Monday, December 10, 2012

SUNNAT QUR'AAN KI ROSHNI ME

Bismillahirrahmanirraheem




SUNNAT QUR'AAN KI ROSHNI ME




Sun'nat Quran Ki Roshni Mein ,



Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


1 - Deen ke mamlon mein Nabi saw ke Hukm par Amal karna Farz hai ,

Aye Imaan walo Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo or baat sun lene ke baad usse munh na phero ,


Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 20 ,


Aur Namaz padhte raho or zakat dete raho or Rasool saw ka ittat farmabardari karte raho taake tum par rahem kiya jaye ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 56 ,


Aur jo shakhs Rasool saw ki ittat farmabardaari karega to beshak usne Allah ki farmabardaari ki or jo nafarmani kare to aye Rasool saw Aap ko Allah ne unka nigehbaan bana kar nahi bejha ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 80 ,


Aur Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo taake tum par rahem kiya jaye,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 132 ,


Aye Imaan walo Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo or jo tumme se jo sahib e hukoomat hain unki bhi , or agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf waqe ho to agar Allah or roz e aakhirat par imaan rakhte ho to usse Allah or uske Rasool saw ke hukm ki taraf rujoo karo , yeh bohat achchhi baat hai or anjam ke aithbaar se bhi behtar hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 59 ,


Tumhare Rab ki Qasam yeh log jab tak apne tanazat mein Aap ko Hakim faisla karne wala na maanle , or jo faisla Aap kardo usse apne dil mein tangi na kare balke usko khushi se maan lein tab tak momin nahi honge


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 65 ,


Aye Imaan walo Allah ka farmabardaari karo or Rasool saw ki ittat karo or ittat karne se hat kar apne amalon ko zaya barbad na hone do ,


Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33 ,


Jo chiz tumhe Rasool saw dein woh le lo or jis chiz se Rake usse rukh jaao , or Allah se darte raho , beshak Allah sakht azaab dene wala hai ,


Surah 7 al-Hashr ,Aayat no 7 ,



2-Nabi saw ki ittat karna kaamyabi ki jaamanat hai


Momino ki to yeh baat hai ke jab Allah or uske Rasool saw ki taraf bulaye jaye taake unme faisla karen to kahen ke humne hukm sun liya or maan liya ,or yahi log falah paane wale hain ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 51 ,


Aur jo shakhs Allah or uske Rasool ki ittat farmabardari karenge usse darega to aise hi log murad ko pahonchne wale hain ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 52 ,


Allah sab aamal durust kar dega or tumhare gunah bakhsh dega , jo shakhs Allah or uske Rasool saw ki ittar farmabardari karega to beshakh badi kaamyabi hasil ki,


Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 71 ,


Tamam ahkaam Allah ki hadein hain or jo shakhs Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karega , Allah usko bahiston jaannat mein dakhil karega jinme nehrein beh rahi hain , woh unme hamesha rehenge or yeh badi kaamyabi hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 13 ,



3- Allah or Rasool saw ke hukm ke mutabik kiye gaye amal ka pura badla milega ,



Aur agar tum Allah or uske Rasool ki ittat farmabardarit karoge to Allah tumhare aamal ke azr wo sawab mein se Allah kuch kami nahi karega , beshak Allah bakhshne wala meherbaan hai ,

Surah 49 al-Hujurat ,Aayat no 14 ,



4-Nabi saw ki ittat mein Gunah ki maafi ,


Aye Nabi saw logon se kahdo ke agar tum Allah ko dost rakhte ho to Meri pairvi karo Allah bhi tumhe dost rakhega or tumhare gunah maaf kar dega or Allah bakhshne wala meherbaan hai ,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 31 ,



5- Allah or Rasool saw ka farmabardari karne wala Nabi , Siddiq , Shuhada , Saaliheen mein rahega ,


Aur jo log Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karte hain to woh Qiyamat ke raz un logon ke saath honge jin par Allah ne bada fazl kiya yani Ambiya or Siddiq Shaheed or saaliheen Nek log or un logon ki rifaqat sangat bohat hi aacha bohat hi khoob hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 69 ,


6-Allah or Rasool saw , par Imaan lane ke bawazud kuch log Amal mein Allah or Rasool saw , ka Hukm nahi mante aise log momin nahi ,


Aur Ba'z log kahte hain ke hum Allah or Rasool saw par Imaan laye or unka Hukm maan liya , phir iske baad unme se ek firqa phir jata hai or ye log sahib e Imaan Momin hi nahi hain ,


Aur jab unko Allah or uske Rasool saw ki taraf bulaya jata hai taake Rasool saw umka bahami mamlaat qazya chhora de faishla kar de to unme se ek firqa munh pher
leta hai ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 47 , 48 ,


Aur jab unse kaha jaata hai ke jo hukm Allah ne nazil farmaya hai uski taraf rujoo karo or Rasool saw ki taraf aao to munafiqon ko dekhte ho ke Aap se aitraz karte hai or ruke jaate hain ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 61 ,


Kahdo Nabi saw ke Allah or uske Rasool saw ki Ittat farmabardaari karo , agar na maane to Allah bhi khafiron ko dost nahi rakhta pasand nahi karta ,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 32 ,


7-Allah or Rasool saw ka ittat farmabardaari na karne ka natiza apsi fut or ladai o jhagda hai ,


Aur Allah or uske Rasool saw ke hukm par chalo or aapas mein jhagda na karna ke aisa karoge to tum buzdil ho jaoge or tumhara hawa ukhad jayega or sabr se kaam lo ke Allah sabr karne walo ka madadgaar hai ,


Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 46 ,


8-Rasool saw ke hukm ke maauzudgi mein kisi dusre ka hukm par amal karne ki Deen Islam mein koi gunjaish nahi , Allah or Rasool saw ki na farmani gumrahi hai ,


Aur kisi Momin Mard or Momin Aurat ko yeh haq nahi hai ke jab Allah or uska Rasool saw koi AMR faisla muqarrar kar de to woh us kaam mein apna bhi kuch akhtiyar samjhein , or jo koi Allah or uske Rasool saw ki nafarmani kare woh sahi mein gumrah ho gaya khuli gumrahi mein ja pada,


Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 36 ,


9-Allah or Rasool saw ki nafarmani karne wala apne anzam ka khud zimmedaar hoga ,


Aur Allah ki farmabardaari or Rasool saw ki ittat farmabardaari karte rahn or darte raho , agar munh pheroge to jaan rakho ke hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigham khol kar pahoncha dana hai ,


Surah 5 al-Ma'idah ,Aayat no 92 ,


Aur Allah kh ittat karo or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo agar tum munh pher loge jo hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigha ka khol khol kar pahoncha dena hai ,


Surah 64 at-Taghabun ,Aayat no 12 ,


10-Allah or Rasool saw , ki nafarmani karne ki saza jahannam or dukh dend wale aazab ,


Aur jo Shakhs Allah or uske Rasool saw ke ittat farmabardaari par chalega usko Bahiston jannat mein dakhil karega jiske tale nehrein beh rahi hain , or jo munh pherega rugardani karega usse bure dukh ki saza dega ,



Surah 48 al-Fat'h ,Aayat no 17 ,


11- Hile or bhane talash kar ke Allah or Rasool saw ke hukm se bacchna dardnak aazab ka sabab hai ,



Musalmano Rasool saw ke bulane ko aisa khyal na karna jaisa tum aapas mein ek doosre ko bulate ho , beshak Allah ko woh log maloom hain jo tumme aankh bacha kar chal dete hain to jo log Rasool saw ke hukm ki mukhalfat karte hain unko darna chahiye ke aisa na ho ke un par koi aafat pad jaye ya takleef dardnaak dene wala azaab nazil na aa jaye ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 63 ,



Quran o Sunnat Par Amal Karne Ka Hukm ,



"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"

Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


Allah ne hukm farmaya ,


1- Aye Musalmano , Aaj ke Din maine tum par apni nemat ko poora kar diya , or tumhare liye Islam ko bataur e Deen pasand kar liya hai ,


{Surah 5 al-Ma'idah , Aayat no 3}


Yeh Aayat Dul'Hijjah san 10 Hijr mein A'rfat ke maidan mein Nazil hue , is ke nazil hone ke 3 mahine ke baad Nabi saw yeh Kamil Deen ummat ko Dekar Allah se ja mile ,


or ummat ko yeh wasiyat kar gaye ,


2-Main yani Nabi Saw , tumhare darmiyan aisi do chizen chhode ja raha hun ke jab tak tum unhe mazbuti se pakde rahoge hargiz gumrah na hoge , yani Allah ki Kitab or meri Sunnat ,

{Bahqi , Mu'atta Imaam Malik , kitab ul Qadr 2/899 Hakim , 1/93 , or Ibn Hazam ne isse sahi kaha hai}


Maloom hua ke Islam , Quran o Sunnat mein mahdood hai , or yeh bhi sabit hua ke mas'hala or fatwa sirf wahi amal karne ki layak hai jo Quran o Sunnat tarik se sabit ho,



3-Nabi saw ne farmate hai , meri sari ummat jannat mein dakhil hogi us ko chhod kar jisne inkaar kiya , sahabi raz ne pucha Aye Nabi saw , Inkaar karne wala koun hoga ? Aap saw ne farmaya jisne meri farmabardari kiya woh jannat mein dakhil hua or jisne meri na farmani ki to usne inkaar kiya ,


{Bukhari , kitab ul Ihtisham 260}


4-Urbaaz bin Shariya raz riwayat karte hai ke ek din Nabi saw ne hame Namaz padai fir Aap saw hum logon se mukhatab hue or nasiyat farmayi , nasiyat sunkar hamare aankho se aanshu jari ho gayi or dil dahel gaya , ek sahabi ne kaha Aye Nabi saw ye nasiyat to aisa hai jaise kisi rukhshat karne wale ka hota hai , isliye hamko khash wasiyat ki jiye,Aap saw farmaya main tumhe wasiyat karta hun ke Allah se daarte rahna , or apni aameer ki jaaez baat sunna or manna , agarche tumhara aameer habsi ho, mere baad jo tum me zinda rahega woh bohat ikhtelaf dekhega , us waqt tum meri Sunnat or Khulfa e Rasheedin ka tarika lazem pakadna , usse Daatho se mazboot pakde rahna or Deen ke andar naye naye kaamo or taur tarike se bacchna ,


{Abu Dauood , kitab us Salath 4607 , Tirmizi , kitab ul Ilm 2661}


Is hadees se sabht hua ke Bid'at gumrahi hai , koi Bid'at Has'na nahi ,


5-Abdullah bin Umar raz farmate hai , har Bid'at gumrahi hai chahe log usse neki samjhe ,


{As Sunnah , Muhammad bin Nazr Maruzi , Shirhul Usool , 1/92}


6- Imaam Malik ra ne kya khoob farmaya hai , jis shakhs ne Islam mein neki samajh kar koi chiz Ejaad ki to us ne gumaan kiya ke Allah ke Nabi saw ne Risalat ki Tableeg mein khiyanat se kaam liya Allah ki Panah , Nabi saw ke jamane mein jo chiz din na thi woh aaj bhi nahi ban sakti ,


{al Ayteshami Lisshatbi 1/49 ,



Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com