Monday, December 10, 2012

HADITH KE MAAMLE ME CHHAAN BEEN AUR AHTIYAAT

Bismillahirrahmanirraheem





HADITH KE MAAMLE ME CHHAAN BEEN AUR AHTIYAAT




"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai



Allah ne Farmaya ,


"Or humne Aap ki taraf zikr"Quran"nazil kiya hai take Aap logon par un ahkam ko khol khol kar bayan kardo jo un ke taraf utare gaye hai , taake woh Gaur kareen ,"


Surah 16 an-Nahl , Aayat no 44 ,


Nabi saw ne farmaya , yaad rakho mujhe Quran or is ke saath is jaisa ek or chiz"Hadees"di gayi hai ,


{Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai}


Or jis tarah Allah ne apne Ittat ko farz kiya hai isi tarah Rasool saw ki Ittat ko bhi lazem karaar diya hai ,


"Aye Imaan walo Allah ki Ittat karo or Allah ke Rasool saw ki Ittat karo or is Ittat se hat kar apna amal bar baadzaya na hone do ,"


Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33 ,


Maloom howa ke Quran ki tarah Hadees bhi daleel or Huzzat hai , magar Hadees se daleel lena se pahle is baat ka Ilm zaruri hai ke kya woh Hadees Nabi saw se sabit bhi hai ya nahi ,


Nabi saw ne farmaya ke baad ke daur mein Dajjal or Jhoote log hoge woh tumhe aisi aisi Hadees suna yege jinhe tumne or tumhare baap dadaon ne nahi suna hoga , isliye un se apne aap ko bachhaye rakhna , kahi aisa na ho ke woh tumhe gumrah karde or fitna mein dall de ,


{Muslim , al mukaddamah Hadees no 7}


Nabi saw ne farmaya ke jo shakhs mujh par jaan bujh kar jhoot bole usse chahiye ke woh apna thikana jahannam mein bana le ,


{Bukhari , kitab ul Ilm 107,108}


Kyun ki Allah ke pass kisi amal ke qubool hone ka madar tartib 3 chizon par hai ,

1 - Aqeedah ka durusht hona ,

2 - Amal ka durusht hona ,

3 - Niyat ka durusht hona ,


Inmein se kisi ek ka bhi na hone se sara amal barbaad ho jata hai , or yaad rahe ki Quran o Sunnat or Sahaba ka maazmuwi taur par amal ka taur tarika or ummat ka ijmaa hi woh kasauti hai jis par kisi Aqeeda ya amal ki durusht hona parkha ja sakta hai ,


Nabi saw ne farmaya ke aadmi ke jhoota hone ke liye yahe kaafi hai ke woh har suni sunai baat bayan karde ,


{Muslim , al Mukaddamah Hadees no 5}


Imaam Muhammad bin Idrish Safai ra farmate hai, Ibn Sirrin , Ibrahim Nakahi, or Dusre Tabaein ka yahi mazhab hai ke Hadees thik thak logo se hi le jayege , or Muhaddissin mein se kisi ka is mazhab ka Ikhtelaf nahi paya gaya ,


{Taamhid , Ibn Bar}


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com