Bismillahirrahmanirraheem
MUQALIDDEEN KA SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS BANARASI (RH) PAR LAGAAYE GAYE BOHTAAN KA JAWAB:
Maulana Jamal Buland'sahri, Shaikh Abdul Haq (Rh) Par Bohtaaan Lagaate Hue Farmaate Hain ,
"Shaikh Abdul Haq Banarasi Ka Naam Kaun Nahin Jaanta Ghair Muqalliddeen Ke Mashoor Aur Maroof Aimma'deen Aur Ulema Mese Hain, Aap Nabi E Akram (Sws) Ki Jauza (Wife) Hz Aisha (Ra) Ki Shaan Me Unke Shia Zadah Alfaaz Ko Tareekh Ne Mahfooz Rakha Hai Farmate Hain (Yani Shaikh Abdul Haq Sahab Farmate hain)
"Hz Ali Se Jung Karke Hz Aisha (Ra) Murtad Ho Chuki Thin, Agar Bila Taubah 'Mari' Toh Kufr Par 'Mari'"
(Kashful Ahbab Page 41, Ba'hawala Aina Ghair Muqallidiya 239)
Mere Islami Bhaiyyon Aur Baheno ! Jo Kahani Maulwi Jamal Buland'sahri Ne Uper Tarasha hai Aur Iske liye Jo Daleel Di Hai, Us Par Kuch Kahne Se Pahle Zara Aap Maulwi Jamal Sahab Ki Diyaanat Aur Makkari Mulaheza Karen
"Hz Aisha Siddeeqa (Ra) Se Mutalliq Jo Ibarat Kashful Ahbab Ke Hawale Se Likhi Hai, Aina Ghair Muqallidiyat Wale Ne Jo Usme Kaarastani Ki Hai Wah Toh Jaane Dijiye,
Iski Buniyaad Par Maulwi Jamal Ne Jo Haath Ki Safaayi Dikhaayi Hai Usko Mulaheza Karen
"Agar Bila'taubah 'Mari' Toh Murtad Mari"
Ye Lafz Dil'kharash Maulwi Jamal Naqal Karte Hain Kis Se "Aina Ghair Muqallidiat Se"
Jabke Jo Alfaaz Aina Ghair Muqallidiyat Me Jo Alfaaz Hain Wah Hai
"Agar Bila'taubah Mari'n Toh Murtad Mari'n"
Dekhiye Lafz "Mari'n" Se Noon Ghanah (Nukta) Hata Kar Baat Kahan Se Kahan Ja Pahunchi,
Aina Ghair Muqallidiyat Wala Noon Ke Saath Naqal Karta Hai, Maulwi Jamal Jab Usse Naqal Karte Hain Toh Noon Ko Ghayab Kar Dete Hain,
Taake Ye Jumla Saraasar Gustaakhi Ka Jumla Ban Jaaye Aur Har Padhne Waala Yaqeen Kare,
Jin Logon Ki Diyaanat Ilmi Ka Ye Haal Ho, Taassub Me Aise Andhe Ho Rahe Hon Ke Unko Zara Bhi Allah Ke Saamne Khade Hone Aur Jawab'dehi Ka Khyaal Na Rahe Unse Kya Cheez Baeed Ho Sakti Hai,
AB US IBAARAT KI HAQEEQAT SUNIYE:
"Aina Ghair Muqallidiyat " Waale Ne Abdul Haq Muhaddis Banarasi (rh) Ke Taalluq Se Apni Kitab Me Bahut Saari Bakwaas Ki Hai Aur Tahreef Lafzi Aur Manawi Se Nahin Chooka Hai,
Usko Jab Unki Kisi Kitab Me Koi Ghalti Pakad Me Nahin Aayi Toh Us Andhe Muqallid Ne Aur Unke Dushmano Ne Unke Mutaalliq Jo Kuch Aftaraat Wa Bohtanaat Taraashe Unhi Ko Unke Khilaaf Istemal Karke Apne Dil Ko Tasalli Dene Laga Aur Duniya Ki Aankh Me Dhool Jhonke Ke Liye Kitaabon Ka Naam Bhi Likh Diya,
Lekin Aapko Ye Malum Hona Chahiye Ke "Kashful Ahbab" Allama Abdul haq Muhaddis Banarasi (Rh) Ki Kitaab Nahin Balke Unke Shakht Tareen Dushman Ki Kitab Hai Jisne Taqleed Ki Himayat Me Is Tarah Ke Bahut Se Bahtaan Taraash Kar Ulema E Haq Ke Sar Lagaaye Aur Apni Aakhirat Kharaab Ki,
Lihaaza Is Kitab Ki Buniyaad Par Ilzaam Lagana Aisa Hi Hai Jaise Ki Esaayi Par Ilzaam Lagaane Ke Liye Kisi Yahoodi Ki Kitab Ko Buniyaad Banaya Jaaye,
Kya Kisi Deobandi Par Ilzaam Taraashi Ke Liye Kisi Barelwi Ki Kitaab Ko Buniyaad Banaya Jaaye Toh Deobandi Usko Qubool Kar Lenge,
Agar Qubool Kar Lenge Toh Iska Elaan Karen Aur Fir Qudrat Khuda'wandi Ka Karishma Dekhen,
Aur Agar Nahin Karenge Toh Ahle Hadith Ke Mutaalliq Unke Dushmano Ki kitaabon Ko Kis Tarah Buniyaad Banaya Ja Sakta Hai,
Ham Bila Shak o Shubah Kahte Hain Ke Ye Allama Abdul Haq Par Bohtaan Hai Aur Ye Kashf Ul Ahbab Ke Musannif Ki Khud Sakhta Ijaad Hai, Jiska Khamiyaza Ba'roz E Qayamat Usko Bhugatna Hoga,
Jo bohtan Allama Abdul Haq Banarasi (Rh) Par Lagaya Aur Uski Aadh Me Jamaat Par Ilzaam Tarashi Ki Ye Sab Mahaz Fraud Aur Jhoot Hai,
Jamat Ka Aqeeda Harghiz Wah Nahin Jo Ye Mufti Bataata Hai, Hazaaron Fatawe Aur Sainkdon Kitabein Is Par Gawaah Hai Ke Ye Sab In Deobandion Ki Mahaz Makkari Hai,
Is Waqt Ham Sirf Ek Kitab Ka Zikr Karenge Jisme Ek Sawaal Ka Jawab diya Gaya Hai Aur Uska Jawab Par Jamaat Ahle Hadith ke Us Waqt Ke Aksar Akaaabir Ke Signature Maujood Hain, Us Kitab Ka Naam Hai
"Tazkiyatul Ashab Fi Rad Raibul Oola Al Re'taab" Jo 1301 Hijri Me Mutee Ansari Delhi Me Chhapa Hai
Sawal Ye Hai
"Ek Shakhs Kahta Hai Ke Hz Aisha (Ra) Baghi Hain Is Waaste ke Unhone Hz Ali (Ra) Se Jung Ki Aur Hz Ali (Ra) Se Koi Afzal Nahin, Na Ummul Momineen Aur Na Shaikhain (Ra) Na Ghair Aur Na Hz Aisha (Ra) Aur Dusri Ajwaaz Ahle Bayt Nahin, Aur Kahta Hai Ke Yahi Aqeeda Hai Aamileen Bil Hadith Ka,
Pas Qaul Us Shakhs Ka Mawafiq Aur Mutaabil Qur'an Wa Hadith Ke Hai Ya Nahin ??"
Iska Jawab Bada Tafseel Aur bada Mudallal Diya Gaya Hai
JAWAB:
"Hz Aisha (Ra) Ko Baghi Kahna Aur Shaikhan (Hz Abu Bakr wa Umar) Par Hz Ali Ko Afzal Qarar Dena Aur Azwaaj E Nabi (Sws) Ko Ahle Bayt Se Khaarij
Bataana Aur Isko Aamileen Bil Hadith Ke Sar Lagaana,
Tamam Hi Ko Saraasar Ghalat Batlaaya Hai"
Is Kitab Ke 16 Pages Is Sawal Ke Jawab Me Sarf Kiye Hain, Iski Ham Sirf Pahli Line Hi Naqal Karte Hain
JAWAB:
"Ye Shakhs Jahil, Be'adab, Raafzi Hai Aur Aqaid Salaf Wa Aamileen Bil Hadith Se Na'waqif Aur Qaul Uska Qur'an Wa Sahih Hadith Ke Sareeh Mukhaalif Hai"
Is Fatawe Ki Taeed 20 Bade Bade Ulema Ne Ki Hai, Jisme Allama Sayyed Shareef Hussain, Aur Shaikh Ul Kul Miyan Nazeer Hussain Muhaddis Dehlawi (Rh) Bhi Hain,
Aapne Likha
"Ab Is Wazaahat Ke Baad Bhi Kisi Ko Asraar Hai Toh Ham Kahte Hain Ke Uska Maamla Allah Ke Supurd Hai Jo Koi Hz Aisha (Ra) Ke Liye Baghi; Murtad Ya Koi Aur Kalima E Tauheen Baraaye Tauheen Istemal Kare, Us Par Allah Ki Laanat Ho, Aur Us Par Bhi Allah Ki Laanat Ho Jo Kisi Par Bila'wajah Tauheen Ka Ilzaam Lagaaye, Agar Tum Sacche Ho Toh Kaho Aameen"
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks