Monday, December 10, 2012

NAMAZ E NABAWI (PART 4)

Bismillahirrahmanirraheem




NAMAZ E NABAWI (PART 4)



Namaz e Nabwi saw ,

Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{Bukharh , kitab ul Azan
Hadees no 231 , 6310}



Ameen Ka Mas'ala ,



Jab Aap aakele Namaz padh rahe ho to Ameen aahista kaho , jab Zohr , or Ashr , Imaam ke pechhe padho to phir bhai aahista kaho , lekin jab Aap jahri Namaz mein Imaam ke pechhe padhte ho to is waqt Imaam"Wa'lad Daaalleen"kahe to aap ko unchi awaaz se Ameen kahni chahiye , balke Imaam bhi Sunnat ki Pairvi mein Ameen pukaar kar kahe or Muktaadiyon ko Imaam ke Ameen suru karne ke baad Ameen kahna chahiye , yani Ameen pahle Imaam kahega , us ke awaaz sunte hi tamam Muktaadi bhi Ameen kahenge , Imaam se pahle ya baad mein unchi awaaz mein Ameen kahna Durusth nahi hai , lekin agar Imaam buland awaaz se Ameen na kahe to Muktaadi ko behar haal Ameen kahni chahiye , kyon ke Nabi saw ki ittat farmabardaari , Imaam ki farmabardaari par Mukaddam hai ,


1- Waail bin Huzr raz , riwayat karte hai ke Main suna Nabi saw , ne padha

Ghayril Maghdoobi Alayhim Wa lad Daalleen ,

Phir Aap saw ne buland awaaz se Ameen kahi ,

{Tirmizi , kitab us Salath ,

Hadeer no 248 ,

Abu Daoo , kitab us Salath

Hadees nn 932}


Imaam Tirmizi ne Hasan or Ibn Haazr or Daur Kutni ne Sahih kaha hai ,


2- Abu Huraira raz kahte hai jab Nabi saw , Ghayril Maghdoobi Alayhim wa lad daaalleen , padhte to Aap saw kahte , Ameen itni buland awaaz se kahte ki pahli shaaf mein Aap saw ki aash paas ke log sun lete ,

{Bahqi , Hadees 2/58 ,

Ibn Khuzema , Hadees 571

Ibn Hibban , Hadees 462}

Ise Hakim or Imaam Jahbi ne Sahih kaha hai ,

3- Abu Huraira raz ne farmaya ki Nabi saw ne farmaya jab Imaam Ameen kahe to tum bhi Ameen kaho , jiski Ameen Farishte ki Ameen ke Muwafeeq hn gayh to us ke sab gunah maaf kar diye jaate hai ,

{Bukhari , kitab ul Aazan,Hadeer no 780 ,Muslim , kitab us Salath ,
Hadees no 410}

Is Hadees se maloom hua ke jis muktaadi ne abhi Surah Fatiha suru ya khatam nahi ki , woh bhi Ameen kahne mein doosre ke saat sarik hoga , taake use bhi kiye hue gunah ki maafi mil jaye , baad mein woh apni Surah Fatiha mukammal kar ke dobaara aahista se Ameen kahega ,

4- Imaam Ibn Khuzema ra , is Hadees ke Tashri mein farmate hai , is Hadees se sabit hua ke Imaam unchi awaaz se Ameen kahe , kyon ke Nabi saw ne Muktaadi ko Imaam ke Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm usi surat mein de sakte hai jab Muktaadi ko maloom ho ke Imaam Ameen kah raha hai , koi padha likha aadmi shoch nahi sakta ke Nabi saw Muktaadi ko Imaam ki Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm de jabke woh apne Imaam ki Ameen ko sun hi na sake ,

{Ibn Khuzema , 1/286}

5- Naeem Muz'Mar , farmate hai ke Abu Huraira raz ne Nabi saw , ke Tarike ke mutaabik Namaz padhai , phir Ameen us tarike ko bayan karte hue khate hai ke unhone Ameen kahi or jo log Aap ki iktedaa mein Namaz aada kar rahe the , unhone Ameen kahi ,

{Nasaai , Hadees 2/134 ,


Ibn Khuzema ,Hadees no 1/251 , 499}

Ise Hakim , Jahbi or Bahqi ne Sahih kaha hai ,


6- Abdullah bin Juber raz or unke Muktaadi itni unchi awaaz se Ameen kaha karte the ki Masajid Gunjh utti thi ,

{Bukhari ,Talikaan 2/266,MusanifAbdurRazzak 2/96


Imaam Bukhari ne is par Itminaan ka Izhaar kiya jo is ke sahih hone kidaleel hai}


7- Ikrima ra , farmate hai main ne dekha ke Imaam jab Wa lad Daaalee"kahta to logon ki Ameen ki awaaz se Masajid Ghunj jaati ,

{Musannaf Ibn
Abi Shoba 2/187}


8- Imaam Aata ra , bayan karte hai ke maine 200 Sahaba raz ko dekha ke Baith ullah mein jab Imaam wa lad Daaalleen kahta to sab unchi awaaz se Ameen kahte ,

{Bahqi , 2/59 ,Kitab us Sikaat , Ibne Hibban ki shart par is ke sanad sahih hai}


9- Nabi saw ne Farmaya Yahoodi jitna Ameen or Salam se cheedte hai utna kisi or chiz se nahi cheedte , pas tum zayada Ameen kahna ,

{Ibn Maazah ,\Hadees no 856}


Ibn Khuzema or Bukhari ne sahih kaha hai ,


Hafiz Ibn Abdul Bar ra , ne zikr kiya ke Imaam Ahmad bin Hambbal ra , us shakhr par shakth naraz hote jo unchi awaaz se Ameen kahne ke Makruh samajhta , kyon ki Yahoodi Ameen se cheedte hai ,


10- Du'a e Shana , Surah Fatiha padh kar Ameen kah chukne ke baad Quran mein se jo kuch yaad ho un mein se padhe ,


{Bukhari , kitab ul Aazan ,Hadees no 739}



Raf-ul-yadein ,



Raful Yadein , Matlab Dono Haato Ka Uthana Namaz mein 4 Jagah Par Sabit Hai ,


1- Namaz ke Suru Main Takbeek Tahreema ke Waqt ,


2- Ruku se Pahle ,


3- Ruku ke Baad ,


4- Teesri Rakaat ke suru mein ,

Upar Bataye gaye Jagah par Haat Uthane ki Daleel Hadees se Sabit Hai ,


1- Abdullah bin zubair raz , Farmate hai Maine Abu Bakr raz , ke pichhe Namaz padhi wo Namaz ke shuru mein or ruku se pahle or Ruku se jab sar uthhate the to apne Dono Haath Kandho tak uthhate the or kahte the ke Nabi saw , bhi Namaz ke shuru mein or Ruku se pahle or Ruko se sar uthhane ke baad issi tarah Rafaydein kerte the ,


{Bahqi , 2 /73}


Iske Ravi thik Hai ,


2- Umar Faroque raz , ek martaba Logo ko Namaz ka tareeka batane ka iraada kiya to Qibla ki taraf Munh kar ke khadhe ho gaye or Dono Haatho ko kandho tak uthhaya , phir “ Allahu Akber “ kaha phir Ruku kiya or isi tarah Haaton ko Buland kiya or Ruku se sar uthha ker bhi Rafaydein kiya ,


{Bahqi , 1/415 , 416}


Is ke Raawi sahih hai dekho Nasbur Raya ,


3- Ali raz , Fermate hai Nabi saw,Namaz ke shuru mein , Ruku mein jaane se Pahle or Ruku se sar uthhane ke baad or do Rakaatein padh ker khade hote waqt Rafaydein kerte the ,


{Abu Dawood ,kitab us Salath ,Hadees no 744 , isi Imaam Albane ne Hasan kaha hai,

Ibne Maazah , 864 ,Tirmizi , 3423}


isi Imaam Albane ne Hasan kaha hai, or Imaam Tirmizi ne Sahi kaha hai ,


4- Abdullah bin Umar raz Fermate hai ke Nabi saw , shuru Namaz me Ruku se pahle or Ruku ke baad apne Dono Haath kandho tak uthaya kerte the or sajdah mein aisa nahi kerte the ,

{Bukhari , kitab us Salath ,Hadees no 735 , 736 ,738,Muslim , kitab us Salath ,
Hadees no 390 , 391}


5- Abdullah bin Umar raz khud bhi Namaz ke shuru mein , Ruku se pahle Ruku ke baad or do Rakaate pedh ker khada hote waqt Rafaydein kerte the or fermate the ke Nabi saw, bhi isi tarah kerte the ,


{Bukhari , kitab us Salath ,Hadees no 739}


Imam Bukhari rahimahullah ke ustaad Ali bin Madni Rahimahullah Fermate hai ke Ibn Umar raz ki Hadees ki bunyad per Musalmaano pe Rafayadein kerna zuroori hai ,

{At Talkhee sul Habeer , jild 1 , page 218}


6- Malik bin Huwairas raz Namaz ke shuru mein Rafayadein kerte the , phir jab Ruku kerte to Rafayadein kerte , or jab Ruku se sar uthhate to Rafayadein kerte or yeh fermate the ke Nabi saw , bhi isi tarah kiya kerte the,


{Bukhari , kitab us Salath ,Hadees no738 ,
Muslim , kitab us Salath ,Hadees no 391}


7- Waail bin Huzr raz , Fermate hai ke Maine Nabi saw ko dekha jab aap Namaz shuru kerte to Allah Akbar” kahte or apne Dono Haath uthate, phir apna Haath kapre mein dhaank lete phir daayan haath baayen per rakhte, Jab Ruku karne lagte to kapro se haath bahar nikal lete “ Allah Akber “ kahte or Rafaydein kerte , jab Ruku se uthhte to “ Saameallah Huleman Hameedah “ Kahte or Rafaydein kerte,

{Muslim , kitab us Salath ,Hadees no 401}


Waail bin Huzr raz , shan 9 Hijri , or 10 hijri mein Nabi saw ke paas aaye , is liye Sabit hua ke Nabi saw , 10 Hijri tak Rafayadein kerte the , 11 Hijri me Nabi saw ne Wafaat paayi , is liye aakhir Umr tak Rafayadein

Karna sabit hua ,


8- Abu Hummayed Sahaadi raz , se riwayat hai ke unhone Nabi saw ke 10 Sahaba ki jamat mein kaha ke main tum sab se zayada Nabi saw , ke Namaz ki tarike jaanta hun , Sahaba raz , ne kaha to phir hamare saamne Nabi saw ki Namaz bayan karo , Abu Hummayed raz , ne kaha jab Allah ke Rasool saw , Namaz ke liye khade hote to apne dono Haat Khandhe ke Barabar uthate , phir takbeer tahrema kahte , phir Quran padte , phir Ruku ke liye takbeer kahte or apne Dono Haaton ko Khandhe ke Barabar uthate , phir Ruku karte or apni hateliyan apni ghutno par rakhte , phir Ruku ke dauran kamar seedhe karte , in mein na apna saar jhukhate or na buland karte yani peeth or saar barabar rakte or phir apna saar Ruku se uthate phir kahte

Sami Allah Hu'lemaan Hameeda , phir apne dono haato uthate yaha tak ke un ko apne kandhon ke barabar karte or kaaomo mein itminnan se seedhe khade ho jate,phir Allahu Akbar kahte , phir zameen ke taraf Sajdah ke liye jhukte or apna dono haat baazu apne dono paaon raano or zameen se dur rakhte or apne dono paaon ki ungliyan khulte is tarah ke ungliyan ke sirre Qibla ki ur hote phir apna Saar Sajdah se uthate or apna bayan paaon moodte yani biccha lete phir us par baithte or seedhe hote , yaha tak ke har haddi apne thikhane par aa jati yani itminnan se zalsha mein bhaithte , phir doosra Sajdah karte , phir Allahu Akbar kahte or uthte or apna baayan paaon moodte phir us par bhaithte or itminnan se kahte or yaha tak ke har haddi apni thikhane par aa jati yani itminnan se Istheraahat ke zallse mein bhaithte ,

phir doosri Raakat ke liye khade hote , phir issi tarah doosri Raakat mein karte,phir jab do Raakat pad kar khade hote to Allahu Akbar kahte or apne dono Haat Khandhe ke Barabar uthate , jaisa Namaz ke suru mein takbeer ula pahla takbeer ke waqt kiya tha , phir issi tarah apni baki Namaz mein karte , yaha tak ke jab woh Sajdah hota jiske baad salam hai yani aakhri Rakaat ka doosra Sajdah jis ke baad bhaith kar Tashahud , Darood or Du'a pad kar Salam fher te hai apna baayan paaon daahene pindliya ke niche se bhahar nikaalte or baayen or Kullhe par bhaithte , phir Salam fherte , yeh sun kar un Sahaba raz ne kaha aye Abu Hummayed Sahaadi , apne sach kaha , Allah ke Rasool saw issi tarah Namaz pada karte the ,

{Abu Daood ,Kitab us Salath ,Hadees no 730 , 963 ,

Tirmizi , Kitab us Salath ,Hadees no 304 ,
Ine Hibban , 5/ 182 , 184}

Ise Ibn Hibban , or Nawabi ne sahih kaha hai ,


Imam Tirmizi ne Hasan sahi kaha hai ,


ImAam Ibn Khuzema Rahimahullah is Hadees ko riwayat kerne ke baad Fermate hai ke maine Muhammad bin Yahyaa ko ye kahte hue suna ke jo shaksh hadith Abu Humeed raz ki Hadees sunne ke bawazud Ruku mein jaate or us se sar uthhate waqt Rafayadein nahi kerta to uski Namaz Naaqis hogi ,


{Sahi Ibne Khuzema ,1/298 , 588}



9- Abu Musa Ashaari raz ne ek din logon se fermaya , Kya Main tumhe Nabi saw ki Namaz na batau ? Yeh kah ker unhone Namaz pedhi Jab Takbeer e Tahreema kahi to Rafayadein kiya,phir jab Ruku kiya to Rafayadein kiya or Takbeer kahi phir Shamee Allahuleemand Hameeda kah kar Dono Haath khandho taak uthaya phir kaha isi tarah kiya karo ,


{Daru Kutni 1 /292 ,Hafiz Ibne Hazar ,
Altalkhees 1 /219}


Ibn Hazar ne kaha ke raawi thik hai ,


10- Abu Huraira raz ,


fermaate hai ke Nabi saw, Namaz ke shuru mein , Ruku se pahle or Ruku ke baad apne Dono Haath khandho tak uthhaya karte the ,

{Abu Daood ,kitab us Salath ,
Hadees no 738 ,Ibne Maazah , 860 ,
Ibn Khuzema 1 /344 , 694}


Ibne Khuzema ne sahi kaha hai



11- Jabir bin Abdullah raz , Jab Namaz shuru kerte , Jab Ruku kerte or jab Ruku se sar uthhate to Rafayadeain kerte or fermaate the ke Nabi saw bhi isi tarah karte the ,

{Masnad us Siraj ,Ibn Maazah 868}


Imaam Ibn Hazar ne kaha ke is ke raawi sahih hai ,
Kabhi Imaam jahri Namaz mein Sajdah wali Aayat Tilawat karte hai , is surat mein Imaam or Muktaadi Ruku se pahle Sajdah karte hai , to ur Waqt Kiyaam se Sajdah mein jaate hue Rafayadein nahi kiya jayega , kyon ke yeh Nabi saw se Sabit nahi ,



Rafayadein Na Karne walo Ki Daleel Ka Post Martam ,



Jis Hadeeso se Rafayadein na karne ki Daleel li jaati hai un ka Post Martam Padhe ,


1st Hadees -


Zabir bin Sumura raz, bayan karte hai ke Nabi saw , ne farmaya kya baat hai ke Main tum ko is tarah Haath uthate dekh ta hun goya ki woh sharkash Ghude ki Dumo hai ? Namaz mein shukun ikhtiyaar karo ,

{Muslim , kitab ur Salath ,Hadees no 430}


Tahqeeq- Is Hadees mein us jagah ka zikr nahi jis par Sahaba raz , Haath utha rahe the or Nabi saw unhe mana farmaya , Zabir bin Sumura raz hi se Muslim sarif mein usi Hadees ke baad hi 2 riwayat or bhi hai jo baat ko poori tarah waaze kar rahi hai ,


1- Zabir bin Sumura raz , farmate hai Nabi saw , ke saath jab Namaz padhte to Namaz ke Khatam mein Daayen Baayen


"asSalamu Alaykum wa Rahmattullah"kahte hue Haath se Ishara bhi karte , yeh dekh kar Aap saw , ne farmaya tum apne Haath se is tarah Ishara karte ho jaisa sarrir adyal Ghuda ke Dume hilti hai , tumhe yahi kaafi hai ke apne Ranno par Haath rakhe hue Daayen or Baaye mud kar"asSalamu Alaykum wa Rahmattullah"kaho ,

{Muslim , kitab us Salath ,Hadees no 431}


2- Zabir bin Sumura raz , ka bayan hai hum Nabi saw , ke saath Namaz ke Khatam mein


"asSalamu Alaykum wa Rahmattullah"kahte hue Haath se Ishara bhi karte , yeh dekh kar Aap saw , ne farmaya tumhe kya hoga ki tum apne Haath se is tarah Ishara karte ho jaisa sarrir adyal Ghuda ke Dum hai , tum Namaz ke khatam par sirf zuban se"asSalamu Alaykam wa Rahmattullah kaho or Haath se Ishara na karo ,

{Muslim , kitab us Salath ,Hadees no 431}


Imaam Nawbi ra , apne kitab"al Mazmua"mein farmate hai ke Zabir bin Sumura raz ki is Hadees se Ruku mein jaate or uthte waqt Rafayadein na karne ki Daleel lena aazib baat hai or Sunnato se jahiliyat ki buri kism hai , kyon ke yeh Hadees Ruku ke jaate or uthte waqt ki Rafayadein ke baare mein nahi , balke Tashahud mein salam ke waqt Dono Haato se Ishara karne se manahi ke baare mein hai Muhadeseen or jin ko Muhadeseen ka saath thoda sa bhi talluk hai , unke darmiyan is baare mein koi Ikhtilafh nahi , iske baad Imaam Nawbi ra , ne Imaam Bukhari ra , ka Qaool nakal kiya hai ke is Hadees se ba'z jahil logo ka Daleel pakad na sahi nahi , kyon ke yeh salam ke waqt Haath uthane ke baare mein hai or jo Aalim hai woh is tarah ki Daleel nahi pakad ta , kyon ke yeh waaze or mashur baat hai , is mein kisi ka Ikhtilaf nahi , or agar yeh baat sahi hoti to Namaz ke shuru mein yani Takbeer Tahrima ke waqt Rafayadein or Eid ka Rafayadein bhi mana ho jata , magar is mein khash Rafayadein ka bayan nahi kiya gaya hai ,


Imaam Bukhari ra , farmate hai un logo ko is baat se Daar na chahiye ke woh Nabi saw par woh baat kah rahe hai jo Aap ne nahi kahi , kyon ke Allah Taa'la Farmata hai ,
Pas un logon ko jo Nabi saw , ke mukhalifat karte hai is baat se daar na chahiye ke unhe Dunya mein koi Fittna ya Aakherat mein dukh dene wala aazab na ho jaye ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 63 ,

2 Hadees-


Abdullah bin Masood raz ne farmaya kya main tumhe Nabi saw ki Namaz na batao ? Phir unhone Namaz padhi or Haath nahi uthaye magar pahli martaba ,

{Abu Daood ,Kitab us Salat ,Hadees no 748 ,Tirmizi , kitab us Salath ,
Hadees no 257}


Tahqeeq - Imaam Abu Daood ra , is Hadees ke baad farmate hai ,

Is Hadees in Alfaz ke saath sahi nahi hai ,

{Muslim , kitab us Salat ,Hadees no 255}


1- Jabke Imaam Tirmizi ra , ne Abdullah bin Mubarak ra , ka Qaool nakal kiya hai ke ,


Abdullah bin Masood raz ke Rafayadein ka Tark karnd wali Hadees sabit nahi hai ,

{Muslim , kitab us Salath ,Tirmizi , kitab us Salath ,Hadees 255}


2- Ibn Hibban ra , ne to yaha tak likh diya hai ke is Hadees mein bahut si kamiyan hai jo isi batil bana rahi hai jaise is mein Sufyan suri Mu-Dallish hai or Aan se riwayat kar te hai Mu-Dallish ki Aan wali riwayat tafarud ki surat mein Da'eef hai ,



RAFAYADEIN KA MASLA HADEES KI ROSHNI ME (1)=>


Rafayadein kehte hai ruku se pehle aur ruku ke baad haato ko kando tak utana.


1. Musalmano! Rasul(saw) tumhare liye ek umda namuna hai, unke liye jo Allah aur yaum-e-akhirat par imaan rakhte hai aur Allah ko bahoot yaad karte hai.
>Surah Ahzaab:21


2. Aye Nabi! Logo ko keh di jiye ke Allah aur Rasul ki baat maano, agar wo na maanein toh Allah aise kafiro ko dost nahi rakhta.


3. Aap(saw) ne farmaya: Jo shakhs Meri sunnat se muh phere, wo Meri ummat me se nahi hai.

>Bukhari


4. Abdullah ibn Masood(ra) farmate hai: Agar tum ne Apne Nabi(saw) ki sunnat ko chhod diya toh tum gumrah ho jaoge, balki kafir ho jaoge.


>Muslim


5. Abdur Rahman bin Mahdi farmate hai: Rafayadein sunnat hai.


>Juz Bukhari; safa:22


6. imaam ibn Qayyum farmate hai: Jisne Rafayadein chhod diya, beshak usne Sunnat ko chhod diya.


>Aalamul Mouqiyeen; safa:257


7. imaam Shafai farmate hai: Jo shakhs ruku me jaate aur ruku se sar uthaa te waqat Rafayadein nahi karta, wo Rasul(saw) ki sunnat ko chhod ne wala hai.


>Al Aalaam; safa:657


8. imaam ibn khuzaimah farmate hai: Jisne namaz me Rafayadein chhodi, beshak wo namaz ka rukan chhod ne wala hai.


9. imaam Auzayi aur Hamidi aur ek jamat ka mazhab hai ke Rafayadein wajib hai aur iske chhod ne se namaz fasid ho jaati hai.



RAFAYADEIN, ISKE MAANI O HIKMAT:


10. Abdullah bin umar(ra) farmate hai: Rafayadein namaz ki zeenat hai.


>Zarqani; safa:142


>Neelul Avtar; safa:28


>Ayni; jild:3, safa:7


11. Rafayadein dono haato ka utha ne ko kehte hai.


12. imaam Shafai(rh) farmate hai ke shuru namaz ke aur ruku ke waqat Rafayadein karne se ek toh Allah ki tazeem hoti hai aur doosra Rasul(saw) ki sunnat ki itteba hoti hai.


>Nawawi; safa:167

>Aalaam; safa:657


13. Noman bin Abi Ayaash(rh) farmate hai ke har cheez ke liye zeenat hai aur namaz ki zeenat shuru-e-namaz aur ruku me jaane aur ruku se sar utha ne ke waqat Rafayadein karna hai.


>Juz Bukhari; safa:21


14. imaam Mohammad ibn Sireen(rh), Tabaee farmate hai ke Rafayadein karna namaz ki takmeel ka baayis hai.


>juz Bukhari; safa:17


>Talkhisul Habeer; safa:28


15. Abdul Malik(rh), Tabaee farmate hai ke Mai ne Saeed bin Jubair(ra) se namaz me rafayadein karne ki nisbat daryaft ki, toh unho ne kaha ke ye wo cheez hai ke teri namaz ko muzaiyyan kar deti hai.


>Baihaqi; jild:6; safa:75


16. Aqba bin Aamir(rh) farmate hai ke namaz me rafayadein karne se 10 nekiyo ka sawab milta hai.


>Fatawa ibn Taimiyah; Safa:376


>Talqisul Habeer; Safa:86


Goya 2 rakat me 50 aur 4 rakato me 100 nekiyo ka izafa hota hai. Bad-khismat hai wo insan, jo is neymat, itteba-e-sunnat aur nekiyo se mehroom rehta hai.



RASUL(SAW) HAMESHA RAFAYADEIN KARTE TE:


17. Abu Bakr Siddiq(ra) farmate hai ke Mai ne tamaam umr Rasul(saw) ke saath namaz padhi, Aap(saw) hamesha shuru-e-namaz aur ruku se sar utha te waqat Rafayadein karte te.


>Baihaqi; Jild:2, Safa:73


18. imaam Baihaqi(rh) aur imaam ibn Hajar Askalani(rh) farmate hai ke is hadees ke sab Raawi Siqqa(mazboot) hai.


>Baihaqi; Jild:3; Safa:73


>Talqees; Safa:82


19. imaam Hakim ne kaha ke ye hadees mehfooz hai.


>Talqisul Habeer; Safa:83


20. imaam Abdur Razzaq farmate hai ke Makkah ke log jo Rafayadein karte hai, inho ne ye tarika ibn jareej se dekha aur ibn jareej ne ye tarika Ataa bin Abi Rabaah se liya aur Ataa ne ye tarika Abdullah bin Zubair se liya aur Abdullah bin Zubair ne ye namaz, Abu Bakr Siddiq(ra) se liya aur Abu Bakr(ra) ne ye tarika Rasul(saw) se seekha aur Rasul(saw) ne ye namaz, Jibrael(as) se seekhi aur Jibrael(as) ko ye namaz, Allah Taala ne sikhayi.


>Baihaqi; Jild:2, Safa:73


>Taqreejul Hidayah; Jild:1, Safa:217


>Talqees; Safa:82


21. Aur Musqi me hai ke imaam Abu Dawood aur imaam Tirmizi aur imaam Ahmed ne Sahi kaha hai.


>Musqi; Safa:165


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,
Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah

f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com