Monday, December 10, 2012

TAFSEER SURAH NISA AYAT NO 64

Bismillahirrahmanirraheem



TAFSEER SURAH NISA AYAT NO 64



BARELWI TAFSEER



SAHABA KA AQIDA, RAUZA-E-RASOOL ALAIHE SALAM PE JAKAR APNI MAGHFIRAT TALAB KARTEHAIN:
.

 
Al-Quran: } وَمَآ أَرْسَلْنَا مِن رَّسُولٍ إِلاَّ لِيُطَاعَ بِإِذْنِ ٱللَّهِ وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوۤاْ أَنْفُسَهُمْ جَآءُوكَ فَٱسْت
َغْفَرُوا ْ ٱللَّهَ وَٱسْتَغْفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّاباً رَّحِيماً {
(Sureh Nisa, Ayat 64)
.
Tarjuma: Aur humne Rasool na bheja, magar isliye ki ALLAH ke hukm se uski ita'at ki jaye, aur Aye Mehbu, jab ye log apni Jaano par zulmkaren(Gunah karen) to pehle apke paas hazir ho, fir apne Rab se maghfirat chahen, fir jab Rasool bhi inke liye maghfirat chahen,
tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge.
.
Is Aayat ke tehet Imam Qurtubi r.a likhte hain:
.
Imam Sadiq r.a farmate hain ki H.Ali r.a ne farmaya:
Nabi alaihe salam ke wisal ke 3 din ke baad, ek dehati aaya, aur Nabi alaihe salam ke Rauze par ja gira, Rauze ki kuch mitti uthai, aur apne sar pe mal liya,
aur kaha:
 
YA RASOOLALLAH!
Aapne farmaya tha aur humne suna tha ki ALLAH TA'ALA ne apse farmaya ki
'Aur jAb ye log apni jaan par zul karen, to pehle Aye Mehbub, pehle ye tumhare paas ayen, aur fir apne Rab se maghfirat talab karen,
aur fir jab Aap bhi inke liye maafi chahen, tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge.'
.
Aur mai unme se ek hu, maine apni Jaan par zulm kiya, to mai apke paas aaya hu, taki aap mere liye Maghfirat ki dua kijiye,
iske baad Rauza-e-Rasool se ye awaz aayi 'Jaao, beshak tumhari maghfirat kar di gayi.'
[Tafsir al-Qurtubi, al-Jami li Ahkam al-Quran Volume 006, Page No. 439, Under the Verse, 4:64]
.
.
Zara ghaur famaiye, is riwayat se 4 baate waazeh hoti hain,
.
1: Nabi alaihe salam ke wisal ke baad us shaks ne pukara,
''Ya Rasoolallah!''
tab Sahaba ne shirk ka fatwa kyu nahi lagaya?
Iska matlab Wisal ke baad bhi ''YA RASOOLALLAH'' kehna jaez hai.
.
2: Rasoolallah alaihe salam, apne wisal ke baad bhi hamari pukar ko sunte hain, aur agar apki marzi ho, to jawab bhi dete hain,
tabhi to us Dehati ko uski maghfiart ki basharat, Qabr se mili..
.
3: Qabr pe jaakar, waseela lena, aur unse kehna ki ''Aap hamare liye Allah se dua kijiye''
aur Allah ki bargah me isteghasa pesh karna bhi jaez hai.
.
Aur ayat ke tehet ye bhi waazeh ho gaya ki Rasoolullah alaihe salam ke chahne se bando ko maghfirat mil jati hai.
Kyunki Allah ne khud farma diya ki
'Aye Mehbub, jab aap bhi inke liye maghfirat chahen, tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge'
.
Sub'hanALLAH.



AHLE HADITH KI TAFSEER:



 Ek yahudi aur ek munafik ke darmiyan kisi baat par jhagda ho gaya, yahudi chahta tha ki iska faisla nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se karaya jaaye, magar munafiq is masle ko Kaab bin Ashraf munafik ke paas le jaana chaahta tha, lekin yahudi ke kahne ke mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke paas maamla pahuncha,

Aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne dono ke bayan ko sunkar faisla yahudi ke haq me sunaya, munafik is faisle par raazi na hua aur hz umar ke paas pahunch gaya,
Yahudi ne saari kahani Hz umar (ra) ko bata di aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke faisle se bhi aagaah kar diya,

hz umar (ra) ne us munafik ko talwar se Qatal kar daala aur kaha ki us shakhs ko yahi saza milna chahiye jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke faisle ko na maane..
Allah taala ne us munafik ke khoon ko jayez karaar diya aur zibreel (as) ne yah aayat laakar kaha ki Umar ne haq aur na'haq me Farq kar diya,
Isi ke baad se hz umar (ra" " FARRUKH " ke laqab se mashoor hue...

2- is ayat me yah baat bhi malum hui ki agar banda kisi zinda nek Buzurg se dua karaaye toh Qubool hoti hai...

(tafseer ibn kathir)


NOTE: jo hadith barelwi ne pesh ki hai wo dhaeff hai, aur iska raawi majhool hai 


http://www.systemoflife.com/articles/tawassul/175-tawassul-refutation-series-athar-utbi#axzz2EAwh13Yz