kaha,

Beshaq Mere Waalid Tujhe Bulaate Hain Taake Wah Tujhe Hamari Khaatir Paani Pilaane Ke Liye Mazdoori De Den"

(Surah Qasas 25: 28)

Yani Wah Sharm O Haya Ke Saath Logon Se Hat'kar Aur Unse Door Rahte Hue Aayi, Jabke Usne Apne Chehre Par Apne Kapde Ya Haath
Se Pardah Kar Rakha Tha,

Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na Ho Toh Mominaat Mese Nahin Hai, Kyonki Jisme Haya Na Ho, Uska Koi Imaan Ni Hota,

Hz Abu Hurairah (Ra) Bayan Karte Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Haya Imaan Hai Aur Imaan Jannat Me Hoga"

(Jame Tirmizi Bab Maja Fil Haya Hadith No. 2009, Musnad Ahmad 2/501)

Jab Tum Is Qabil E Tareef Sifat Ko Apna Logi Toh Tumhari Seerat Wa Kirdaar Aur Tumhare Tamam Maamlaat Me Har Tarah Ki Bhalaayi Aa Jaayegi,

Haya Musalman Aurat Ko Bure Fa'aal Se Rokti Aur Bure Akhlaq Se Mahfooz Rakhti Hai,

Kyonki Haya Ka Jazba Saraasar Khair Hi Khair Hai, Isiliye Janab Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Haya Sirf Khair Hi Laati Hai"

(Sahih Bukhari Kitabul Adab Bab Haya Hadith No, 6117, Sahih Muslim Kitab Ul Imaan Bab
Adad Shoebul Iman Hadith No. 37)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait