Wednesday, December 12, 2012

JISM SE NIKALNE KE BAAD RUH KAHAN QAYAM KARTI HAI ??

Bismillahirrahmanirraheem



JISM SE NIKALNE KE BAAD RUH KAHAN QAYAM KARTI HAI ??



MAUT KE BAAD NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI ROOH E MUBARAK ARSH E ILAAHI KE QAREEB JANNATUL FIRDAUS KE UNCHE MAQAM PAR MAUJOOD HAI,



Hz samura bin jundub (ra) kahte hain ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ( namaz e fajr ke baad ) hamari taraf Chehra mubarak karke poochte:-" Aaj raat tumme se kisne Sapna dekha hai "

Agar kisi ne sapna dekha hota toh wah bayan karta aur phir aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) , allah taala ki marzi ke mutabik uski taabeer bayaan farmate..


Ek din aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamse poocha:-" kya tummese aaj raat kisi ne Sapna dekha hai ?"

Hamne kaha:-" Nahin"

Aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Irshad farmaya:-" Acchha ! Aaj raat maine Sapna dekha hai, do aadmi mere paas aaye ( unme se ek ne kaha )

"Main jibreel hun aur yah mikael hai, aap apna Sar uthaayen "
Maine apna Sar uthaaya toh maine Apne uper baadal jaisi koi Cheez dekhi,

Dono ne mujhe bataya ki ( jannat me ) yah aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka Mahal hai

Maine kaha:-" zara hato main apne Mahal me daakhil hokar dekhun (kaisa hai ?"

Dono ne kaha:-" aapki ( duniya me ) kuch umar abhi Baqi hai, jise aapne Poora nahin kiya, agar aap apni umar poori kar chuke hote, toh aap apne mahal me Tashreef le jaate "


( Bukhari kitabul janaiz bab no 2 )




KUCH IMAAN WALON KI RUHEN JANNAT ME QAYAAM KARTI HAIN



Hz abdur rahman bin kaab ansari (ra) se riwayat hai ki unke baap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadith bayan karte they ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya hai

" Momin ki rooh ( marne ke baad ) jannat ke pedon (trees) par udhti firti hai, yahan tak ki jis din murde Uthaaye jaayenge us din wah rooh apne jism me lauta di jaayegi "

( ibn majah kitabuz zuhud , bab zikr qabr 2/3446)



KUCH AHLE IMAAN KI ROOHEN QAYAMAT TAK ILLI'YYEEN ME QAYAM KARTI HAIN



Hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab momin ki Maut ka waqt Qareeb aata hai toh rahmat ke Farishte Safet resham ( ka kafan ) lekar aate hain, aur kahte hain

Aiy rooh ! Allah ki rahmat, jannat ki khushbu aur apne khush hone wale rabb ki taraf is haalat me is jism se nikal ki tu apne rabb se raazi hai, aur tera rabb tujhse raazi hai,

Momin admi ki rooh jab jism se nikalti hai toh usse bahtareen mushq Jaisi Khusbu aa rahi hoti hai, yahan tak ki Farishte ek dusre se lekar uski Khushbu soonghte hain aur Aasmaan ke darwaaje par pahunchte hain, Toh aasmaan ke Farishtey aapas me kahte hain yah kaisi umda Khushbu ( waali ruh) hai, jo zameen se tumhare paas Aa rahi hai, farishte jaise hi agle aasmaan par Pahunchte hain toh us Aasmaan ke Farishte bhi Isi tarah kahte hain, yahan tak ki ( Laane waale Farishte ) us Rooh ko Ahle imaan ki roohon ki jagah ( Illiy'yeen ) me le jaate hain,

Jab wah rooh pahunchti hai toh ( pahle se maujood ) roohon ko itni zyada khushi hoti hai jitni tumme se kisi ek ko apne Bhai ke milne par Ho sakti hai,

Is tarah kuch  roohen ( nayi aane wali roohon se ) poochti hain,:-" Falan aadmi ki haal me hai ?"

Phir wah aapas me kahti hain, ise zara chhod do, aaraam karne do yah duniya ke dukhon wa mushkilon ka Shikaar tha,

( Sustaane ke baad ) wah rooh jawab deti hai, Kya wah rooh tumhare paas nahin aayi wah aadmi toh marr chuka hai,

jispar wah ( afsos se ) kahte hain:-" wah apni maa Haawiya ( yani jahannum) me le jaaya gaya hai "


Kaafir aadmi ke paas Azaab ke Farishte aate hain aur kahte hain:-" aiy gham'zada Aur dukhi rooh nikal Allah ke azaab aur naaraazi ki taraf,"

Kaafir ki rooh jab jism se nikalti hai toh usse itni Ghaleez badbu aati hai jitni kisi Murdaar se Ghaleez bu aati hai,

Farishtey use lekar zameen ke darwaje ki taraf aate hain toh ( zameen ke darwaze ke muhaafiz ) farishtey kahte hain:-" Kitni gandi boo hai yah"

Jaise hi farishte agli zameen ke darwaje par pahunchte hain toh us zameen ke Darwaje ke muhafiz farishtey bhi aisa ki kahte hain, yahan tak ki Azaab ke Farishtey use Kuffar ki roohon ki taiy jagah ( yani Sijjeen ) me le jaate hain "


( Hakim, ibn habban , kitabul janaiz bab haal Qabz ruh momin wa Qabz ruh kaafir 1/1342)




SHOHADA KI ROOHEIN PARINDON KI SHAKAL ME JANNAT KE ANDAR AISI KANDEELON ME RAHTI HAIN JO ARSH E ILAAHI SE LATKI HUI HAIN

Hz masrooq (ra) se riwayat hai ki hamne Hz abdullah bin masud (ra) se is aayat ka matlab poocha

" Jo log allah ki raah me maare gaye unhe murda na Samjho balke We zinda hain aur apne Rabb ke yahan Se rizq paate hain "

( Surah imran ayat 169)
Toh hz abdullah bin masud (ra) ne kaha ki hamne is ayat ka matlab Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha toh aap Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya

" Shaheedon ki roohein Sabz parindon ki Shakhl me Aisi Kandeelon me Rahti hain jo Arsh e Ilaahi se latki hui hain, jab chaahti hain jannat me Shair ke liye Chali jaati hain, phir un kandeelon me aapas aa jaati hain, ek baar unke rab ne uski taraf dhyaan farmaya aur poocha

" Tumhari kya tamanna hai ?"

Shohada ki Roohon ne jawab diya:-" Ham jahan chaahen jannat ki shair karti hain hamen aur kya chahiye ?"

Allah taala ne 3 baar unse yahi sawaal kiya, phir jab shohda ki ruh ne dekha ki jawab diye bina Chhutkaara nahi tab unhone jawab diya

" Aiy hamare rab ! Ham chaahte hain ki hamari roohon ko hamare Jismon me Lauta de yahan tak ki ham Teri Raah me dobara Qatl hon "


Jab allah taala ne dekha ki unki koi tamanna nahin toh unhe yun hi Chhod diya "


( muslim kitabul imarat bab an arwahus shohada fil jannat)




KUCH SHOHADA KI ROOHEIN JANNAT KE DARWAAZE PAR NAHAR KE KINAARE SABZ GUMBADON ME QAYAM KARTI HAIN


Hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" (kuch) Shohada jannat ke darwaze par bahne waali Khoobsoorat naher ke Sabz Gumbadon me Hain Jahan unhe Subah wa Shaam unka Rizq Diya jaata hai "


( Ahmad, tabrani, hakim, Sahih jame Sagheer Lil albani jild 3 hadith 3636)