Monday, February 9, 2015

KHUTBA E NIKAH-




Bismillahirrahmanirraheem

KHUTBA E NIKAH-

Aqad Nikah Se Pahle Khutba Padhna Chahiye, Khutbe Ka Aghaaz Allah Tala Ki Hamd O Sana
Aur Rasool Maqbool Sallalaho Alaihi Wasallam Par Durood O Salaam Se Karna Chahiye ,

Aur Afzal Khutba Ye Hai,

KHUTBA E NIKAH

"(Bila'shubah) Sab Tareef Allah Ke Liye Hain, Ham Uski Tareef Karte Hain Aur Usi Se Madad Chaahte Hain,

Aur Usse Bakhshish Chaahte Hain, Aur Uski Panaah Chaahte Hain Apne Nafs Ki Buraaiyyon Aur Apne Bure Kaamon Se,

Jisko Allah Hidayat De Usko Koi Gumraah Karne Waala Nahin Aur Jisko Wah Gumraah Karde Usko Koi Hidayat Karne Waala Ni,

Ham Is Baat Ki Gawaahi Dete Hain Ke Sirf Akela Allah Hi Ibaadat Ke Layeq Hai Uska Koi Shareek Nahin Aur Gawaahi Dete Hain Ke Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Ke Bande Aur Uske Rasool Hain,"

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro Jitna Ki Usse Darne Ka Haq Hai, Aur Musalman Hokar Maro"

(Surah Aal E Imran 102)

"Aiy Logon ! Daro Apne Parwardigaar Se Jisne Tumko Ek Jaan Se Paida Kiya Aur Usi Se
Uska Joda Paida Kiya, Aur Un Dono Se Faila Diye Bahut Se Mard Aur Auratein,

Aur Darte Raho Us Allah Se Jisse Tum Mangte Ho, Aur Rishte'daron Ka Khyaal Rakho, Beshaq Allah Tala Tumhari Dekh'bhal Karne
Waala Hai"

(Surah Nisa)

"Aiy Imaan Walon ! Allah Se Daro! Seedhi Baat Kaho ! Allah Tumhare Kaamon Ko Sanwaar Dega Aur Tumhare Gunahon Ko Bakhs Dega,

Aur Jo Shakhs Allah Aur Uske Rasool (Sws) Ki Ita'at Karega, Toh Use Bahut Badi Kaamyabi Haasil Hogi"

(Surah Ahzab 71)

Iske Baad Nikah Padhane Wala Apni Gharz Bataaye, Maslan Yun Kahe

"Main Tumhari Falan Beti Se Rishta Ke Liye Haazir Hua Hoon"

Ya Aur Bhi Jo Kalimaat Munasib Hon, Ada Kare..

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Jis Khutba Me Allah Ki Hamd O Sana Na Ho Wah Us Haath Ki Tarah Hai Jo Kata Hua Ho"

(Tirmizi)

#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait