Friday, May 9, 2014

ALLAH TAALA KJO FARISHTON KI KYON ZAROORAT PADI ???

Question :
 


Allah Ta'ala ne hamare liye kiraman katibeen farishto ko muqarar farmaya hai' jo hum bolty aur sunty hain woh sab kuch likh laite hain to sawal yah hai ki in farishto ke paida kerne mai kia hikmat hai Qk Allah Subhan-o-Ta'ala to sab kuch janta hai aur is se hamari koi zahiri aur batini bat poshidah nahi hai?

Answer :
 

Iss tarhan ke amoor ki hikmat kabhi humen maloom hojati hai aur kabhi maloom nahi hoti Qk bohat sari cheezen aisi hain jin ki hikmat hume maloom nahi jaisa k Allah Ta'ala ne rooh ka ziker kerte huway farmaya hai k:

"Aur tum sy rooh k bary mai sawal kerty hain' keh do k woh mery parverdigar ka amar hai aur tum logo ko (bohat hi) kam ilm dia gaya hai."
 

Al-Isra' 17 : 85.

Issi tarha ager koi shakhs maslan yah pochae ki ont ko is tarha paida kerne mai kia hikmat hai? aur ghoray ko is tarha' gadhe ko is tarha aur admi ko is tarh paida kerne mai kia hikmat hai? ya ager koi shakhs yah kahe ki Zuhr' Asar aur Esha ki namazo ki 4 4 rikat farz qarar daine mai kia hikmat hai? inhen 8 ya 6 rakat Q muqarar nahi kar dia gaya?
t

ab humen sachi baat yah hai k inki hikmat ka ilm nahi hai. is se maloom howa ki bohat sy koni aur sharai amoor aise hain jin ki hikmat hum se makhfi hai. ager ashiya makhloqa ya ashiya mashroa ki hikmat hamen maloom ho jaye to yah zaid fazl' ilm aur kher hai aur ager in ki hikmat maloom na hu sake to yah kami ya nuqs ki bat nahi hai.
 


Ab raha yh sawal k hamary sath kiraman katibeen muqarar kerne mai kia hikmat hai? to is mai hikmat yah hai k Allah Ta'ala ne kainat ki tamam ashiya ko aik nizam k sath tartib dia aur is nizam ko nihayat umdagi-o-khubi k sath mazboot-o-mustehkam kia hai hatta k insano k aqwaal-o-afaal k likhny k liye in se kiraman katibeen ko muqarar farma dia hai halaan k woh alam-ul-gaiyub to hamare kerne se bhi pahle hamare aqwal-o-afaal ko janta hai lekin yah sara nizam is bat ka mazhr hai k Allah Ta'ala ny insan ko kamaal derja ki ahmiyat di hai aur is ne kainat k nizam ko kamal tarike se tartib dia hai. Wallah A'alam.

Shaikh ibn Usaimin