Wednesday, February 18, 2015

APNI MOMIN BETI KA NIKAH BE'NAMAZI KE SAATH KARNA KAISA HAI ??




Sawal- Apni Momin Beti Ka Kisi Be'namazi Ke Saath Nikah Karna Kaisa Hai ???

Jawab:

Ahle Ilm Ki Ek Raaye Ke Mutaabik Daimi Taur Par Be'namazi Shakhs Chunke Deen E Islam Se Khaarij Hai,

Isliye Kisi Bhi Musalman Ke Liye Jaiz Nahin Ke Wah Apni Namazi Beti Ki Shadi Kisi Be'namazi Se Kare, Kyonki Kaafir Hone Ki Wajah Se Kisi Bhi Musalman Aurat Ka Usse Nikah Jayez Nahin,

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Agar Tumhe Ye Ilm Ho Jaaye Ke Wah Auratein Momin Hain Toh Fir Unhe Kuffar Ki Taraf Waapas Na Karo, Na Wah Auratein Un Kuffar Ke Liye Aur Na Hi Wah Kuffar Un Auraton Ke Liye Halal Hain"

(Surah Mumtahina Ayat No. 10)

Aur Agar Koi Be'namazi Shakhs Ke Saath Apni Beti Ki Shadi Kar De Toh Uska Nikah Munaqid Nahin Hoga,

Isliye Agar Baad Me Be'namazi Shauhar Tobah Karke Ba'qaidagi Se Namazein Padna Shuru Kar De Toh Un Dono Ka Dobara Nikah Karaya Jaayega, Jaisa Ka Saudi Mufti Shaikh Ibn Baaz (Ra) Ka IsKe Mutaallik Yahi Fatawa Hai,

#UmairSalafiAlHindi.