Wednesday, May 7, 2014

EK HAATH SE MUSAAFA KARNA BAHTAR HAI

Jo shaks ye kahta hai ki ek hath se musafa karna yahoodi wa nasara ka amal hai to ye samajhna chaiye ki use Kitab wa Sunnah ka ilm nahi hai. Boht si sahih hadiths hai jo kahti hai ki sahaba ka aam mamul ye tha ki wo ek hath se musafa karte the.


Qatada riwayat karte hai ki maine Anas r.a. se pucha ki kya ek hath se musafa karna RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sahabi ka riwaz tha. Anas r.a. ne kaha: “HA”.

Sahih al-Bukhari, hadith-6263.


Toh is hadith se saaf taur par malum pada ki ek hath se musafa karna sahabao ka aam mamool tha kyuki hadith ke alfaz me “riwaz” alfaz hai jiska matlab koi khas amal jo boht pahle se chali aa rahi ho ya aam mamool hota hai.
 


Lekin agar koi shaks do hath se musafa kare to ye jaiz hai, ye biddat nahi hai, balki ye mubah hai aur yahi Raae(opinion) ulemao ka bhi hai, sheikh muhammed salih al-munajjid ko le kar. Par sunnah ki agar baat kare to musafa karna ek hath se sabit hai aur yahi amal sahaba ka tha aur yahi amal behtar hai.

Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (24/125) me kaha gaya hai ki hame aesi koi ilm nahi ki do hath se(musafa) nahi karna chaiye. Lekin ek hath se karna behtar hai.

Aur Allah sab se behtar janta hai.


Allah se dua hai ki wo hame sunnah se muhabbat karne ki taufeek ada farmae...Ameen...!!!