Monday, December 10, 2012

SUNNAT KI TAREEF

Bismillahirrahmanirraheem






SUNNAT KI TAREEF



 Sunnat ki Tareef ,


Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun,


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


1- Sarrai paribhasha mein Sunnat ka matlab Nabi saw ka tarika hai ,


Jisne Meri yani Nabi saw ki ittat farmabardaari kiya woh jannat mein dakhil hoga ,


{Bukhari}


Anas bin Malik raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya jisne meri tarike par chalne se bhacna chaha woh mujh se nahi ,


{Bukhari}


Talha bin Abdullah bin Aauf raz kahte hai ke maine Abdullah bin Aabash ras ke peche namaz e zanaza padhi to unhone us mein Surat ul Fatiah padi or farmaya main yeh isliye padi hai take logon ko pata lag jaye ke yeh Nabi saw ka tarika hai ,


{Bukhari , kitab ul zanaez}


2 - Sunnat ki 3 kisme hai ,


1- Qaauli Sunnat ,

2- Amali Sunnat ,

3 - Takriri Sunnat ,


Nabi saw ka zubaan mubarak se kahna Qaali Sunnat kahlati hai jiska misal yeh hai ,


Hujaayefa raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya agar khana khane se pahle Bismilaa na padi jaye to Shaitan us khane ko apne liye halal samajh leta hai ,


{Muslim , kitab ul Aataam}


Nabi saw ka amal ko Amali Sunnat kahlate hai jiska misal yeh hai ,


Maaimuna bin Waaris raz farmati hai jab hum namaz ke liye khade hote to Nabi saw hamari Shaafu ko durust farmate jab hum shaaf mein seedhe khade ho jate to fir Aap saw Allahu Akbar kah kar namaz suru karte,


{Sahi sunan ibn Daood , lil albani pahla bhag hadess 619}


Nabi saw ke maauzudgi mein jo kaam kiya gaya ho or Aap saw ne khamosi farmayi ho ya us par pasaandidgi ki ho usse Takriri sunnat kahte hai jiska misal yeh hai ,


Kaaush bin Aamr raz kahte hai Nabi saw ne ek aadmi ko Fazr ki namaz ke baad 2 rakate padte dekha to farmaya Fazr ki namaz to 2 rakate hai us aadmi ne jawab diya maine Farz namaz se pahle ki 2 rakate nahi padi the to ab padi hai , Nabi saw yeh jawab sunkar khamush ho gaye yani iski izazat dedi ,


{Sahi sunan ibn Daood , lil albani pahla bhag hadess 1128}


Yaad rahe Sunnat ki 3 no kisme ek hi darje ki hai ,



SUNNAT KI AHMIYAT



Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 ,Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai ,


1- Jo amal Sunnat e Rasool saw ke mutabik na ho woh Allah ke yeha Mardud hai kabil e Qabool nahi hai ,



Aaisah raz kahte hai Nabi saw ne farmaya jisne Deen mein koi aisa kaam kiya jiski bunyad sariyat mein nahi woh kaam mardud hai ,


{Bukhari , kitab us Sayam}


2- Rasool saw ki nafarmani nuqsan or thabahi ka waza hai ,


Abu Musa Ashari raz se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya meri or is hidayat ki misal jise main de kar bheja gaya hun , aisa hai jaisa ke ek aadmi apni kaum ke paas aaye or kahe , logon main apni aankho se ek lashkaar dekha hai , jisse main wayeh taur se khabardaar kar raha hun , usse bachne ki fikr karo , kaum ke kuch log ne uske baat maanli or raato raat chup ke se nikal gaye jab ke doosre logon ne jhutlaya tha or apne gharo mein ghaflat se pade rahe , subha ke waqt lashkar ne unhe aa liya or tabah kar ke unke nasal ka khatma kar diya , yeh misal meri or mujh par utare gaye haq ka ittat farmabardaari karne wale or na karne wale logon ki hai ,


{Bukhari , Muslim}


Irbaaz bin Shariya raz se riwayat hai ke unhone Nabi saw ko farmate hue suna hai ke logon main tumhe aise roshan Deen par chhore ja raha hun , jiska raat bhi din ki tarah roshan hai usse wahi aadmi inkaar karega


jiska tabahi hona hai ,

{Ibn Aahsim nekitab us sunnah mein riwayat kiya hai ,Sahih kitab us sunnah ,Lil Albani jild 1 ,Hadees no 49}


3-Rasool saw ke mukable meie kisi Nabi , ya wali , Muhaddis , ya Faaqi , Imaam , ya Aalim ki ittat farmabardaari ki khayal khuli gumrahi hai ,


Jabir raz riwayat karte hai ke Umer raz Nabi saw ke sewa mein hazir hue or khaha ke hum yahoodi se kuch baatein suni hai jo hame acchi lagti hai kya unme se jo zayada acchi lagne wali baat likh liya kare ,? Nabi saw ne irshad farmaya kya tum apni Deen ke bare mein shak o suba ke sikar ho ke yeh adhura hai ? Jis tarha yahood o nasara apne Deen ke bare mein shak o suba mein pad gaye the , beshak main ek wazeh or roshan sariyat lekar aaya hun , agar aaj Musa as , bhi zinda hote to merh ittat farmabardaari kiye bina unke liye bhi koi rashta na hota ,


{Musnad Ahmad , Bahqi ,Miskat ul Mashabi , Kitab ul Imaan}



Jabir raz riwayat karte hai ke Umer raz bin khattab Taurat le kar Nabi saw , ke khidmat mein hazir hue or arz kiya Ya Nabi saw yeh Taurat hai to Nabi saw ne khamosh rahe , Umer razt Taurat Padhne lage to Nabi saw , ka chahera mubarak gusse se badal ne laga , Abu Bakr raz ne yeh halat dekhi to Kaha aye Umer ghum karne waliyan tujhe ghum paaye , Nabi saw ke chahere ki taraf nahi dekhta , Umer raz ne Nabi saw ke chahere mubarak ki taraf dekha to kaha main Allah or uske Rasool saw ki gussa se Allah ki panah mangta hun , hum Allah ko Rab hone par Islam ko Deen hone par or Muhammad saw ko Nabi hone par razi hai , iske baad Nabi saw ne irshad farmaya us jaat ki Qasam jiske haat mein Muhammad saw ki jaan hai agar aaj Musa as , tashrif le aaye or tum log meri bajaye unka ittat farmabardaari suru kar do to seedha raah se gumrah ho jaoge , or agar Musa as zinda hote or meri Nabuwat ka jamana pate to woh bhi meri hi ittat farmabardaari karte ,


{Daarmi , Mukaddama Page 39 , Hadees no 435}


4- Nabi saw ki ittat farmabardaari mein kotahi ne jang e Wahad ke Faath jeet ko Sikasht haar se badal diya ,


Baraa raz farmate hai ke Wahad ke roz mushrikon se hamara mukabla hua , Nabi saw ne teer andazo ki ek jamat pahad ke chhoti par bitha diya or Abdullah bin Juber raz ko unka ameer mukaraar karte hue farmaya tum hame maidan e jang mein chahe jeete hue dekho ya haarte hue , apni jagah se bilkul na hathna or na hi hamare madad ko aana , lehaza kafiro se jab mukabla hua to kafir bhag nikle , yaha tak ke maine dekha ke mushriken ki aurton pindhliya se kapda uthaye hue pahad par bhagi ja rahi hai , unke haar dikhaye de rahi thi , Abdullah bin Juber raz ne unko samjahya ki Nabi saw ne takid kar gaye hai ke is jagha se na hilna lehaza yeha se mat hilo , teer andaz na mane apni marzi se woh jagah chhor diye , lehaza musalmaano ki haar ho gayi or 70 Sahaba saheed ho gaye ,


{Bukhari , kitab ul Gazi , Gazwa wahad}


5- Sahaba raz Sunnat e Rasool saw ko Tark karna khuli gumrahi samajhte the ,


Urwaa bin Juber se riwayat hai Abu Bakr siddique raz ne farmaya maim koi aisi chiz nahi chhor sakta jis par Nabi saw amal kiya karte the , kyon ke mujhe daar hai ke agar main Nabi saw ki amal o Qaaol main se koi chiz bhi chhor duga to gumrah ho jaaonga ,


{Bukhari , Muslim}


6- Aisi baat ya amal , jo Nabi saw se sabit na ho , Hadees ya Sunnat kahkar logo ke Shamne pesh karne ki saza jahannam ki aag hai ,


Abu Huraira raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya jisne jaan bhujh kar jhoot meri our nisbat kiya woh apna thikana jahannam mein bana le ,


{Bukhari , Muslim}


Ali raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya meri taraf jhooti baat nisbat na karo jisne meri taraf jhooti baat nisbat ki woh aag mein dhakhil hoga ,


{Bukhari , Muslim}


Salma raz se riwayat hai ke main Nabi saw ko yeh farmate hue suna hai ke jo aadmi meri taraf aisi baat nisbat kare , jo maine nahi kahi , woh apni jagah jahannam mein bana le .


{Bukhari , kitab ul Ilm}


Abu Huraira raz se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya , aakhri jaamane mein dajjal or jhoote log aisi Hadeesen tumhare paas layenge , jo tum ne or tum hare baap dada ne kabhi na suni hogi , lehaza unse bacch kar raho kahi tumhe gumrah na kar de ya fitne ka sikar na kar de


{Muslim , Mukaddama}


7- Sunnat e Rasool saw , chhor kar koi naya tarika talash karne wala aadmi Allah ke yeha sab se zayada nafrat o gussa waza hai ,


Abdullah bin Abash raz, se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya 3 aadmi Allah ke yeha sab se zayad nafar gussa ke sikar hoge ,


1 -Haram sarif ka hurmat raaund ne wala ,


2- Islam mein Nabi saw ka tarika chhor kar nafarmani ka tarika talash karne wala ,


3- Kisi musalmaan ka bina wazah khoon talab karne wala take uska khoon bahaye ,


{Bukhari , kitab ul Dooat}


8- Nabi saw ke hukm na maanne par dunya mein taklif dene wala saza ,


Salma bin Aakua raz se riwayat hai ke unke baap ne unhe bataya ke ek aadmi ne Nabi saw ke paas baayen haat se khana khaya to Aap saw ne farmaya apne daahene haat se khaao , us aadmi ne jawab diya main aisa nahi kar sakta , Aap saw ne irshad farmaya accha Allah kare tujh se aisa na ho sake , us aadmi ne ghamand ki wazah se yeh baat kahi thi , or koi saraai wazah nahi tha , rawi kahte hai ke woh aadmi umr bhar apna daayanh haat munh tak na utha saka ,


{Muslim , kitab ul Aasrab}


9- Sunnat ka Ilm ho jane ke baad us par amal na karne wale logon ko Nabi saw ne nafarman kaha ,


Jabir raz se riwayat hai ke Nabi saw Ramdaan mein faath Makkah wale saal Makkah ke liye Madina se nikle , jab Kurah gunmin{jagah ka naam hai}pahonche to Nabi saw or Sahaba sabne roza rakha tha dauran e safar Aap saw ne pani ka piyala maang kar uncha kiya yaha tak ke logo ne us piyale ko dekh liya phir Aap saw ne pee liya baad mein Aap saw ko bataya gaya ke kuch logo ne abhi bhi roza rakha hua hai , is par Aap saw ne irshad farmaya ye log nafarmaan hai yeh log nafarman hai ,


{Muslin , kitab us Siyam}


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com