Monday, May 19, 2014

IMAM ABU HANIFA RAHMATULLAH ALAIH KAUN THEY ?

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahm
anirraheem ..

Dosto Aaj ye Baat Awam me Galat baat faile hue hai k Imam Abu Hanifa r.al ek tabaai the??


Es Masle ko janne k leye sabse Asan tareka hai k hum tarekh ki kitabo ko utha ker khud dekhe ya Khud se Tahkek kare...


May apne baat Nabi(s.a.w) se suru karna chata hu kuki humare Imam e Azam Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam hai...


Aap (s.a.w) ki umr 63 saal ki the or apke Wafat 11 hz ko hue.. yaani Islamic Tarek Na Aap(s.a.w) ki paidais or Na Wafat per rakhe gaye.. balke Islamic Tarek hz Umar r.a k hizrat se suru hue (jayada jankari k leye Apne Alim se Rafta kayam kare)


jab Aap (s.a.w) ki wafat hue us Waqt Aap (s.a.w) ki umr 63 Saal ki the or Islamic Tarek saal 11 Hz ho rahe the... Es baat se belkul saaf ho raha hai k Aap(s.a.w) jab 52 Saal k the Tab Islamic Calender ki suruwat hue..


Us Waqt k sabse jayada umr k serf ek Sahaba r.a the jinka umr 100 saal bataya jata hai.. Jaher se baat hai k Aap jante hoge k sabse kam umr me Imaan lane wale Sahaba Hz Ali r.a the yaani us Waqt wo Sahaba r.a (jinka umr 100 saal k tha) kya umr hoga


Imam Abu hanifa r.al ki paidais 80 HZ Kufa, Iraq. Me hue aur enke Wafat : 70 years of age : 150 HZ in the month of Rajab. (others have stated Sha’baan and Shawwaal also).


Jahir se baat hai jab Imam Abu Hanifa r.al ki paidais hue us Waqt se Aap (s.a.w) ki Umar k Andaza laga sakte hai 10Hz ko Aap(s.a.w) ki wafat hue yaani k 69 Saal baad paida hue Imam Abu Hanifa r.al...


May ye baat Clear kar dena chata hu k Imam Abu Hanifa r.al Tabai nahi the?? Kuki Tabai use kahte hai jinhone Sahaba r.a ko dekha ho... Aur Imam abu Hanifa r.al k khud k Qoul k mutabik unhone khud kaha k maine Ek Tabai ko dekha jo bahut he jayada Elm rakhte the... Yaani baat saaf hai koi v saks Sahab r.a k saan me gustakhi Nahi kar sakta tha us dour me kuki ager wo kisi Sahaba r.a se melte tou wo unka naam lete na k kisi Tabai k Naam lete...


***Imam Abu Hanifa r.al Or Ulma e Hadees***


1-Tarekha Ibn khaled wan jild-1,Safa-37 me hai :


''Imam Abu Hanifa r.al ki Nisbat kaha gaya hai k unko 17 Hadeese pahuchi hai''


2-Qayam ul lal matbua lahour Safa-123 me Qoul Abdullah bin Mubarak r.al :


''Imam Abu Hanifa r.al Hadees me Yatim the''


3-Munakab Al Safaii lil razi Safa-142 me Qoul Ahmed r.al hai :


''Na unke Raye kaam ki hai Na Hadees (yaani Hz Imam Abu hanifa r.al ki) ''


4-Umdatul Alriya safa-34 me Moulana Abdul haee Sb Faramate hai :


''Aur Muhaddis ki Nesbat unki rewayat go kam hai Mager ye kami un k Martabe ko Nahi ghatati''


5-Zafer Allamani Matbua Chasma Faiz Safa-24 me v Moulana Abdullah haee sb,Hz Imam Abu Hanifa r.al k Qalel Al rewayat hona Tasleem karte hai :


''Jis Rawi se kam Hadees Marwi ho uske Rewayat v Makbul hai jaise Abu Baker r.a Sahab se Aur Humare Imam Azam r.al Aima deen se unse Rewayate kam pahuchi hai''


6-Chunache Abdul Wahab Sorani Apne kitab Mezanul kubra jild-1 Safa-55 me Tahref Faramate hai :


''Imam Abu Hanifa r.al Ahadees k Jama hone tak Aur Hifazat (Hadees) k hadeeso Jama karne k leye (Muktalif) Balad Aur Aitraf Mumalik Islam me Ferne k baad Zenda rahte Aur Un Ahadees ko pate , tou Jarur unke leye , Aur jo jo Qayas unhone keya hai Wo Sab Chor dete Aur un k Mazhab me Qayas kam hote , jaisa k Auro k Mazhab me hai''


7-Nafaii kaber Safa-16 me Moulana Abdul haee sb Hanfi lekhnawi Farmate hai :


''Humara Aur ek Musannif k Aitaqad Abu Hanifa r.al k Bare me ye hai k Ager wo jinda rahte Hadeeso k jama ho jane tak , tou Ahadees ko lete Aur Tamam Qayas ko chor dete''


8-Mezan Surani Matbua Maser Safa -55 me hai k :


''Hafiz,Hadees ki Talab me Safar karte the,Gaao Aur Sahro se use jama keya, Aur madwan keya,Baaz hadees Baaz hadees k khilaf hue,Us wajah se un (Abu hanifa r.al) k Mazhab me Qayas Jayada hua, Aur Dusre Mazhab me kam''


9-Dar Asa't Al labib Matbua lahaur Safa -84 me Mulla Moin Hanfi Farmate hai :


''Abu Hanifa r.al Tasahih Hadees tak Zinda rahte tou Qayas ko Chor dete'' (yaani sahi hadees k jama hone tak)


10-Tarekh Ibn Khalkan Matbua Eraan jild-2 Safa-296 me hai k :


''Khutaib ne Apne Tarekh me Munakab me se Bahut se Munakab bayan kar k Ma'ab Bayan keye hai jinka jekar Na karna Munasib tha, kuki aysa Bara Imam jiski Deyanat wa rah Aur Hafiza me koi Tae'en Nahi, unke Zaat me Siwaye Arbiyat ki kami k koi Aib na the''


Note:- Chuke us Jamane Me Ahadees k Tarzuma tou hue he nahi the es leye Imam sb ki Galat Arbiat Haswale AHadees se Sad rah hue.


11-Allama Kamaludden Darmeri ,Hayat ul haiwan kaberea matbua masra jild-1 safa-181 me Faramte hai :


''Chunache Wo baccha jo Choupaya (janwer) k pait me Jabah k baad Nekle ,Ager Jabah k baad Wo baccha murda ho tou Ba jamat Sahaba r.a Halal hai jaisa k Mawardi ne Apne Kitab me Nakal keya hai, Aur yahi Mazhab Imam Malik r.al Aur Imam Auz'zi r.al Aur Sufyan Suri r.al Aur Abu Ushuf Aur Mohammad Aur Ishaq bin Rawia r.al Aur Ahmed bin Humbel k hai,Imam Abu Hanifa r.al serf Akele us ko Haram kahte hai''


Note:- Es ek he Masle per Ittefak Rakha gaya hai,Warna Bahut ayse Masle hai jinme Imam Abu Hanifa r.al ne Izma Sahaba r.a k khilaf keya hai jo kisi Ahle-Elm per posida nahi hai.


**Imam Abu Hanifa r.al ki Raye Or Qayas me Maharat**


12-Mulla Moin Hanfi Apne kitab Dar Asa't Al labib Matbua lahaur Safa -33 me lekhte hai :


''Rewayat ki gaye hai Imam Zafer sadiq r.a se unhone Imam Abu Hanifa r.al se kaha k mujko Khaber mele hai k tum Qayas karte ho, Qayas mat karna,kuki Awwal jisne Qayas keya hai (Nas k Mukable me) wo Iblees hai''


13-Tarekh Ibn Khalkan jild-2 safa-295 me hai :


''Imam Safaii kahte hai k Imam Malik r.al se kisi ne kaha k tum ne Imam Abu Hanifa r.al ki dekha hai tou kaha k beshak maine Dekha hai, Aysa Saks tha k Ager usse us Sutun ko sona kahalwaya jata tou us ki Dallil Qayam kar deta.''


14-Mizan Ala Aitadal Matbua Masr Jild-3 Safa 327 me hai k :


''Abu Hanifa r.al kufa k rahne wale Imam Ahle-Al Raye k hai''


15-Moulana Numani Seratul Numaan safa -183 hazrat Imam Abu Hanifa r.al k Qoul Nakal karte hai k :


''Hum jis baat me (Mashur) hai wo Raye wa Ijtehad hai hum kisi per Jaber Nahi kar sakte, (k usper Amal kare) Aur na ye kah Sakte hai k uska Qabul karna Wajib hai''


16-Allama Sher Satani Ali Hamis kitab Alfzal lil khuzaima jild-2,Safa-46 me Farmate hai k :


''Imam Abu hanifa r.al ne Farmaya k humara ye Elm(feka) raye hai''


17-Tarekh Kumis jild-2 Safa-338 me hai k khud Imam Abu Hanifa r.al farmate hai k Humara Aqwal mahaz raye hai.


18-Tarekh Al khulfa e Matbua Maser 101 me hai k :


''Ese jamane me Ulma e Islam ne Hadees wa feka wa Tafseer k Jama karna Suru keya , Makka me Ibn juraiz r.al ne,Aur Maden me Imam Malik r.al ne Motta lekha Aur Saam me Auzazi r.al ne , Aur Basra me Ibn Abi Urba r.al Aur Hamad bin Salma r.al wagira ne, Aur yaman me Maimura r.al ne Aur Kufa me Sufyan suri r.al ne Aur Ibn Ishaq ne Magazi Tasneef ki,Aur Abu Hanifa r.al ne feka wa Raye Tasneef keya''


**Imam Abu Hanifa r.al k Ijtehad k Mutalik ek Mugalikat k Ujala **


Humare Baradne Ahnaaf Akser kaha karte hai k Hz Imam Abu Hanifa r.al ne Ager Hadees ki taraf tawajjo he Nahi ko tou fer Mujtahid ku kah laye?? Akher wo Qayasat jo karte the wo Hadees per he tou the Es leye Qayas k leye Mukarar Ala Sart hai.


Jawab: ye hai k Imam Abu Hanifa r.al Aur Un jaise Ahle-Al raye ki puri tawajjo furu ki taraf the k wo apne Asatza k paband the Aur use se Masla estenab karte the , Chunache sah wali Allah sb huzzatul balag k safa 166 me faramte hai :


''Ahle-Al raye se Murad wo loog hai jinhone Musalmano k Masail Mutafiq Aleha k baad kisi Saks mukaddam k Qawa'id per Takhrez Masail ki taraf tawajjo ki,In k Akser dastur he raha k Masla me us k Musaba Masla k jo hukm hota wahi hukm us Masle per laga dete Aur Masla ko unhe Qawaid ki taraf fer faar ker le jate Ahadees Nabwi(s.a.w) Aur Amaal wa Aqwal Sahab r.a ki khoz talas na karte (yaani Mahaz Qayas se Fatwa dete,Ahadees wa Asar e Sahaba se Garz na the)''.


**Imam Abu Hanifa r.al k Sagirdo ki Raye wa Qayas me Maharat**


19-Tarekh Ibn Khaldwan jild-1,safa-376
me hai k :

''Un Mukadme me Feke 2 Tareka per Mankasam ho gaye 1 tareka Ahle-Al raye wa Al Qayas k Aur wo Iraq wale hai Aur Tareka Ahle-hadees k Aur wo Hazaz (Makka wa Madina) wale hai,Ahle-Iraq me Hadees kam the jis ki wajah hum pahle lekh chuke hai , tou unhone Qayas se jayada kaam leya Aur Qayas he me khub Maher hue use Wajah se unko Ahle-Al raye kaha gaya Ahle-Al Raye ki jamat k Sardar jin me Aur jinke Sagirdo me ye (Tareka) Mazhab Qayam hua wo Imam Abu Hanifa r.al hai''.


20-kitab Al malal wa al khalk matbua masra Safa-132 me Allama Sher sutani Farmate hai :


''Ashab Al raye Gark wale hai jo Abu Hanifa r.al Aur unke Sagerdo Mohammad bi hasan r.al Aur Abu yusuf yakub bin Mohammad Kazi r.al Aur Zafer bin Al hazil , aur Hasan bin zeyadu loi Aur Ibn Usman Aur Afeya kazi Aur Abu mutaiya Al balkhi , Aur Baser maresi hai, unk naam Ashab Al raye us Wajah se rakha gaya hai k unki tawazzo Qayas k tareke hasel kar ne per the, Aur Maine mustanba per, k jin k Talluq roz marra k Ahkam se hai, barha unhone Qayas jali ki Akhbar Aahad per Muqaddam keya hai''


 

[kitab al malal wa alnahal jild-1 ,safa-207 ]VIA-Imaran khan salafi